Pehlu ba Pehlu
Side By Side - Sex Position
Iss tariqay mein donon mian biwi bister per apney apney pehlu per laet'tey mubashrat se lutf andoz hote hain. Yeh tariqa donon mian biwi kay liye aasaan hai, iss main donon aasaani sey harkat kar saktey hain, iss tariqey mein insaan thakta nahin, hamal kay doran yeh ek acha tariqa hai. Mian biwi kay qadd aur wazan mein zyada farq ho wahan yeh ek mufeed tariqa hai albatta kuch afraad kay liye dakhool mushkil hai khusoosan agar mian ka zakar nisbatan kuch chota ho yeh tariqa subah kay waqt zyada munasib hota hai jab fard ko bharpoor tana'u hota hai.
Pehlu ba Pehlu - Aqsaam (Side by Side - Variations)
-
Donon mian biwi mu'nh aamey samney kar kay pehlu kay bul laet jaei'n biwi apni raanei'n khawand ki kamar kay gird lapaet lay aur dakhool kay ba'ad donon harkat karein iss position mein dakhool gehra hota hai yeh tariqa bohut pur lutf hai albatta iss mein zakar kay baher nikalney ka imkaan hota hai. Iss tariqey mein mian biwi kay pistaano'n se bhi har andaaz se lutfandooz ho sakta hai khaas kar apney seeney per biwi kay pistaan kay lums sey bharpoor lutf utha sakta hai.
-
Mian biwi bister per apney pehlu per aagey peechey laetei'n biwi taangein ikatthi kar lay ya phir ooper wali taang ko ooper utha ley aur phir dakhool ho iss surat mein amooman dakhool zyada gehra nahin hota zakar kay baher nikalney ka imkaan bhi hota hai taa'hum iss tariqey mein donon mian biwi bazer ko mushta'il kar saktey hain aur khawand biwi kay sareen (hips) kay lums sey lutf andoz hota hai
|