Mubaashirat mein aap neechey hun aur biwi ooper. Dakhool kay baad aap donon 10 minute sakin rahein. Tanau (erection) kam honay per biwi aap kay ishaarey per ooper neechey 2 strokes lagaey ta'kay tanau (erection) bahaal ho jaey 10 minute kay baad biwi ahista ahista strokes lagaey. Inzal kay qareeb biwi mian kay ishaarey per ruk jaey. 4 bar aisa karein 5th time strokes jari rakhain hutta kay aap inzal ho jaeyn. Jab aap donon stop kay saath musalsal 15 minute inzal huey baghaer mubaashirat (intercourse) jari rakh sakayn to agla marhala.
Iss marhaley per dakhool kay baad pursukoon rahein. 5 minute kay baad biwi strokes lagaey. Strokes ki raftar zyada tez naa ho. Inzal kay qareeb aap kay ishaarey per biwi raftar ko ahista karey. Inzal ki khwahish honay per strokes ki raftar ko zara tez kardey. Inzal kay qareeb aap kay ishaarey per raftar ko kam kardey. 4 bar aisa karein, aur 5th time inzal hojaeyn. Jab 2 times slow ho kar yeh mushq musalsal 15 minute karli jaey to agla qadam.
Dakhool kay baad 5 minute pursukoon rahein. Ab aap neechey sey strokes lagain. Inzal kay qareeb khayalt ko roknay kay liye eyes band kar kay lafz stop buland awaz sey kahain. Agar aap akeley nahi to tasawur karein ka aap ek awaz ko buland awaz sey lafz stop kahtai huai dekh rahey hain. Iss sorat mein aap ko buland awaz sey stop kahnay ki zaroorat nahi. Iss tarhan manfi sochain ruk jaeyngi. Yeh mazi ki en yadoon kay talakh asrat ko khatam kar dein. Iss kay liye akhri baab mein chund mushqein mojood hain inn ko use karein.
|