Magar baaz auqat biwi sey mubashrat (intercourse) nahi ki ja sakti. Maslan biwi haez mein yeh haez (menses) kay akhri dino mein hai. Isi tarhan bachey ki paedeyssh kay baad bhi taqreeban 40 days tak mubashrat (intercourse) nahi ki ja sakti. Doosri taraf aksar mard itnaa lamba arsa mubashrat (intercourse) kiyai baghaer nahi rah saktey hain. Waisey baaz auqat mard ko tension door karney kay liye mubashrat (intercourse) ki zaroorat hoti hai kyun kay mubashrat (intercourse) tension door karney ka aik mossar tareeqa hai.
Baaz auqat mian biwi mein sey kisi ko koi aisi khatarnaak beemari (Aids) hoti hai jo mubashrat (intercourse) mein dusey ko muntaqil ho sakti hai aisi sorat mein mubashrat (intercourse) mumkin nahi hoti.
Islam aik deen e fitrat hai, Islam mein iss sorat hal mein humarey liye kiya hukum hai iss silsiley mein humein Allah Ta'ala kay piyarey Nabi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) sey rehnumaee milti hai.
-
Hazrat Ma'az Bin Jabal ney arz kiya ya Rasool Allah (P.B.U.H) meri aurat haez mein ho to merey liye kiya cheez iss sey halal hai. Farmaya tehband (Naaf) sey ooper aur iss sey bachna behtar. (Abu Dawood)
-
Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ney farmaya kay haez wali aurat kay saath tum sab kuch karo lekin jama naa karo. (Muslim)
-
Zaid Bin Aslam ney kaha kay pucha aik shakhs ney Hazrat Muhammad(P.B.U.H) sey kiya cheez halal hai merey liye meri biwi sey jab kay woh haeza ho. Pas farmaya Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ney khoob mazboot bandh lo tehband iss ka iss kay jism per. Phir tehband kay ooper tera kam hai. (Mota Emam Malik)
|