Foreplay bunyadi tor per biwi ki zarooriyat kay mutabiq ho. Agar mian biwi ko ek hi cheez pasand hai to bohut hi acha hoga. |
|
|
Home | Sex Education in Urdu for Men | Foreplay For Women - Foreplay Mein Biwi Ki Pasand 2 |
|
List in Urdu >> Page 1 |
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5 |
|
Total views since 15 October 2009: 142607 |
|
|
Foreplay For Women - Foreplay Mein Biwi Ki Pasand |
-
Insaani jism ka sab sey hassas hissa iss ka dimagh hai. Iss liye mahireen kehtey hain kay hamari 90% sex dimagh mein hai. Yani jinsi ishteaal kay saath piyar mohabbat ki baaton aur tareef kay saath iss kay zehen ko bhi mushta'el karein. Maslan foreplay kay doran mein aap iss kay jism kay jis hissey ko mushta'el kar rahey hun iss ki tareef kareyn. Mujhey apki soft skin ko touch karna bey hudd pasand hai. Aapkay pistaan merey jazbaat ko bharka detey hain. Mujhey aapkay pistaan sey mohabbat hai. Yeh resham ki tarhan soft hain. Aap kay lips bohut khoobsorat hain. Mujhey aapki taangein bohut pasand hain. Aapki eyes duniya bhar mein khoobsorat hain. Mujhey aap sey sex karna bohut pasand hai. Mein aapkay sarey jism ka aashiq hun.
-
Mard fitri tor per jinsi ziyada jaldi baidar ho jata hai. Ab iss sey biwi ko mubashrat (intercourse) kay liye tayyar karna hai aur apney aap ko bhi control karna hai. Discharge sey bachney kay liye foreplay kay doran aap apna underwear, shalwar waghaira na utaren. Koshish karen kay biwi aap kay zakar aur khusyey (testicles) ko touch na karey. Agar phir bhi aapko jald discharge ka khatra ho to thori thori deyr bad apney zakar ko topi kay neechey sey pakrain aur zor sey press karen, yehan tak kay discharge ki urge khatam ho jaye aur tanau (erection) kam hojaye. Discharge sey bachney ka yeh aik bohut effective method hai.
-
Foreplay mein aap biwi kay 4 parts: mouth, pistaan, Sareen aur bazer (clitoris) par ziyada attention deyn.
-
Mian biwi kay kiss karney sey naa wazoo tootta hai aur naa hi roza. Hazrat Ayesha sey marwi hai kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H.) nay unko bosa diya magar wazoo naa kiya.(Abu Daood) Doosri hadees mein Hazrat Ayesha riwayat farmaati hain
|
|
 |
|
|
<< Next
Prev >>
|
|
|
 |
Tell a Friend |
|
|
|
|
|
|
|
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site. |
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012 |
|