Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Mubashrat faraj mein hogi. Maqad mein haram hai. Islam mein haez kay dinon mein mubashrat sey manaa kia gaya hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for Men | Intercourse Methods - Mubashrat Kay Tariqey  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
158409
 
Intercourse Methods - Mubashrat Kay Tariqey

    18.  Mubashrat (intercourse) faraj mein hogi. Maqad mein haram hai. Hazrat Abu Huraira sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya " Jo shakhs apni aurat ki maqad mein badfaeli karey woh mal'oon hai khuda iss ki taraf nazar rehmat aur shafqat sey nahi dekhta".(Abu Dawood, Tirmizi)

    19.  Aurton ka khayal hota hai kay zakar ko kab penetrate karna hai jabkay mard ko yeh pata hi nahi hota. Lehaza jab aurat kay jinsi jazbaat urooj per hun to woh mian ko dakhil karney ka isshara karey aur iss kay saath hi dakhool mein mian ko madad karey ta'kay iss ko dakhool mein problem naa ho. Iss kay liye woh zakar ko hath mein pakar kay faraj mein dakhil kar sakti hai. lekin agar aapko sur'at e inzal ka masla hai aur biwi kay hath laganay sey discharge ka khatra hai to biwi apkay zakar ko hath laganay kay bajaey apni aaza-e-makhsoosa (vulva) kay lips ko khol dey ta'kay ap aasani sey dakhil kar sakein. Biwi ki taraf sey cooperation aur guidance na karney ki surat mein bohut sey mard dakhool ki koshish mein bahir hi discharge ho jatey hain. Jis sey biwi ko shadeed frustration aur aapko sharmindagi hogi.

    20.  Aap mubashrat (intercourse)  kay kam sey kam 4-5 methods mein achi tarhan maharat hasil karley aur har bar mukhtalif method sey mubashrat (intercourse)  kareyn. Aik hi method ko bar bar use karney sey boriyat ho jaati hai aur aurat ki sex mein dilchaspi kam ho jati hai.  

 

   21.  Islam mein haez (menses) kay dino mein mubashrat (intercourse) sey mana kara hai. Quran mein irshad hai " Haez mein aurton sey bachoo. Inn sey mubashrat naa karo jab tak woh paak naa ho jaein. To jab paak hojaein to iss kay pas iss jagah aao jiska Allah nay tumko hukum diya hai". ( Albaqrah 222) Haez (menses) mein mubashrat (intercourse)  naa karney wali khawateen uterus kay cancer sey mehfooz rehti hain. Issi tarhan nifas mein bhi aurat sey mubashrat (intercourse)  mana hai. Child birth kay baad aurat ko jo blood aata hai woh nifas kehlata hai.

 

 
Intercourse Method - Mubashrat Kay Tariqey
 
<< Next       Prev >>
5253545556575859606162
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012