Ramzan ul Mubark main Rozay ka maqsad
Irshad e Bari Tala hay " Emaan waloon tum per Rozay farz kiye gaye jis tarah tum se pehlay loogon per farz kiye gaye thay takay tum MUTTAQEE aur PERHAIZGAAR ban jao ."(Al.Baqra 2:183) is Aayat se humain maloom hota hay k rozay kee farziyat ka maqsad humain parhaizgaar aur taqwa kee rawish ikhtiyaar kernay k liye hay. is liye ramzan main is maqsad k husool ko samnay rakhna nehayat zarori hay . Piyare Nabi Muhammad sallallahu alaihee wa sallam farmate hain k "jis shakhs ne emaani kaifiyate aur ehtasaab k saath ramzan ka roza rakha,tu Allah tala us k un tamam gunahoon ko maaf farma de ga jo us se pehlay ho chukay hain ." (Bukhari) lehaza ramzan k pooray rozay ehtamaam k saath rakhiye aur kisi shadeed beemari ya uzar e sharai k baghair koi roza nahi chourain Piyare Nabi sallallahu alaihee wa sallam ne irshaad farmaya k "jis ne kis shadeed beemari ya uzar e sharai k baghair ek roza bhi choura tu umar bhar k rozay rakhnay se bhi us ek rozay kee talafee nahi ho sakay gee." (Tirmizi) Rozay ko DHAAL se tashbeeh de gai hay is liye Rozay kee halat main apni zuban se BAYSHARMEE kee baat na nikalain aur na hee shoor o hangama karain balkay ager koi fazool goi karay ya larai aur galam galooch kernay ker aamada ho tu us se keh dein k main rozay se hoon rozay main jhoot se parhaiz karain , Piyare Nabi Muhammad sallallahu alaihee wa sallam ne farmaya"Jis shakhs ne roza rakh ker bhi jhoot bolna aur jhoot per amal kerna na choura tu Allah tala ko us k bhooka aur piyasa rehnay se koi dilchaspee nahi." Piyare nabi sallallahu alaihee wa sallam ne ek aur jagha farmaya k "ramzan ka maheena aaraha hay jo bari barkat wala hay Haq tala shana is main tumharee taraf mutawajha hotay hain aur apni rehmat e khass nazil farmatay hain , khataoon ko maaf farmate hain , duaoon ko qubool farmatay hain. badnaseeb hay wo shakhs jo is maheenay main bhi Allah tala kee rehmat se mehroom rehjaye ."(Tibraani) ramzan ul mubarak main Allah kee rah main dil khool ker kharch karain aur ghurba aur masakeen kee jis qadar ho sakay madad karain . ramzan k ikhtatam per SADA E FITR (fitrana) zaror ada karain ek hadees k mutabiq Rozoon kee qubooliyat FITRANA k baghair nahi hogi .
|