Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

Pakistani Matrimonial Website
Advertise Here
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Quran & Hadith dos n dont Download
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Shaitan Ko Kis Ny Gumrah Kia ?

Religion and Culture
 
Pakistani Student In Harvard University  How To Get Visa For Japan 
 
 
Sh.Aadil Group: Members  Joined: 05th Aug, 2013  Topic: 1  Post: 1  Age:  19  
Posted on:5th Aug 2013, 8:55am
 

Shaitan Ko Kis Ny Gumrah Kia ?

Mera sawal yay ha kay Insan ko Shetan Gumra karta ha Shetan ko kis na Qumra kia jb ka wo Nori aur Nari Mahqlooq the??
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 51  Post: 3271  Age:  36  
Posted on:5th Aug 2013, 9:32am
 

Ghalt bat

sab sy pehly aik correction farmaa lain k shaitan Noori makhlooq nahi hay aur na hi tha , shaitan naar sy bani mahlooq hay jaisy jinnat waghaira hain

dosri bat , shaitan ko kisi ny gumrah nahi kiya , ablees ka shaitan ban jana uss k anadr bars haa bars ki chupi khabasat ko zahar karta hay yeh khabasat tab tab parda posh thi jab tak Allah ta'ala ny issy koi hukam nahi diya tha jaisy hi Allah ta'ala ka hukam samny aya iss k andar chupi khabasat bahar agayee , puss ussi waqt yeh Ablees sy shaitan ban geya ,

teesri baat , amoomi tor per kami ilmi k bayes yeh keh diya jata hay k shaitan , shaitan ban'ny sy pehly frishton ka sardar tha , yeh bat b ghalt hay q k koi b naari makhlooq kisi b noori makhloo ki sardaar ya sar'brah nahi ho sakti ..
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 738  Age:  39  
Posted on:5th Aug 2013, 9:36am
 

Adil

shaitan noori nahi balkeh naari makhlooq tha.
shaitan ko uss k taqabur ne gumrah kiya aur woh iss jinnat ki qoam se tha jisqy hazrat Adam a.s se pehlay Allah swt ne zameen perh bheja tha lakin woh jald hi gumrah ho gaye aur Allah swt k messengers ko qatal kiya,jis per Allah swt ne farishton ko bheja,jinhon ne unn se jang ki aur unn ko qatal kiya,
shaitan kiun k uss waqt achai per tha,iss liye ussay Allah swt ne asman per bula liya jahan woh raha lakin hazrat adam a.s ko sajda per uss ne inkar kiya aur mardood thera.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4345  Age:  38  
Posted on:5th Aug 2013, 5:21pm
 

Allah ki marzi ke beghair Shaitaan kuch nahi ker sakta

Shaitaan ko Allah ne banaya. Allah ki marzi ke beghair Shaitaan gumraah nahi ho sakta. Aaj bhi agar Allah chahye tu Shaitaan ki gumraahi khatam ho sakti hai. Allah ki marzi se Shaitaan kio gumrah hua? iss ka jawab bhi sirf aur sirf Allah hi ko maloom hai. Hamai Allah aur Allah ki takhleeq Shaitaan ke baaray mei ziadah confuse honey ki zaroorat nahi.



Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 738  Age:  39  
Posted on:6th Aug 2013, 4:46am
 

bewaqoof

yeh aqeeda jabriya kehlata hai jo kuch centuries pehlay musalmanon mein paida hua tha aur yeh batil aqeeda hai.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4345  Age:  38  
Posted on:6th Aug 2013, 6:50am
 

Kya Aqeeda ko Insaan ne takhleeq kya hai?

Aqeeda bananay walay aur osay batil qarar dene waly dono hi Insaan hai. Iss tarah ham keh saktay hai keh Aqeeda Insaan ke dimagh ki takhleeq hai.

Allah ne Dimagh banaya aur Dimagh ne Aqeeda takhleeq kya. Dimagh chukeh Allah ki takhleeq hai iss liye Dimagh per kisi ko shak aur bahas nahi. Jabkeh Aqeeda Allah ki nahi balkeh Allahe ke banaye huye Dimagh ki takhleeq hai, isi liye iss mei beshumar ikhtelafat hain.

Aur yahi wajah hai keh aik Aqeeda ke manne walay doosro ke Aqeeda ko batil qarar detay hai. Aqeeda bananay walay bhi Insaan aur Aqeeda ko batil qarar dene walay bhi Insaan. Insaan ki takhleeq ya os takhleeq ko batil qarar ka Allah ki takhleeq se koi muqabla nahi.

Allah ne zameen, sooraj, chaand, sitaray, darya, samandar etc etc banaye. Allah ki in takhleeqat per kisi ko bhi shak nahi. Allah ne hi Insaan aur haiwan banaya. Iss Insaan aur haiwan per bhi kisi ko shak aur bahas nahi. Lekin Aqeeda ko Insaan ke dimagh ne banaya. Aqeeda chukeh Allah ke bajaye huye Insaan ki takhleeq hai iss liye iss mei shadeed ikhtilafat hai.

Har insaa apne Aqeeda ko sahi aur doosre ke Aqeeda ko Batil qarar deta hai. Agar koi apne aqeeda ko sahi samajhta hai tu iss ka yeh matlab nahi keh woh aqeeda sahi hai. isi tarah agar koi kisi Aqeeda ko batil qarar deta hai tu iss ka yeh bhi matlab nahi keh woh Aqeeda batil hai. Insaan ke faisla ki koi ahmiat nahi.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 738  Age:  39  
Posted on:6th Aug 2013, 10:30am
 

bewaqoof

Agar shaitan ka inkar Allah/swt ki merzi tha to phir iss mein shaitan ka kiya qasoor ??
aap pehlay aqeeda jabriya perho uss k baad aap etiraz kijiye ga.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4345  Age:  38  
Posted on:6th Aug 2013, 2:11pm
 

Lakho Aqeeday

dunya mei hazaro nahi laakho Aqeeday hai. Inaaan kis kis aqeeday ko read karay ga. har mazhabi scholar ka jaari kerda apna alag aqeeda. ham tu yaha iss page per hi dekh rahay hai keh aap sirf aik myrizvi ko qayel nahi ker saktay tu dunya bhar ke mukhtalif logo ko kya qayel karain ge. Aur mie kya pagal hua hu ke in lakho Aqeeda ya logo (maslan aap) ki farmaish per kisi makhsoos Aqeeda (brain ki takhleeq) ko read karta rahoo.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 738  Age:  39  
Posted on:6th Aug 2013, 3:17pm
 

bewaqoof

mein ne pocha tha k agar shaitan ka inkar Allah swt ki merzi se tha to phir shaitan ka kiya gunnah hai ??
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4345  Age:  38  
Posted on:6th Aug 2013, 9:35pm
 

Aqeeda per bahas aur Shaitaan ka gunah

Shaitaan ke baaray mei jo kuch bhi discuss ho raha hai woh Aqeeda hai. mei Aqeeda per bahas nahi kerta. Kio keh Different scholar ke dimagh se different Aqeeda takhleeq hota hai.

Mera Aqeeda yeh hai keh Allah ki marzi ke beghair kuch bhi nahi ho sakta. Aur Allah taala chahay tu Shaitaan ka aik second se bhi kam waqt mei khaatma ho sakta hai. Aur Allah taala chahay tu Shaitaan kisi ko bhi gumrah nahi ker sakta. Shaitaan Allah ki marzi se hai.

For Detail Read : Wrong: Nothing Wrong In This World
https://www.thenoorclinic.com/forum/thread.php?topic=14109
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 738  Age:  39  
Posted on:7th Aug 2013, 2:49am
 

bewaqoof

janab yeh na kisi ki soch hai aur hi koi alag aqeeda balkeh foran yehi sawal kiya jaye ga k phir shaitan ka kiya qasoor aur aap k paas iss ka koi jawab nahi ho ga.
Allah swt ne her makhlooq ko uss ki hasiat k mutabiq taqat di hai aur insan ko aqal o shaoor diya aur Allah swt ne her cheez ka bata diya k kiya ghalat hai aur kiya sahi hai.
Uss k baad insan ko uss per choar diya k wohi sahi rasta per jata hai ya ghalat per aur issi ka roaze mehshar hisaab ho ga.
Agar mein sharab peeta hon to iss mein koi shaq nahi k meri kahin ja ke khareednay ki taqat,ussay uthanay aur oeenay ki taqat mujhay Allah swt ne di hai aur uss taqat k bina mein kuch nahi ker sakta lakin uss taqat ko mein achay kaam k liye istemal kerta hon ya buray amal k liye to yeh mujh oer depend kerta hai.
Agar shaitan k inkar mein Allah swt ki merzi shamil thi aur phir ussay mardood qarar denay ka matlab hai k Allah swt adil nahi hai MaazAllah.
1
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to find job with no work experience  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013