IBRAT
Ibrat > iss word ka urdu main amooman tarjma nasihat laina , daikh kar darna , khof ka taari hona waghaira kiya jata hay jo k mehaz bat ko samjhany k liye hay jab k yeh quranic word "IBRAT" ka asal tarjma nahi hay , agar Ibrat ka asal tarjma urdu main talash kiya jaye to yaqeenan quran main majood iss word ka asal haq ada ho saky ga aur allah iss word k zariye insan tak jo pegham puhanchana chah raha hay wo b maloom ho saky ga
aya majeeda hay " لَقَدۡ كَانَ فِى قَصَصِہِمۡ عِبۡرَةٌ۬ لِّأُوْلِى ٱلۡأَلۡبَـٰبِۗ مَا كَانَ حَدِيثً۬ا يُفۡتَرَىٰ وَلَـٰڪِن تَصۡدِيقَ ٱلَّذِى بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَتَفۡصِيلَ ڪُلِّ شَىۡءٍ۬ وَهُدً۬ى وَرَحۡمَةً۬ لِّقَوۡمٍ۬ يُؤۡمِنُونَ ( sorah yousaf ayat 111)
tarjma > ان (انبیاء وامم سابقین) کے قصہ میں سمجھ دار لوگوں کے لیے بڑی عبرت ہے یہ قرآن (جس میں یہ قصے ہیں) کوئی تراشی ہوئی بات تو ہے نہیں (کہ اس سے عبرت نہ ہوتی) بلکہ اس سے پہلے جو (آسمانی) کتابیں ہو چکی ہیں یہ ان کی تصدیق کرنے والا ہے اور ہر (ضروری) بات کی تفصیل کرنے والا ہے اور ایمان والوں کے لیے ذریعہٴ ہدایت و رحمت ہے
iss aya majeeda ki roshni main agar word Ibrat ka tarjma wo liya jaye jo k urdu main amooman kiya jata hay jis ki nishandahi main ny ooper b ki hy to iss trah iss aya majeeda k zariye allah ka puhanchaya geya asal pegham insan ki samjh main nahi aa saky ga
lehaz agar yahan "Ibrat" ka asal meaning kiya jaye to wo " aboor" karna banta hay iss trah aya majeeda ka asal pegham samjh main aa saky ga , maslan jis trah darya ko tair (swiming) kar aboor kiya jata hay , ya jis trah pull ko , kisi rasty ko ya phir kisi halaat main sy guzar kar unhain aboor kiya jata hay waghaira waghaira , pus issi meanings main allah ta'ala insan ko Ibrat ka meanings puhanchana chah raha hay..
to Ibrat word ka asal tarjma bany ga "aboor" karna , abb iss tarjma ki roshni main above aya majeeda ka tarjma karny ki koshish karty hain
tarjma > yeh aya majeeda sorah yousaf ki akhri aya hay , iss sorah main allah ta'ala ny hazrat yousaf (a.s) k sath paish aany waly halaat-o-waqiyat ka zikar karny k baad end par insano ko farmaya k inn waqiyat sy ibrat hasil karo yaani inn waqiyat ko aboor karo , har halaat main sheva-e-peghambri apna kar rakho , aur khud ko aysy waqiyat main shreek kaar samjho sirf parrh kar aur daikh kar aagy mat guzar jao .
agar yahan hum ibrat ka tarjma , daikh kar darna , khof ka taari ho jana waghaira karain to aya majeeda ka asal mafhoom wazy nahi ho pata
|