Umer 94
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2012 Topic: 3 Post: 14 Age:
19
|
|
Posted on:16th Mar 2013, 2:23pm |
|
|
Musht-zani ke nuqsanaat
Aslam oe Alaikum:- Society main Jinsi shaoeer ko ujagar krnay k liyay jo kaam kiya hay wo qabil e satasih hay but main noor clinic k khuch ghalat tasruwaat ko rad krna chahu ga jis k waja say bohat say Nojawan gumraah ho rehay hay.Dr.Arshad Javed nay apni book ''sex education for all'' main Mushtzani pr kafi khul kar Guftugu ki hay.Jo paighaam wo dena chahthay hay wo qatee ghalat hay ios silsilay main meray chand aitrazaar hazir hay. 1)Dr.Sb nay Mushtzani ka mazhabi pehlu main ya btaya k ios k haram honay ki koi waziha hadees nai to ye baat sai hay but har doar ka Jaiyad Ulama nay Quran ki ayaat '''Had say barhnu walo'''' nay ya khaz kiya hay k Mushtzani haram hay.Quran main mutaidid martaba apni Sharam gahoe ko sirf Biwi aur Londi k liyay istimaal krnay k hukum diya hay kai be zara sa be ishara moujood nai hay k ios ko Halaal kiya ja sktha hay. 2)Aap nay Mushtzani say honay walay hr nuqsanaat ki mukamal toar pr nafi ki hay.Ios k liyay meri misaal he meray liyay bohat hay.aap nay kaha Mushtzani krnay wala jab mehsoos krtha hay k iosay Nuqsaan ho ga tbhe iosay kamzori etc feel hothi hay.You are what you think.Main nay be yei kiya aur kbi be Mushtzani ko apnay liyay bura nai smjha aur 4 saal say krtha reha ,lekin ios k injaam ion nuqsaanaat ki soraat main howa jis ki aap nafi kr chukay thay.Sirf main he nai meray kai dosto k saath be yei howa. 3)Jaha tak Mushtzani k baray main Jadeed tahqeeq ki baat hay to main ya arz krna chahu ga k aap Dr.Fazal Elahi ki book '''Zina aur ios ki tabakiariya'''' k mutala kray ios main Europe ka alaa payee ka mohqiqoe nay ios nazriyay ki nafi ki hay.Sex ki khuwaish ko (makhsoos muddad) tak dabba kr rakhnay say faida he hotha hay nuqsaan nai aur ya baat europe k danishwar keh rehay hay. 4)Ios zaman main aik aur baat arz hay k aap Dr.Waheed ki kitaab '''Azdawaji khushiyan''' be lazmi parhiyay ga ionho nay be ios zaman main kafi tafseel say izhaar e khayal kiya hay. 5)Pir akhir main sab say bari hamakt aap nay ye ki ka Mushtzani ka faiday ginwa kr ,ios ka Shari pehlu discuss kr kay bola ka main nai kehta k aap muhstzani kray aap chahy to iosay control kr skthay hay.Ya aisi he baat hay k aap ksi bachay ko Chori ka Fawaid ginwayee,ios ki himmat barhayee aur pir akhir main kahay main nai keh reha k tm Chori kru agr tm chahu to iosay choar skthay hu. 6)Akhiri guzarish ye hay k ios post ko delete mat ki jiyay ga wrna roz e qiyamat aap ios k jawab day ho gay.Plz Nojawanoe ko mat gumraah kray ion k dil namaz,rozay, k bajayee jab mushtzani pr hoga to wo ksi qabil nai rehay gay ion k zindagi ka maqsad sirf aur sirf Sehwat ban jayee ga.Khudara reham kray Nojawanoe par
|
lifestyle
|
Group: Members Joined: 24th Jan, 2009 Topic: 1 Post: 567 Age:
39
|
|
Posted on:16th Mar 2013, 2:43pm |
|
|
rep mery bhai ho saakta hay ap ko kisi or waja say koi nuqsan hoa ho. Mera 1 dost jo itna karta tha k us ko kabhi ehtlam nahi hoa. Or shadi k bad jub tak bv nahi kahti wo discharge nahi hota. 10 min 20 min koi masla hi nahi . Or jub karta hay baby ho jata hay. Us ko protection karna parti hay |
Adhee
|
Group: Members Joined: 05th Oct, 2012 Topic: 4 Post: 10 Age:
27
|
|
Posted on:16th Mar 2013, 6:14pm |
|
|
rep yr ye kia baat hui k biwi ny kaha discharge hojao to woh hogaya jab tak biwi nahi bolti woh karta kia rehta hai hope so insaan hi ho woh koi robot nahi and umer ny thk kaha is chez k faidy ya nuqsaan ginwa k mulk k jawano ko ghalat raah par nahi chalana chaye jis age mein woh mushtzani kasrat say karty hn woh age future bana ny ki hoti hai na k washroom mein time lagany ki |
Umer 94
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2012 Topic: 3 Post: 14 Age:
19
|
|
Posted on:17th Mar 2013, 2:51pm |
|
|
@Lifestyle Sir har aik k jisam ki sakht mukhtalif hothi hay har qisi say.Ios ki simple example cigratte lay ke aap k samnay darjanoe nojwaanoe ki misaalay mili gi k jinhoe nay 16 saal main peena start ki to khuch ki halaat 2,3 saal main he khraab ho gai jab ka khuch ko koi asar he nai parha 2-3 saal tak.Yei waja ha ka k Mushtzani k Nuqsaan har aik k liyay Mukhtalif hotha hay. |
Umer 94
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2012 Topic: 3 Post: 14 Age:
19
|
|
Posted on:17th Mar 2013, 2:56pm |
|
|
@Adhee Mera khud k experience hay Mushtzani krnay walay kay liyay namaz parhna azaab ho jatha hay.Aur bilaa akhir natija ye nikaltha hay k wo ios Faael e bad k intha aadi ho jatha hay ka namaz parhna ios ki tabiyat par giraah guzartha hay kio k namaz k liyay insaan k jisam ka paak hona lazmi hotha aur bila akhir wo namaz parhna he choar detha hay ya parhtha be hay to kabi 1,2 bus |
|