asuzi |
Group: Members Joined: 09th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 4 Age:
34
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 10:30am |
|
|
About " DIVORCE " Assalamualaikum !
Yeh masla meri sister ka hai ,aur hum log bohot pareshan hai ,Jo baat app logo ko batane ja rahi hoon is ka koi haal bata ye .please ! Meri sister ne divorce leliy hai apne huband se ,lekin islam ke mutabik uska shohar use divorce nahi de raha hai ,kehta he ke jab tak bache bare nahi ho jate tab tak woh talak nahi dega . or meri sister ne khud apne husband ki marzi ke mutabik doosri shadi karwai thiy ,is wade ke mutabik ke woh dosri biwi se 1 bacha lega or use chhor dega ,lekin ab meri sis ka husband is bat se mana karta he ke ,woh dosri biwi ko nahi chhore ga .dosri biwi se ek bachi bhi hai.
Janna yeh chaht hain ke , islam ke mutabik meri sis ko guna mile ga ? meri sis uske nikah me reh ke sohar ke hakuk pure na kare to kya guna hoga .Ya use islam ke mutabik talak leni zarrori hai .
Thanks |
ωειικпοωи |
Group: Members Joined: 06th Sep, 2011 Topic: 46 Post: 3363 Age:
25
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 12:29pm |
|
|
asuzi: confusion plz app zara apne masle ko explain kare ta ke sahe samajh sake.. kiyo ke kuch confusion hai. jab apki sister ne apne husband ko doosri shadi ki to iss faisle ke mutabiq ke wo doosri wife se bacha le kar talaq degi?? ya pir apko??
Agar iss tarah decide kiya tha ke doosri wife ko talaq degi to iss tarah nikaah howa hi nahe hai. jabke Islam iss tarah nikaah ka ijazat nahe deta jo fixed date par hoo
1) Iss tarah nikaah Islam mai nahe hota jo ke already se date muntakhib hoo ke fala date par larki ko wapas chorna hai.
2) Iss tarah bi nahe hota ke zina se bachne ke liye ek fixed date tak shadi kiya jaye or pir talaq li jaye. oss tarah nikaah bi nahe hota
3) agar wife apne husband ke huqooq ko ada na kare tab wo wife gunehgaar hoti hai. kiyo ke Islam mai husband ka wife par ziadah haq hai.
4) Talaaq lena koi masti nahe hai jo karke khatam lekin Allah ke nazdeek napasandeeda kaam hai.
|
asuzi |
Group: Members Joined: 09th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 4 Age:
34
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 12:58pm |
|
|
confusion door Meri sister ki shadi ko 14years howe hain ,aur us ke 4 bache hain ,2 beti aur 2 bete . Two years pehle meri sister ke husband ne doosri shadi ki thiy , us ke husband ko or bhi bache chahiye they lekin meri sis ko problem agayi thi to doctor ne kaha tha ke woh aur zyada bache nahi le sakti hai . to phir meri sis ne apne husband ki doosri shadi karwa di ,or meri sister ke husband ne Wada ye kiya tha ke doosri wife se ek bacha le ke ,woh apni doosri wife ko divorce kar denge jo pakistan me hain ,meri sister america me hai Or us ki doosri wife pakistan mein hain . Meri sister us admi ke sath nahi rehna chahti he kion ke usne Wada tordiya . agar us ne wada na kiya hota to shayad meri sister uski doosri Shadi na karwati .
|
asuzi |
Group: Members Joined: 09th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 4 Age:
34
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 1:18pm |

Posted on:11th Jan 2013, 4:36am |
|
|
Ghalat fehmi Wese Wife ko koi haq nahe hai ke agar husband doosri shadi kare ya na kare or wife kahe ke ye tum ne kiyo kiya???
Ghalti apki sister ki hi hai kiyo ke wo apne app par talaq ka naam rakhna pasand karegi?? NO never... to pir doosri aurat kiya hai jo oss par rakhna chahti hai??? jabke apki sister khud ko talaq naam nahe dena chahti to wese hi doosri aurat bi apne app par talaq ka naam nahe rakhne deti.. ya pir wo aurat rent ke liye hai jo chahe kuch bi karsakta hai. apki sister ne wada hi ghalat kiya hai. kal koi aur mard oss aurat se shadi karega??
app apni sister se ek sawal pocho or kaho ke tum apne ek bache ko bejhdogi?? agar nahe kaha to kaho ke wo aurat kiyo apne bache ko chordegi?
Doosri baat ye ke app logo ne oss aurat ke sath dokha kiya hai jo ke sakht gunah wala amal hai.
Islam mai iss tarah shadi jayez nahe hai jiss ka divorce date already se fix hoo.
Apne sister ko samjaw warna issi ko talaq dega kiyo ke wo bi to ek insan hai jiss ke sath app logo ne dokha kiya hai |
asuzi |
Group: Members Joined: 09th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 4 Age:
34
|
|
Posted on:17th Jan 2013, 2:00pm |
|
|
sorry to said ! Kya baat hai Ji ! , Isme kisi ki koi galti nahi hai ,par sari galti meri sister ki hai . Is moashre me Mard hi ko to khuli azadi hai . koi aurat apna ghar kion barbad kare gi , app log kya jane ke meri sister ne kis majburi me , apne husband ki doosri shadi ki ho ,or app ne bhi meri sister ko hi galat sabit kardiya . Agar aurat ko insaf chahiye ho to woh koon se islam ka darwaza knock kare ., kidhar jaye .Mian to app logo se help ki umid le ke ayi thiy pata nahi tha ke aurat ko kahin bhi insaf nahi mile ga . Bohot Bohot mehar bani App logo ki . And i want to close this topic .Thanks |
|