eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 75 Post: 2058 Age:
|
|
Posted on:23rd Jul 2012, 1:29am |
|
|
Namaz-E-Taraweeh
- namaz.e.taraweeh farz hai, wajib hai, sunat.e.moakidah hai, sunat.e.ghair moakidah hai ya nafil namaz hai?
- agar koi shakhs jaan bojh kar taraweeh nahi parhta tou kia woh gunah gar hoga?
- kia taraweeh jamat se hee parhna zaruri hai?
- kia taraweeh main pura quran sunna lazmi hai?
- taraweeh main kitni rakatain hain 8 ya 20?
|
WellKnOwN
|
Group: Members Joined: 06th Sep, 2011 Topic: 56 Post: 3518 Age:
25
|
|
Posted on:23rd Jul 2012, 5:12am |
|
|
Eagle Fly namaz.e.taraweeh farz hai, wajib hai, sunat.e.moakidah hai, sunat.e.ghair moakidah hai ya nafil namaz hai? Namaz-e-Taraweh sunat hai.
kia taraweeh jamat se hee parhna zaruri hai? Namaze taraweh ghar mai bi parha ja sakta hai. agar ke qari/molvi ghar mai khatam karna chahte to bi taraweh kiya ja sakte hai onke sath.
kia taraweeh main pura quran sunna lazmi hai? Jee haa taraweh mai poori Quran sunna lazmi hai,
taraweeh main kitni rakatain hain 8 ya 20? Hamare Piyare Nabi SAW ne taraweh 8 rakat bi parhe hai 12 bi parhe hai or 20 bi parhe hai lekin apne apne conditions mai, 8 rakat sehat/safar/jang ki waja se or issi tarah 12 bi, lekin hamare liye 20 hi hai or ham par bi ye conditions hai. jessa ke sakht mareez 8 rakat bi parh sakta hai or jessa ke musafar ke liye aam nimaz sirf farz parhna hai. lekin aaj kal baaz jahil log sirf 8 parh kar jumat se jate hai lekin ye nahe sochte ke ye condition oss ke liye nahe.
myrizvi se request hai ke iss par bi roshni daliye
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 132 Post: 8382 Age:
58
|
|
Posted on:23rd Jul 2012, 6:46am |
|
|
taraweeh - namaz.e.taraweeh farz hai, wajib hai, sunat.e.moakidah hai, sunat.e.ghair moakidah hai ya nafil namaz hai?
Ans: yeh sunnat hai ... aur sunnatay moak.kadah
- agar koi shakhs jaan bojh kar taraweeh nahi parhta tou kia woh gunah gar hoga?
Ans: bahoot say scholar yeh kahtay haiN k sunnat ko jaan boojh kar tark karnay say gonaah nahi hota... sirf farz /wajib tark karnay say gonaah hota hai... lekin hamaiN sunnat aur nawaafil bhi adaa kartay rahna chaahiyeh k hamaiN iski bhi zaroorat hoti hai
- kia taraweeh jamat se hee parhna zaruri hai?
Ans: g nahi ... beghair jamaat say bhi paRhi jasakti hai. dauray resaalat maiN to yeh bilaa jamaat hi parhi jaati thi... 20 rekaat jamaat k saath hazrat Umar RA k daur say shooroo howi... issay follow karna afzal hai - kia taraweeh main pura quran sunna lazmi hai?
Ans: g nahi ...poora quran sunna /paRhnaa laazmi nahi hai... balkay agar koi haafiz nah milay to aam imaam choTi soortouN k saath bhi taraweeh paRha sakta hai
- taraweeh main kitni rakatain hain 8 ya 20?
kama z kam 8 aur maximum 20 ... donouN durust haiN wallaho aalam bissawab
|
eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 75 Post: 2058 Age:
|
|
Posted on:24th Jul 2012, 4:57am |
|
|
myrizvi bhai jazakAllah! |
Mufti
|
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 786 Age:
43
|
|
Posted on:21st Jul 2013, 4:15pm |
|
|
eagle fly taraweh na farz hai,na sunnat hai balkeh biddat hai,jis ia zhar hazrat umar ne khud bhi kiya tha start kertay waqt. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 132 Post: 8382 Age:
58
|
|
Posted on:22nd Jul 2013, 6:43am |
|
|
Mufti sb bajaa farmaatay haiN ahlay tash'ee k nazdeeq hazrat Umar RA ka yeh iqdaam "biddat" hi hai... issi liyeh shia community nah taraaweeh paRhti hai aur nah hi iss maslak maiN koi "haafizay quran" hota hai ... huffaz e karaam amooman taraaweeh hi maiN mokammal quran zobaani paRh kar namaaziyou kosonatay haiN... jab taraaweeh hi nahi paRhni paRhani to qura'n kiyoun hifz kia jaa.ay :)
waisay aik saal old thread ko refresh karnay ki zaroorat kiyouN pesh aaye aapko mufti sahab... |
Mufti
|
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 786 Age:
43
|
|
Posted on:22nd Jul 2013, 7:03am |
|
|
myrizvi janab islam mein taraveh naam ki koi cheez nahi hai,aap k nazdeek sahih bukhari quran k baad sab/se authentic book hai jo 100% sahi hai,uss se sabit hai k taraveh na Rasool Allah saww k zamana mein thi na abu bakar k zamana mein aur khud hazrat umar ne issay biddate hasna kaha,mujhay nahi pata aap Rasool Allah saww ki sunnat ko mantay hain ya sunnate umar per. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 132 Post: 8382 Age:
58
|
|
Posted on:23rd Jul 2013, 6:30am |
|
|
subhan Allaha bahoot khoob kia kahnay ... Allah karay k ham sab mosalmaan quran aur sahih bukhari ki taleemaat ko mazbooti say thaam laiN aur aisay tamaam "deeni kaamouN" say fauran taubah kar laiN jo daurae resaalat k baad EJAAD howeeN jaisay...
1. Eid meelaad un Nabi saw aur iskay jaloos aur deger rewajaat 2. mazaaraat pay buzurgaanay deen k urs, qawwaliyaaN aur makhloot mahaafil\ 3. moharram aur aashooray k jaloos, maatam aur deger rewajaat 4. eiday ghadeer 5. jashnay nau.roz ... jo dunyaa bhar maiN irani, jews aur aatish parast aik saath milkar manaatay haiN
waghairah waghairah.... mujhay omeed hai k tamaam mosalmaan Mufti bhai k iss qaulay faisal par amal kartay howay har oss maazhabi afaal ko turk kardengay jiska saboot quran aur sahih bukhari maiN nahi milta yaa jo dauray resaalat aur dauray hazrat Abu Bakar maiN nahi milta ...
jazak Allah Mufti bhai ... aap ka bahoot bahoot shokarya. ummatay muslimah ko issi ki zaroorat thi... |
Mufti
|
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 786 Age:
43
|
|
Posted on:29th Jul 2013, 7:20am |
|
|
myrizvi meray bhai aap se baat kernay per kuch maza iss liye aata hai k aap kuch ilm rakhtay hain lakin aap ki yeh post perh ker hairat hui.yeh to aisay hi hai k aik shaks sharab pee raha ho aur koi ussay manah karay k bhai yeh haram hai,iss ka gunnah/hai aur woh kahay falan shaks bhi to zinnah kerta hai,iss liye mein bhi sharab pee sakta hoon. agar/aap ki nazar mein meelad,juloos,eid ghadeer,norouz biddat hai to unn ko base bana ker aap biddat kaisay ker saktay hain ?? kiya Allah swt aap ko iss jawab per koi nermi karein ge,iss ka jawab/aap k aqeeda k mutabiq bhi nahi ho ga. balkeh aap ko to yeh delhna chahiye tha k agar dosray biddat ker rahay hain to uss se sabaq hasil kertay huay aap apnay mazhab se taraveh,3 talaqon jaisi biddatein nikal bahir kerni chahein thein. deen aur dunya ka qanoon hai k agar mujrim khud iqbale jurm ker le to woh case mazboot ho jata hai. jab khud hazrat umar ne kaha k yeh biddate hasna hai to aap ussay kaisay sunnat qarar de saktay hain jab k aisankoi amal na Rasool Allah saww k zamana mein aur na hazrat abu bakar k zamana mein aur na hazrat umar k ibtadai dour mein. waisay bhi taraveh koi wajib to hai nahi aap k mazhab mein k aap ko gunnah milay ga agar itni thoas shahadatein aap k samnay hain to aap kiun ahtiat kertay huay taraveh perhna nahi choratay ?? ilzam ka jawab ilzam nahi hota balkeh islah kerni chahiye khud ki. |
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|