rukhsati event
iss taqreeb maiN bahoot see ghair islami rasoomaat shamil haiN jaisay...
1. music back ground k sath dulhan ka hall say dulha car tak lay jana
2. mahram-naa.mahram mix gathering k sath dulhan ki rukhsati ki video banaana, kiss naa.mahram mard k haathouN
3. quran k saa.ay maiN rukhsati... dulhan k sar k ooper quran rakhtay howay...
4. dulhan / dulha k bazoo maiN imaam zaamin baandhna (SHIRK) k ab imaam inki hefaazat karega.... Allah ki amaan ki bajaa.ay imaam ki amaan maiN dena
islam maiN yeh hai k nikaah k baad donouN miyaaN biwi saath rahna shooroo kardaiN... aur preferably, laRkay k ghar maiN.... lekin yeh koi laazim nahi hai... bawaqtay zaroorat... laRka laRki k ghar maiN bhi rah sakta hai, agar oska apna ghar nah ho, apnay waledain kghar nah rahsakta ho, susraal walay khushi khushi damaad ko rakh saktay houN to...
nikaah aur rukhsati k darmayaan bila zaroorat gap nahi hona chaahiyeh. qabahataiN issi liyeh paida hoti hain k nikaah k baad lambaa gap hai ... aur laRka aur laRki same city maiN haiN, aur easily aik doosray ki reach maiN haiN... aur donouN families maiN amad o raft bhi jari hai aur laRka laRki bila rok Tok tanhaa mil bhi rahay haiN aur bahar bhi jarahay haiN... insay avoid karna chaahiyeh.
|