Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:13th Mar 2012, 2:31pm |
|
|
Ahal-e-Danish Sy Aik Sawal ..!
aaj ka dour technological dour hay , hum sab iss technological age sy guzar rahy hain , duniya ny har shouby main aaj sy 50 saal aagy ka plan kar rakha hay aur taizi sy apny goals ki janib barr b rahy hain , issi technology k jahan buhat sy faidy hain waheen iss k kuch nuqsnaat b hain , khasoosan islam dushmani k mu'amly main technology ko bator-e-hathiyar istemaal kiya ja raha hay , aur jadeed media ko use karty howy islam k khilaaf buhat kuch kiya jaraha hay
bil'khasoos anti islamic propaganda , islamic shu'aar ki tazheek , islam ki islam mukhalif tasweer kashi , ayn islam k andar phoot dalny jaisy masayl ko ujagar kiya ja raha hay aur anti islam quwtain har mumkin koshish k zariye islam ki mukhalfat par amada nazar arahy hain
technology ko by pass karna b mumkin nahi hay , q k technology aaj kal k har insan ki zarorat hay khuwa insan muslim ho ya ghair muslim , misaal k tour par mobile ko hi lay lain yeh technology ka behtreen shahkaar hay aur aaj k taqreeban har insan ki zarorat hay ya youn keh lain k insani zindagi ka hissa ban chuka hay , laiken iss aham ejaad k jahan fawayed hain waheen nuqsnaat b hain aur khasoan pakistani log to iss mobile sy faidy kam aur nuqsaan ziyada utha rahy hain (tafseelat main jana zarori nahi hay ) , issi trah ki deegar ejadaat b hain ..khair .. iss hawaly sy aik sawal zehan main aata hay k iss technological dour main islam par hony waly hamlon ka kis andaz sy mu'assar jawab diya ja sakta hay ?? ya kam az kam apna dafaa kiya ja sakta hay ?
|
H.A.S
|
Group: Members Joined: 16th Dec, 2011 Topic: 3 Post: 471 Age:
19
|
|
Posted on:13th Mar 2012, 9:15pm |
|
|
Diplomat.... Salaam, aap ne waqai bahut aacha topic start kiya hai and aisi hi chizo ki abhi zamane ko zarorat hai......Bhai agr koi insaan pak hai i mean aus ka taqwa, Aimaan pukhta hai tu phr kitni hi badi ya phr kitni hi buri bhi q na hu wo aisi invantion se aasar andaz nai huga......But aaj kal aap bhi behtar jaante hai ki aise logo ko aaj k zamane main find karna kitna hard hai ......Tu hume jo dousre log hai ain k ilawa aun ki prevention k liye mere khayaal se hum kai chize kar skte hai....Eg: hum aunhe sahi aur galat ki edu. De kar,,,aur agr mumkin hu tu aisi science and technologies main kai aur mukhtalif tareeke aapna kar etc...Eg....Yaha india main khaas kar humare soobe main ku6 bande logo ki koshis ki waja se ab koi bhi person humare area main rahete huie koi galat ,fahesh ya phr mutanaze site nai open kar skta hai......Ais k ilawa bhi bahut se physical method bhi hu skte hai....
|
yashfeen
|
Group: Members Joined: 17th Nov, 2011 Topic: 5 Post: 664 Age:
26
|
|
Posted on:14th Mar 2012, 12:44am |
|
|
iss technological dour main islam par hony waly hamlon ka kis andaz sy mu'assar jawab diya ja sakta hay ?? huzur(s.a.w) ki sunnat pr amal kr k aur quran ki raah me chal kar hum hr trh se apna dafa kr skte hai |
majorAli
|
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 0 Post: 1490 Age:
|
|
Posted on:14th Mar 2012, 2:01am |
|
|
re: "hum hr trh se apna dafa kr skte hai" disagreed. Please explaiNaa. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:14th Mar 2012, 2:09am |
|
|
ahlay danish? kahaaN haiN, kis taraf ko haiN, kidhar haiN :)
mujhay to yahaan poster k elawah koi "ahlay daanish" nazar nahi aataa, mirror maiN bhi nahi :)
|
alon.bird
|
Group: Members Joined: 05th Sep, 2010 Topic: 5 Post: 96 Age:
23
|
|
Posted on:14th Mar 2012, 2:53am |
|
|
ستییزه كار رہا ہے ازل سے تا امروز. . . . . چراغ_مصطف "یریدون لیطفؤا نورالله بافواههم والله متم نوره ولو كره الكافرون" |
alon.bird
|
Group: Members Joined: 05th Sep, 2010 Topic: 5 Post: 96 Age:
23
|
|
Posted on:14th Mar 2012, 3:06am |
|
|
Steeza kaar raha hai azal say taa amroz. . . . Chragh-e-Mustafavi say sharar-e-buu lahabi They gotta stick to their job and we need to perform our job as well. The thing we need to do is to create awareness regarding the Islamic teachings so that the advanced technology might not be misused |
alon.bird
|
Group: Members Joined: 05th Sep, 2010 Topic: 5 Post: 96 Age:
23
|
|
Posted on:14th Mar 2012, 3:22am |
|
|
Noor-e-Khuda hai kufr ki hrkt pay khanda_zan . . . . phoonkon say ye chragh bujhaya na jaye ga یریدون ان یطفؤا نورالله بافواھھم ویابی الله الا ان یتم نوره ولو کره الکافرون. |
alon.bird
|
Group: Members Joined: 05th Sep, 2010 Topic: 5 Post: 96 Age:
23
|
|
Posted on:14th Mar 2012, 3:25am |
|
|
Islam ki fitrat mein Qudrat ny lachak d hai . . . . utna hi ye ubhray ga jitna k dbaa dyn gay ھوالذی ارسل رسوله باالھدی ودین الحق لیظھره علی الدین کله ولو کرھ المشركون. |
alon.bird
|
Group: Members Joined: 05th Sep, 2010 Topic: 5 Post: 96 Age:
23
|
|
Posted on:14th Mar 2012, 3:28am |
|
|
ان الباطل كان زهوقا Islam has come to prevail |
stranger_1
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2009 Topic: 10 Post: 133 Age:
33
|
|
Posted on:14th Mar 2012, 4:26am |
|
|
SIMPLEST SOLUTION! AOA Guys,
Technology bohut achi hai, iss mey koi burai nahi, laikin iss ka istemaal har insan kay lehaaz sey different hain, agar aap achey hain tou aap kisi bhi cheez ka negative istemaal nahi karein gey, same is the case with the usage of cell phone and other stuff!!
Aik zamana tha Bu-Ali-Sina ka, Al-Bairoona ka, Jabir-Bin-Hayaan ka, jab musalman technology kay har maidaan mey aagey they......
Aur aik zamaana tha taj mehel ka, jab europe mey bandook ijaad ho rai thee, aur hamarey haan taj mehel banaey jaa rahey they, shalamar bagh banaey jaa rahey they...
Hum log taaleem aur technology ko bypass karkey kabhi aagey nahi barh saktey, aaj hum dunya mey jahan kharey hain, zaleel ho rahey hain, yeh sab technology aur taaleem ko bypaas karney ki waja sey ho raha hai..
Aaj U.S sab sey aagey hai, ruling the world, WHY? cuz woh technology kay maidaan mey sab sey aagey hai...
WAKE UP PEOPLE, THIS IS NOT A DEBATABLE TOPIC, THIS IS NAKED TRUTH THAT NO NATION CAN SUCCEED WITHOUT TECHNOLOGY!
|
|