Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Ahal-e-Danish Sy Aik Sawal ..!

Non Medical Discussion
 
 
 
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:13th Mar 2012, 2:31pm
 

Ahal-e-Danish Sy Aik Sawal ..!

aaj ka dour technological dour hay , hum sab iss technological age sy guzar rahy hain , duniya ny har shouby main aaj sy 50 saal aagy ka plan kar rakha hay aur taizi sy apny goals ki janib barr b rahy hain , issi technology k jahan buhat sy faidy hain waheen iss k kuch nuqsnaat b hain , khasoosan islam dushmani k mu'amly main technology ko bator-e-hathiyar istemaal kiya ja raha hay , aur jadeed media ko use karty howy islam k khilaaf buhat kuch kiya jaraha hay 

bil'khasoos anti islamic propaganda , islamic shu'aar ki  tazheek , islam ki islam mukhalif tasweer kashi , ayn islam k andar phoot dalny jaisy masayl ko ujagar kiya ja raha hay aur anti islam quwtain har mumkin koshish k zariye islam ki mukhalfat par amada nazar arahy hain

technology ko by pass karna b mumkin nahi hay , q k technology aaj kal k har insan ki zarorat hay khuwa insan muslim ho ya ghair muslim , misaal k tour par mobile ko hi lay lain yeh technology ka behtreen shahkaar hay aur aaj k taqreeban har insan ki zarorat hay ya youn keh lain k insani zindagi ka hissa ban chuka hay , laiken iss aham ejaad k jahan fawayed hain waheen nuqsnaat b hain aur khasoan pakistani log to iss mobile sy faidy kam aur nuqsaan ziyada utha rahy hain (tafseelat main jana zarori nahi hay ) , issi trah ki deegar ejadaat b hain ..khair ..
 
iss hawaly sy aik sawal zehan main aata hay k iss technological dour main islam par hony waly hamlon ka kis andaz sy mu'assar jawab diya ja sakta hay ?? ya kam az kam apna dafaa kiya ja sakta hay ?
H.A.S Group: Members  Joined: 16th Dec, 2011  Topic: 3  Post: 471  Age:  19  
Posted on:13th Mar 2012, 9:15pm
 

Diplomat....

Salaam, aap ne waqai bahut aacha topic start kiya hai and aisi hi chizo ki abhi zamane ko zarorat hai......Bhai agr koi insaan pak hai i mean aus ka taqwa, Aimaan pukhta hai tu phr kitni hi badi ya phr kitni hi buri bhi q na hu wo aisi invantion se aasar andaz nai huga......But aaj kal aap bhi behtar jaante hai ki aise logo ko aaj k zamane main find karna kitna hard hai ......Tu hume jo dousre log hai ain k ilawa aun ki prevention k liye mere khayaal se hum kai chize kar skte hai....Eg: hum aunhe sahi aur galat ki edu. De kar,,,aur agr mumkin hu tu aisi science and technologies main kai aur mukhtalif tareeke aapna kar etc...Eg....Yaha india main khaas kar humare soobe main ku6 bande logo ki koshis ki waja se ab koi bhi person humare area main rahete huie koi galat ,fahesh ya phr mutanaze site nai open kar skta hai......Ais k ilawa bhi bahut se physical method bhi hu skte hai....
yashfeen Group: Members  Joined: 17th Nov, 2011  Topic: 5  Post: 664  Age:  26  
Posted on:14th Mar 2012, 12:44am
 

iss technological dour main islam par hony waly hamlon ka kis andaz sy mu'assar jawab diya ja sakta hay ??

huzur(s.a.w) ki sunnat pr amal kr k aur quran ki raah me chal kar hum hr trh se apna dafa kr skte hai
majorAli Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 1490  Age:   
Posted on:14th Mar 2012, 2:01am
 

re: "hum hr trh se apna dafa kr skte hai"

disagreed. Please explaiNaa.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:14th Mar 2012, 2:09am
 

ahlay danish?

kahaaN haiN, kis taraf ko haiN, kidhar haiN :)

mujhay to yahaan poster k elawah koi "ahlay daanish" nazar nahi aataa, mirror maiN bhi nahi :)
alon.bird Group: Members  Joined: 05th Sep, 2010  Topic: 5  Post: 96  Age:  23  
Posted on:14th Mar 2012, 2:53am
 

ستییزه كار رہا ہے ازل سے تا امروز. . . . . چراغ_مصطف

"یریدون لیطفؤا نورالله بافواههم والله متم نوره ولو كره الكافرون"
alon.bird Group: Members  Joined: 05th Sep, 2010  Topic: 5  Post: 96  Age:  23  
Posted on:14th Mar 2012, 3:06am
 

Steeza kaar raha hai azal say taa amroz. . . . Chragh-e-Mustafavi say sharar-e-buu lahabi

They gotta stick to their job and we need to perform our job as well. The thing we need to do is to create awareness regarding the Islamic teachings so that the advanced technology might not be misused
alon.bird Group: Members  Joined: 05th Sep, 2010  Topic: 5  Post: 96  Age:  23  
Posted on:14th Mar 2012, 3:22am
 

Noor-e-Khuda hai kufr ki hrkt pay khanda_zan . . . . phoonkon say ye chragh bujhaya na jaye ga

یریدون ان یطفؤا نورالله بافواھھم ویابی الله الا ان یتم نوره ولو کره الکافرون.
alon.bird Group: Members  Joined: 05th Sep, 2010  Topic: 5  Post: 96  Age:  23  
Posted on:14th Mar 2012, 3:25am
 

Islam ki fitrat mein Qudrat ny lachak d hai . . . . utna hi ye ubhray ga jitna k dbaa dyn gay

ھوالذی ارسل رسوله باالھدی ودین الحق لیظھره علی الدین کله ولو کرھ المشركون.
alon.bird Group: Members  Joined: 05th Sep, 2010  Topic: 5  Post: 96  Age:  23  
Posted on:14th Mar 2012, 3:28am
 

ان الباطل كان زهوقا

Islam has come to prevail
stranger_1 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2009  Topic: 10  Post: 133  Age:  33  
Posted on:14th Mar 2012, 4:26am
 

SIMPLEST SOLUTION!

AOA Guys,

Technology bohut achi hai, iss mey koi burai nahi, laikin iss ka istemaal har insan kay lehaaz sey different hain, agar aap achey hain tou aap kisi bhi cheez ka negative istemaal nahi karein gey, same is the case with the usage of cell phone and other stuff!!

Aik zamana tha Bu-Ali-Sina ka, Al-Bairoona ka, Jabir-Bin-Hayaan ka, jab musalman technology kay har maidaan mey aagey they......

Aur aik zamaana tha taj mehel ka, jab europe mey bandook ijaad ho rai thee, aur hamarey haan taj mehel banaey jaa rahey they, shalamar bagh banaey jaa rahey they...

Hum log taaleem aur technology ko bypass karkey kabhi aagey nahi barh saktey, aaj hum dunya mey jahan kharey hain, zaleel ho rahey hain, yeh sab technology aur taaleem ko bypaas karney ki waja sey ho raha hai..

Aaj U.S sab sey aagey hai, ruling the world, WHY? cuz woh technology kay maidaan mey sab sey aagey hai...

WAKE UP PEOPLE, THIS IS NOT A DEBATABLE TOPIC, THIS IS NAKED TRUTH THAT NO NATION CAN SUCCEED WITHOUT TECHNOLOGY!
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013