Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:28th Jan 2012, 11:40pm |
|
|
True Religious Belief: Who Will Go To Jannah?
janab Mufti saheb ne meri aik post ke jawab mai likha:
"Bewaqoof sahab mein iss forum ka member hoon, ghulam nahi k jis ka dil chahye mujh per hukam chalaye...mein jo sahi samajhta hoon woh kerta hoon aap ko yeh bhi shukar kerna chahiye k mein inn 3 k naamon k sath hazrat likh deta hon agar aik dafa nahi likha to aap uchalnay lag gaye...next time mujhay aisay orders mat dijiye ga aur agar etiraz kerna bhi to pehlay aap yeh dekh lena k aap k dosray bhaion ne to aisi ghaltian nahi kein."
Janab Mufti saheb ham yaha per Jannat mai jaane waley firqa ke topic per discussion karain ge. aap ko mai yeh arz kar doo keh Islam ka sirf aur sirf aik firqa sahi hai awr wahi log jannat mai jaaye ge. jab keh baqi firqa sahi nahi hai awr woh log jannat mai nahi jaaye ge.
Mai Sunni Muslim hoo, aur mera aqeeda hai keh Sunni Muslim hi sahi aqeeda hai aur os aqeeda ke manne way seedha Jannat mai jaaye ge (Mujhe peshgi Mubarak), aur baqi log jannat mai nahi jaaye ge. Mujhe intehayee afsos ke saath kehna per raha hai keh, aap chukeh Sunni Muslim naheen hai iss liye mere aqeeda ke mutabiq aap meri tarah Jannat mai nahi jaaye ge. Aaap ka kya khayal hai? agar aap mujh se agree kertay hai tu phir aap ko mashwara hai keh Aap Sunni Muslim aqeeda ikhtiar ker lain, takeh aap bhi meri tarah seedha Jannat mai chaley jaaye.
Note: forum per koi bhi member discussion mai hissa le sakta hai. lekin meri khahish hai keh iss thread mai members sirf mujhe aur mufti ko discussion kerne dain. mujhe yaqeen hai keh ham dono ki discussion se forum ke deegar members na sirf lutf andoz honge balkeh on ki maloomat mai bhi kafi izafa ho ga.
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 708 Age:
38
|
|
Posted on:28th Jan 2012, 2:14pm |
|
|
Bewaqoof Jo aap ne dawa kiya yehi dawa aik hindu bhi kerta hai aur jew bhi kerta hai... Her aik shaks ko apna aqeeda aur apni baat hi sahi lagti hai aur meray bhai aap sabzi mandi mein sabzi to bech nahi rahay k aap sab ko kaho k meray paas hi achi sabzi hai,aap aqeeda ki baat ker rahay hain woh aisa keh denay se sahih sabit nahi hota balkeh sabit kernay se sahih ho ga... Ab agar aap ko lagta hai k sunni aqeeda sahih hai aur wohi jannati hai to meray bhai aap uss per daleel bhi dein aur yeh bhi bataein k ahl sunnah ka kon sa aqeeda jannati hai kiun k ahl sunnah mein bhi bohat se sect. hain... Mein yahan per aap se sirf aik request karon ga k aap jo bhi baat sabit karein ge woh Quran ya shia books se sabit karein ge aur agar koi baat shia aqeeda ki ghalat sabit karein ge to woh bhi shia book se hi karein ge aur mein bhi agar aap ki baat ko ghalat sabit karon ga to Quran ya sunni books se ghalat sabit karon ga...na aap sunni book se ref. dein ge aur na hi mein shia book se ref. doon ga... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:28th Jan 2012, 4:11pm |
|
|
Aaqeeda ko daleel se sabit nahi kya jaa sakta re: "Ab agar aap ko lagta hai k sunni aqeeda sahih hai aur wohi jannati hai to meray bhai aap uss per daleel bhi dein"
Aqeeda koi science nahi keh ose sahi sabit kerne ke liye saboot dia jaaye. Aqeeda sirf aur sirf Yaqeen ka naam hai. kya ham kisi Laboratory mai God, Jannat, Jahannam, Farishtay, Aakhrat ko saabit ker saktay hai? bilkul nahi. ham beghair saboot ke aankhain band ker ke inn sab baato per eeman laatay hai.
lehaza Aqeeda ko sahi sabit kerne ke liye koi daleel ki zaroorat nahi. aur aqeeda ko sahi sabit kerne ke liye jo daleel di jaati hai woh sirf aur sirf osi aqeeda ke logo ke liye qabil-e-qabool hoti hai. doosre aqeeda ke logo ke liye tu Bhains ke aagey been bajane wali baat hoti hai. yahi wajah hai keh myrizvi aur Wehshi ki baatain aap ke samajh se bala-tar hoti hain
aur mujhe 100% yaqeen hai keh hamara aqeeda sahi hai. aur sirf aur sirf hamare hi aqeeda ke maanne wale log Jannat mai jaaye ge. aap ka taaluq chukeh mere mazhabi aqeeda se nahi hai, lehaza mujhe intehayee afsos se kehna per raha hai keh aap Jannat mai nahi jaaye ge.
agar aap mujh se agree kertay hai tu behtar yahi hai keh aap mera Aqeeda apna lain. aur Aqeeda apnane ke liye kisi daleel ki zaroorat nahi hoti. aap ne bhi apna Aqeeda beghair daleel ke maana hai. jab aap ne apne Aqeeda ko beghair daleel ke tasleem kya hai tu phir mere Aqeeda ko tasleem kerne ke liye daleel maangna koi maani nahi rakhta. |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 708 Age:
38
|
|
Posted on:28th Jan 2012, 4:22pm |
|
|
Bewaqoof Ho sakta hai k aap ki baat sahi ho magar mein ne pehlay bhi arz ki k yehi baat aik hindu bhi kehta hai aur aik jew bhi kehta hai... Phir aap unhain kis laboratory se check kerwa ker ghalat sabit karein ge ?? Jahan tak baat hai myrizvi aur wehshi ki to meray bhai jo unn ki baat sahi hoti hai mein uss ka zaroor iqrar kerta hoon lakin jo sahi nahi hotein unn per ikhtelaf bhi kerta hoon... myrizvi sahab se ikhtelaf talaq k masla per tha jo start mein meri baat k khilaf tha unn ka aqeeda lakin ab unn ka aqeeda half meray sath mil chuka hai... wehshi sahab ne kaha tha k yazeed sahabi tha,mein ne ikhtelaf kiya lakin unhon ne bhi jab tahqeeq ki to unhon ne meri baat maan li k yazeed sahabi nahi tha... Kher yeh to mein ne waisay hi aap ki baat ka jawab de diya,hamara asal topic yeh hai k ahl sunnah jannati firqah hai ya nahi... Mein ne aap se request ki thi k aap sabit karein lakin aap ne woh nahi kiya aur aap ka yeh israr hai k mein aap ki baat ko hujjat maan ker aap ka aqeeda apna loon... Meray bhai agar aap ki koi baat per yaqeen ker leta hai aur sunni aqeeda apna leta hai aur kal hindu yehi alfaz kehta hai to phir ussi shaks ko uss ki baat per bhi yaqeen kerna hi paray ga,phir jew keh deta hai to woh uss ki baat per yaqeen keray ga,iss terha to woh bechara sirf alfaz per yaqeen ker k idhar udhar bhagta hi rahay ga... Issi liye aap kuch to bataein k aakhir sunni kaisay jannat mein jaein ge aur ahl sunnah mein se bhi kon sa firqah jannati hai... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:28th Jan 2012, 4:56pm |
|
|
Who will go to Jannat?
re: "Ho sakta hai k aap ki baat sahi ho"
iss ka yahi matlab hai keh aap ko apne Aqeeda per 100% yaqeen nahi. agar yaqeen hota tu aap yeh sentence nahi likhtay. lehaza aap ko mashwara hai keh aap mere Aqeeda per yaqeen ker lain, kio keh mujhe 100% yaqeen hai keh mera Aqeeda Sunni Muslim sahi hai. aur ham tamam Sunni Muslim Jannat mai jaai ge. aap ko khood apne Aqeeda per 100% yaqeen nahi tu doosre logo ko aap ke Aqeeda per kaisey yaqeen aaye ga. lehaza mufeed mashwara yahi hai keh apne Aqeeda ko review karain aur Sunni Muslim ban ker seedha Jannat mai chale jaaye
re: "myrizvi sahab ....... lakin ab unn ka aqeeda half meray sath mil chuka hai..." Mufti Saheb aap ko Mubarak ho. agar myrizvi saheb ka half aqeeda aap ke saath mil gaya hai tu yaqeen ker le keh myrizvi saheb half Jannat se bhi haath dho baithay hain. re: "yehi baat aik hindu bhi kehta hai aur aik jew bhi kehta hai." aap baar baar Hindu ki misal de rahe hai, lagta hai keh aap bhi on ke aqeeda se half agree ho chuke hain. re: "Phir aap unhain kis laboratory se check kerwa ker ghalat sabit karein ge?" mai ne kab kaha keh Aqeeda ko sahi sabit kerne ke liye Laboratory ka sahara liya jaaye. janab aap sirf aur sirf apne Aqeeda ki baat karain, Hindu aur Jew ko chorain. mai ne tu sirf aur sirf apne Aeeda ki baat ki hai keh woh 100% sahi hai lehaza sirf aur sirf mere Aqeeda ko maanne walay Jannat mai jaaye ge. Aap apne Aqeeda ki baat karain Hindu aur Jew ki fikir na karain. re: "hamara asal topic yeh hai k ahl sunnah jannati firqah hai ya nahi..." janab hamaray asal topic mai ya nahi wali baat nahi hai balkeh 100% baat yahi hai keh Sunni Muslim Jannat mai jaaye ge. kio keh sirf aur sirf yahi firqa sahi hai. Sunni Muslim Firqa aik Aqeeda hai aur Aqeeda koi science nahi keh os ke sahi ya ghalat ka faisla saboot aur daleel se ki jaaye. Aqeeda ka faisla sirf aur sirf Yaqeen se kya jaata hai, jaisa ke mai ne pehle hi kaha hai keh ham God, Jannat, Jahannam, Aakhrat aur Farishtay etc ko kisi daleel ya saboot se nahi balkeh Yaqeen ke zaria maantay hai. lehaza Muslim Sunni Aqeeda ke liye saboot aur daleel ki baat na karain balkeh Yaqeen ki baat karain. aur mai 100% yaqeen se kehta hoo keh yahi firqa sahi hai aur sirf aur sirf yahi firqa Jannat mai jaaye ga. Afsos aap ka taluq Sunni Muslim Firqa se nahi hai. re: "Mein ne aap se request ki thi k aap sabit karein lakin aap ne woh nahi kiya aur aap ka yeh israr hai k mein aap ki baat ko hujjat maan ker aap ka aqeeda apna loon." janab mai ab bhi yahi issrar ker raha hoo. Saboot ki tafseelat oopar bayan ker chuka hoo. aap Saboot aur Daleel ki baat na karain. aap ne jab apna Aqeeda ikhtiar kya tha tu kya aap ne Saboot aur Dalail ki baat ki thii. aap ne apna aqeeda beghair kisi dalail aur saboot ke tasleem kya tu phir doosro ke Aqeeda ke liye dalail aur Saboot ki baatain kuch Ahmaqana si lag rahi hain. re: "Meray bhai agar aap ki koi baat per yaqeen ker leta hai aur sunni aqeeda apna leta hai aur kal hindu yehi alfaz kehta hai to phir ussi shaks ko uss ki baat per bhi yaqeen kerna hi paray ga" aap baar baar Hindu ki misal de rahe hai. aap Hindu mazhab se kuch ziadah hi mutaasir ho rahe hai. bhai aap Hindu mazhab ki baat chorain aur sirf apne mazhab ki baat karain. aisa lagta hai keh Sunni Muslim Aqeeda apnane se ziadah aap ko Hindu Aqeeda mai dilchaspi hai. ham yaha Hindu Aqeeda ki baat nahi ker rahe hai. behtar hoga keh ham yahan Hindu Aqeeda ko darmian mai na laaye. kio keh Hindu Aqeeda per iss tarah discussion se bhi Hindu baradri ki dil aazari ho sakti hai. lehaza kisi bhi mazhab ya maslak/firqa ki dil aazari ke bajaye sirf aur sirf apne firqa ki baat aur misal di jaaye jaisa keh mai sirf aur sirf apne firqa Sunni Muslim ki baat ker raha hoo. re: "Issi liye aap kuch to bataein k aakhir sunni kaisay jannat mein jaein ge" janab ham log koi paidal ya hawaii jahaz per baith ker jannat nahi jaaye ge, balkeh ham logo ko Allah Taala Jannat mai le jaaye ge. Allah Taala hi behtar bata saktay hai keh ham log Jannat mai kaise jaaye ge. aur hamai iss fikir mai rehna bhi nahi chahiye keh Allah Taala ham logo ko Jannat mai le jaane ke liye kia intezam karain ge. yaqeena koi achchi aur aaram deh sawari ka intezaam hoga.
Last Words: janab aap ne abtak kahee bhi yeh nahi kaha keh aap jis Aqeeda se taluq rakhtay hai woh log jannat mai jaaye ge. jab keh aap baar baar Hindu aur Jew ki misal de rahey hai. inn tamam baato se tu yahi matlab nikalta hai keh aap bhi iss baat ko tasleem ker rahe hai keh mai jis mazhab/firqa (Sunni Muslim) se taluq rakhta hoo sirf aur sirf wahi log Jannat mai jaaye ge. aap ko tu apne Aqeeda per bhi yaqeen nahi hai iss liye baar baar misal Hindu aur Jew ki de rahe hai.
aap ko apne mazhab ke baaray mai yaqeen nahi keh os ke maane walay jannat mai jaaye ge ke nahi, jabkeh Mujhe 100% yaqeen hai keh Sunni Muslim ke ilawah koi bhi Jannat mai nahi jaaye ge, lehaza aap ko yahi mashwarah hai keh aap bhi Sunni Muslim Aqeeda per Yaqeen ker le. aur aap bhi meri tarah Jannat mai chale jaaye.
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 708 Age:
38
|
|
Posted on:29th Jan 2012, 3:16am |
|
|
Bewaqoof Meray bhai mein iss terha zubani bachon ki terha baatein nahi kerta k mein kehnay lag jaon k logo meri baat suno mera aqeeda hi jannati hai aap ko kuch proof dekhnay ki zaroorat nahi hai bas aqal k andhon ki terha meri baat per yaqeen karo... Mein hindu ki misaal iss liye deta hon k woh bhi aap hi ki terha khush-fehmi mein mubtala hai k uss ka aqeeda hi sahi hai aur wohi jannat mein jaein ge aur mein ne aap ko pehlay bhi kaha k her shaks iss baat per yaqeen rakhta hai k uss ka firqah hi sahi hai aur wohi jannati hain,aap ne koi naye baat nahi ki meray bhai... Kher mein aap k kisi proof ka wait karon ga kiun k alfazi behas ka koi faida nahi hai... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:29th Jan 2012, 4:15am |
|
|
Jannat Mai Kon Jaaye Ga? re: "Meray bhai mein iss terha zubani bachon ki terha baatein nahi kerta k
mein kehnay lag jaon k logo meri baat suno mera aqeeda hi jannati hai
aap ko kuch proof dekhnay ki zaroorat nahi hai bas aqal k andhon ki
terha meri baat per yaqeen karo..."
1. Hamaray piaray Nabi (PBUH) ne Mecca ki pahari per charh ker farmaya ..... tafseel se aap waqif hain ...... onho ne jo kuch bhi farmaya os mai kia saboot aur daleel thii? Kia onho ne Mecca ke logo ko Farishta Hazrat Jibrail (A) se mulaqaat karayee ya on ki awaz sunayee. ya kuch logo ko bator-e-gawah pesh kya?
2. Aap ka mojooda jo bhi Aqeeda hai, kya os ko maanne ya tasleem kerne se qabal aap ne daleel aur saboot maanga tha? agar maanga tha tu bataye keh aap ne daleel aur saboot ke baad jab apna Aqeeda apnaya os waqt aap ki Age kya thii? kya Aqeeda apnatay waqt baqaida koi taqreeb huyee thii? os taqreeb mai kon kon log shareek thay? kya yeh taqreeb ghar per huyee thii ya kisi public place per?
re: "Mein hindu ki misaal iss liye deta hon k woh bhi aap hi ki terha
khush-fehmi mein mubtala hai k uss ka aqeeda hi sahi hai aur wohi jannat
mein jaein ge"
lekin aap ko apne aqeeda per yaqeen nahi keh on ko manne wale jannat mai jaain ge. isi liye aap ne oopar mujhe likha keh "Ho sakta hai k aap ki baat sahi ho" agar aap ko apne Aqeeda per 100% yaqeen hota tu aap kabhi bhi yeh sentence nahi likhtay.
re: "Kher mein aap k kisi proof ka wait karon ga kiun k alfazi behas ka koi faida nahi hai."
janab aap raah-e-farar na ikhtiar karain, mai ne pehle hi baar baar kaha hai keh mazhab aik Aqeeda hai koi science nahi keh os ke liye proof pesh ki jaaye. Aqeeda aik yaqeen ka naam hai, aur mujhe apne Aqeeda per 100% yaqeen hai, jab keh aap bhi mere Aqeeda ke baaray mai keh chukay hai keh: "Ho sakta hai k aap ki baat sahi ho"
lehaza mera aap ko abb bhi mashwara hai keh mera Aqeeda ikhtiar ker lain, aur meri tarah seedha Jannat mai chale jaaye. |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 708 Age:
38
|
|
Posted on:29th Jan 2012, 4:39am |
|
|
Bewaqoof
1. Hamaray piaray Nabi (PBUH) ne Mecca ki pahari per charh ker farmaya ..... tafseel se aap waqif hain ...... onho ne jo kuch bhi farmaya os mai kia saboot aur daleel thii? Kia onho ne Mecca ke logo ko Farishta Hazrat Jibrail (A) se mulaqaat karayee ya on ki awaz sunayee. ya kuch logo ko bator-e-gawah pesh kya? Bilkul daleel aur saboot tha unn k paas,unhon ne 40 saal unn loagon mein reh ker khud ko daleel bunaya k mein jhoot nahi bolta aur sacha hon aur kafir bhi unn ko sadiq aur ameen mantay thay...kiya 40 saal ka saboot kam tha ?? Aur dosri baat aap na hi Nabi hain na hi itni ahm shaksiat k aap ki baat kisi k liye hujjat bun jaye... Jahan tak meri aur aap ki baat hai to meray bhai aap bhi padaishi sunni hain aur mein bhi padaishi shia hoon lakin jo aap dawa aur elaan ker rahay hain woh aap sunnion k liye nahi ker rahay k apnay aqeeda per qaim rahein balkeh dosray aqeeda walon ko apnay aqeeda ki dawat de rahay hain...uss k liye aap ko yeh sabit kerna ho ga k aap hi ka woh wahid firqa hai jo Islam mein sacha hai... lekin aap ko apne aqeeda per yaqeen nahi keh on ko manne wale jannat mai jaain ge. isi liye aap ne oopar mujhe likha keh "Ho sakta hai k aap ki baat sahi ho" agar aap ko apne Aqeeda per 100% yaqeen hota tu aap kabhi bhi yeh sentence nahi likhtay. Aap meri baat ko jaisay bhi lein woh aap ki merzi hai chalein aap ki baat ko mein thori dair k liye sahi maan leta hon k mujhay apnay aqeeda per yaqeen nahi hai tab bhi mujhay aap k aqeeda ki sachai per bhi shak hai,iss liye aap ko iss shak ko yaqeen mein badalnay k liye apnay aqeeda ko sacha sabit kerna ho ga... janab aap raah-e-farar na ikhtiar karain, mai ne pehle hi baar baar kaha hai keh mazhab aik Aqeeda hai koi science nahi keh os ke liye proof pesh ki jaaye. Aqeeda aik yaqeen ka naam hai, aur mujhe apne Aqeeda per 100% yaqeen hai, jab keh aap bhi mere Aqeeda ke baaray mai keh chukay hai keh: "Ho sakta hai k aap ki baat sahi ho" Dekhein bhai na hi mein raah e faraar ikhtiar kerta hoon aur na faraar honay walon ko manta hon khua woh aaj ki discussion se faraar ho ya 14 centuries pehlau ki jang..aap ko 100% yaqeen ho ya 1000% meray bhai phir bhi iss se aap ka mazhab sacha nahi hota kiun k hindu ko bhi aap hi kerha yaqeen hotay hai pnay mazhab ki sachai per aur jew bhi aap hi ki terha yaqeen rakhta hai phir aap mein aur hindu aur jew mein to kuch farq na hua...
lehaza mera aap ko abb bhi mashwara hai keh mera Aqeeda ikhtiar ker lain, aur meri tarah seedha Jannat mai chale jaaye. Aap ka bohat shukriya k aap meray liye achay khayalat rakhtay hain lakin phir bhi mein aap se yehi request karon ga k apnay aqeeda ko sacha sabit karein ta k mujhay yaqeen ho jaye...
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:29th Jan 2012, 4:55am |
|
|
Hindu, Jew, Sunni Muslim and Jannat
re: "mein jhoot nahi bolta aur sacha hon aur kafir bhi unn ko sadiq aur ameen mantay thay."
kya yeh daleel kafi thii, kya Mecca ke logo ne iss daleel ko maan liya, agar maan liya tu os Pahari keh neechay os din ketne logo ne Islam qabool kya?
re: "mein bhi padaishi shia hoon"
Iss ka tu yahi matlab hua naa keh aap ne shia mazhab beghair daleel aur saboot ke tasleem ker lia. mei ne bhi apna mazhab beghair daleel aur saboot ke tasleem kya hai. dunya ke tamam log hi apna mazhab beghair daleel aur saboot ke tasleem kertay hai. jab mazhab beghair daleel aur saboot ke tasleem kya jaata hai tu phir aap logo se daleel aur saboot kio maangay phir rahey hai? mai ne tu abhi tak aap se koi daleel aur saboot nahi maanga, phir aap doosro se daleel aur saboot kio maang rahe hai?
re: "mein thori dair k liye sahi maan leta hon k mujhay apnay aqeeda per yaqeen nahi"
Janab isi liye tu mai keh raha hoo keh aap mera Aqeeda maan lain kio keh mujhe Apne aqeeda per 100% yaqeen hai.
re: "hindu ko bhi aap hi kerha yaqeen hotay hai pnay mazhab ki sachai per aur jew bhi aap hi ki terha yaqeen rakhta hai phir aap mein aur hindu aur jew mein to kuch farq na hua."
iss ka tu yahi matlab hua keh aap ki nazar mai ab muqabla sirf 3 mai hai (Hindu, Jew aur Sunni Muslim) ke Jannat mai kon jaaye ga? Iss muqablay mai aap ne apne Aqeeda ko bhi shamil nahi kya. kio keh Hindu, Jew aur Sunni Muslim ki tarah aap ko apne Aqeeda per yaqeen nahi keh on ko maanne wale log Jannat mai jaaye ge. ab aap ko Jannat mai jaaney ke liye in 3 aqeeda mai se kisi aik ko tasleem kerna hoga.
mera mashwara hai keh aap Jannat mai jaane ke liye Hindu aur Jew ko tarjeeh na dain balkeh Sunni Muslim ko tarjeeh dain.
Umeed hai keh aap jald Sunni Muslim Aqeeda ikhtiar ker lain ge aur meri tarah seedha Jannat mai jaaye ge.
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 708 Age:
38
|
|
Posted on:29th Jan 2012, 5:04am |
|
|
Bewaqoof kya yeh daleel kafi thii, kya Mecca ke logo ne iss daleel ko maan liya, agar maan liya tu os Pahari keh neechay os din ketne logo ne Islam qabool kya? Yaar aap mazzaq ker rahay hain ya waqai mein serious debate kernay k mood mein hain ?? Kiya aap khud ko Rasool Allah saww se compare kerna chah rahay hain ?? Aur Rasool Allah saww ne bhi unn ko poori life dalail diye thay unn k aqeeda k jhootay honay ka bhi aur apnay sachay honay ka bhi... Lakin 40 saal mein unhon ne yeh sbait kiya k woh jhoot nahi boltay...unn ki sachai ko sabit kerna bhi aik daleel aur saboot tha... Iss ka tu yahi matlab hua naa keh aap ne shia mazhab beghair daleel aur saboot ke tasleem ker lia. Her shaks jab paida hota hai to woh bina daleel k hi koi na koi mazhab qabool kerta hai magar baad mein uss per tahqeeq kerta hai...mein ne bhi aisa hi kiya...aur aap bhi bina daleel k hi sunni huay hon ge na k daleel se... iss ka tu yahi matlab hua keh aap ki nazar mai ab muqabla sirf 3 mai hai (Hindu, Jew aur Sunni Muslim) ke Jannat mai kon jaaye ga? Iss muqablay mai aap ne apne Aqeeda ko bhi shamil nahi kya. kio keh Hindu, Jew aur Sunni Muslim ki tarah aap ko apne Aqeeda per yaqeen nahi keh on ko maanne wale log Jannat mai jaaye ge. ab aap ko Jannat mai jaaney ke liye in 3 aqeeda mai se kisi aik ko tasleem kerna hoga. Mein ne jo 2 mazahib ki aap ko misaal di mein unn ko jhoota samajhta hoon aur jab k aap k firqa se compare kiya to aap ko samajh jana chahiye k meri nazar mein aap k aqeeda ki kiya ahmiat hai,ab mein khud kuch kehta to aap foran tauheen ka fatwa laga detay... mera mashwara hai keh aap Jannat mai jaane ke liye Hindu aur Jew ko tarjeeh na dain balkeh Sunni Muslim ko tarjeeh dain. Meray bhai mein inn 2 mazahib ko tarjeh nahi de raha balkeh inn ko aap k aqeeda k sath khara dekh raha hon..
Umeed hai keh aap jald Sunni Muslim Aqeeda ikhtiar ker lain ge aur meri tarah seedha Jannat mai jaaye ge. Umeed per hi yeh duniya qaim hai meray bhai,aap bhi umeed hi rakhein...
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:29th Jan 2012, 5:22am |
|
|
Jannat Mai Kon Jaaye Ga? Muslim ya Non-Muslim re: "Yaar aap mazzaq ker rahay hain ya waqai mein serious debate kernay k mood mein hain?"
kya aap samajhtay hai keh mere paas on logo ki tarah faltoo time hai jo Aqeeda per bahas ker ke waste kertay hai?
re: "Her shaks jab paida hota hai to woh bina daleel k hi koi na koi mazhab
qabool kerta hai magar baad mein uss per tahqeeq kerta hai...mein ne bhi
aisa hi kiya...aur aap bhi bina daleel k hi sunni huay hon ge na k
daleel se."
janab daleel daleel tu aap khail rahay hai, dunya mai ketne log hai jo apne mazhab ke against daleel talash ker rahey hotay hai? mai ne bhi apna Aqeeda tasleem kertay waqt na daleel manga tha, na os ki talash mai hoo aur na hi doosro se daleel maang raha hoo. Aap dunya ke on few logo mai shamil hai jo keh khood tu apna Aqeeda beghair daleel ke tasleem kertay hai aur doosro ke Aqeeda ke liye daleel ka mutalba kertay hai.
re: "Mein ne jo 2 mazahib ki aap ko misaal di mein unn ko jhoota samajhta
hoon aur jab k aap k firqa se compare kiya to aap ko samajh jana chahiye
k meri nazar mein aap k aqeeda ki kiya ahmiat hai,ab mein khud kuch
kehta to aap foran tauheen ka fatwa laga detay."
agar aap samajhtay hai keh iss tarah toheen ho sakta hai tu oopar aap ne jo kuch likha os se kya toheen nahi hua?
re: : "Meray bhai mein inn 2 mazahib ko tarjeh nahi de raha balkeh inn ko aap k aqeeda k sath khara dekh raha hon."
iss ka tu yahi matlab hua naa keh aap Sunni Muslim ko non-Muslim ki tarah samjhtay hai. yaani Sunni Muslim aap ki nazar mai Non-Muslim huye. Non-Muslim yani Kafir huye. agar nahi tu phir aap Sunni Muslim ko Hindu aur Jew jaisa kio samajh rahe hai.
re: "Umeed per hi yeh duniya qaim hai meray bhai,aap bhi umeed hi rakhein."
lekin aap ko apne Aqeeda se koi Umeed nahi keh woh aap ko Jannat mai le ker jaaye ga. Isi liye mai aap ko mashwarah de raha hoo keh aap Sunni Muslim ho jaaye kio keh mujhe 100% Umeed hai keh aap aik aisay Aqeeda ko chor dain ge jis ko aap ne beghair daleel aur proof ke tasleem kya hai, jis per 100% yaqeen nahi aur na hi Umeed hi keh os Aqeeda ko maanne ki soorat mai aap Jannat mai jaaye ge.
mujhe apne Aqeeda per 100% yaqeen hai aur Umeed kerta hoo keh aap mere Aqeeda ko tasleem ker ke meri tarah seedha Jannat mai chalay jaaye ge.
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 708 Age:
38
|
|
Posted on:29th Jan 2012, 5:39am |
|
|
Batman1 Janab mein samajh nahi raha balkeh aap se poch raha hon k aap mazzaq ker rahay hain ya waqai apni teraf se serious discussion ker rahay hain... Meray bhai aap ne agar apnay mazhab k baray mein koi daleel nahi mangi ya dhondnay ki koshish nahi ki to yeh aap ka qasoor hai...Allah ne insan ko aqal de ker baaki makhlooqat se afzal issi liye bunaya hai k woh aqal ko use karay... Aur janab yahan muslim aur kafir ki to baat hi nahi ho rahi...yahan jannati aur jahanumi ki baat ho rahi hai meray bhai...aur iss masla per mein aap ko hindu aur jew k mutabiq hi samajhta hoon... Aur iss ka matlab yehi nikalta hai k mein aap k muqabla mein apnay aqeeda ko sahi aur khud ko jannati janta hoon... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:29th Jan 2012, 6:04am |
|
|
Jannat mai le-jaaney wala aqeeda kon sa hai?
re: "aap mazzaq ker rahay hain ya waqai apni teraf se serious discussion ker rahay hain."
kya mera aap se koi mazaq ka rishta hai?
re: "Meray bhai aap ne agar apnay mazhab k baray mein koi daleel nahi mangi ya dhondnay ki koshish nahi ki to yeh aap ka qasoor hai."
yahi sawal mai aap se ker raha hoo keh aap ne apne mazhab ke liye daleel ke liye daleel maangi thi keh nhi aur agar maangi thii tu os waqt aap ki age kya thii. jab daleel ke zaria aap ne samajh liye keh aap ka hi Aqeeda sahi hai os waqt aap ki age kia thii. yeh Age wali baat mai oopar kaii dafa pooch chuka hu lekin aap iss ka jawab nahi de rahe hai.
re: "Allah ne insan ko aqal de ker baaki makhlooqat se afzal issi liye bunaya hai k woh aqal ko use karay."
kya aap Aqal ki sahi definition se waqif hai? Aqal ki Anatomy, Physiology aur Psychology se waqif hai? kya dunya mai sab ki Aqal aik jaisi hoti hai? Aqal ki development kaisey hoti hai? mukhtalif logo ki Aqal mai jo difference hota hai os ki kia wajoohat hoti hai. ....... Aqal ke baaray mai agar jaantay hai tu theek warna yaha per filhal discuss na karain Topic divert ho jaaye ga ..... Aqal per disussion kerni ho tu yaha se matter copy paste ker ke alag se new thread start karain ...... ham dono waha Aqal per tafseel se discussion karain ge.
re: "Aur janab yahan muslim aur kafir ki to baat hi nahi ho rahi."
yahi tu mai bhi keh raha hoo, lekin aap baar baar Hindu aur Jew ko shamil ker rahay hai aur keh rahe hai keh Sunni Muslim bhi inhi ki tarah hai. agar yeh baat aap ki samajh mai aa gayee hai tu umeed hai keh ab aap Hidu aur Jew ko Sunni Muslim jaisa samajhna chor dain ge.
re: "yahan jannati aur jahanumi ki baat ho rahi hai meray bhai...aur iss masla per mein aap ko hindu aur jew k mutabiq hi samajhta hoon."
aik taraf kehtay hai keh Muslim aur kafir ki baat nahi ho rahi, aur osi sentence ko continue kertay huye kehtay hai keh aap mujhe Jew aur Hindu jaisa samajhtay hai. aap ki baat samajh nahi aayee.
re: "Aur iss ka matlab yehi nikalta hai k mein aap k muqabla mein apnay aqeeda ko sahi aur khud ko jannati janta hoon."
janab aap ghuma phira ker baat na karain balkeh saaf saaf batain keh Jannat mai konsa firqa jaaye ga? mai ne tu 100% yaqeen se kaha hai keh sirf Sunni Muslim firqa ke log Jannat mai jaaye ge. kya aap 100% yaqeen se keh rahe hai keh sirf aap ke firqa ke log Jannat mai jaaye ge?
agar aap ko apne firqa ke Jannat jaane per 100% yaqeen nahi tu phir mera wahi purana mashwara hai keh aap mera Aqeeda apna lain, kio keh mujhe 100% yaqeen hai keh mera aqeeda apna-ney se aap bhi meri tarah Jannat mai chaley jaaye ge.
re: "mein apnay aqeeda ko sahi aur khud ko jannati janta hoon"
agar aap apne aqeeda ko sahi aur jannati samajhtay hai tu phir aap hi ke qowl ke mutabiq aap ke aqeeda, Jew aur Hindu mai koi farq nahi hua. aap ki baat samajh nahi aaye aik taraf aap Sunni Muslim ko Jew aur Hindu jaisa samjh rahe hai tu doosri taraf Apne firqa ko bhi Hindu aur Jew jaisa sabit ker rahay hai. meri nazar mai aap bilkul confuse hai. kabhi mere firqa ko Hindu aur Jew se mila rahay hai tu kabhi apne firqa ko. aap sahi faisla nahi ker paa rahay hai.
lehaza mera mashwara yahi hai keh aap confuse na ho aur mera Aqeeda tasleem kar lain aur har qisim ki confusion se paak ho jaaye.
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 708 Age:
38
|
|
Posted on:29th Jan 2012, 1:07pm |
|
|
Bewaqoof kya mera aap se koi mazaq ka rishta hai? Nahi hai tabhi to aap se pocha yeh sawal...kher aap ne kaha k mazzaq nahi hai to mein aap ki id ko aap ki personality ka aks samajh ker maan raha hoon werna iss HIGH level ki baatein mein mazzaq mein hi umeed ker raha tha... yahi sawal mai aap se ker raha hoo keh aap ne apne mazhab ke liye daleel ke liye daleel maangi thi keh nhi aur agar maangi thii tu os waqt aap ki age kya thii. jab daleel ke zaria aap ne samajh liye keh aap ka hi Aqeeda sahi hai os waqt aap ki age kia thii. yeh Age wali baat mai oopar kaii dafa pooch chuka hu lekin aap iss ka jawab nahi de rahe hai. Tehqeeq mein daleel nahi mangi jati meray bhai balkeh discussion mein daleel mangi jati hai...mein ne aap ko kaha k mein ne tehqeeq ki...age wali baat ka mein ne jawab iss liye nahi diya tha k uss waqt mein mazzaq samajh raha tha k lakin aap k kehnay per mujhay yaqeen kerna para k aap waqai serious ho ker aisay sawal ker rahay hain...kher mein ne tehqeeq shayed 10 saal pehlay ki thi...aur meray bhai taqreeb kis baat ki honi thi ?? kuch aisay sawal karein jis se lagay k aap mature insan hain... yahi tu mai bhi keh raha hoo, lekin aap baar baar Hindu aur Jew ko shamil ker rahay hai aur keh rahe hai keh Sunni Muslim bhi inhi ki tarah hai. agar yeh baat aap ki samajh mai aa gayee hai tu umeed hai keh ab aap Hidu aur Jew ko Sunni Muslim jaisa samajhna chor dain ge. Dekhein meray liye hindu,jew aur aap aik jaisay hain...woh bhi jahanumi hain aur aap bhi aur yehi wajah hai k mein aap ko unn k sath shamil kerta hoon ya shayed woh aap se behtar hain kiun k iss rastay per chalay hi nahi lakin aap to iss rastay per chal ker bhi haq ko na pehchan sakay... aik taraf kehtay hai keh Muslim aur kafir ki baat nahi ho rahi, aur osi sentence ko continue kertay huye kehtay hai keh aap mujhe Jew aur Hindu jaisa samajhtay hai. aap ki baat samajh nahi aayee. Mein abhi bhi apni baat per qaim hon...kafir woh hota hai jo Allah ki wahdaniat aur Rasool Allah saww ko akhri nabi na manay lakin aap to mantay hain...na sirf aap balkeh 72 firqa mantay hain lakin phir bhi aap ka maqaam to jahanum hi hai,phir aap mein aur hindu aur jew mein koi farq na hua... janab aap ghuma phira ker baat na karain balkeh saaf saaf batain keh Jannat mai konsa firqa jaaye ga? mai ne tu 100% yaqeen se kaha hai keh sirf Sunni Muslim firqa ke log Jannat mai jaaye ge. kya aap 100% yaqeen se keh rahe hai keh sirf aap ke firqa ke log Jannat mai jaaye ge? Meray bhai mein ne to apnay firqa ki abhi baat hi nahi k woh jannati hai ya nahi...aap ne jannati honay ka dawa kiya...hamari to sirf issi per baat ho rahi hai. agar aap ko apne firqa ke Jannat jaane per 100% yaqeen nahi tu phir mera wahi purana mashwara hai keh aap mera Aqeeda apna lain, kio keh mujhe 100% yaqeen hai keh mera aqeeda apna-ney se aap bhi meri tarah Jannat mai chaley jaaye ge. Mein ne to apnay firqa ki baat hi nahi ki meray bhai phir yaqeen ya be-yaqeeni ki baat kahan se aa gaye ?? agar aap apne aqeeda ko sahi aur jannati samajhtay hai tu phir aap hi ke qowl ke mutabiq aap ke aqeeda, Jew aur Hindu mai koi farq nahi hua. aap ki baat samajh nahi aaye aik taraf aap Sunni Muslim ko Jew aur Hindu jaisa samjh rahe hai tu doosri taraf Apne firqa ko bhi Hindu aur Jew jaisa sabit ker rahay hai. meri nazar mai aap bilkul confuse hai. kabhi mere firqa ko Hindu aur Jew se mila rahay hai tu kabhi apne firqa ko. aap sahi faisla nahi ker paa rahay hai. Ab aap confuse ho rahay hain janab abhi to aap keh rahay thay k mujhay apnay aqeeda per yaqeen nahi hai phir aap ne kaha k mein apnay aqeeda ko jannati samajhta hoon... Aap her cheez mein confuse kiun hain ?? Yahan meray firqa ki to baat hi nahi ho rahi janab...aap ne hi jannati firqa ka dawa kiya hai aur ussi per hi baat ho rahi hai...aap confuse na hon balkeh apnay aqeeda ko sahi sabit karein... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:29th Jan 2012, 5:11pm |
|
|
Aqeeda, jannat aur 100% Yaqeen re: "Dekhein meray liye hindu, jew aur aap aik jaisay hain...woh bhi jahanumi hain aur aap bhi"
janab baat jahannam ki nahi Jannat ki ho rahi hai, aur sawal yeh hai keh Jannat mai sirf aur sirf aik firqa jaaye ga. Mujhe 100% yaqeen hai keh mera hi firqa Jannat mai jaaye ga. kya aap ko 100% yaqeen hai keh aap ka firqa sahi hai aur sirf wahi firqa Jannat mai jaaye ga? agar Yaqeen hai tu phir yaha per bayan karain takeh baat mazeed aagay barhayee jaaye.
re: "Meray bhai mein ne to apnay firqa ki abhi baat hi nahi k woh jannati hai ya nahi."
tu janab baat karain naa, agar aap ko yaqeen hai keh aap ka firqa 100% sahi hai aur sirf aur sirf wahi firqa Jannat mai jaaye ga tu iss ka izhar kerne mai kio der ker rahey hai. waise oopar aap ne ghuma phira ker iss ka izhar ker dia hai .... tafseelaat oopar dekhain.
re: "aap ne jannati honay ka dawa kiya...hamari to sirf issi per baat ho rahi hai."
Yaqeenan hamara firqa jannati hai. aap ke kehne se koi Jahannami nahi ho jaaye ga. janab aap sirf aur sirf hamari hi baat ker saktay hai. apni nahi kio keh aap ko apne firqa ke baaray mai 100% yaqeen nahi keh woh sahi hai aur os ke maanne wale jannat jaaye ge. agar yaqeen hai tu iss ka yaha etraaf karain.
re: "Mein ne to apnay firqa ki baat hi nahi ki meray bhai phir yaqeen ya be-yaqeeni ki baat kahan se aa gaye?"
janab agar nahi ki tu ab karain naa. aap doore firqa ko tu jahannam pohncha rahe hai, aur apne firqa ke baaray mai 100% Yaqeen hi nahi keh woh sahi hai aur os ke maanne walay Jannat mai jaaye ge.
re: "abhi to aap keh rahay thay k mujhay apnay aqeeda per yaqeen nahi hai"
janab mai ne kab kaha keh mujhe apne aqeeda per yaqeen nahi. jab keh mai tu baar baar aik hi baat ker raha hoo keh mera Aqeeda 100% sahi hai aur sirf aur sirf mere Aqeeda ke log Jannat mai jaaye ge.
re: "Aap her cheez mein confuse kiun hain?"
Janab mujhe apne Yaqeen per koi confusion nahi. mai baar baar keh raha hoo keh mujhe apne Aqeeda per 100% yahqeen hai keh woh sahi hai aur sirf isi aqeeda ke log Jannat mai jaaye ge. meri baat ka yaqeen na aaye tu iss thread ko aik dafa phir se read kar lain.
re: "aap confuse na hon balkeh apnay aqeeda ko sahi sabit karein"
kya Aqeeda koi science hai keh ose sabit kerne ke liye saboot pesh ki jaaye. mai God, os ke rasoo, farishta, aakhrat, jannat aur jahannam per yaqeen rakhta hoo. mai yeh sab kuch sabit kerne ke liye kiss Laboratory mai jaaoo.
Janab Aqeeda sirf aur sirf Aqeeda hota hai, os ka koi saboot nahi hota. mai saboot ke tor per kisi ko farishta nahi dekha sakta, jannat aur dozakh ki sair nahi kara sakta. yeh baatain bhi mai ne oopar tafseel se bayan ker di hai. iss thread ko aik dafa phir se read kar lain.
aakhir mai phir wahi baat aati hai keh kya aap ko 100% yaqeen hai keh aap ka firqa sahi hai aur sirf aur sirf isi firqa ke log Jannat mai jaaye ge. agar yaqeen hai tu yaha per bila jhajhak bayan karain, takeh gufgatagoo ka silsila aagay barhayee jaaye. |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 708 Age:
38
|
|
Posted on:30th Jan 2012, 5:08am |
|
|
Bewaqoof janab baat jahannam ki nahi Jannat ki ho rahi hai, aur sawal yeh hai keh Jannat mai sirf aur sirf aik firqa jaaye ga. Mujhe 100% yaqeen hai keh mera hi firqa Jannat mai jaaye ga. kya aap ko 100% yaqeen hai keh aap ka firqa sahi hai aur sirf wahi firqa Jannat mai jaaye ga? agar Yaqeen hai tu phir yaha per bayan karain takeh baat mazeed aagay barhayee jaaye. Aisay nahi meray bhai aap topic per rahein to achi baat ho gi...mein ne to apnay aqeeda per baat ki hi nahi balkeh abhi baat ho rahi hai aap k aqeeda ki...aap k samajhnay se kuch nahi hota meray bhai kiun k mein pehlay bhi keh chuka hon k aap hi ki terha hindu aur jew bhi yehi yaqeen rakhtay hain phir aap mein aur hindu aur jew mein kiya farq hua ?? tu janab baat karain naa, agar aap ko yaqeen hai keh aap ka firqa 100% sahi hai aur sirf aur sirf wahi firqa Jannat mai jaaye ga tu iss ka izhar kerne mai kio der ker rahey hai. waise oopar aap ne ghuma phira ker iss ka izhar ker dia hai .... tafseelaat oopar dekhain. Janab mein ne sirf itna hi zikr kiya jitna aap ne pocha tha uss se ziada zikr nahi kiya kiun k yeh hamara topic hi nahi hai,hamara topic aap ka dawa hai aur uss per hi pehlay baat ho gi... Yaqeenan hamara firqa jannati hai. aap ke kehne se koi Jahannami nahi ho jaaye ga. janab aap sirf aur sirf hamari hi baat ker saktay hai. apni nahi kio keh aap ko apne firqa ke baaray mai 100% yaqeen nahi keh woh sahi hai aur os ke maanne wale jannat jaaye ge. agar yaqeen hai tu iss ka yaha etraaf karain. Yeh aik alag baat hai k mein apnay aqeeda per yaqeen rakhta hon ya nahi kiun k yeh topic filhaal nahi hai issi liye mein ne aisi koi baat nahi ki...pehlay aap apnay aqeeda ko to sahi sabit karein meray bhai...aap jaisa dawa to hindu bhi kerta hai aur jew bhi balkeh aap se ziada yaqeen woh rakhtay hain jannat mein janay ka... janab agar nahi ki tu ab karain naa. aap doore firqa ko tu jahannam pohncha rahe hai, aur apne firqa ke baaray mai 100% Yaqeen hi nahi keh woh sahi hai aur os ke maanne walay Jannat mai jaaye ge. Janab mein kiun kisi firqa mein jahanum mein pohnchaon ga ?? yeh to aap k aqaid hain jis ki wajah se aap jahanumi hain...iss mein mera qasoor nahi hai meray bhai balkeh aap k apnay amaal hain... Janab mujhe apne Yaqeen per koi confusion nahi. mai baar baar keh raha hoo keh mujhe apne Aqeeda per 100% yahqeen hai keh woh sahi hai aur sirf isi aqeeda ke log Jannat mai jaaye ge. meri baat ka yaqeen na aaye tu iss thread ko aik dafa phir se read kar lain. Janab aap ko poora haq hai yeh yaqeen rakhnay ka lakin phir aap mein aur hindu/jew mein kiya farq raha k woh bhi issi terha yaqeen rakhtay hain apnay aqeeda per aur jannati honay ka... kya Aqeeda koi science hai keh ose sabit kerne ke liye saboot pesh ki jaaye. mai God, os ke rasoo, farishta, aakhrat, jannat aur jahannam per yaqeen rakhta hoo. mai yeh sab kuch sabit kerne ke liye kiss Laboratory mai jaaoo. Meray bhai aap her cheez ko science k hi nazariye se kiun dekhtay hain ?? science mein daleel nahi hoti magar aqeeda ko sahi maananay k liye ya dawa kernay k liye daleel ki zaroorat hoti hai... Agar aap Quran ko mantay hain to Allah ne bhi her baat ki daleel di hai. Janab Aqeeda sirf aur sirf Aqeeda hota hai, os ka koi saboot nahi hota. mai saboot ke tor per kisi ko farishta nahi dekha sakta, jannat aur dozakh ki sair nahi kara sakta. yeh baatain bhi mai ne oopar tafseel se bayan ker di hai. iss thread ko aik dafa phir se read kar lain. Janab aqeeda mein daleel ki zaroorat hoti hai werna aap ka aqeeda kamzor hota hai...aap kisi aisay shaks ko kaisay apnay aqeeda ki sachai aur jannati honay ka bataein ge agar aap k paas daleel na ho apnay aqeeda k sachay honay ka aur mukhalif k deen k jhoota honay ka...duniya mein shayed 500-1000 aqaid hon ge agar sirf uss k maananay walay ki baat per hi yaqeen kernay ko daleel samjha jaye to phir to sab aqaid hi sachay huay...iss liye aap k alfaz kisi k liye hujjat nahi hain yeh bachgana baatein choar ker daleel dein ta k pata lagay k waqai aap k aqeeda mein daleel hai... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:30th Jan 2012, 6:09am |
|
|
Jannati Aqeeda sirf aur sirf Aik hai re: "aap hi ki terha hindu aur jew bhi yehi yaqeen rakhtay hain"
lekin aap ko yaqeen nahi keh aap ka Aqeeda 100% sahi hai. agar Yaqeen hai tu os ka etraaf karain. warna jo kuch mai ne kaha hai woh maan lain.
re: "Yeh aik alag baat hai k mein apnay aqeeda per yaqeen rakhta hon ya nahi kiun"
ya nahi wali baat pasand nahi aayee. aap clearly batain keh aap ko bhi Jew aur Hindu ki tarah apne Aqeeda per 100% yaqeen hai keh nahi.
re: "pehlay aap apnay aqeeda ko to sahi sabit karein meray bhai."
mai sabi ker chuka hoo keh mujhe 100% yaqeen hai. Aqeeda Yaqeen ka name hai, warna Aqeeda ko kisi Laboratory mai sabit nahi kya jaa sakta. mai pehle hi bata chuka hoo keh na mai kisi ko apne farishta aur God ki ziarat kara sakta hoo aur na hi Jannat au dozakh ki sair. Aqeeda sirf aur sirf Yaqeen ka name hai. aur mujhe apne aqeeda per 100% yaqeen hai. albatta aap ko apne Aqeeda per 100% yaqeen nahi, agar hai tu etraf karain.
re: "yeh to aap k aqaid hain"
Ji haan yeh mera aqeeda hai keh sirf aur sirf aik firqa Jannat mai jaaye ga aur woh sirf aur sirf hamara firqa hai. agar aap ko meri baat per yaqeen nahi tu phir aap khood bataye ke kon sa firqa Jannat mai jaaye ga?
re: "hindu/jew mein kiya farq raha k woh bhi issi terha yaqeen rakhtay hain apnay aqeeda per aur jannati honay ka."
lekin aap ko na tu apna Aqeeda sahi hone ka yaqeen hai aur na hi Jannat jaane ka. agar hai tu etraaf karain.
re: "Janab aqeeda mein daleel ki zaroorat hoti hai"
Bilkul ghalat. agar aisa hota tu poori dunya ke logo ka sirf aur sirf aik Aqeeda hota. jab keh iss waqt dunya mai hazaro nahi balkeh Lakho Aqeeda hai.
re: "duniya mein shayed 500-1000 aqaid hon ge"
ji haan, balkeh os se bhi ziadah. jis mai sirf aur sirf hamara Aqeeda 100% sahi hai aur osi ke mannay walay Jannat mai jaaye ge. Aqeeda ke sahi aur ghalat ka faisla Yaqeen se hota hai, jab keh aap ko khood apne Aqeeda per 100% Yaqeen nahi.
re: "phir to sab aqaid hi sachay huay."
Nahi janab sab nahi sirf aur sirf aik Aqeeda sachcha hai, sab nahi. Ham tu chahtay thay keh aap bhi Jannati Aqeeda ikhtiar ker ke Jannat jaaye, baqi aap ki marzi. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:30th Jan 2012, 6:38am |
|
|
To All Members and Silent Visitors of this Forum Aap tama hazraat ne meri aur Mufti ke darmian discussion read ki. Aap sab ka shukria.
Abhi iss thread ki viewership 267 hai. mujhe Umeed hai keh yeh thread dunya bhar mai dekhi jaaye gi. jab yeh thread Search Engine mai apna Muqam bana lega tu yeh thread iss qisim ke sentence per open hua karay gi
- Who will go to Jannah
- Who will go to Heaven
- Jannat ka Aqeeda
- Jannat aur Jahannam
- Sahi Aqeeda aur Jannat
yeh thread jaisay jaisay Search Engine mai behtar position haasil karay gi waise waise iss thread ke viewership mai izafa hota jaaye ga. Umeed hai keh Dec 2012 tak iss thread ki viewership aik lakh 100,000 se ziadah ho jaaye gi. aur dunya bhar mai mojood log jo roman urdu/hindi read ker saktay hai woh meri aur Mufti ki mojooda discussion se na sirf Lutf Andoz honge balkeh on ki maloomat mai bhi wasee Izafa hoga Allah Hafiz
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 708 Age:
38
|
|
Posted on:30th Jan 2012, 7:05am |
|
|
Bewaqoof Aray janab abhi to topic start hi nahi hua aur aap ne janay ki tayyari ker li :P Aap to aik daleel bhi nahi de sakay k aap ka aqeeda sacha hai balkeh aap k nazdeek deen mein daleel/saboot ki koi zaroorat nahi hoti... Janab Aqeeda sirf aur sirf Aqeeda hota hai, os ka koi saboot nahi hota. mai saboot ke tor per kisi ko farishta nahi dekha sakta, jannat aur dozakh ki sair nahi kara sakta. yeh baatain bhi mai ne oopar tafseel se bayan ker di hai. iss thread ko aik dafa phir se read kar lain. Meray khayal se mein ne aap ki baat ka sahi mafhoom samjha... Ab dekhtay hain k kiya waqai deen ki sachai k liye ya jannat mein janay k liye daleel ki zaroorat hoti hai ya nahi... Phir kiun na hum yeh baat Quran se dekhein k Allah kiya fermata hai iss baray mein... Surah Al Baqra verse: 111 Aur Kehtay Hain K Hergiz Dakhil Nahi Ho Ga Jannat Mein Magar Woh Jo ho Ga Yahudi Ya Nasrani,Yeh Baatein Unn Ki Tumanain Hain,Unn Se Kaho Paish Karo Apni Daleel Agar Ho Tum Sachay. Meray bhai aap ki iss baat ko Quran ne ghalat sabit ker diya hai aur Quran bhi keh raha hai k agar tum sachay ho to daleel paish karo... Ab aap ka aqeeda kiun k Quran k khilaf hai aur jis ka aqeeda Quran k khilaf hota hai woh jahanumi hota hai...iss liye aap jahanumi sabit ho gaye hain..Aap Ko Paishgi Mubarak Ho. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6174 Age:
53
|
|
Posted on:28th Sep 2012, 11:59pm |
|
|
Who Will Go To Jannah
سُوۡرَةُ العَصر بِسۡمِ ٱللهِ ٱلرَّحۡمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَٱلۡعَصۡرِ (١) إِنَّ ٱلۡإِنسَـٰنَ لَفِى خُسۡرٍ (٢) إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَـٰتِ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلۡحَقِّ وَتَوَاصَوۡاْ بِٱلصَّبۡرِ (٣)
4 compulsory criteria for going into Jannah
Surah Al-Asr: In the name of Allah, the Beneficent, the Merciful
(I swear) by the Time, Man is in a state of loss indeed, Except those who: 1. believed (Imaan as per quran n ahaadith)) 2. and did righteous deeds, (Amlay saaleh as per quran n sunnat) 3. and exhorted each other to follow the truth (i.e. quran n hadith) 4. and exhorted each other to observe patience.
|
|