Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Tallaq ka masla???

Religion and Culture
 
 
 
Navid.143 Group: Members  Joined: 03rd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 8  Age:  32  
Posted on:3rd Nov 2011, 4:47pm
 

Tallaq ka masla???

Hi,

I am married for 5 years have 2 children. during these 5 years for some unavoidable reasons i told my wife "MAIN NE TUJHE TALLAQ DI" only one time and then my mother stop me.....after two days all settled down and i went back to my wife(RUJJU) and we started sexual relationship again......after one and a half year once again for some reason I told my wife "MAIN NE TUJHE TALLAQ DI" the matter was also resolved by my father and I again started sexual relationship with my wife happily......now after one and a half month, some 15 days ago I told my wife that " MAIN TUJHE TALLAQ DETA HUN ABHI" but didnt meant to divorce her..just to give her threat or warning.....

yad rahay ke iss waqt meri wife 4 months ki pregnant bhi hay.....

Kindly tell me Tallaq kese shumaar hogi, kiya main do dafa tallaq de chuka hun ya rujju karnay se pehli tallaq khatam ho gai???

kya mere ye akhri alfaz tallaq ke zumray main tau nahi atay...?

main ne tajdeed-e-nikah ka suna hay ...ye kis condition main ho sakta hay..?

kiya mujhe ab bhi rujju kar lena chahye?????

please reply seriously under the Hanfi and Ahl-e-Sunnat wal Jammat Aqeeda....

DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  31  
Posted on:3rd Nov 2011, 5:56pm
 

Divorce

1- Aap 2 dafa talaaq de chukay hain. 1 talaaq de kar rujoo karnay se wo 1 talaaq consider ho jati hai. Aap chunkay 2 dafa talaaq de kar rujoo kr chukay hain is liye 2 talaaq ho chuki hain.

2- Agar aap ne yeahi ilfaaz bolay hain tau aap k ye aakhri ilfaz talaaq k zumray mein aatay hain. Agar wazih ilfaz bolay jayen jaisay k aap ne bolay hain ("MAIN TUJHE TALLAQ DETA HUN ABHI") tau niyyat nahi deikhi jaati. Is liye aapki niyyat jo bhi thi ye ilfaaz talaaq k zumray mein aatay hain.

3- Nikaah (halaala k bagair) us soorat mein kiya jaa sakta hai, agar 1 ya 2 talaaqein huwi hun laikin iddat k period k baad rujoo kiya gaya ho. Laikin 3 talaaqon ki soorat mein halaala k bagair usi biwi se nikaah nahi ho sakta.

4- Ab rujoo nahi ho sakay ga, kiyunkay teen talaaqein ho chuki hain.

Note: Chunkay talaaq ka masla bohat naazuk hai, is liye aap mazeed feed back ka bhi intezar karein, aur aap apnay firqay k kisi authentic molvi se bhi raabta kar lein taa k is naazuk maamlay mein koi doubt na ho.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5789  Age:  53  
Posted on:3rd Nov 2011, 10:55pm
 

3rd talaaq ki haqeeqat

1. as DrkamiAli bhai said...apko hasil 3 talaqouN main say 2 talaaq ka haq to confirmed khatam hochuka hai.

2. last wali talaaq bhi agar waqe hogayee to apki biwi hamesha k liyeh apsay jodaa hojayegi aur apki biwi dobarah nahi bansakti (except halalah, jo arranged nah ho)

3. iss teesri talaaq k ilfaaz ap kissi mustanad mufti /darul iftaa say confirm karwalain k iss say talaaq waqee hoti hai yaa nahi

4. as per my little knowledge of urdu language, iss fiqray k meanings yeh haiN:

talaaq denay ka "iradah" zaahir hota hai iss fiqray say ... jaisay biwi paisay maanagy to shauher kahay k ... MAIN TUJHE PAISAY DETA HUN ABHI ... (agay ki baat "understood" hai k zara sabar karo, iss waqt "buzy" (waghairah) houN... thoRi dair maiN paisay deta houN tujhay... ab baad main woh paisay day yaa nah day...woh doosri baat hai... iss jumlay say paisay denay ka iradah /wadah hi zaahir hota hai...paisay "day diye" ki tasdeeq nahi hoti......

issi tarah MAIN TUJHE TALLAQ DETA HUN ABHI ... say bhi talaaq denay ka iradah /dhamki zaahir hoti hai... yeh present indefination tense ka jumlah hai (present perfect tense ka nahi like i've given) ... aik aur misal ... baap betay ko subah without uniform maiN dekh kar poochay k tum school nahi gaye abhi tak to woh kahay k ... main school jataa houN abhi (kissi wajah say late hogayaa houn lekin abhi jayouNga ... yaa aaj dair say jayouNga)... yeh understood hai k maiN school "gaya /pahoncha" nahi balkay "jataa houN" sirf iradah zaahir kia hai (abhi sirf planning hai, execution nahi) hosakta hai k iss jumlay k kahnay k bawajood woh school nah jaa.ay...to kia iss jumlay say yeh saabit hojata hai k bacha school "chalaa gayaa"???

ab agar iss "iraaday" k saath "niyyat" nahi thi talaaq denay ki to talaaq howi hi nahi bilkhasoos "abhi" k ilfaaz ko shaamil karnay say... so meri naaqis roy maiN iss jumlay say 3rd talaaq nahi howi, ap zobaani rajoo bhi karsaktay hain aur amali rajo bhi within iddat period...i.e. before delivery in above case (wallaho aalam bissawab)

PS: nikaah talaaq , halaal haram ka faislah iss qism k forums main kissi tom n jerry ki roy say nahi kia jataa... yahaaN bas apko aik picture dikhlaa di jati hai... asal faislah /fatwa k liyeh ap apnay maslak k mufti /darul iftaa say rajoo karaiN... iss reply k baad apko confuse karne k liyeh mazeed "bay.fazool" replies bhi milengay... lehaza yahaan waqt "zaya" nah karaiN aur agar yeh situation REAL hai to jald az jald kissi mufti say rajoo karkay koi faislah karlaiN...aakhir ko yeh 2+2=4 zindagiyoun ka maslah hai....lekin agar yeh qissah farzi /symbolic hai to phir mazeed debate /gup shup kar saktay hain



DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  31  
Posted on:3rd Nov 2011, 11:49pm
 

Divorce

@questioner

myrizvi bro ki baat bilkul theek hai. aapko is maslay k baaray mein apnay fikah k kisi mufti say rabita karna chahiye.

@myrizvi

Just apnay knowledge k purpose se aap se ek question pooch raha hun isi silsilay mein.

aap ne jo examples din, wo situation aur hai. Laikin jab banda ghussay me ye kehta hai "MAIN TUJHE TALAAQ DETA HUN ABHI". Tau is fikray ka rang yaksar aur hota hai.

Behtar situation tau questioner hi jaanta hai. Laikin mere khayal se ye fikra agar ghussay me kaha jaye tau ye aisay hai k jaisay baap apnay beitay ko ghussay me kahay, "MAIN TUMHEIN HUKAM DEITA HUN ABHI". Matlab hukam mil gaya.

Mera question aap se ye hai, k jab koi shakhs aisa masla lay kar mufti k paas jaye tau uskay liye kiya hukam hai? Koi bhi mard (jo talaaq nahi chahta hai) wo yeahi kahay ga k mera irada nahi tha. Aur ilfaaz ka andaz (jaisay yahan par "abhi" kis sense me aaya ye doubtful hai) aisa bnayega k jis se talaaq se wo bach sakta ho. Tau aisay shakhs k baray mein kiya hukam hai? Kiya apni apnay bachon ki apni wife ki zindgi ko kharab honay se bachanay k liye, agar wo aisa fatwa lay leita hai, Allah taalah se maafi maang leita hai aur aayenda k liye tauba kar leita hai tau kiya aisa karna jaayez hoga? Agar nahi, tau ye kis noiyyat ka gunaah hoga? 




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5789  Age:  53  
Posted on:4th Nov 2011, 12:07am
 

just 4 discussion with DrkamiAli bhai

1. aap jiss taraf "isharah" kar rahay haiN woh maiN samajh raha houN. agar koi fard khud to samajh rahaa ho k oss nay 3 talaaq day di hai aur ab oski biwi oss par haraam hochuki hai... lekin woh ghalat bayaani / haqeeqat chopaa kar koi FATWA lay aa.ay 9it is possible) to yaqeenan yeh shakhs baqya zindagi "gonaah" maiN gozaarega...zinaa ka murtakib hoga. aur rozay hashar iska khamyazah bhugtega... kiyouNkay 3 talaaq k baad taubah istaghfaar + fatwa k baad bhi oski (sabeqah) biwi oss par halaal nahi hogi.

2. agar woh aisi chalaaki karay aur iska ilm oski biwi ko nah ho to woh "gonah.gaar nah hogi... lekin agar biwi ko bhi haqeeqat ka ilm hojaa.ay k iss situation maiN 3 talaaq hogayee hai aur woh husband +fatwa lay kar iss sabeqah shuher k saath rahti hai, to woh gonah.gaar hogi

3. agar fatwaa lay kar (bay shak chaalaaki say) husband-wife saath rahain to "qanooni taur" par woh miyaaN-biwi hi hongay... society k kissi fard ko "iss couple" par etraaz ka koi haq nah hoga...albattah husband, biwi yaa dounouN (jo bhi soorat ho) Allah k nazdeeq gonaha.gaar hongay
...cont...

4. jahaaN tak above jumlay ka talluq hai to pahlay main nay iskay 2 meanings likhay ...phir 2nd meaning ko delete karkay 1st meaning hi ko barqarar rakha...
ab ham "zeyadah say zeyadah" yeh kah saktay hain k iss fiqray k 2 meanings haiN (aik hargiz nahi).... 1st meaning:... iss jumlay say talaaq nahi waqee howi 2nd meaning talaaq waqe'e hogayee ... ab yeh donouN menaing mufti sahab k saamnay rakh kar (aur saail khud neutral hokar) jawaab maangay... mufti jiss meaning ki "tasdeeq" karay, ossi par amal karay...tab bandah insha Allah gonaah.gaar nahi hoga

5. main apki "misaal" say agree nahi kartaa... maiN tuhmaiN hukm detaa houn abhi...iss jumla yaqeenan executed k seghay maiN hai .... magar iss jumlay main "hukm" siray say hai hi nahi ... jab tak aagay hukm ko wazah nah kahaa jaa.ay k ... ghar say nikal jaa'o ... (etc) aur aagay aisaa kahnay say bhi koi "kaam" /amal / fail "sar anjaam nahi howaa.... jiska faislah kia jaa.ay...yeh to just "order" hai

jabkay "talaaq" aik "amal" hai...jab tak saaf saaf day nah di jaa.ay (execute nah kardi jaa.ay) oss waqt tak lagoo nahi hogi... maiN talaaq dena chaahtaa houN... talaaq dena mujhay pasand hai... maiN talaaq day douNga, maiN talaaq day dia karta houN, maiN talaaq detaa houN, .... iss say talaaq ki execution fiqray maiN nahi hoti...

albattah agar sirf luz adaa kia jaa.ay ... saamnay biwi maujood ho...mokhaatib bhi wohi ho... phir khaah ghussya maiN, khaah piyaar maiN, khaah mazaaq maiN ...ossay kahaa jaa.ay talaaq, talaaq talaaq ... to its mean k maiN nay talaaq di, maiN nay talaaq di maiN nay talaaq di.

wallaho aalam bissawab

PS: jo log talaaq say motalliq ajmaa e ummat k fiqh say muttafiq nahi hain, woh apnay apnay maslak k motaabiq amal karaiN... yahaaN par onkay "aqliati fiqh" ko discuss nahi kia jarahaa. lehaza woh azraahay karam in replies ki apnay fiqh k motabiq "tardeed" nah karaiN.

dr. sb ur view pls




DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  31  
Posted on:4th Nov 2011, 1:36am
 

For discussion with myrizvi bro

Thank you myrizvi bhai for your detailed reply.

Aap se jo doosra question kiya tha, uska ek maqsad questioner (yaa doosray log jo is qisam ki situation ka saamna kartay hain), unko tanbeeh karna bhi tha, k wo haqeeqat ko agar chupaayen tau Islam ki roo se unka apni biwi k sath istarah rehna kis tarah se deikha jayega. Aap ne mashaAllah bohat achhi wazahat ki.

Ab hum aatay hain jumlay ki taraf. Tau, mere khayal se aapki baatein bilkul darust hain, agar hum sath mein intention aur andaaz ko na milaayen. Laikin main is jumlay ko bar bar intention aur andaaz k sath mila raha hun.

Agar tau ye situation aisi ho jis me biwi talaaq ka taqaaza kar rahi ho, aur husband usay aaram se kehta hai. "Main tujhay talaaq deita hun abhi" phir is fiqray ki sense aur hai. Phir aapki wo paison waali example is par poora utarti hai.

Laikin aap is fiqray ko apnay zehan me imagine karein ghussay mein, phir yea "abhi" actually "ab" ya "abhi isi waqt" ki sense deita hai. Otherwise is "abhi" ki sense nahi banti hai is maamlay mein. Ghussay me jab hum "abhi" kehtay hain, tau hum "abhi" par zore deitay hain, is "abhi" ka matlab hota hai "abhi isi waqt" atleast meri imagination mein yeahi aa raha hai. Aur aap is "abhi" k sath "ghussa" aur "talaaq" mila deitay hain, tau mujhe lagta hai k bohat rare case hi hoga agar ye "abhi isi waqt" ki sense na de raha ho.

Agar banda warn karta hai, tau kehta hai "talaaq day dunga". Laikin "abhi", ye is particular situation (ghussa + talaaq) mein meri nazar mein doosri sense nahi deita.

I hope k ma kuch had tak btanay me kamiyab ho jaun shaayed. Kiyunkay ye ek zehni kaifiat hai tau isay ilfaaz me dhaalna thora mushkil hai. :-)

Baqi dua tau meri bhi yeahi hai k Allah taalah inka ghar basaa k rakhein halaal tareeqay se. Aameen.




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5789  Age:  53  
Posted on:4th Nov 2011, 2:13am
 

kami bhai

mujhay apki baat k pasay manzar aur overall conclusion say ikhtelaaf nahi hai...apka kahna apni jagah bajaa hai... lekin talaaq jaisay fiqahi maslay maiN "alfaaz, jumlay aur seghay" ki 2+2=4 jaisi output hoti hai.

ham jaisay non-mufties maiN ikhtelaaf ki soorat maiN afzal yehi hai k yeh elfaaz kissi mufti k saamnay rakh kar ... khud neutral hokar onsay fatwa lia jaa.ay... aur jo bhi shariyat ka faislah ... true fatway ki soorat maiN saamnay aa.ay, oss par amal kia jaa.ay
ham sab mil kar Allah say dua kartay haiN k Allah navid ko islamic tareeqay say aur halaal par qaaim rahtay howay apni zindagi ko guzarain... aameen summah aameen
Navid.143 Group: Members  Joined: 03rd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 8  Age:  32  
Posted on:4th Nov 2011, 2:18am
 

Difference B/w sentences

Thanks DrKami and Rizvi bhai...

main ek wazahat chahta hun ke yeh alfaz ke "main tujhe tallaq deta hun abhi" aur "main ne tujhe tallaq di" I think 2nd jumla confirm hoga but 1st one main gunjaish hay.....wallah Alam

wesay main koshish karoonga kisi mufti se poochnay ki.....

Navid.143 Group: Members  Joined: 03rd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 8  Age:  32  
Posted on:4th Nov 2011, 2:19am
 

Difference B/w sentences

Thanks DrKami and Rizvi bhai...

main ek wazahat chahta hun ke yeh alfaz ke "main tujhe tallaq deta hun abhi" aur "main ne tujhe tallaq di" I think 2nd jumla confirm hoga but 1st one main gunjaish hay.....wallah Alam

wesay main koshish karoonga kisi mufti se poochnay ki.....

Navid.143 Group: Members  Joined: 03rd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 8  Age:  32  
Posted on:4th Nov 2011, 2:21am
 

Difference B/w sentences

Thanks DrKami and Rizvi bhai...

main ek wazahat chahta hun ke yeh alfaz ke "main tujhe tallaq deta hun abhi" aur "main ne tujhe tallaq di" I think 2nd jumla confirm hoga but 1st one main gunjaish hay.....wallah Alam

wesay main koshish karoonga kisi mufti se poochnay ki.....

DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  31  
Posted on:4th Nov 2011, 2:28am
 

Reply

@mererizvi bhai

Aameen. And well said, agreed janaab.

@Navid

Jee bilkul aap ko jaldi is maamlay k baaray me poochna chahiye, taa k koi gunaah sarzad na ho.

Jumlay k baaray mein aapko mufti saahab behtar guide kareingay, laikin sath mein intention ka shamil karna bhi aapkay liye zaroori hoga k us ek pal mein aapki intention kiya thi jab aap ne ghussay mein ye fikra kaha.




Navid.143 Group: Members  Joined: 03rd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 8  Age:  32  
Posted on:5th Nov 2011, 1:16am
 

Intention

Boht shukrya....bhai Allah ki Qasam meri intention just yehi thi ke apni wife ko daraon dhamkaoon....ta ke wo ainda mere ghar walon ki khwahish ke mutabiq zindagi guzaray......

Dua kijye ga ke Allah humaray liye asaniyan paida farmaye....main boht pareshan hun.....

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 661  Age:  38  
Posted on:11th Dec 2011, 3:51am
 

Navid.143

Meray bhai jo aap ne situation bataye hai uss k mutabiq aap ki talaq nahi hui aur na hi aap k ser per koi 1 ya 2 talaqon ki talwar latki hui hai...

Aap ne 1 talaq di aur phir rujju ker liya to aap ka woh masla hi khatam ho gaye aur agar uss k baad agar aap talaq dein ge to woh 1st hi count ho gi na k 2nd aur phir agar aap rujju ker letay hain aur kuch arsa baad phir aap talaq de detay hain to woh bhi aap ki phir se 1st talaq hi consider ho gi...

Yeh shariat hai Tariq Aziz Show nahi k aap ko keh diya k aap ne ab 2 ghaltian ker dein to sari life aap koi ghalti nahi ker saktay...

Mujhay nahi samajh aati k websites se copy paste kernay walay yahan talaq jaisay sensitive masla per jahilana fatwa de ker loagon ki zindagian tabah ker rahay hain....

Un-perh molvion ki 2/4 books perh ker mulla bun bethay hain aur fatwa denay lag gaye hain qayyas ker k...

emanali Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2012  Topic: 1  Post: 4  Age:  24  
Posted on:23rd Apr 2012, 6:16am
 

emaan

bhai talaaq apki 3rd time tb waqya ho jati agar apki wife pregnant na hoti but shes pregnant to talaaq nai hui han unki pregnancy k bad agar khudanakhwasta ap ye line ek bar phir bol dain to ho jaegi or talaaq ap logon k mu se nikal kyun jati hai insan gusay ko cntrol mai krna b chahye ye koi asan bat nai hai or admi ko ye haq isi liye mila hai k orat iska najaiz faida utha skti thi apnay gusay pe cntrol kren....
emanali Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2012  Topic: 1  Post: 4  Age:  24  
Posted on:23rd Apr 2012, 6:16am
 

emaan

bhai talaaq apki 3rd time tb waqya ho jati agar apki wife pregnant na hoti but shes pregnant to talaaq nai hui han unki pregnancy k bad agar khudanakhwasta ap ye line ek bar phir bol dain to ho jaegi or talaaq ap logon k mu se nikal kyun jati hai insan gusay ko cntrol mai krna b chahye ye koi asan bat nai hai or admi ko ye haq isi liye mila hai k orat iska najaiz faida utha skti thi apnay gusay pe cntrol kren....
emanali Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2012  Topic: 1  Post: 4  Age:  24  
Posted on:23rd Apr 2012, 6:23am
 

navid bhai u r wrong

agar ek bar talaq de kr rujju kr liya jae to wo ek talaaq ho chuki hai or agar koi aisi galti again kray to wo 2nd time hai aj kal har jagah jali mufti bethay huay hain jo k khud najaiz kam kar rhay hain nauzbillah
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 661  Age:  38  
Posted on:24th Apr 2012, 5:27am
 

emanali

Agar 1 ya 2 dafa talaq de ker rajju ker liya jaye to hpir woh talaqein jo di gaye hoti hain woh baaki nahi rehtein...aap ko kis ne keh diya k woh talaqein qaim rehti hain ??
mairak Group: Members  Joined: 05th Dec, 2011  Topic: 15  Post: 1352  Age:  32  
Posted on:24th Apr 2012, 3:00pm
 

Talaq Huwi ya nahee Ye Mufti se confirm karo MAGAR

Biwi tmari ko laat mar kay tmy chor dena chahye. Talak ki dhamki ka konsi aayat ya hadees hukum deti hai. Zara unn unavoidable circumstances per nigah dorayega k jinn per aapko essi ghaleez mental torture ek pregnant lady k liye istemaal kerna paray.

Intehai ghaleez aur ghatiya male chauvanistic approach hai aapki. Matlab talaq na huwi kheer ho gayee me khata houn abhi...... wah gee wah.

Ye Issue abi tak kissi ne discuss nahee kiya k aurat kya chahtee hai ye bhee zehan me rakhhain.

mairak Group: Members  Joined: 05th Dec, 2011  Topic: 15  Post: 1352  Age:  32  
Posted on:24th Apr 2012, 3:04pm
 

My Question

I n this case agar aurat datt jaye k tm keh chukay ho wada ker chukay ho ab talak do. Tou kya talak waqiya hogi ya khula?? Means aurat ko mehar ka right milega ya nahee ...
Zara meray bhai mufti se ye bhee puchna. Tmko zara pata chalay.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 661  Age:  38  
Posted on:27th Apr 2012, 5:40am
 

mairak

Sister her shaks janta hai k talaq aik bohat hi sensitive issue hai aur Rasool Allah saww ki hadith bhi hai k Allah ko jaiz kaamon mein sab se na-pasand amal talaq lagta hai...

Ab baat yeh hai k itna sensitive aur na-pasand masla itna ghair ahm kaisay ho gaya k koi ghussa mein ho,nasha mein ya mazzaq mein hi alfaz keh de to talaq ho gaye ??

Allah ne her cheez k liye kuch asool banaye hain aur talaq k liye to Allah ne poori aik surah nazil ki magar aaj bhi yeh masla aik mazzaq bana hua hai...

Jahan tak ahl tasheeh aqeeda hai woh yeh hai k agar aap talaq detay hain to aap ko 2 adil gawahon k samnay talaq deni ho gi bilkul ussi terha jis terha aap nikah mein 2 gawah banatay hain...

Yeh to ajeeb baat hi lagti hai k aik rishta ko jornay k liye to aap 2 gawah banatay hain aur uss ko tornay k liye koi gawah ki zaroorat hi nahi hai...

Ab jis terha ahl sunnah ka aqeeda hai k gawah ki koi zaroorat nahi hai...

Ab aik shaks apni biwi ko talaq deta hai tanhai mein,ab baad mein woh inkar ker deta hai k uss ne to talaq di hi nahi,aap bataein k uss ka faisala kaisay ho ga ??

Zahir hai k uss ka faisala aik andaza per hi ho ga na k facts per...

Dosra masla hai aik nashist yeni aik hi time per 3 talaq dena...

Ab ahl sunnah ki books iss hadith se bhari peri hain k Rasool Allah saww k zamana mein agar koi shaks aik sath 3 talaq deta bhi tha to uss ko 1 talaq hi samjha jata tha aur yehi asool hazrat abu bakar k zamana mein bhi raij raha lakin jab hazrat umar ki hakumat aaye to unhon ne yeh shariat change ker di aur 3 dafa talaq denay ko 3 talaq hi tasawaur honay laga...

Ab aap loag hi bataein k aap kis ki sunnat ko mantay hain Rasool Allah saww ki sunnat ya hazrat umar ki ??

Ajeeb firqah hai jo dawa to Rasool Allah saww ki sunnat ka kerta hai magar manta hazrat umar ki baatein hain jo Rasool Allah saww aur Quran k ahkaam k khilaf hain...

Issi terha jab koi shaks 1 ya 2 talaq deta hai aur phir rujju kerta hai to rujju k waqt bhi 2 gawah hona lazmi hai k kal male ya female mein se koi bhi jhoot na bol sakay...

1 2  >>
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us