Assumptions!
Asalaamu alaikum all, Pehli baat main nay cell phone sumait unn TAMAM cheezon ko point out kia tha jo meray lihaz say miss use ho rahi hain society may. Dooseri baat main nay kabhi bhi ye nahi kaha hay keh aap log TECHNOLOGY ko use na kerain, all I was discussing .......is........... aap yeh dekhain TECHNOLOGY use kernay walonk a AGE GROUP kaunsa hay! Aap aur hum sub 8th standard cross ker chukkay hainna ? kitnee dafaa aapko uss life may AISEE PROBLEMS huin keh aapko aaj ka 8th standard ka bacha fortunate ENOUGH lagtta hay ? just because wo ISS AGE may cell phone use kerta hay? Main phir keh doon main sirf cell phones nahi sari aisee cheezon ki baat ker rahi hoon jis kay liyeh insaan ko zehni taur per mature aur serious hona pehlay zaroori hay, be it internet or tv cable! Aap logon ko shayed wo interview yaad na ho "meri zaat zarra-e-benishan" drama may jis larki nay role play kia tha wo TV per thi live aik show may aur uski personal life ki chand baton per Nadia Khan bohot hairan hui thi keh ub uss nay ye bataya main cell phone use nahi kertti, main gari nahi cycle use kertti hoon etc etc.................. aab please just dun jump on assumptions keh RareGold kay mutabiq sub ko apni apni gari aur cell phone phaink dena chahiyeh. Baat sirf itnee see hay aap gadgets kay mohtaj hona chahain to bhi koi rok nahi sakta aur aap inn sub khurafat say azad pursukoon zindagee basic necessities kay sath guzarna chahain even then you will be happy.Her banday ki apni choice hotti hay keh usko kitnee material yaa kitnee real life jeeni hay! Aab stage per bethi hui PERHI LIKHI dulhan jo keh her do minute baad cell phone use ker rahi ho koi yeh pooch ker batta day keh aap itnee busy thin to iss shadi may baad may sirkat ker letin pehlay aap EHEM DEAL nimta lain!......... ye pakistan ka meri aankhon dekha aik example hay aur aisay hee koi aur bhi hain lekin baat sirf itnee hay keh aapko KHUD decide kerna hay aapko balance kesay kerna hay, aapkay ghur ay kitnay afrad hain aur kitnon ki zaroorat hay keh cell phone must ho aur yeh keh kis model ka cell phone ho (kion keh khair say aayeh din NAYA MODEL kay chakar walay bhi log hian na!) IBBI aap nay kaha Omaan may cell phone companies aisay packages kion nahi dettin, to wo iss liyeh keh wahan shayed internet companies porn websites ko access bhi na kernay detti hon! aur yeh sub iss liyeh keh shayed unn may thori bohot ikhliaqiat baqi hay jo keh abhi hamari society may na-paid hotti jaa rahi hay. Main nay pehlay bhi kaha na keh cell phone companies ko PAISA jama kerna hay ZAYDA SAY ZAYDA lihaza iss may unkay mulk ki youth bigray yaa koi aur iss say unko gharz nahi :) |