Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

I Am Happy

Non Medical Discussion
 
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:28th May 2011, 10:14pm
 

I Am Happy

Asslam o alikum.

aj Allah tala ne mojhe buhot bari khoshi di hai.itni ziyada k main khoshi ka izhar bhi nahi kr pa rahi koi alfaz nahi mere pas.

bas sirf ye btana chah rahi hon k jin k sath Allah hota hai wo kabhi bhi na-kam nahi hote chahe log on se jalte hoe .....
Edited: Khoshi k moqay pay yeh kaRwi kaseli bataiN achi nahi iss liyeh delete ki jarahi haiN, Modrator

kehte hain na k khoshiya bant'ne se barhti hain to mojhe bhi aap sab ko btana tha aur sab ki buhot sari duaein leni thi




hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:29th May 2011, 12:58am
 

s4u

waalaikum salam

kia baaat hai dear apne hushi to share ki hi nhi.............:)ya wo personaly share kre gy..............meri dua hai k Allah apko humesha hush rkhy Ameen..........apko zindagi me hur hushi dy aur humesha hush rkhy meri duaye apky sath he.


ozone Group: Members  Joined: 19th Jun, 2008  Topic: 25  Post: 1368  Age:   
Posted on:29th May 2011, 1:00am
 

w/s

hamein bhi bataney ki zehmat kijiye k apko kia khushi mili taa k ham b khush ho sakein .... :)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:29th May 2011, 1:43am
 

where is happiness

aik molvi sahib ny kisi ko kuch books tuhfa main deen , books ka name taqreeban aik jaisa hi tha , aik ka name "rah-e-hadayet" , dosri ka name "hadayet kaisy mily" tesri ka name "hadayet lijiye" etc etc

molvi sahib ny books daity waqat bataya k inhain parrny sy hadayet mil jaye gi .chunachy books lainy waly ny wo saari books parr li , sab books main likha tha k aik gunah gaar tha uss ny yeh book parri to usy hadayet mil gayeee , aik lofar insan hadayet paa geya , aik intahaie bura insan rah-e-hadayet par ageya , mu'aashry k nasoor mu'ashry ki fu'aal rukan ban gaye , log naikko kaar ho gaye , gunah ki zindagi sy toba kar li waghaira waghaira

yeh sab parr kar wo banda molvi sahib k paas geya aur poocha k inn books main yeh to likha hay k buhat sy log inhain parr kar hadayet paa chuky hain laiken inn books main hadayet ki to koi baat nahi likhi jisy parr kar hadayet milti ho , wo baat kahan hay ?

to molvi sahib boly k baita kharbozy ko daikh kar khaboza rang pakarrta hay , tum ye daikho k kitny log hadayet paa chuky hain iss liye tum b hadayet k rasty par ajaoo , main tumhary name sy b aik book shaiya karon ga , bas isi trah hi hamara seena baseena kaam chal raha hay ,

banda barra heraan howa k hadayet pany walon ka to zikar hay laiken hadayet ka ik word b inn books main nahi hay ..yeh kaisi ajeeb books hain , lagta hay molvi sahib k paas aur koi kaam nahi hay bas issi trah logon ko bewaqoof bana'ny k liye books py books chapty rehty hain

above thread read kar k mujhy wo molvi sahib aur unn ki "rah-e-hadayet" ki books yaad agayee hain ...:)

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:29th May 2011, 4:48pm
 

s4u

yeh app ney appney 2 jumlon ko under line ku kiya hey?

I think indirectly app phir kisi say kuch kah gai hain.Ab agar yeh read kar key kisi or ko bhi gussa a jai to?

Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  30  
Posted on:29th May 2011, 6:15pm
 

saem madam

yeh s4u Madam buhat hi chalaak hay .. yeh game khel ke bi keha jaty haiy key mainy kuj kia hi nayi ..
ab yeh underline ky huyi baten kis ko ki hay sab janty hi hongy..

diplomate..
maza aa gaiya aapki bat parh key.

s4u madam
aapko khusiy mubarik ho .....humey bi y baten kia khushi mili hay apko
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:29th May 2011, 9:48pm
 

♥·´¯`·Re:

jazak Allah & khair mubarak.wo khoshi ye thi k main humesha Allah tala se aik dua krti thi jo k pori hoti nazar ai ab.

hr larki ki khwahish hoti hai k ose acha susral mile,ose acha ghar mile aur sab se bari bat acha khawand.to main in sab k sath aik ye dua krti k mojhe kabhi bhi Allah k ghar se dor na hona pare yani shadi k bad bhi main humesha Allah k ghar hi rahon.log yahan ane k kitne khwahishmand hote hain.ye jga hi esi hai to main bhi Allah tala se dua krti k agar kabhi maine koi acha kam kia ho ya meri koi achai psand ai ho to mojhe is k badle me ziyada kuch nahi chahiye mojhe shadi k bad bhi yehi rehna hai.

to meri yehi khwahish pori hoi aur main is k lie buhot ziyada khosh hon.humesha apne faince ka zikr krti thi lekin ab jald hi apne husband ka zikr kron gi.insha Allah
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:29th May 2011, 11:54pm
 

meri piyari bhen s4u

arey app to bura man gain,may ney to app ki bhalai key liya hi kaha tha key kahi forum par koi jhagra na ho jai.Or phir appka yahan time zaya hota.

Mashallah meri piyari bhen bhout hi samjhdar hey khud hi appni tareef kar di key:-

aur agar phir bhi ae to apne lie dua kare k Allah tala meri zuban se dosron ko mehfoz rakhe(ameen)

Mode Note For All : iss khushi ki thread maiN agar kissi nay bhi koi aisi waisi .nagawaar baat ki to woh delete kardi jayengi... (sorry saim for giving note here :)




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:30th May 2011, 12:18am
 

mabrook s4u

Allah apko aur apki family ko hamesha khush rakhay... aameen

PS: I do agree with Mod Notes... iss khushi ki thread maiN sirf khushi khushi ki bataiN honi chahiyeh... sweets jaisy...
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:30th May 2011, 12:34am
 

Moderator

it's ok

myrizvi bhai phir to bhout sweet ho jai ga,kuch namkeen bhi hona chyea sath may:)

irfan123 Group: Members  Joined: 22nd Aug, 2009  Topic: 17  Post: 115  Age:  29  
Posted on:30th May 2011, 12:46am
 

S4u

Hi, Assalam o Alaikum kaisay hai aap sab umeed hai kay thek hon gay, S4u aap kaisi hai, Allah tala nay aap ki khwahish pori ki or aap ko itni khushi di,
kal raat ko main nay ya thread perhi tu main itna khush howa kay bata nahi sekta, main aap ki khushi ki baat say hi samajh gya tha kay aap ko kya khushi hoi ho gi,

Main bhi aap kay lie bhoot dua kerta tha deikhay dua qabool ho gai na,Meri condition bhi aap ko pata hi hai na meray lie bhi dua kerain kay mujhay ya khushi jaldi mil jai. Ameen
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:30th May 2011, 1:53am
 

saim

namkeen khaanay say BP high hojata hai... lehaza iss khushi k moqay pay ap logouN ki bp hi nah hi karwayaiN aur namkeen say parhaiz hi karaiN lol
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:30th May 2011, 2:17am
 

lolzzzz

good one
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1949  Age:  47  
Posted on:30th May 2011, 6:35am
 

MEIN KHUSH HON MERY ANSON PE NA JANA

Jeet Apni Mohabat ki ho gi haar jaye ga sara zamana..

tujjy barson baith ker roye tu rooh mein utar k aa jana..

 

                             ''  MUBARAK''

Moulana Rizvi Sahib...aap Gulail se nishana laga ker kitny parendhy din mein maar sukty hein... Mod Note: Pls do not divert post topic




Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:30th May 2011, 9:57am
 

gulail

raja bhai aap ko aaj kal gulail buhat yaad arahi hay ...iss ki kia waja hay ?

aap ko khiyaal rakhna chahiye k yeh khushi ka thread hay yahan aap sirf khushi ki batain kar sakty hain aap mod note sy b samjh hi gaye hon gy ..yahan aap kisi ChiRi , ChiRy ki baat na karain koi ghussa b to kar sakta hay na ...:))))))

waisy bhimji k paas M.C company ki aik ghulail majood hay , zara ussy to poochain k abb tak uss ny kitny shikaar kiye hain

M.C = Michel Crown ....koi ghalt matlab na ly jaye ....
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:30th May 2011, 11:38pm
 

S4u

Bht bht mubarak ho lekin main pareshan hun ke ke tum tau door se hi bradasht nahi hoti, wo bechara qareeb reh kr kis tarah brdasht karega tmhn. Bht himmat hae hae uss bechaare ki ke itna barra risk le raha hae. Anyways, tmhaare mojooda aur sabqa fiance aur mustqbil qareeb ke UNN ke liye best wishes. Allah usay iss Azeem qurbani (tmhare se shadi) ka ajr-e-azeem zarur de ga aur yaqeenan tmhaare sath shadi akhirat main uski bakh'shish ka zariya bn jayega q ke kehte hain jo log dunia main dukh aur takaleef brdasht krte hain unn ke liye akhirat main Sham Swere Mojaan hi Mojaan hain....lolzz

At the end, aik dafa phir dil ki gehraiyun se bht bht mubarak ho.

Saim@ Aap mahol namkeen krti raho q ke agr namkeen se BP shoot krta hae tau Meethay se Sugar level b bharrh skta hae jo ksi surat b Blood pressure se kam khatarnak bemari nahi hae.

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:30th May 2011, 3:47pm
 

bhimji

ji iss liya hi to namkeen or sweet ko balance karna parey ga takey na BP opper jai na sugar:)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:31st May 2011, 1:14am
 

aik ghalat fahmi

it's true k zeyadah namak khaanay say BP baRh jata hai...lekin It's NOT true k zeyadah meethay se sugar level baRh jata hai :)

sirf diabetic patient (jinka pancrease normal functioning nahi kartaa aur woh medication /insuline pay hotay haiN) aisay "mareez" agar k liyeh yeh sahih hai k woh meeTha zeyadah nah khayaiN warnah onka sugar level baRh sakta hai.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:31st May 2011, 5:40am
 

i m also happy

hot_sajid Group: Members  Joined: 28th Feb, 2011  Topic: 10  Post: 503  Age:   
Posted on:31st May 2011, 7:02am
 

Hmmmmmm

thoda hum bhi kush ho jate hai....
1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013