Hawa thami thi zaroor lekin
Woh shaam bhi jaise sisak rahi thi
K zard pattun ko aandhioon ne
Ajeeb Qissa suna diya tha
K jisko sun kar tamaam pattay
Sisak rahe thay bilak rahe thay
Najaane kis "saanehay" k ghum mein
Shajar jarrun se ukhar chuke thay
Bohat talasha tha hum ne tumko
Har ek rasta..
Har ek waadi..
Har ek parbat..
Har ek ghaati..
kahein se teri khabar na aai
To keh ke yeh hum ne dil ko taala
"hawa thamay gi tau dekh lein gay"
Hum us ke rastoon ko dhoond lein gay
mager humari ye "khush kheyali"
Jo hum ko barbaad kar gayi thi
Hawa thami thi zaroor lekin
"Bari hi muddat guzar chuki thi"
Hamare baalun ke jangloon mein safayd chandi utar chuki thi
Falak pe taaray nahi rahe thay
Gulab Peyaare nahi rahe thay
wo jin se basti thi dil ki basti
"wo log saaray nahi rahe thay"
magar ye "almiyah" sab se baala tar tha
"k Hum tumhaare nahi rahe thay"
"k Tum humare nahi rahe thay"
Hawa thami thi zaroor lekin
Bari hi muddat guzar chuki thi