Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Drindagi Ki Inteha...!!!

Non Medical Discussion
 
 
 
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:4th Apr 2011, 12:54pm
 

Drindagi Ki Inteha...!!!

Khabar hay k "bhakar" Punjab ka aik khaandan adam khor hay ..abi 2 din pehly iss khaandaan k 2 afraad police ny griftaar kiye hain 
 
tafseelat k mutabiq aik cancer ki mareez larrki ka inteqaal ho geya dosry din uss k ghar waly larrki ki qabar par gaye to qabar main shagaaf tha aur dead body ghayb thi ..police ko itlah di gayee police ny "khooji" ki madad sy adam khor afraad k ghar ka pata chalaya , wahan larrki ki dead body tukrron (pieces) main parri hoi mili aur kuch tukrry handiya main pakaye ja rahy thy ..moqa sy 2 afraad ko griftaar kar k tafteesh ki jarahi hay 
 
sawal yeh paida hota hay k aaj k taraqqi yafta dour main b kia aysy insan iss duniya main majood hain jo insan ka goshat hi khaty hain ? yaani adam khor insan...!!!

members aap kia kiehty hain iss bary main ...!!!
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:4th Apr 2011, 1:24pm
 

Darindghi ki enthaa

I think esy bhe ziyadaa Daringhi ki enthaa Humari hukomat a wukqat kur rahi hay or woh jo hukomat meah hen or woh sub jo esky omeedwaar hen, Mahengaai ess qudur kur dee ghi hay kay log khod kushiyaan kur ray hen , hur cheez hutaa k du wqat ki roti bhe hath say cheen lee ghi hay tu essi srat haal meah jahaa 18 kuroor awaam ka khoon hukomaat choos rahi hay whaaa du bundo nay agur ek lash k torky kur kay khaa leyeh tu koi bat ni , Essy hona hay jub Hur cheez logo ki dus turaas say baher ho jay ghi ,

abi yeh case tu koch Nufayaati lugta hay lakin meah yeh kehnaa chahoo gah agur yeh he sorat haal rahi tu Essy he hona hay, logo pur Mahengaai k roz pahaar tory jaty hen or onko ess tuly zinda rugoor hony pur mujboor keyaa ja raa hay , roz khod kushiyaan ho rahi , dako raj chul raa , street crimes ho ray , nufsaa nufsii ka aalum hay tu essi soraat haal meah yeh he tawaqah ki jaa sukti hay, es wuqtaat ghureeb ka khoon nuchoraa jaa ra hay or ameer jo sood pur sood khaa ra hay osy koi khubar ni ku kay kumaa kur khain tu onko puta chuly pessaa kasy kumaya jata hay, loot k khany waly hen,

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:4th Apr 2011, 5:49pm
 

dunya hey dunya may bhout kuch hota hey

asi asi batien sunne ko milti haien key insan soch bhi nahi sakta

lakin bas yeh dunya hey yahan bhout kuch hota hey

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:4th Apr 2011, 10:56pm
 

yeh dunyaa hai

yahaaN insaan k saath saath shaitaan bhi hota hai... aur shaitaan, insaanouN ko bhi shaitaan banaa dia karta hai... issi liyeh har 2 qism k shaitaanouN say panaah maangnay ko kahaa gaya hai
Quest Group: Members  Joined: 04th Apr, 2011  Topic: 2  Post: 104  Age:  28  
Posted on:5th Apr 2011, 8:32am
 

its nothing

mere soch se ye kuch bhi nahi......dunia mai har tarha ka kaam hota hai.....sirf expose honay ki dair hai tab hi hamai pata lagayga......is wakiyai jesi buhut si stories per movies hollywood mai banchuki hain......jisko dekh k tab mai sochta tha kay ye kis kism kay ganday mozo'aat le-atay hain filmon main....likin shayad wo jo latay hain stories apni filmo mai ya jo kuch farzi kahaniyo mai hum parhtay hain jo unbelievable hota hai ...dunia mai kahin na kahin wohi sab ho bhi raha hota hai but we cant imagine it.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:6th Apr 2011, 2:38pm
 

derindagi kya hai ?

yeh haqeeqat hai isay hum derindagi keh rahai hain lakin woh to sirif lashain khatay thay

sialkot main rozay k saath 2 bhaiyon ko wehshiyana tashadud k sath halaak kiya

kya yeh derindagi nhn ?

choti choti bachiyon k sath ziyadti horahi hai

kya yeh derindagi nhn

sotelay bhaai jo k chota sa bacha tha ko jaidad k liyay qatal ker diya london se aaker

kya yeh derindagi nhn ?

aur us se bhi beri derindagi k yeh sab log azzad ho gai ya ho jain gay

yeh derindagi nhn ?

baqol shaer

خوبصورت شکل میں ھم سب درندے ہیں اسد

آدمی کہتے ہیں جس کو وہ ابھی غاروں میں ھے

مقید کر لیا سانپوں کو یہ کہہ کر سپیروں نے

یہ انسانوں کو انسانوں سے ڈسوانے کا موسم ھے





Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:7th Apr 2011, 2:58am
 

darindagi ki inteha

ab to qabraiN bhi meri jaaN nahi haiN mehfooz
yeh bhi mumkin hae k mayyat hi uTha li jaye

maal asbaab to kiya baqi bachay ga Farhat
itna kafi hae k izzat hi bacha li jaye.

above replies meiN darindagi ki mukhtalif ashkaal well defined ki gai haiN. behissi jab had se baRh jaye to darindagi ban jati hae. bas kuch bataiN expose hojati haiN aur kuch ya to expose nahi hotiN ya humaray ilm meiN nahi atiN.

kuch qabristaan aise bhi haiN jahaN tadfeen k kuch hi dair baad jab relatives wapis chalay jatay haiN tou bachoN ki deadbody nikaal kar unhaiN drugs smuggling k liye use kiya jata hae. isi tarah mudah khanoN meiN dead bodies ka dissection kar k un k body parts nikaal liye jatay haiN.

jahaN par insaan zinda insaanoN ko nochnay khasoTnay lag jayeN wahaN murdah logoN ki hurmat karna kaise mumkin hae ?
norus Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 10  Post: 45  Age:  25  
Posted on:7th Apr 2011, 3:26am
 

very very sad

bht bht bht ghatiya darindy hain jinhone ye sb kiya we condemn it
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:7th Apr 2011, 6:48am
 

murda insan ka gosht

gheebat karna bhi "murda insan ka gosht khanay" ki tarhan hai.

zahiri shakal main hamain jo "tasveerain" nazar ati hain, un say hamain kitni nafrat aur beyakeeni si mehsoos hoti hai....... lekin batini shakal main wohi kuch hota rhay tau koi asar nahi hota.

jis kisi ko bhi is "drinda sift khandan" se nafrat mehsoos ho rahi hai, ussay sari zindgi GHEEBAT or BOHTAN se bachna chahiay.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:8th Apr 2011, 2:57am
 

nice reply by info bhai

hum bazahir nazar anay wali cheezoN ko tou bura jantay haiN lekin invisible cheezoN ko jantay huwe bhi bura nahi jantay balkay us pe haT dharmi se qaim rehtay haiN . gheebat karna apnay hi muda bhai ka gosht khanay k mutaradif hae jo sab zuban k chaskay k liye zauq O shoq se kartay haiN aur kisi qisam ki karahiyat bhi mehsoos nahi kartay.

is topic se related aik aur baat bhi zehan meiN arahi thi jo maine apni mother se bhi discuss ki. dua aur bad.dua aisi cheezaiN haiN jo marnay k baad bhi insaan k sath rehti haiN. zindagi meiN hum log kabhi is baat ki parwah ya ehsaas nahi kartay k humaray kisi amal ya kisi baat se kisi doosre ko kis qadar takleef pohnchi. kisi ka kitna nuqsan hogaya ya kisi ko kitni sharmindagi uThana paRi. Allah pak ghafoor ur Raheem hae Woh behtar jaanta hae lekin mumkin hae k apnay hi parents ya kisi ki dil azari kar k insaan marnay k baad bhi is tarah k almiyaa se dochaar hojaye. isi liye har waqt Allah pak se khair mangni chahiye aur baat karnay se pehlay 100 martba soch lena chahiye k agar koi yehi baat humaray liye kehta to hum pe kiya guzarti. dil azari aur bad.dua se bhi aise hi bachna chahiye jaise baqi gunnahoN se.
yasir_123 Group: Members  Joined: 11th Feb, 2011  Topic: 4  Post: 380  Age:  29  
Posted on:9th Apr 2011, 4:10pm
 

What Islam Says in this regard ?

humaray mulk Pakistan ko pata nahi kis ki nazar lagi hay. Akal tasleem karnay ko tyar nahi hoti esi esi khabrain dekhnay ko milti hain.

I will appreciate if some one tell me, What Islam says in this case. Insano ka gosht khanay walo k baray main Islam kya kehta hay ? As I dont know, please help me improve my knowledge.


Thanks.

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:11th Apr 2011, 3:56pm
 

Insani goshat khana

re : "humaray mulk Pakistan ko pata nahi kis ki nazar lagi hay"

hamary watan-e-azeez ko hamary khud k amaal ki hi nazar lag gayee hay , main kai baar arz kar chuka hon k ham zindagi k har masly main khaa wo mazhabi , deni ho ya aam duniyawi uss main 2 qisam ki sochain rakhty hain na poory duniyaa daar banty hain aur na hi poory deeni ban saky hain

ham har masly main adhy teetar aur adhy baTair ban chuky hain duniya k mu'aalat ka hall deen sy talash karty hain aur deeni amoor ka hall duniya sy talash karny ki koshish karty hain iss trah hum ny deen ko duniya main aur duniya ko deen main apni marzi sy mix kar rakha hay jo k hamary har masly aur preshani ki sab sy barri waja hay

misal k tor par hum pakistaniyon main rayj shadi biya ki rosmat ko hi daikh lain sari shadi main aik hi kaam islami hota hay yaani nikah laiken sath main sab kaam ghair islami aur apny alaqaiee culture ka hissa hoty hain laiken hum muslim hony k bawjood islam k iss aham tareen amal (nikah ki taqreeb) main sy ghair islami rasomat ko nahi nikal saky , yani nikah islami kam hay magar iss ki adaygi main b hamri "duniya" involve hay

issi trah hamary deegar amoor b hain jo k agar duniyawi hain to unhain hum islam main dakhal karny ki koshish karty hain aur agar deeni hain to uss ka hall duniyawi hathkandon sy talash karty hain

re : "Insano ka gosht khanay walo k baray main Islam kya kehta hay ?"

Islam to aman ka deen hay , Islam to salamti ka deen hay , Islam to ikhlakiyaat par mabni deen hay , Islam ki to taleemat hi yahi hain k haqooq allah ki mu'aafi allah k ikhtiyaar main hay aur haqqo-ul-abaad ki nafarmaani ki sorat main mu'aafi insano k hi ikhtiyaar main hay

Islam to har uss halal janwar k ghosht ko b haram hi kehta / samjhta hay jisy kisi najaiez zaraye , haram ki kamaie , ya chori ki shakal main hasil kiya jaye chy jy k insan ka goshat khana

Islam k nazdeek to haram-o-halal ki wazeh tareen definition majood hay , Islam main kuch janwaron ko khany k liye haram qarar diya geya hay (tafseelat zarori nahi hain ) laiken bawaqt-e-shari majbori aysy janwar jo aam tor par haram hain khany k liye halal ho jaty hain .....issi trah aur kuch janwaron ko khany k liye halal qarar diya geya hay laiken kuch mahsoos conditions ki bina par halal janwar b khany k liye haram ho jaty hain ..

laiken insan k hathon insan ka goshat khana to kisi sorat b Islami taleemat main sy nahi hay yeh Haram hay Haram hay bass
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:9th Nov 2011, 3:36am
 

Aik aur new

haal hi main krachi sy aik aysy shakhas ko girftaar kiya geya hy jo qabar khod kar khawateen ki mayton sy bad ikhlaqi karta tha , astaghfir'ullah ,kia yeh drindagi ki intehaa nahi hay ?
aini Group: Members  Joined: 22nd Jul, 2011  Topic: 4  Post: 52  Age:  25  
Posted on:14th Nov 2011, 9:05am
 

is se barhi kayamat kia ho gi?

hamare ilake me ik bap ne apni beti ki izat loot li...uski beti pregnant ho gai us ne apne bat k bete ko janam diya,,,Astaghfirullah
aini Group: Members  Joined: 22nd Jul, 2011  Topic: 4  Post: 52  Age:  25  
Posted on:14th Nov 2011, 9:05am
 

is se barhi kayamat kia ho gi?

hamare ilake me ik bap ne apni beti ki izat loot li...uski beti pregnant ho gai us ne apne bat k bete ko janam diya,,,Astaghfirullah
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 709  Age:  39  
Posted on:6th Jan 2012, 9:29am
 

Members

Lakin meray khayal mein qayamat abhi bhi kafir dour hai...

aik book mein qayamat ki nishanion mein se aik nishani perhi thi k aik waqt woh bhi aaye ga k aik shaks aik aurat se road per burai ker raha ho ga aur loag ignore kertay huay chalay jaein ge phir aik shaks aaye ga aur unhain kahay ga k agar tum ne yeh kaam kerna hi tha to thora side per ker letay iss terha sab k dermayan kiun kernay lag gaye...

aur yeh alfaz ho shaks kahay ga woh uss doar ka WALI ho ga...

Meray khayal se abhi yeh waqt nahi aaya bas dua yeh kerni chahiye k Allah hum sab ko her buray kaamon se bachaye...

Meri nani dua kiya kerti thein k Ay Allah! na zalim kerna aur na zalim k hawalay kerna...

Mujhay iss baat ki samajh uss waqt nahi aaye thi lakin ab jab sahi shaor aaya to yeh mukhtaisr se dua bohat gehrai rakhti hai...

Bas humein bhi yehi dua kerni chahiye k Allah humein zalim bhi na karay aur na zulm se bhi bachaye...ameen

0786 Group: Members  Joined: 01st Sep, 2011  Topic: 0  Post: 26  Age:  37  
Posted on:7th Jan 2012, 4:26am
 

Mufti

Aap ke nasdeek a mayor of a whole city/town is a wali? Loog jisse mante hoon?

I think jho aap nishaniya qayamat ki bayan kar rahe hain, has already happened, not once but severall times in the WEST.. Wo alag baat he ke kaafi kuch hota hain, islami mumaliqo main jinka door door tak kisi ko pata nahin chalta.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 709  Age:  39  
Posted on:7th Jan 2012, 5:30am
 

0786

Dekhein WALI ka mein ne yeh nahi kaha k woh president/mayor hai...

Meri samajh k mutabiq hakim honay ka yeh matlab nahi k woh wali hai...

Aur aap ne jo baat kahi bilkul west mein aisa ho raha hai lakin jo baat mein ne ki hai woh west/south/east ki nahi k balkeh zamana ki ki hai...

Zamana k matlab koi aik khaas jagah nahi hoti balkeh jo cheez uss waqt raij ho ya chal rahi ho east se west tak...

Meray khayal se abhi woh zamana shayed nahi aaya jis ki mein ne baat ki...

Ho sakta hai 10 baad ya 100 saal baad yeh zamana aa jaye lakin abhi aisa nazar nahi aata...

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 709  Age:  39  
Posted on:8th Jan 2012, 3:38am
 

alirajput

Dekhein mein ne yeh nahi kaha k 100 saal lagein ge ho sakta hai 10 saal baad qayamat ho ho sakta hai 100 saal baad ho ya iss be bhi late...

Aur yeh jo mein ne aik baat kahi yeh to sirf aik nishani hai...

Agar sirf nishanion per hi baat karein to ulma ne poori poori books likhi hain...

Jin mein se kuch ahista ahista poori ho rahi hain...

Aik nishani yeh bhi hai k mard auraton ka roop dharnay lag jaein ge aur auratein mardon ka roop dharnay lag jaein gi...

Yeh nishani bhi poori ho rahi hai...

Lakin jo major nishanian hain jaisay yajooj majooj,dajjal,Hazrat Imam Mehdi a.s ka zahoor,Hazrat Eesa a.s ka zahoor,qustuntuniya ki fatah etc...

Yeh nishanian abhi poori nahi huin jo minor nishanian hain woh waqt k sath samnay aa rahi hain...

Aur aap dekh lein k jab bhi Rasool Allah saww ne fermaya qayamat k baray mein to un-qareeb istemal kiya lakin uss waqt ko guzaray bhi 14 centuries ho gaye hain...

Aur qayamat ka exact din sirf Allah ki zaat ko ilm hai aur yeh aisa ilm hai jo Allah ne apnay Anbiya a.s ko bhi nahi bataya,sirf nishanian bataye hain k yeh nishanian hain...

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013