Arab ka inqlaab itni lambi post to nahi parr saka ..laiken umeed hay k jo batain yahan tahreer ki gayee hongi wo iss arab tabdeeli ka aik apna nuqta nazar hi hoga..lehaza main sirf tittle ko daikh kar post kar raha hon
dar haqeeqat arab main sirf chehron ki tabdeeli arahi hay aur wo b USA ki marzi sy ...aur jisy hum uraf-e-aam main islami ya siyasi inqalaab kahty hain waisy kuch b arab main nahi ho raha
arab to iss qadar hamaqat ka saboot dy rahy hain k jo islam ka sab sy barra dushman hay (USA) uss ko aik to apni god main bitha rahy hain dosri tarf unn sy jadeed aslaha khareed kar uss ki mashiyat ko dobara sy stand kar rahay hain
apni economy ko stand karny k liye USA ko aysa hi mahol darkaar hota hay aik tarf muliki halaat ko kharab karta hay aur logon main baghawat ka mahol paida karta hay to dosri tarf apni marzi k muhary ussi awam par musallat kar k apny mazmoom maqasad b poory karta hay
laiken waye rey muslim khud ko aksriyat kehny waly tumhari aqal main yeh bat q nahi aati k tumhara dushman koi muslim nahi khaa wo qaleel tadad main hi q na ho tumhara dushman sirf aik hay aur wo hay "Zionism"
lehaza jab tak mutehid ho kar iss zionism ka muqabila nahi kiya jata tab tak koi inqalaab haqeeqi maano main inqilaab nahi kehla sakta ...aik islami mulik ny mutehid ho kar islam k name par iss zionism sy chutkara paa liye hay aur aaj poori duniya janti hay k wo islami mulik konsa hay jo amrika aur israil ki ankhon main ankhain dal kar baat kar raha hay
|