Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

What Is True Happiness?

Non Medical Discussion
 
 
 
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:12th Oct 2010, 3:42am
 

What Is True Happiness?

aaj se kai baras qabl jab insaan ne itni taraqqi nahi ki thi tab loag zyada khush.haal aur mutmain nazar atay thay .baRay kunbay aur bohat se bachoN k bawajood  aik doosre se mohabbat se miltay thay aur aik doosre ka ikraam bhi kartay thay.

 juN juN maadi taraqqi hoti gai aur facilities zyada hoti gai luxries, needs ban gayeN aur joint family system ka nizaam bhi taqreeban khatam hi hogaya hae. kam bachay khush.haal gharana pe bhi amal daramad kiya jata hae lekin ab loag pursakoon ya mutmain nazar nahi atay .

mera sawal yeh hae sachi khushi kiya hoti hae ?

isay kis tarah hasil kiya jata hae ?

sachi khushi ka taluq materialistic cheezoN se hae ya k relations se ?

koi aisi baat jo udasi meiN khushi ka baa.es ban jaye ?






myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Oct 2010, 5:18am
 

khushi aur khush.haali

haal hi maiN aik fiqrah paRhnay ko mila jo khushi aur khush.haali ki real taabeer pesh karta hai...kahnay walay nay kia khoob kahaa hai k... khush.haal woh hai jo apnay haal pay khush hai .... jiss nay apnay haal pay khush rahna seekh lia, oss say zeyadah khush.mnaseeb koi aur nahi... hamari poori zindagi (maazi, haal, mustaqbil)... asal main haal hi ka woh lamha hai jo kuch dair pahlay mustaqbil tha, abhi haal hai aur kuch dair baad maazi ban jayega.... lehaza jiss nay lamha.e.haal main khush rahna seekh lia, goya woh saari zindagi khush o khurram rahegaa

khushi ka talluq 'andaroon' say hai, 'bairoon' say nahi...khushi insaan k ander hoti hai, bahar nahi. khushi ka talluq zaahir say nahi baatin say hai. khushi ki birth have aur haven't say nahi balkay insaan ki thinking aur behaviour say hoti hai.... half glass of milk ko koi half empty kah aur samajh kar odaas hojata hai to koi half filled kah auir samajh kar khush.

ham nay ghar main aik molaazim bacha rakha jo dehaati background say tha.woh aksar TV k saamnay baiTh kar tv programm dekhta thaa...aur comments bhi karta thaa...kissi nay poochaa k kia tumhaaray gaouN maiN ghar pay tv hai. woh baray josh say batlaanay laga k hamaaray ghar etna baRa radio hai...ham sab radio shauq say sontay hain...yeh kahtay howay oskay chehray pay tv nah honay ka koi gham nahi balkay radio honay ki khushi ayaan thee.....maiN nay kahaa..yeh hai khushi..... jabkay hamaray bachay yeh kah kar 'odaas' hojaya kartay thay k hamaray ghar pay to nah cable hai nah dish ):

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:12th Oct 2010, 8:06am
 

khushi

Wasif Ali wasif sahib bhi apni kitab meiN kehtay haiN k khush.naseeb woh hae jo apnay naseeb pe khush hae . lekin masla to yehi hae k agar khushi aik internal shaii hae to phir loag khushi se kyuN mehroom haiN ? kiya khush hone k liye bhi learning karni paRti hae ?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Oct 2010, 10:52pm
 

kiyouN mahroom haiN???

  • iss liyeh k log kapray ki shop pay jootay talaash kartay haiN... mayoosi to hogi.. jo cheez jahaaN say milti ho, waheeN say talaash karni chhaiyeh.
  • khushi +ve behaviour aur apnay ander say milti hai, log maal o daulat aur doosrouN k behaviour /environment maiN talaash kartay haiN
  • khushi ander k mausam ka naam hai, log bahar k mausam maiN talash kartay haiN
  • khushi apnay ap say, apni zaat say satisfy honay ka naam hai, log issay doosroun ki zaat say satisfy honay maiN talaash kartay haiN
  • khushi aik kafiyat ka naam hai, log issay cheezouN maiN talash kartay haiN
  • khushi logouN ko 'denay' say hasil hoti hai. log issay doosroun say 'lenay' maiN talash kartay haiN
  • khushi... 'khush.rahnay' say milti hai...log chaahtay hain k onhaiN doosray log 'khush karaiN'
  • khushi dil say nafrataiN, bughz, kadoorataiN, kahhishatay nafs ko nikaalnay say milti haiN, log inhaiN dil maiN paal kar talaash kartay haiN

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:12th Oct 2010, 11:01pm
 

What Is True Happiness?

kal jab maine yeh topic start kiya to sir ji kehtay haiN k sawal woh kiya jata hae jis ka ilm na ho maine unhain jawab diya k some times insaan ko apnay liye to ilm hota hae lekin usay doosroN tak convey karne k liye bhi sawal jawab karna paRtay hain :)
agar hum in points ko mad e nazar rakh kar khushiyaN talash karaiN aur khushiyaN bantaiN bhi to khush hona koi mushkil kaam nahi jaise maiN abhi abhi above reply read kar k bohat khushi mehsoos kar rahi hoN :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Oct 2010, 11:18pm
 

sir g say kahaiN

Nabi kareem saw aksar sahabah RA say sawaal kia kartay thay? iss liyeh nahi k aap saw ko on sawaloun k jawaabaat maloom nah thay balkay woh in sawaloun k jawaabaat say aam logoun ko bhi agaah karna chaahtay thay

ostaad bhi aksra class main students say sawaal karta hai...2 maqsad k tehat...aik to students main sawaal poochnay / sawaal othaanay ka saleeqah sikhlana ...2ndly iss othaye gayee sawaal k jawaabaat /discussions k zariyah poori class ko agaahi dena

yahaan bhi Maryam jaisay ulemaa (baqaulay seemi:) inhi maqaasad k tehat sawaal oThatay hain... aur myrizvi jaisay taalib ilm inhi maqasaad k hasool k liyeh inpar discussions kartay haiN

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Oct 2010, 11:24pm
 

ghum aur khushi baaNTna

  • khushi taqseem karnay say apki apni khushi kam nahi hoti albattah doosroun ko bhi miljati hai... jaisay ham apnay inbox maiN maujood kissi khoob.soorat manzar /joke etc ko jetnay zeyadah logouN ko forward karengay, woh khoob.soorat manzar /joke etc otnay hi zeyadah logouN ko khush karega...aur hamaray inbox say bhi woh khatam nahi hoga balkay hamaray pass bhi rahega.... balkay ham inhaiN jetni baar kissi ko forward karengay, otni baar inhaiN dekh /read karkay ham bhi khush hongay aur dossray inhaiN receive karkay bhi ossi qadar khsh hongay
  • apnay ghum ka har waqt rona ronay ki bajaa.ay doosroun k ghum baaNtnay ki koshihs karain. iss tarah onka ghum halka hoga...doosroun ka ghum halkaa karnay say woh bhi khushi ki taraf qadam bah qadam barhengay aur apko bhi khushi hogi... kissi ka gham baaNT.nay say hamain kabhi onka ghum nahi milta jabkay onkay ghum kam /khatam hojatay hain
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:12th Oct 2010, 11:31pm
 

Re:

ab to aap waqai hi sharminda kar rahe haiN . asal meiN jawab dena itna mushkil nahi hota jitna sawal karna . kabhi kabhi izzat e nafs pe bhi choT paR jati hae :) beharhaal agar sawal jawab se bhi khushi hasil hosakti hae to i think khush hona chahiye :)

khushi ka taluq waqai hi dil k mausam se hota hae aur dil na to kisi ki surat pe jata hae na hi paise pe. na to koi shopping hi dil ko khush kar sakti hae na hi qeemti ghar aur gaRi. kyuN k yeh sab zindagi ka hasil nahi agar hota to duniya main na to koi Abdu.ssatar Edhi sahib jaisa hota aur na hi Bilgate jaisa jinhoN ne apni daulat charity meiN lagai.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Oct 2010, 11:59pm
 

I'm really sorry

mujhay lagta hai k kabhi kabhi meray tanz o mazah k nishtar say log 'sharmindah' bhi honay ki 'koshish' kartay haiN aur 'majrooh' honay ki bhi :)...halaaNkay mera aisaa koi 'iradah' nahi hotaa... agar aisaa hai to I'm again sorry... TOM meri waahid 'kamzori' hai. ab to arsaa howaa maiN nay TOM likhna bhi band kardia hai (paRhnaa nahi)... baRay baRay log naraaz jo hojatay /hochukay haiN :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:13th Oct 2010, 12:04am
 

sawaal karna, jawaab denaa

iss par to tamaam scholars (including me:) muttafiq haiN k sawaal karna (haath phailaa kar nahi:) dunyaa ka mushkil tareen kaam hai...jawaab to koi bhi day sakta hai........dunya ki azeem universities apnay students ko yehi hunar sikhlati haiN...... agar kissi k zehan main sawaal "paida" hojaa.ay to "baRaa kaam" to hogayaa...jawaab to woh kissi nah kissi tarah dhoond hi legaa...zindagi k baray baray RAAZ sawaal oThanay hi ki wajah say maloom howay hain. Dr. zaakir ki tarah I also love to read, listen & involve in Q&A sessions in every medium:)
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:13th Oct 2010, 12:14am
 

again sharminda kar diya :)

aap TOM (tanz o mazah) likha bhi karaiN aur kiya bhi karaiN . mujhay bhi Tom & jerry bohat pasand haiN :) TOM se smile k mutaliq kuch bataiN zehan meiN ayi haiN

muskrahaT aik aisa sadqa hae jo sab ba.asaani kar bhi saktay haiN aur isay har koi le bhi sakta .

jo koi apnay parents ko muskra kar dekhta hae usay aik maqbool hajj aur umrah ka sawab milta hae

jab 2 spouse aik doosre ko muskra kar dekhtay haiN to Allah pak unhaiN dekh kar muskrata hae .
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:13th Oct 2010, 12:17am
 

Jazak Allah

thanx a lot
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:14th Oct 2010, 2:27am
 

very nice discussion :)

yeh thread parh k bahut acha laga...

admi ko jo chiz pasand ho uskay hasil honay par khushi mehsoos karta hai

isiliay kuch log car bangla hasil honay par khush ho jatay hain, kuch log business man ban kar, kuch log achi job hasil kar k, aur kuch log beta peda honay par, waghera waghera..

kuch log doctor ban kar khush hotay hain, kuch engineer ban kar, kuch phd kar k aur kuch kisi khas kisam k ilm ma shohrat hasil kar k khush hotay hain

kuch log apnay rishtedaron ki help kar k khush hotay hian, kuch dukhi insanon ki khidmat kar k khush hotay hian

aur kuch log ibadat kar k khushi mehsoos kartay hian, aur ibadat ma khushi sirf wohi log mehsus kar saktay hain jo dusray insanon ka dil nahi dukhatay,

baat sirf itni si hai k "pasand" kia hai, jo chiz pasand ho, hasil honay par khushi hi milti hai...

isiliay apni "pasand" us chiz ko banaya jaey jo har wakt asani se hasil rahay, agar "khatam honay wali chiz" ko apna standard bana lia tau khushi bhi "thoray ursay tak rahay gi"

aur agar "hamesha rehnay wali zaat" ko apni pasand bana lia jaey tau khushi "hamesha" hasil rehti hai, is dunia ma bhi, aur is se agli dunia ma bhi....
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:14th Oct 2010, 2:35am
 

very well said

  • khushi aik kafiyat ka naam hai, log issay cheezouN maiN talash kartay haiN
  • khushi logouN ko 'denay' say hasil hoti hai. log issay doosroun say 'lenay' maiN talash kartay haiN
  • khushi... 'khush.rahnay' say milti hai...log chaahtay hain k onhaiN doosray log 'khush karaiN'
  • khushi dil say nafrataiN, bughz, kadoorataiN, kahhishatay nafs ko nikaalnay say milti haiN, log inhaiN dil maiN paal kar talaash kartay haiN

ibadat darust ho tau duniawi naymaton se nafs ki "saeri" hasil hoti hai.. jesay khana kha kar pait bhar jana, pani pi kar pias bujh jana, guzara karnay ki zarorat k mutabik kharcha hasil ho jana, 6 ghantay so kar neend poori ho jana..

agar ibadat ma ghaflat ho tau duniawi naymatain nafs ko "saer" karnay ki bjaey AUR ZIADA BHARKATI HAIN, isi liay admi jitna bhi pesa ikatha kar le uska ji nahi bharta, jitna bhi achi chizain kha le, hamesha bhooka hi rehta hai, jitnay bhi mashroobat pi lay, uski tasalli nahi hoti yahan tak k sharab pi kar bhi tasalli nahi hoti, jitna bhi so le, neend nahi poori hoti.....
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:14th Oct 2010, 6:34am
 

info bhai

please to see u with very nice discussion .

exactly . khushi usi waqt hoti hae jab koi shaii matloob bhi ho . jis shaii ki talab hi nahi woh khsuhi ka baa.es nahi ban sakti.

agar insaan pyasa hae to woh samandar meiN reh kar bhi khush nahi reh sakta k samandar us ki pyaas nahi bhuja sakta . us ki khushi to aik ghoonT pani meiN hae jo us ki talab khatam kar de.

khushi bhi waqt aur halaat k sath badalti rehti hae e.g aftaar k waqt pani aur khana khushi ka baa.es banta hae us waqt agar koi duniya jahaN ki daulat bhi de de aur khana muyassar na ho to woh daulat khushi ka baa.es nahi ban sakti.

isi tarah martay huwe ko duniya ki bad.sha.hat bhi ata kar di jaye to woh us k kisi kaam ki nahi na hi koi khushi de sakti hae.

bilkul isi tarah aik momin k liye suchi khushi us k Malik e haqeeqi se mil jana hae. asal khushi maqsad hasil honay ki hae k hasool kiya tha aur paya kiya.




info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:15th Oct 2010, 4:08am
 

maryam sis

welcome karnay ka shukria :)

nice discussion tau pehlay sy hi is thread ma chal rhi thi isliay mera bhi is ma shamil honay ko dil chaha...

Allah Taala nay quran ma tamam logon ko "open challenge" dia hai k insan jitnay marzi banglay kharay kar lay, dolat k dher laga lay, dunia ki tamam naymatain samait ly magar....

sura raa'ad : ayat 28

"sun rakho k Allah k ziker hi say dilon ko itminan naseeb hota hai"
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013