sedra Ali
|
Group: Members Joined: 24th Dec, 2007 Topic: 8 Post: 89 Age:
26
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 12:28pm |
|
|
What`s the Difference b/w M.A Economics & M.Sc Economics? Aslam_o_Aloakum 2 Everyone
I hope k ap sub theak houn gy,,,,
May ap sb sy ye puchna charaei the ki M.a Economics Or M.sc Economics may kia difference hai??
Plz reply me queckly |
sedra Ali
|
Group: Members Joined: 24th Dec, 2007 Topic: 8 Post: 89 Age:
26
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 1:00pm |
|
|
hello is there anyone 2 reply me plzzzzz?????? |
sedra Ali
|
Group: Members Joined: 24th Dec, 2007 Topic: 8 Post: 89 Age:
26
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 2:08pm |
|
|
RPLY Koi tu mjy reply kry plzzzzzzzzz |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 2:31pm |
|
|
Sedra ji MA Economics urdu meiN hota hae jab k M.Sc english meiN. |
sedra Ali
|
Group: Members Joined: 24th Dec, 2007 Topic: 8 Post: 89 Age:
26
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 2:35pm |
|
|
Maryam kia matlab?????
kia ye difference hai????
Ap ko ager koi info nahi tu reply na kia karain plzzzzzz |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 2:41pm |
|
|
Sedra ji
i think to yehi difference hae aap sabar o tahamul se kisi aur k reply ka wait kar laiN :)MA Economics masters in education is easier than masters in science. u can do marketing after MA Economics but MSc degrees in economicsare incredible mat insentive andare designed to prepare student for the rigors of doctoral research. MS in economics is more expensive than MA economics. another thing Ms is much better than MA in economics bcoz MA degree consider as undergraduate in foriegn countries but Ms degree consider as 16 years education like foriegn countries.
|
sedra Ali
|
Group: Members Joined: 24th Dec, 2007 Topic: 8 Post: 89 Age:
26
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 3:02pm |
|
|
Maryam masla ye hai ki mary bhai ny B.sc kia hai wo Msc economics karna cha rahaha hai lakin jis unvesity may admission hua hai waha M.sc na M.a economics karwaty hain,or wo kehrahy hain ki koi difference nahi,bz universities economics ko Science or bz Arts ki degre deti hai,,subjects 2noun may same hoty hain,,bhai confuse tha tu may ny pucha,,
Ap mjy bataye ki economics tu Arts may ata hai phir Science ki degree kaisy dty hain,,
kia M.A economics or M.sc ECON.ki degrees may koi difference hai???? |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 3:19pm |
|
|
Sedra ji agar aap k bhai ne B.sc ki hae to unhaiN MSc hi karna chahiye. MA jo masters in education hae yeh humanities meiN include hota hae . jab k MSc scientific degree hae. MS ki degree MA se zyada behtar hae. in k content mein bhi farq hoga. MSc meiN maths aur stats par zyada focus hota hae.
MS ki degree foreign countries meiN 16 years education k brabar hae jab k MA degree 14 years education k. yani foriegn graduate k brabar.
MSc ko special designed kiya jata hae takay students phd level tak jasakaiN jab k MA economics aur MBA k foran baad phd nahi ki jasakti in this major. aap k bhai kis uni meiN admission le rahay haiN ? |
sedra Ali
|
Group: Members Joined: 24th Dec, 2007 Topic: 8 Post: 89 Age:
26
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 3:26pm |
|
|
Maryam sis. wo BZU multan may ly rahA hain,,,
wahan sy tu M.SC nahi karwa rahy wo kaisy kary ga,,,
actually 2009 may us ny bsc complte ki the ab ager wahan nahi gia tu ye sal b zaya hoga,,hm tu zor dy rahy hain mager wo nahi man raha,,,
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 3:36pm |
|
|
Sedra ji agar Uni walay keh rahay haiN k their both degrees are similar aur kahiN aur admission nahi hosakta bcoz of missing an year to aap k bhai yahaN hi join kar laiN . it depends on academic taught & research masters. Pak meiN is ki value 16 years degree ki hi hae. degree na honay se degree hona better hae. saal zaya na karaiN kyun k uni walay fresh students ko prior kartay haiN aur age bhi matter karti hae. |
love bird
|
Group: Members Joined: 06th Nov, 2008 Topic: 73 Post: 1175 Age:
37
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 3:52pm |
|
|
MSC Economics oar MA Economics meiN kohee farq naheeN baaz universities Economics meiN masters karnay walooN ko MSC Economics ki Degree daiti haiN donoo subject kay master hi kehlain gay oar further eductaion jaisay wo M phil karna chahtay hooN ya oas kay baad PHD donoo ki yaksaaN mawakeh miltay haiN ... |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 3:57pm |
|
|
BZU of multan bahaudin zakariya university k prospectus meiN to M.Sc in economics likha hae lekin merit list meiN MA econoimcs hi hae. aap k bhai ka agar maths acha hae to woh MSc in maths ya stats kar saktay haiN . |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 4:06pm |
|
|
love bird bhai foreign countries meiN MA ki degree graduation k brabar hae MSc ki MS k . agar uni walay Masters in arts ko Masters in science ki degree detay haiN to yeh bohat achi baat hae.i think pak mein yeh itna matter nahi karta. china meiN Ms k fauri baad bhi phd meiN admission hojatay haiN kuch uni meiN . kuch M phil k baad phd cantidates letay haiN. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:9th Oct 2010, 11:06pm |
|
|
MA n MSc ka jhagRa? agreed with Love bird...
1.agar koi B.Sc. k baad economics maiN masters karay to ossay M.Sc. ki degree milti hai (agar uni maiN iska provision ho to)... jabkay B.A. k baad economics maiN masters karnay walay ko M.A. ki degree milti hai. dounoun k subjects same hotay haiN aur value bhi same...sirf faraq yeh parta hai k ap nay kiss institutes say taleem haasil ki hai....... baaz uni to urdu language maiN bhi M.Sc. ki degree detay hain, bah shartekay student nay B.Sc. kia howa ho
2. pakistan maiN amooman graduation (B.A. / B.Sc. /B.Com) 2 saal ki hoti hai aur iskay baad masters bhi 2 saal ki...... albattah hon. main graduation 3 saal ki hoti hai jiskay baad master aik saal maiN...goya graduation+masters = 4 years maiN complete hota hai...jabkay foreign maiN graduation hi 4 years ki hoti hai....... issi liyeh pak say masters karkay bahar janay walay direct Ph.D. nahi karsaktay...onhaiN again MS karna hota hai
3. ab pak ki aham uni maiN bhi graduation 4 years ko ki jarahi hai... takay bahar ki degrees k mosawee hasiyat ki haamil hosakay... karachi uni maiN BA, BS ab 4 years k horahay haiN...phir iskay baad masters hogi...aur iss masters walay bahar direct doctrate bhi karsakengay.
sedra Ali:
agar apkay bhai ko M.Sc. ki bajaa.ay M.A. maiN economics offer kar rahay haiN to iss say koi fraq nahi paRta... woh saal bacha kar M.A. hi kar laiN... ecconomics ki masters same hai... aur haaN aap Maryam sis ki knowledge ko challengae nah karaiN... onkay husband foregn main Ph.D. kar rahay haiN... aur woh onkay saath saath hi hoti haiN...shayad issi wajah say mausoof ki Ph.D. maiN taakheer horahi hai :) |
sedra Ali
|
Group: Members Joined: 24th Dec, 2007 Topic: 8 Post: 89 Age:
26
|
|
Posted on:11th Oct 2010, 9:54am |
|
|
`Thanks 2 all Love bird,Maryam SIS anq My rizvi ap sub ka bohat shukirya for very nice information,,
Myrizvi,,
Ap sahi kehrhy hai mjy Maryam sis.ko challenge nahi karna chaye tha b/c she has given me alot of info about my matter,,
Maraym sis once again thanks for ur guidence,,my bro is know ready for M.a Economics. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:11th Oct 2010, 10:09am |
|
|
Sedra ji my pleasure . i just tried my level best . wese mujhay pak uni ka waqai hi ilm nahi aap ko jaldi thi isliye net searching ki :)
|
sedra Ali
|
Group: Members Joined: 24th Dec, 2007 Topic: 8 Post: 89 Age:
26
|
|
Posted on:11th Oct 2010, 10:37am |
|
|
Maryam ok Thanks |
|