Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Martial Law Vs Democracy In Pakistan

Politics
 
 
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:17th Sep 2010, 5:49pm
 

Orginal Posted By AapkaDost

Friends !

Pakistan mein aik dafah phir Martial law ki rahain hamwar hona shirooh hogahee hain..phir say wohee aawazain aana shirooh hogahee hain keh hai kohee dictator ho awam ki select ki hohee parliment ko khattam karay tou hum oas ki B team bannay ko tyyar hain...hum phir say kissi fouji dictator ko maseeh bananay chalay hain...iss bar humari adlyea phir say bharpoor tahawan karnay ko tyyar laqti hy...Media bhee martial law ko support karnay ko bai-qarar hy....

inn halat mein app kia kehtay hain?

KNIGHT Group: Members  Joined: 29th Jul, 2013  Topic: 18  Post: 259  Age:  22  
Posted on:17th Sep 2010, 8:58pm
 

rEp|~

In halaat main hum sirf itna kehte hain...... jageeerdarooon, wadeeeron, zar darooon, chauhdhriyooon, shareeefoon aur tamaam others darooooon.....Altaf hussain bama imran khan, bama united muslim league with musharraf, anaa hi chahtay hain......humari dua hai k ye sab ek hojaenn

agar sab ek nahi hotay tou hum khas kar General Pervaiz Musharraf ki united muslim league ko teh dil se khush amdeed kehna chahtay hain..

jab tak shareefon, zardaron, aur wo tamam khandaani siyatdaanon ka kala kuma nahi hoga tab tak main nahi samajhta k Pakistan main jamhoriyat asakti hai. jamhoriyat ho ya fouji doar humain tou bas Pakistan ki tarrakki aur khush haali chahiyai, Musharraf ka doar hi wo wahid sunehra doar tha jab Pakistan apne pairon pe khara hokar chalna shuru hogaya tha aur loag khush haali ki janib gaamzan honay lagay thay....

Ab wakt agaya hai k in sab ek hi thaali k fruits ko sar e aam phansi di jae aur aesa ibrat ka nishan banaya jae k inki naslain bhi peda honay se darain.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:19th Sep 2010, 9:10am
 

Martial Law Vs Democracy In Pakistan

USA iss waqt duniya ki super power hey uss ki mu'ayshiyat ki bat ho , technology ki bat ho , difaaiee salahiyat ki bat ya phir kharja amoor ki bat ho USA iss waqt har mydaan main super power ki hasiyat rakhta hey ..aur iss bat sy inkaar nahi kiya ja sakta...taham jo super power hota hey ussy aik hi dar laga rehta hey k uss ki super messy ko koi dosra challenge na kar dy

iss tnazar main super power apny aap ko har lehaaz sy mehfooz rakhny k liye dosry k gharoon main larraie jhagrry ki fiza banay rakhta hey ta k koi uss k muqabil na asky ...aur jis k ghar main super power larraiee jhagrra paida nahi kar sakta ussy larraiee jhagrra shuda ghar main baith kar watch karta rehta hey k aya yeh kaisi soch aur fikar rakhta hey super power k bary main

Pakistan jughrafiyaaie (geologically) lehaz sy aysy hitta-e-zameen par waqiya hey jis k charoon atraaf duniya k aham treen mumlaik ki sarhadain milti hain..iss liye pakistan ko har time mushkalaat main gira rakhna USA ki policy ka hissa hey ...aur baad azaan pakistan main baith kar China . Afghanistan , India , Iran par mustqal nazar rakhi ja rehi hey inn countries ki mu'aashi sorat haal , dafaiee sorat haal ya kisi dosry aamoor ko baqayda watch kiya ja raha hey aur aysy mu'amlaat ka tadarak kiya ja raha hey jo USA ya USA ki super messy k liye khatara ka bays ban sakain ..

yeh kam USA pakistani goverment sy laita hey choon k khud USA yahan pakistan main Govt. nahi kar sakta yeh mumkin nahi hey... lehaza USA ny apni iss mushkil ka hall pakistani chehroon ko khareed kar nikaal liya hey

USA hum pakistaniyoon k zariye na sirf hamarey humsaya mumalik par nazar rakhy howy hey bulky yahan sy unhain control b kar raha hey ...is liye pakistan k andar Martial Law ho ya Democracy yeh sab wo batain hain jin ka pakistani awam ki bhalaiee sy koi taluq nahi ...yeh sab USA ki chalain hain jab waqt aya to Democracy in aur jab waqt aya to Dictator Ship in kar di jati hey

hamary liye yeh dono tarz-e-khakoomt mehaz khud ko tasaliyaan dainy k liye hain... hum jab jamhooriyat sy ukta jaty hain to dictator ship ki demand karty hain aur jab dictator ship sy tang ajaty hain to jamhoriyat ki demand karny lag jaty hain ....asal bat yeh k jab tak hamary saro par USA sawar rehy ga tab tak pakistan main kisi b qisam ka tarz-e-khakoomat pakistani awam k liye nahi hoga wo USA k liye hoga ....aur jab jab USA chahy ga iss nizam ko tabdeel kar k apny maqasad hasil karta rehy ga...
AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  37  
Posted on:22nd Sep 2010, 8:46pm
 

Kia

Martial Law say "aur wo tamam khandaani siyatdaanon ka kala kuma nahi hoga" Say khandani syasat khattam hojai gi?

Kia Martial law say Pakistan mein American control khattam hojai ga?

Pakistan ki history ki roshni mein jawab dain?

For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How to apply UK student visa  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us