Martial Law Vs Democracy In Pakistan USA iss waqt duniya ki super power hey uss ki mu'ayshiyat ki bat ho , technology ki bat ho , difaaiee salahiyat ki bat ya phir kharja amoor ki bat ho USA iss waqt har mydaan main super power ki hasiyat rakhta hey ..aur iss bat sy inkaar nahi kiya ja sakta...taham jo super power hota hey ussy aik hi dar laga rehta hey k uss ki super messy ko koi dosra challenge na kar dy
iss tnazar main super power apny aap ko har lehaaz sy mehfooz rakhny k liye dosry k gharoon main larraie jhagrry ki fiza banay rakhta hey ta k koi uss k muqabil na asky ...aur jis k ghar main super power larraiee jhagrra paida nahi kar sakta ussy larraiee jhagrra shuda ghar main baith kar watch karta rehta hey k aya yeh kaisi soch aur fikar rakhta hey super power k bary main
Pakistan jughrafiyaaie (geologically) lehaz sy aysy hitta-e-zameen par waqiya hey jis k charoon atraaf duniya k aham treen mumlaik ki sarhadain milti hain..iss liye pakistan ko har time mushkalaat main gira rakhna USA ki policy ka hissa hey ...aur baad azaan pakistan main baith kar China . Afghanistan , India , Iran par mustqal nazar rakhi ja rehi hey inn countries ki mu'aashi sorat haal , dafaiee sorat haal ya kisi dosry aamoor ko baqayda watch kiya ja raha hey aur aysy mu'amlaat ka tadarak kiya ja raha hey jo USA ya USA ki super messy k liye khatara ka bays ban sakain ..
yeh kam USA pakistani goverment sy laita hey choon k khud USA yahan pakistan main Govt. nahi kar sakta yeh mumkin nahi hey... lehaza USA ny apni iss mushkil ka hall pakistani chehroon ko khareed kar nikaal liya hey
USA hum pakistaniyoon k zariye na sirf hamarey humsaya mumalik par nazar rakhy howy hey bulky yahan sy unhain control b kar raha hey ...is liye pakistan k andar Martial Law ho ya Democracy yeh sab wo batain hain jin ka pakistani awam ki bhalaiee sy koi taluq nahi ...yeh sab USA ki chalain hain jab waqt aya to Democracy in aur jab waqt aya to Dictator Ship in kar di jati hey
hamary liye yeh dono tarz-e-khakoomt mehaz khud ko tasaliyaan dainy k liye hain... hum jab jamhooriyat sy ukta jaty hain to dictator ship ki demand karty hain aur jab dictator ship sy tang ajaty hain to jamhoriyat ki demand karny lag jaty hain ....asal bat yeh k jab tak hamary saro par USA sawar rehy ga tab tak pakistan main kisi b qisam ka tarz-e-khakoomat pakistani awam k liye nahi hoga wo USA k liye hoga ....aur jab jab USA chahy ga iss nizam ko tabdeel kar k apny maqasad hasil karta rehy ga... |