Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Pakistan Main Har Sal Do Eidain Q Hoti Hain?

Non Medical Discussion
 
 
 
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:9th Sep 2010, 2:45pm
 

Pakistan Main Har Sal Do Eidain Q Hoti Hain?

  • pakistan main har sal do eidain q hoti hain ?
  • aaj b pakistan ki markazi royt-e-halal committee keh rehi hey k poory mulik main kaheen b eid ka chand nazar nahi aya ...laiken khaibar pakhtoon khuwa main aaj eid ka chand kaisy nazar ageya hey ?
  • phir sy hum do eidain q mana rehy hain ?

kia iss bat sy yeh zahir nahi hota k khaiber pakhton khuwa pakistan k sath nahi chalna chahta?

behar haal advance main sab members ko eid mubarik (11 september wali eid)




bilalzia91 Group: Members  Joined: 14th Jul, 2010  Topic: 5  Post: 49  Age:  22  
Posted on:9th Sep 2010, 3:03pm
 

khar mubarek

hahahah thk kaha bhai dakho wo pathan hyn wo kuch b kar sakty hyn i hope k chand salo tak har subay alag eid ho gi
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:9th Sep 2010, 3:29pm
 

eid moon and eid

agar eid manane ke liye moon dekhna zaroori hai tu phir yeh baat sahi hai keh jis ne moon dekha woh eid manaye aur jis ne nahi dekha woh eid na manaye.

agar peshawar wale ne moon dekha aur eid manarahe hai tu woh apni jagah sahi hai. aur baqi pakistan walo ne moon nahi dekha aur woh eid nahi mana rahe tu woh sab bhi apni jagah sahi hai.

kal peshawar walo ki eid hai, mai peshawar se taluq rakhne wale tamam members ko eid mubarak kehta haoo. umeed hai keh peshawar wale bhi baqia pakistan ke logo ko parso eid mubarak kahe ge.

eid mubark kehne mai kanjoosi nahi kerni chahiye. ab agar peshawar wale kal eid mana rahe hai tu kisi ko takleef nahi honi chahiye. doosro ki eid aur khooshi ko tasleem kerna chahiye aur bila wajah on ke rang mai bhang nahi dalna chahiye.

Related Post: Ramadan And Eid Moon


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:9th Sep 2010, 10:52pm
 

2 EidaiN kiyouN nahi???

1. yeh aik fashion saa hochalaa hai k Eid aik din hi manaani chaahiyeh...aakhir kiyouN??? ab to yahaaN tak kahaa janay laga hai k poori dunyaa maiN aik din Eid manaani chaahiyeh... kia iski koi sharayee "zaroorat" hai ya sharayee "jawaaz" hai???

2. kia ham (aik mulk yaa poori dunyaa maiN) mosalmaan namazaiN aik hi waqt maiN paRhtay haiN ??? kia hum aik hi waqt maiN rozah start aur iftaar kartay haiN??? kia yeh laazmi hai k har mulk ka "standard time" aik hi ho ... khud muttah pakistan maiN East aur west pak ka standard time alag alag nahi thaa aur aj bhi deger momaalik maiN (within country bhi) standard time jodaa jodaa nahi hai????

3. Islam main jo "ibadat" bhi "waqt" k saath munsalik hai... like 5 times namazaiN, rozah rakhna, rozah start karna, eidain yaa khaas ayyam like shabay qadar, shabay bar'aat etc etc....... woh sab k sab "moqaami waqt" say "munsalik" hoti haiN... aur iss tarah "munsalik" hoti haiN k har daur k har qism k log oss par easily amal karsaktay hain.... yani agar watches /clocks agar nah bhi houN to 5 times ki prayers 'moqarrarah time" par easily adaa hosakay... latest met facilities nah bhi houN to kissi elaqay k log new luminar month ka easily ta.ayyun kar sakaiN.

4. islamic luminar months ka aghaaz "moon ki royat" (chaand ko aankhouN say dekhnay) say hota hai... scientifically 'moon-birth" say nahi.......lehaza nah sirf yeh k dunya bhar maiN alag alag ramzan, eid etc manaanaa jaiz hai aur iski "tazheek" naaqaabilay qabool........ balkay agar kissi mulk ka tool o arz maidaani o pahaaRi elaqouN par mushtamil ho...... yaa jugrafia etna taweel ho k aik area aur doosray area kay timings of sunrise o sunset judaa judaa houN aur kissi elaqay main moon sightening pahlay hojanaa mumkin ho to oss elaqay k log apni apni royat k motaabiq eidain manaa saktay haiN. iss main koi mozaiqah nahi

5. albattah agar kissi elaqay /mulk k log iss baat par "muttafiq" hojayaiN k onkay elaqay /mulk maiN kissi bhi jagah chaand nazar aa jaa.ay to woh sab mil kar aik hi din eid manaayengay to yeh bhi ossi taarh JAIZ hoga jiss tarah alag alag eid manaanaa........ chouNkay pakistan main alag alag eid manaanay k awaamil maujood haiN... khaiber maiN amooman pahlay chaand nazar aa jata hai..... aur hakoomataiN sarkari taur par issay tasleem nahi karteen ... aur hakoomati iqdaam ko awaam tasleem nahi kartay lehaza do eid manaanaa jaiz hai.

6. aik eid manaanaa samaji / mo'aasharti lehaaz say "behtar" hosakta hai... sharayee taur par nahi....... lehaza iski zimmadari reyasat /hakoomat par ayad hoti hai nah k awaam par........ hakoomat sarkari royat hilaal ka ijlaas hamesha khaiber k elaqay maiN kiyouN monaqid nahi karti jo qudrati taur par balaayee elaqa hai........ iskay baraks.........karachi main habib bank plaza par chaRh kar doorbeenouN say chaand dekhnay ki koshish kiyoun karti hai....... iss martabah to khaas taur par gulistanay jauher k met office ki small building ki chat say chaand "nah dekhnay" ki koshish ki gayee (sarkari hedayat par).....????

7. bahar kaif mulk k beshtar elaqoun maiN eidaiN sarkari elaan apr hi manaayee jati hain aur yeh bhi durust hai....albattah jin elaqoun k logouN ko hakoomat par etbaar nahi /yaa onhaiN chaand saaf saaf nazar aa jata hai, onka sarkari eid say pahlay bhi eid manaanaa durust aur jaiz hai aur onpar tanqeed karna ghalat hai

wallaho aalam bissawab

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:10th Sep 2010, 12:59am
 

myrizvi

apki sub batin bujaa hen, lakin kul pory pakistan meah chand nuzar nahi ayaa ,meah khod pukhtoon khuwa say hoon lakin asaal bat yeh hay kay sudaa humasaha say yeh log Eid hum say ek din phely kurty hen enko chand nuzur aay ya na aay eno nay Eid pakistan kay sath nahi kurni hy, 

Allah pak Quran meah yeh bhe furmaty hen kay apny Hakim jo hen onki Furma burdari kuro or Rohit a hulal kumati pory pakistan ki nomaynghi kurti hay or sary muslik ek jugaha mojood hoty hen, or woh chand ko dakhty heh or oski rohiyaat ka ehlaan kurty he, 

NWFP , and afghanistan meah eid humasha ek din phely hoti hay or ono nay apni ek Ruwait bunaa rukhi hay, chand kul humko KSa meah bhe nuzur nahi aya pakistan meah kesy enko nuzur aghiya , yeh jhooty hen, enko chand or rumzan or eid say ziydaa apni Ruwayit or burturi uzeez hay

EId , jessy Ijtimah, Unity ko furogh daty hen, agur onko chand nuzur ajata hay tu woh Hukomat ki rohiyaat a hulal kumati ko apni shahadut ku nahi pash kurty, ku dad dad ent ki musjid bunaa rukhi hay, 

NWFP ka alag say eid munana , Intahaai ghult iqdaam hay, jub wo pakistan ka hisa or sobaa hay tu pher onko pakistan kay sath chulna chayeh, 

enko chand nuzur aay ya naa ay enko Eid saudia kay sath he munana hoti hay,  yeh ek momlikut hay , ek hukomat hay, yahaa essy kam molk meah Fitna or Unity ko tar tar kurty hen, or enka yeh announce kurna kay eno nay chand dakha jhoot ka pulunda hay , yeh serf apni es Ruwaayt ko burquraar rukhy howy hen, jo salo say chuli aarhi hay kay eno nay eid ek din phely munani hay,

tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  28  
Posted on:10th Sep 2010, 1:07am
 

EID MUBARAK

Ae CHAND tu unko mera pegam keh dena,

Khushi ka din aur Hasi ki sham keh dena,

Jb who Dekhe tuje bhar akar to unko Mera Salam keh dena.

Wish u a very – very Happy Eid

All my family members

tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  28  
Posted on:10th Sep 2010, 1:20am
 

DO EID

Assalm alikum

Aap sbhi ko Tuba ki tarf se Eid bahut bahut mubark ho.

Hai aksar log 2 eid mana lete the, lakin is baar yha India mein 2 eid nahi huyi lakin hai khi khi yha hum samit 12 August ko ROZA rakha tha aur khi 13 August mein ab pata nahi 13 August wale kb eid manaye. Lakin yha ke City Immam Pakistan, Arab ke upper b eid ka elan kr dete hai. Agar yha chand nahi dhekhta hai tb. Delhi city ke Immam Shab sb place per call krke confrm krtein hai. Aur agar Arab mein eid ho gyi to pakka samjh le ki yha India mein eid manali jaygi. Ab jase aaj 10 Sep. ko Arab mein eid hai. Aur 30 ka chand b ho gya. To ab kal 11 Sep. to India mein bhi eid hai qki chand ki date ko ek hi rhegi na issi lye India mein b chand 30 ka huya. Humne wase kal QTV per jb chand ki date magrib ke baad dhekhi thi tb 30 hi show kr rhe the berhal ye khushi ka din hai ALLAH sb ko khushi de sare Allam ke Musalmno ko.

Ek baar fir aap sabko tuba ki traf se eid mubarak ho all members.

Battery Group: Members  Joined: 17th Jul, 2010  Topic: 8  Post: 144  Age:  19  
Posted on:10th Sep 2010, 2:24am
 

EID MUBARAK

To all my brotherz in sisterz
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:12th Nov 2010, 5:33am
 

Allah kary

Eid-ul-Azha poory pakistan main aik hi din ho...:)sab pakistani aik hi din iss eid ko celebrate krain ...ameen
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:31st Jul 2011, 3:17pm
 

Ramzan ka chand

sabiqa rawayet ko barqrar rakhty howy aik bar phir Peshawar (Pakistan) k ulma ny ramzan ka chahd daikhy jany ki guwahi di hay , aur ba zabita elaan kar diya hay k kal baroz somwaar 1 august 2011 ko pehla roza hoga

wazy rahy k yeh chand Peshawar main sirf 5 mardon aur aik aurat ko nazar aya hay jis ki base par elaan howa hay k kal roza hay , jahan yeh ajlaas howa hay wahan na to koi sarkaari ahal'kaar sharek tha aur na hi pakistan ki markazee royet-e-halaal committee ny iss faisly ki tasdeeq ki hay

sawal yeh paida hota hay k 28 shabaan ko ramzan ka chand kaisy nazar aasakta hay ? chahy shahadtain apni jaga drusat b hon laiken islamic taqweem k lehaaz sy koi b islami month 28 din ka nahi ho sakta

behar'haala amsaal b pakistan main eid-ul-fitar ki namaz 2 din parri jaye gi yaani phir sy 2 eidain hongi ......
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013