Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

China: Kya Pakistan ka dost hai yaan sirf istamal kar raha hai?

Politics
 
 
Salil Group: Members  Joined: 20th Aug, 2010  Topic: 3  Post: 30  Age:  38  
Posted on:25th Aug 2010, 4:00am
 

China: Kya Pakistan ka dost hai yaan sirf istamal kar raha hai?

Kya China, Pakistan ka asli dost hey?  Yaan China Pakistan sey sirf dosti kiye huey hai kyon ki woh Pakistan key dwara India ki progress ko woh rokna chahta hai?
Europe aur America mein yeh soch hai ki China Pakistan ko sirif apney India key khel mein istamal kar raha hai aur jab China ka mutlab pura ho jayeega woh Pakistan key barey mein sochga bhi nahin.
Iskay barey mein aap ka kya khayal hai?
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:25th Aug 2010, 8:51am
 

guftagoo se pehle

Salil: kia aap apne baare mai tafseel se bataye ge keh keh

  1. aap ka mazhab kia hai?
  2. aap ki mother tongue kia hai?
  3. aap ki nationality kia hai?

aap se discussion se qabal hamare liye yeh maloomat zaroori hai. takeh hamai pata chale keh ham kis se mukhatib hai. iss forum per 99% Members muslim aur Pakistani hai, aur yeh website bhi Pakistani hai. lehaza ham apas mai Pakistan ya Islam ke oopar jo bhi comments de, woh hamari apas ki baat kehlaye gi. lekin kisi ghair mulki aur ghair Muslim se guftagoo kertey waqt iss baat ka khayal rakhna perta hai keh hamai kia kehna hai aur kia nahi kehna hai.

agar aap ghair Muslim aur non-Pakistani hai tu phir ain mumkin hai keh iss forum ke beshtar member aap se mazhab aur politics per guftagoo kerna pasand nahi kare ge. aise members ko mashwarah hai keh woh sirf aur sirf Medical Section tak mahdood rahe. baraye meharbani woh Mazhab aur Politics per guftagoo na kare.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:25th Aug 2010, 10:07am
 

China: Kya Pakistan ka dost hai yaan sirf istamal kar raha hai?

  • China: Kya Pakistan ka dost hai yaan sirf istamal kar raha hai?

kon pakistan ko Istimaal kur raha hay or kon kis ko pakistan kay Khilaaf istimaal kur raha hay  100% Pakistani nation jatni hay or apkay ess statement say Pakistan ki 100% population disagree kurti hay or ho sukta hay du du sonaa bhe day, China is ever green friend of Pakistan. 

  • Keya ap btaa sukty hen India kitny Achy khiyalaat rukhta hay china or pakistan kay leyeh?
  • Europe aur America mein yeh soch hai ki China Pakistan ko sirif apney India key khel mein istamal kar raha hai aur jab China ka mutlab pura ho jayeega woh Pakistan key barey mein sochga bhi nahin.

Europ or Ameria China ki ess fast progress say Khofzuda hen woh china kay moqably meah Inda ko es region meah ziyada strong dakhna cha haty hen,China onka Hureef hay Inida nahi ess leyeh woh china ko kubi achi nuzur say dakhty bhe nahi , china is peaceful country not like them,

  • China ka mutlab pura ho jayeega woh Pakistan key barey mein sochga bhi nahin.

Hur country apny Mofaad apny National Interest ko dakhta hay pakistan bhe china bhe inida bhe Us uk bhe , china pakistan ko safe dakhna cha hata hay es leyeh kay oska purossi hay, or china essi koi thinking nahi rukhna pakistan kay bary meah jesi USA ya Inida rukhta hay yani mali nuzur ,baki sub country apny apny mofaad dakhty hen agur china apna mofaad dakhta hay tu yeh oska Huq hay,

Pak china Friendship bay missal o banuzzeer hay jub 1965 india pakistan war thi tu US nay jhooty dawy help kay keyeh thay lakin field marshal Ayoob khan Raat ki tareeki meah China help kay leyeh ghiyaa Nation ko bhe nahi puta thaa or china nay oss moshkul wakat meah behe pakistan ki help ki on logo nay pakistan ki help nahi ki jo pakistan say dosti kay jhooty daawy kurty hen

Pakistan Army pakistan Air force pakistan navy yani humary sary defense system meah, mezile program meah china humari help kur raha hay or pakistan nay abi JF Thundaar Air fighter china kay tahaawan say bunaya hay or esski production shoro ho choki hay,





Malla Group: Members  Joined: 12th Jul, 2010  Topic: 4  Post: 78  Age:  30  
Posted on:25th Aug 2010, 4:00pm
 

Pak china relation

US or Uk or India tu pakistan meah jaa bujaa modakhlut kurty hen pakistan meah siyaasi change ek phone cal say ajati hay, yeh countries pakistan kay dost nahi hen humary undrooni mohamilaat meah modakhlut kurty hen,...

Keya china nay kubi pakistan kay undroni mohamilaat meah modakhilat ki? keya china nay pakistan ki politics meah kubi modakhilat ki? 

pakistan humara dost country hay pak cheen dosti zinda bad

A.w.b. Group: Members  Joined: 03rd Jan, 2010  Topic: 3  Post: 28  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2010, 10:59pm
 

china pak

Quran pak main Allah pak farmatey hain ke Yahood O Nisara kabi tumhare dost nahi ho sakte tu dear jb ehle Kitab k liye ye baat he tu be dean log kese hamare dost ho sakte hain sab k makasad hotey hain jb dunya china ko maan jai tb agar matlab pura ho gaya tu pata chalachale ga
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:26th Aug 2010, 9:24am
 

awb

sub countries ki ek forign policy hoti hay or koch national intrests hoty hen jesy pakistan inida us uk sub kay hen, china pakistan ka Qureebi purosi hay or ek poruman country hay india ki turhaa hur wukta bhooky shayr ki turaa khaa jany wali mali nuzroo say nahi dakhta, Nubi pak PBUH nay apny zumany meah non muslims kay sath Tijarat bhe ki agreements bhe keyeh, china humara doshmun country nahi hay, aghur china pakistan meah koch projects meah kam kur raha hay tu hum osy pessy pay kurty hen or humayin dosri companies say cheap purta hay , or yeh humary engineers ko wo technology sikhaty bhe hen or cooperate bhe kurty hen. 

Ap kay payt meah ku muroor pur ray hen pak china Friendship ki waja say ?




A.w.b. Group: Members  Joined: 03rd Jan, 2010  Topic: 3  Post: 28  Age:  29  
Posted on:26th Aug 2010, 12:09pm
 

H/dr_Qasim

china se zada hamara taluq america se kuen ho raha hey ap ki forign policy saudi arab k muamle main kahan hey kuen aik b sarkari dora nahi kiya ap ki Gov ne kiya china he friendz of pak main hey ap ne agr mere msg ko theak tarha se  parha nahi mene policy change hone ki baat samjhane koshish ki pakistan ki ajj china ko zarorat hey ta k wo garm panion k samandaron tk rasai hasil kr le  dear ap khabon k mehal se bahir aa k sochen k pak ne islamic block kuen banana chaha tha agar selaab Zadgaan ki madad ki baat ho ya koi aur musibat sb se pehle saudi arab hamari madad ko ata hey. china America hamare partner hain mukhtalif muamlaat main jst bussiness ok ajj india ka china se tasfia ho jai tu kahan jai gi pak cheen dost waqt ap ko bata de ga thank u

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:26th Aug 2010, 2:05pm
 

awb

countries kay mofadaat or Policies change hoti rehti hen, fel haal 64 years pak china dosti ba-missaal rehi hay, insha Allah next time bhe essi ray ghi, china ko by road already karachi keya Ghuwadur tuk Russai hay or china aghur chay tu en dono ports say apna trade kur sukta hay Sharaha Rasham say abi bhe china kay Truck , trallers aaty jaty hen, Karachi tuk , Ghuwadur tuk,wo apna mal laty hen,

China say humko koi Khutra nahi hay agur khutra hay tu Inda or afghanistan say hay, jaha humary surhudyin etni mehfooz nahi hen, china en pungoo meah nahi purta oski sari tawajo apny trade pay hay, 

USa humara partner nahi hay hum osky partner Gun pont pay buny howy hen jub kay china kay sath esaa nahi hay, china humin defence, esky sath sath roads bridges, bury bury Progects jin meah Dams, industries, hur fields meah help kur rah hay or apna pessa kuma raha hay , humara apna mofad hay or onka apna mofad hay 

sub countries apny national intrest ko aagy rukh kay kam kur ray hen, koi pakistani china kay bary meah essy khiyaalat nahi rukhta jesy ap rukhty hen, lugta hay apka relation India say hay,

Aghur China India ka dost bhe bun jata hay tu koi bat nahi, ap fikur nahi kurin,pakistan phaly bhe etni moshkilaat say lurta raha hay lur raha hay essy koi Qiyamat nahi ajaani Qiyamat i hoi hay or hum face kur ray hen, pakistani Nation Ghureeb or lachaar ku na ho , jub lurny murny ki bat aati hay tu seesaa pilaai hoi chitaan bun kay moqabila kurti hay, 

or ess time Dehshut ghurdi ki aar meah india jo game khayil raha hay essy bhe khob wapis hay, or samna kur ra hay ,

A.w.b. Group: Members  Joined: 03rd Jan, 2010  Topic: 3  Post: 28  Age:  29  
Posted on:27th Aug 2010, 5:49pm
 

H/dr_Qasim

dear pak cheen dosti zinda baad khush 

bhai pehli baat ye muje jo baat buri lagti hey wo pak cheen dosti nahi bal ke ye hey ke hum log islamic ithad kuen nahi Qaim karte  agar ajj hum pit rahe hain tu ye na hota agar hum sab aik hotey ap kya kahen ge iss baare main 

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:27th Aug 2010, 6:10pm
 

Islamic United States

Meah tu chahata hon sari Arab states or deghur islamic country single currancy pay unite hon or unity dikhayin lakin hur hokumraan apny iqtadaar ki korsi ko thamy khuraa hay kayin yeh na chout jay, jiski waja say hukumraan es favor meah nahi hen, 
Salil Group: Members  Joined: 20th Aug, 2010  Topic: 3  Post: 30  Age:  38  
Posted on:29th Aug 2010, 10:18pm
 

Bewaqoof: guftagoo se pehle

Salil: kia aap apne baare mai tafseel se bataye ge keh keh

  1. aap ka mazhab kia hai?
  2. aap ki mother tongue kia hai?
  3. aap ki nationality kia hai?
Aapkey liye meray jawaab -
1. Mazhab - Pidashee mein muslim hoon, par mein koi bhi cheez ko face-value pey nehin mantaa. Iska matlab hai ki meri maan hai ki sub mazhab jo sikhatay hein unkey roots (jaday) zaadaa karke science mein hoti hain. I like to question and evaluate all beliefs - and don't believe and follow anything just because it said so in some holy book or if some religious leader said so. I am not a blind follower. So on these basis if you want to categorize me as a Muslim or not is up to you.

2. Mother Tounge - Sindhi

3. Nationality - Mein paidaish sey is duniya ki bahut see countries mein reh chuka huun. I consider myself as citizen of this world aur mejhai multiple passports hein. Filal is waqt mein America mein rehtaa huun.

*Starlite* Group: Members  Joined: 29th Aug, 2010  Topic: 1  Post: 144  Age:  29  
Posted on:30th Aug 2010, 12:09am
 

reply

bhai seedhi si baat hai, jiskay andar ghurro o takabbur ajata hai aur powers ajati hain phir wo uska ghalat istamaal karne se nahi chokta.......

hosakta hai china bi yehi ker raha ho pakistan k sath chup chup k
Salil Group: Members  Joined: 20th Aug, 2010  Topic: 3  Post: 30  Age:  38  
Posted on:30th Aug 2010, 10:44pm
 

*Starlite*

I agree with you - purane angreyzee mein kahawat hai - Power Corrupts, Absolute Power Corrupts Absolutely
*Starlite* Group: Members  Joined: 29th Aug, 2010  Topic: 1  Post: 144  Age:  29  
Posted on:31st Aug 2010, 12:55am
 

Salil bhai

wese meri nani jaan bachpan mai ek kayamat ki nishani bataya karti thin mujhe k kayamat k kareeb ek mulk aesa bhi hoga jo musalmano ki himayat main bolayga ys unkay saath khara hoga aur baki taghoti takatain ek taraf hongi. i dont know ismei kitni suchae hai.
Salil Group: Members  Joined: 20th Aug, 2010  Topic: 3  Post: 30  Age:  38  
Posted on:31st Aug 2010, 3:48am
 

*Starlite*

woh desh China nahin ho sakta, kyon ki China 2 - 3 saalon sey China mein basay huay musalmano ko control aur khatam karney ki koshish kar rahaa hai. China ek communist desh hai aur China mein press pori tarah sey government key control mein hai is liye aisee khabaren bahar zadaa nahin nikalti hein.
Kabhi yeh khabaray europe yaan asia key press mein ajatee hein to China goverment in khabron ko turant dabadeta hai.
example mein yeh link pey yeh 2009 ki khabar padhein :
http://www.cnsnews.com/news/article/51059

Eek baddi hi famous exhibition chal rahi hey Europe aur USA mein jiska naam hey BODIES... Yeh exhibition UK mein kuch 8 saal pehlay shuruu hui. Yeh exhibition aam logon ko insaan key body key baray mein samjhanay key liye hey. Is exhibition mein asli murdon ka use kiya gayaa hai.

Jab yeh exhibition pehlay lagee thee to bodies key liye hospital sey un bodies ko ley key use kiya gaya tha jo unclaimed theen. Mutlab hospital mein keya aisey cases atay hein jin mey beghar yaan bikhari hotay hein aur jinkaa koi nahin hotaa. Esey bodies ka use medical science key liyee hotaa hai.
Jab yeh exhibition chal padee, aur doosrey shehroon mein yeh exhibition khulney lagee, tab organizer ko China ka ek supplier milaa. Who supplier China see bodies ko treat karkey exhibition ke liye bhejta hai. In murdon key body ki jamdee nikal key, body ko chemical sey treat kayke bhejaa jataa hai.
Sunne mein ayaa hei ki China ki Government jail ein rakhay hua political kaideeon ko mar key unkii bodies is exhibitionmein bhej detee hai. Aur yeh bhi sunaa hai ki China key Xinjiang province sey bahut sey musalman logon ko aisee jail mein bhejaa tha jhaanse koi wapsee nahin hoti - mutlab ki is bodies exhibition mein aisee hamray muslam bhai hein jinko markey unki bodies ko exhibition key liyeh China government ney baych diya hai.

Is exhibition key baray mein aap is website pur dekh sakte hein:
http://www.bodyworlds.com/en/exhibitions/current_exhibitions.html
aur is site pey exhibition key photo dekheny http://tiny.cc/co5sr

For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How To Get Visa For Japan  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us