eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2109 Age:
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 12:29pm |
|
|
MQM Chief Altaf Hussain Is Demanding Marshal Law Sunday ko Karachi main Azizbad main apnay khitaab k ikhtitam par MQM k quaid Altaf Hussain sahab nay barah-e-raast Pak Army ko mukhatib kartay hoay kahaa hy k Aap nay maazi main hamesha iqtidaar k liay Marshal Law nafiz kia lekin a'awam k mafaad main aisa kabhi nahi kia. lekin agar Aaj siasat main bad.unwan siasat.danoun k himayat yafta jageer.daranaa nizaam k khatmay k liay "muhib-e-watan" generals nay Marshal Law nafiz kia tou MQM himayat karegi.
- sawaal ye paidaa hotaa hy k Altaf Hussain sahab is waqt Fauji mudakhilat ki baat kyun kar rahaay hyn?
- kya woh waqaee jageerdarana nizam k khilaaf hyn? agar woh waqaee jageerdarana nizam k khilaf hyn tou wo har Govt. k coalation partner kyun bantay hyn?
|
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 1:39pm |
|
|
rEp|~ Altaf Hussain sahab is waqt Fauji mudakhilat ki baat kyun kar rahaay hyn?
aNs|~ Kyun k jo hasahr app dekh rahay hain Pakistan ka us say behtar fouji hokomat hi ajae......
kya woh waqaee jageerdarana nizam k khilaaf hyn? agar woh waqaee
jageerdarana nizam k khilaf hyn tou wo har Govt. k coalation partner
kyun bantay hyn?
aNs|~ Kyun wo jeet k atay hain is liyain bantay hain, abtak muntakhib hoti i hoe partiyon ka taluk jageerdaron, wadeeron aur chauhdriyon se hai, unki wajah se apni jeet k bawajood hokomat main na akar apne masail hal na karwana bewakoofi hogi.
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 2:18pm |
|
|
MQM Chief Altaf Hussain Is Demanding Marshal Law
- sawaal ye paidaa hotaa hy k Altaf Hussain sahab is waqt Fauji mudakhilat ki baat kyun kar rahaay hyn?
- kya woh waqaee jageerdarana nizam k khilaaf hyn? agar woh waqaee jageerdarana nizam k khilaf hyn tou wo har Govt. k coalation partner kyun bantay hyn?
Hitman bai asual baat yeh hay kay woh Pak Army ko ess Leyeh Invite kur ray hen Ku kay onki Barganing Marshul Law hukomat say Asaani say ho jati hay jub kay ess turaa ki jumhhoori or woh bhe mukhlooot hukomat meah onki apni murzi nahi chulti , abi bhe ap daykh leyin phely Jumahat islami enky moqabil thi tu woh bot bori thi abi ANP hay tu woh bot bori hay ,dood say Dholly tu yeh khod bhe nahi abi jub enko Hukomat meah doshwari ho rahi hay tu enko apna Moshuraf wala period yaad araha hay ess leyeh abi yeh again Marshal law mang ray hen taa kay araam say barganing kur kay yeh pher iqtadaar kay wessy muzy loot sukin , yeh Awaam kay leyeh nahi apny leyeh yeh sub keh ray hen, or Hur Marshal law leader or Hokumraan ensy colation pay ess leyeh mujboor ho jata hay kay Karachi meah amun or amaan kay leyeh enko sath lay kay chulna zuroori hota hay nahi tu yeh Karachi ka amun or amaan bhe khurab kurty hen, sub jughoo pay dhumaky hoty hen enky kisi Julssaa meah koch nahi hota, jahaa yeh dood peny waly buchy say lay kur Dada jaan tuk pori family mojood hoti hay, bat serf yeh hay kay yeh marshal law just es leyeh mang ray hen kay panchoo ghee meah hooon, or enko koi rokny tokny , or tunkeed kurny wala na ho, karachi meah Sahaaafi khof or dur say enpy tunkeed tuk nahi kurty agur koi esa tura enky khilaaf awaaz othay osy Qutal kur daty hen. yeh buldiyaati Intakhaabaat meah bhe iqtadaar chahaty hen or provincial level pay bhe Iqtadaar chahaty hen agur iqtadaar na mily tu pher kisi dosry ko hukomat kurny bhe nahi daty , chayeh tu yeh kay agur ap ek baar haar gy hen tu araam sy kisi dosry ko bhe hukomat kur lany dayin , Unity dikhyin or sub kay sath Qudam say Qudam milaa kay chulin , yeh wo wahid jumahat hay jis meah ziyada tur workers Jiyaaly 30 Years say kum hen, jo adaum burdash ka mozahiraa kurty howy violence phalaaty hen.enky ziyada tur leaders 50 years say kum hen. Leader ek modubar or rah nomaa hota hay jis ki nuzur aany waly kul pur bhe hoti hay or apni Nation kay mazi or haal pur bhe hoti hay lakin pakistni siyasat dano ki nuzur just korsi , iqtadaar, pur hoti hay ,
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 3:26pm |
|
|
MQM Chief Altaf Hussain Is Demanding Marshal Law MQM ko khabroon main rehny ka fum ata hey aur yeh bat ussi silsly ki aik karri hey is main haqeeqat nam ki koi cheez nahi hey iss bat par 2 / 4 din media par tabsary hongy aur MQM ki batain hi hon gi iss trah MQM khabroon main in rahey gi
Last tim jub pakistan main Earth Quick aya tha tab MQM ny bharpoor andaz sy aur khulam khula Erath Quick victims ki madad ki thi aur khoob nam kamaya tha jub k iss bar selaab ki shakal main any wali qudrati afat main braye rasat MQM ki koi mu'awnat ya amdaad nazar nahi arehi iss liye MQM ko khabroon main any ka koi bahana nahi mil raha tha iss liye Altaf Husain ny poory mulik k ahl-e-zaooq aur ahl-e-siyasat ki batoon ka rukh aysi be-tukki bat kar k apni janab morr liya hy
iss trah MQM 2 / 4 dim khabroon main in rahy gi iss k baad koi aur issue daikh liya jaye ga yeh MQM ka shuroo sy wateera hey ...lehaza preshan hony ki zaroorat nahi hey |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 3:52pm |
|
|
MQM nay serf nam he nai kumaya
I think azad kashmeer election meah el seat bhe jeeti dubble phul paya jis kam kay leyeh sub koch keya oska fayda ono nay paa leya.
aj kul Julsy julooso pur pabundi honi chayeh Media mojood hay or Paid service hur channel furaham kur raha hay Altaf bai nay jub phon pay speech kurni hoti hay tu woh live Tv pay video speech kurni chayeh or logo ko awen tukleef na dayin molk kay halat phely bhe theek nahi murta hay tu ghureeb murta hay,
|
Logical
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2010 Topic: 4 Post: 369 Age:
40
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 5:21pm |
|
|
re: Dr. Qasim re: "Hitman bai asual baat yeh hay kay woh Pak Army ko ess Leyeh Invite kur
ray hen Ku kay onki Barganing Marshul Law hukomat say Asaani say ho
jati hay"
aap ne Ilzam lagaya. ab aap iss ilzam ko sabit kare.
re: "sub jughoo pay dhumaky hoty hen enky kisi Julssaa meah koch nahi hota,
jahaa yeh dood peny waly buchy say lay kur Dada jaan tuk pori family
mojood hoti hay, "
iss baat per aap ko afsos hai ya khooshi. aap ke khayal mai kon log har jagah dhamaka kertay hai jo keh MQM ke jalsa mai nahi kertay. aap dhamaka kerne walo per zara roshni daalai.
re: "karachi meah Sahaaafi khof or dur say enpy tunkeed tuk nahi kurty agur
koi esa tura enky khilaaf awaaz othay osy Qutal kur daty hen."
aap ne ilzam lagaya, baraye meharbni iss ilzam ko sabit kare.
re: "agur iqtadaar na mily tu pher kisi dosry ko hukomat kurny bhe nahi daty "
aap ne jo kuch kaha ose sabit kare.
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 6:53pm |
|
|
suboot
logical meah nay yaaha pher jo batin kurni hen apny on say agree nahi kurna hay Hitman bai asual baat yeh hay kay woh Pak Army ko ess Leyeh Invite kur ray hen Ku kay onki Barganing Marshul Law hukomat say Asaani say ho jati hay previous Moshuraf hukomat eski behtreen misaal hay,enki full hukomat thi enka apna nazim thaa . abi tu yeh buldiyaati intakhabaat ess leyeh nahi hony day ray kay nazim ppp ka ho gah es leyeh acha hay kay electioin he na hoon , buldiyaati election tub hongy jub enko yukeen hogah nazim enka apna hoga, abi tuk enka apni etahaadi jumahato say itfaq he nahi ho suka or yeh election beh pending hen.
iss baat per aap ko afsos hai ya khooshi. aap ke khayal mai kon log har jagah dhamaka kertay hai jo keh MQM ke jalsa mai nahi kertay. aap dhamaka kerne walo per zara roshni daalai. dood say doly nahi hen yeh,MQM kay kisis function meah koch nahi hota baki sub julsy juloosy pay firing dhumaky or puta ni keya keya hota hay ku? essi tura baki sari batin hen, ap Ilzam or suboot ki baat chorin yeh politics catagory hay or hur kisi ko apni soch or fikur or tunkeed or tareef or izhaar a raay ki azaadi hay, aj kul Tv talk shows meah aamny saamny ek dosry pay ilzam lugay jaty hen, Ultaf bai sab abi marshal law ki demand kur ray hen Nation kay leyeh nahi apny leyeh aaj onko pher sub yaad araha hay jageerdar or surmayaa daar yad aary hen or on he kay sath hukomat meah bathy hen, agur woh apny ap ko leader sumajty hen tu pakistan aayn mot tu ek din aani he hay wo kayin bhe aasukti hay apni awaam meah reh k jeyeh, or lead kury pher leader manoo, khod ayashi or ghureebo ko murwaa ray hen,
|
Logical
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2010 Topic: 4 Post: 369 Age:
40
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 7:47pm |
|
|
Altaf Hussain as a leader re: "pher leader manoo"
kya Altaf Hussain iss baat ke mohtaaj hai keh aap onhai leader maanai?
|
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 7:55pm |
|
|
rEp|~ to High Definition (HD) Qasim Appne bilkul sahi farmaya hai, likin inke biyan se humain agree is liyain karna chahiyai k abhi agar Pakistan ki sorat haal (0) hai tou M.L (martial law) k baad (50+) tou hojaegi.....
|
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 8:01pm |
|
|
rEp|~ to Diplomate Appne jo kuch bhi farmaya hai, ye sirf MQM pe hi nahi PML (N), PPP aur degar siyasi jamaton par bhi lago hota hai......ajkal nawaz shareef sahab bhi naam kamanay niklay hoe hain selaab se affected areas main, aur unko bara AFSOOS hoa altaf hussain k is biyan pe, shayad itna afsoos seelaab zadgaan pe bhi nahi hoa hoga unko.......aur foran moka mila biyaan dhaagnay ka......
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:23rd Aug 2010, 8:09pm |
|
|
Pak Army Ess position meah nahi hay
pak army abi es position meah nahi kay wo Iqtadaar pay qubzaa kury, pak army phely he bot sary problems meah olji hoi hay ya essy oljahaya jaa raha hay, or Moshuraf sab nay tu foj ko etna ghult use keya kay foj ki wurdi meah dakh kay he osy mar deya jata tah etna ehtraam khutam ho ghiyaa tah, abi foj salab or dehshut gurdi meah nubad azmaa hay foj ka abi iqtadaar meah aana kisi tura bhe army kay fayda meah nahi hay, yeh phely mithayaan banty hen bahad meah long march kurty hen or foj kay khilaaf batin kurty hen or army es tura budnam hoti hay,abi pak army es position meah nahi hay kay wo Ultaf bai sab ki request pay Lubaik kury army kafi sumajdaar ho choki hay
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:24th Aug 2010, 1:59am |
|
|
Re jub Ex president Moshuraf nay Nuwaz shureef ki hukomat pay shub-o-Khon maraa taha os time pakistan kay du major sutoon adliyaa or Media weak thay lakin abi Iqtadaar ki korsi or army kay durmiyan very strong Media or Supreme court of Pakistan mojood hay jisko Nation nay apny Khoon say Jilaa bukhshi hay.
Army apni zimadariyaan bot achi tura sumajti hay, agur Chief justice of pakistan nay sumja kisi essy wuqat jub Halat bot khurab ho gy tu pher woh khod army ko bola langy onky paas essaa ikhtiyaar mojood hay, Abi tu ultaf bai sab pay Ghudaari kay ilzamaat lugay ja ray hen, mohamila zar-a-behess hay, agur pakistan meah edaro ko muzboot kur deya jay, curruption ko khutam kur deya jay justic ho Unity or Decipline ka mozahira keya jay tu meah sumajta hon army kay bina bhe pakistan ko chulaya ja sukta hay abi woh wala zumana nahi rahaa jesaa phely taha, du din army ko welcome kurna hay or pher osi army ka wuqaar mussukh kurny pay lug jana hay army abi insha Allah essi mistake nahi kury gahi
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:25th Aug 2010, 2:03pm |
|
|
Altaf Bhai Khappay Mojooda Polititians k hajoom main aik b aisa nahin hae jo haqeeqi manoon main leader kehlaane ka haqdar ho. Sab point scoring mission pr aur awam ko bewqoof bnaane pr lage huay hain. Altaf bhai hamesha jageerdaroon ke sath Alliance bna kr iqtidar main rahe hain aur ab bhi Central aur Provincial Government ke collition partner hain. Agar mohtram koi Toap chalana hi chahte hain tau apne wazeerun ko hukam de dain ke at least apni apni wazartoon ke sath hi insaf kr len qun ke MQM achi wazartain aur Governor hone ke bawjood 2 shehroon ke ilawa kabhi markaz ya soobay main active nazar nahin aai. Altaf Bhai ko chahiye ke UK se Jila-Watan ho kr kabhi Pakistan tashreef layen aur khud aa kr apni party ki performance monitor karain. Phr inqilab ki batain karain warna zubani kalami tau Shehbaz Shareef b rozana khooni inqilab laate hain.
Altaf bhai Zia Ul Haq aur Mushi Bhai ke bht barray supporter aur haleef rahe hain aur yeh baat bakhoobi jaante hain ke Martial Law main kabhi b Zarai islahat nahin hui hain aur Zarai islahat ka hall Martial Law main mojood nahin hae balkeh ulta Jaqeeradrun aur waderoon ko mazeed phalne phoolne ka moqa mil jata hae jiski hamari tareekh gawah hae. Phr b aesi batain kr ke pata nahin kyun awam ko apne aap pr hansne ka moqa dete hain.
Lkn MQM ke kisi leader ki yeh baat sunn kr mujhe bht chinta ho rahi hae ke Sialkot main 2 masoom bhaiyun ki halakat pr Altaf Bhai London main musalsal 2 raatain so nahin paye hain aur rotay rahe hain. Allah jaane iss se phle 12 May ke saaneha pr aur aaj kal Karachi main rozana 5-10 afrad ki target killing pr Altaf Bhai ko kese neend aa jati thi. Allah ese shub-chintak leaders saray mulkoon ko de. |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:25th Aug 2010, 2:15pm |
|
|
chief justs of Pakistan ko Inqalab ki dawat
marshal law ki bat bhe ho rahi hay or abi ek pakistani siyasat dan Pakistani Siyaasat jo ek koyely ki kaan hay jo ess meah aataa hay woh kala ho jata hay es koyely ki kaan meah chief justic of Pakistan Iftakhaar choduri ko aany ka keh ray hen taa kay woh abi tuk Ghyr motanaazaa hen onko wessy tu koch nahi keh sukty siyasaat meah laa kay onko budnaam keya jay, adalat or foj ka kam abi bot ziyada hay hukomraan jo 60 salo say muzzy lot-ty ray hen onko pakistan say thorii see wufaa kurty howy pakistan kay leyeh kam kurna chayeh,
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:25th Aug 2010, 3:05pm |
|
|
Hmm Inqilab ki yaqeenan hamaray mulak ko zarurat hae mgr pichhle fauji inqilaboon ke baud yehi nateeja nikla hae ke aise ghattiya inqilaboon se wese rehna hi behtar hae. Yeh mulak yaqeenan mojooda hukmaranoon se chalne wala nahin hae. Yahan inqilab-e-France ki tarah ke inqilab ki zarurat hae jis main har kisi ka ehtisab ho, reyasat ke tamam adaroon ko mazboot kr ke aik khush'haal Pakistan ki buneyad rakhi jaye aur agricultural reforms b hun mgr Bhutto sahib jesi agriculture reforms na hon jin main Bhutto sahib ne Zameen Qomiyanay main lene ke baud dobara asal Landlords ko mamooli si lease pr de di thi. |
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|