Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

What Are The Methods Of Saving?

Non Medical Discussion
 
 
 
mayhooraaj Group: Members  Joined: 06th Jul, 2010  Topic: 14  Post: 160  Age:   
Posted on:22nd Aug 2010, 11:59pm
 

What Are The Methods Of Saving?

aik admi aor aorat ,apne bacho k lye ache life style guzarte hue  kaise saving ker sakte hain ..jo un k future may kaam aye..... property,gold,collect the money...?
Logical Group: Members  Joined: 11th Sep, 2010  Topic: 4  Post: 371  Age:  39  
Posted on:24th Aug 2010, 12:29pm
 

saving ka tareeqa

har tareeqa se save kia jaa sakta hai. Gold mai yeh faida hai keh iss ki value maintain rehti hai. jabkeh currency aur property ki qeemat ka etbar nahi.

lekin zewarat ki soorat mai gold rakhne ka koi ziadah faida nahi albatta gold ki buiscuit rakhe tu woh value maintain rakhe ga. waise yeh sab mai theoritical bata raha hoo, ziadah behtar wahi bata sakte hai jin ko gold rakhne ka tajarba hai.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:24th Aug 2010, 1:38pm
 

saving ka tareeqa

yes agreed with logical lakin ziyada gold rukhny pay zukat bhe adaa kurna hoti hay jisy maal pak or safe rehta hay
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:24th Aug 2010, 2:29pm
 

saving ka tareeqa

jo meri nazar me hai gold hareeda jaye............chahy wo biscuit ki shkl me ho ya zaiwraat ki surat me gold to gold hota haina..........:)

gold hareedne se bht se faidy hoty he.............

1st. k waqat guzrne k sath sath uski qeemat me izafa hota jata hai.
2nd. zukaat ki surat me maal pak aur saaf hojata hai.
3rd. bv b hush aur saving b hojati hai aur bv hi chliti phirti saving nazar ane lgit hai.

currency ka rate bhrta aur ght ta rehta hai aur zameen jaidaad ka b aj k dour me koi aitbar nhi hai kio k wo hr waqat hath me nhi hoty he mushkil waqat me zarorat perhne per koi usko hareedy ya nhi iska koi aitbaar nhi hai.

meri nazar me sabse best gold hai jha tk zukaat daine ki baat hai to zukaat to hr jama shuda maal per lgti hai agr bank me paise jama krwaye hoto to bank wale usme se zukaat kaat laity he.................

isliye hr wo maal mawaishi sona chandi jo humare pass ho unper zukaat daini chhye.abhi ap hud hi faisla kijiye k saving ka sabse acha tareeqa kia hai.meri nazar me to gold hi hai.........:)kio k paise hum husband wife k hatho me nhi rehty he ziada dai bht jaldi hrch hojate he.........hahahaha

Logical Group: Members  Joined: 11th Sep, 2010  Topic: 4  Post: 371  Age:  39  
Posted on:24th Aug 2010, 2:58pm
 

gold ke zewarat

mera aik friend hai woh apni wife ko har moqa per gold ke zewarat deta hai. os ki logic yeh hai keh aisa kerne se os ki qadar os ke saare khandan mai hai, bivi tu khoosh hoti hai, susral wale bhi kafi sarahte hai.

mere dost ne mujhe bataya keh woh jaan boojh ker gold ke zewarat deta hai, iss tarah gift ki soorat mai jo bhi raqam di jaati hai woh save hi rehti hai. insaan jo bachata hai woh bachcho ke liye bachata hai, bevi ka zewar bhi tu bachcho ke hi kaam aaye ga. woh aik taraf bivi ko khoosh kerta hai aur mustaqbil ke liye rupia gold ki soorat mai save kerta hai.

os ka yeh bhi kehna hai keh woh ziadah tar bath ki choori deta hai, takeh agar kabhi woh ose farokht kare tu kam se kam loss ho.

os ki yeh logic mujhe kafi pasand aayee, aur meri bhi koshih hoti hai keh wife ke gift gold zewarat ki soorat mai doo. gift de bhi dia aur paisa ghar per hi reh gaya.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:24th Aug 2010, 3:00pm
 

gold ke zewarat

agreed with logical lakin essy ghur meah some time Hussud bhe shoro ho jata hay agur ghur meah sisters or mother hoon tu pher onko bhe sath meah gift kurna purta hay yaa tu chpkaa kay du yaa pher dosro ko beh gold kay gifts dayin
Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  30  
Posted on:24th Aug 2010, 3:49pm
 

gold

becho to wo bi nuksan me hi bikta hay ..pata nayi logon ko kaise faida hota hay

Logical

wah bai wah apka dost bada ameer hay ..tussi wi ho ?
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:24th Aug 2010, 5:03pm
 

neha baji

gold ko sale krne me faida hota hai..........laikin us surat me jb wo zaiwr humare pass ek sal tk rhy kio k gold ki qeemat din bdin bhrti jati hai.

wo istra k agr apne ek gm gold 140riyal gm per lia hiana to uswaqat uski qeemty frohat 125riyal hogi.mgr kuch maheene bad wo gold 145riyal gm hojaye ga aur qeemty frohat b 130 hojaye gi.............istra faida hota jata hai humne jo cheez aj se 2saal pehle 6000riyal me hareedi thi aj uski qeemt 8000 tk hai.............agr hum paise laina chhy to humko faida hai aur agr hum gold k bdlay gold le to isme faida km hai.................ayi sumjh.....:)

mjy pk me gold hareedne aur sale price ka kuch ilam nhi ahi isliye mene riyal me likha hai kio k yha mjy ziada maloom hai iskay hisaab kitab ka.....:)
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013