Ramzan Mubarik baaz loog eid-ul-zuha ki tyari iss trah karty hain new deep freezer khreed laity hain ta k qurbani k goshat ko kai din tak stock kiya jasky...ya phir msala jaat aur kabab bnany wali angeethiyaan seekhain (sticks. Rods ) mukhtlif sabziyoon k stock kar laity hain waghaira..halan k na to yeh eid ki asal tyari hey aur na hi khuda ta'ala ny iss maqsad k liye 10 zilhajj ko muslmanoo k liye eid ka din qarar diya hey
bilkul issi trah hmaary muslman bhai ramzan ki amad par kuch ahtmaam kar laity hain jaisy poory mah ka rashan jma kar laina k shaid mily k na mily :)
aab to rashan k zaheery k sath sath loog allah par jaisy ehsan jitlany ki gharz sy apny apny dil main kuch teh b kar laity hain k main iss ramzan main allah ki ibadat kar k uss k badly main apni du'aaien qabool karwaoon ga waghaira wghaira..(jaisa k ooper aik member ny keha b hey)
yeh mah-e-mubarik allah ny insan k liye apni dua aur munajat ki qabooliyat k liye to rakha hi hey magar iss mah ka asal maqsad kuch aur hey aur wo maqsad hey "tazkiya-e-nafas" .. yani allah chahta hey k insan perhaiz gari aur taqwa ki uss manzal ko choo ley jahan poohanch kar insan ko ihsas ho k uss ka maqsad-e-hilqat kia hey..!!!
insan ko lagy k uss sy kam tar loog (mu'asharti taqseem k teht) kaisy aur kis trah zindgi basar karty hain ..ussy lagy k aik bhooka insan kis trah apny ma'bood ka shukar ada karta hey ..ussy lagy k insan aur khuda ka rishta kia hey..
laiken hum kia karty hain roza b rakha howa hey aur darra darr shaitan ki di gayee 11 maheenoo ki tarbiyat par amal b kar rehy hoty hain ...ya phir ramzan k any sy pehly hi iss qadar shaitani chaloon k aseer ho jaty hain k apni apni marzi sy ramzan ko guzarny ki planing karny lag jaty hain ...aur khuda k khukam ko yaksar tark kar daity hain aur yeh bhool jaty hain k allah ny iss mah-e-mubarik ko hum insanoo par farz q kiya...?????
Allah ta'ala hum sab muslmanoo ko ramzan ki asal rooh ko samjny ki toofeeq ata kray.... aur hum sab ko ramzan ki barkton aur rehmtoon sy fayz'yaab kry...ameen |