Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Intentions Of Ramadan

Non Medical Discussion
 
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:3rd Aug 2010, 1:19am
 

Intentions Of Ramadan

Asslam o Alikum....

Omeed hai sab thiek hon ge.is thread me ap ne ye batana hai k ap ki kia intentions hain ramadan me.esa koi scedhule banaya hai specially ramadan ke lie?kia banaya h?share karein.

aur ye btaein ziyada waqt kidhar spend karein ge..ghar me ya masjid me,ya pher apni job me masroof hon ge?
drop ur views...:)

Aur Ramadan k lie hum sab ko koi massage??



Battery Group: Members  Joined: 17th Jul, 2010  Topic: 8  Post: 144  Age:  19  
Posted on:3rd Aug 2010, 3:32am
 

s4u

aray yr mein kia tip ya msg dun mje to ap log koi tip do mre to paprz hain

mein kia krun Allah g ki ibadat ya paprz ki taiyari

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:3rd Aug 2010, 11:29pm
 

hmmm

ap donu kam sath sath karein....kiu k Ramdan bhi to sal me aik hi bar ata h.aur papers ki tyari bhi achi honi zarori h.main apko na ise chore ka kahon gi na hi ose.

bas aap koshish karna k 5 waqt ki namaz pabandi se time pe hi ada karein....agar kuch time mil jae to Quraan-e-Pak ki bhi tilawat kar lein.
bilalzia91 Group: Members  Joined: 14th Jul, 2010  Topic: 5  Post: 49  Age:  22  
Posted on:4th Aug 2010, 6:41am
 

battery nice name

acha laga name. and ma to ramdan ma dua karo ga ap sab k liya or us shaks k liya jis k liya ma ny kuch ban jany or kamyab hony k liya wady kia=ya hyn taky us pa sako

Stalker Group: Members  Joined: 21st Dec, 2009  Topic: 14  Post: 356  Age:  33  
Posted on:4th Aug 2010, 1:44pm
 

maah e mubarak..

maah e mubarak ki amad amad hai , sab musalman poora saal iss ka intezaar kartey heiN ... atleast meiN to karta hooN :)

kehte heiN k ramzan meiN shayateen ko qaid kar dia jaata hai , lehaza gunah ka koi chance nahiN , kisi ne sawal kia k log phir bhi gunah karne se baaz nahiN aatey ...

to bhai , shetaan ne baaqi 11 mahiney aap par jo mehnat ki hai uss ka assar bhi to hona hai na ... iss mahiney meiN shetaan nahiN to shetaan k ki hui mehnat hee sahi , kyuN k mehnat ka phal meetha hota hai (lol)

hamara iss maah e mubarak meiN awwaleen farz hai k kisi qism k gunah e kabeera o sagheera se bachne ki koshish kareiN aur meethey phall ko shetan k lye kaRwa bana deiN :)

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:4th Aug 2010, 3:00pm
 

Ramzan Mubarik

baaz loog eid-ul-zuha ki tyari iss trah karty hain new deep freezer khreed laity hain ta k qurbani k goshat ko kai din tak stock kiya jasky...ya phir msala jaat aur kabab bnany wali angeethiyaan seekhain (sticks. Rods ) mukhtlif sabziyoon k stock kar laity hain waghaira..halan k na to yeh eid ki asal tyari hey aur na hi khuda ta'ala ny iss maqsad k liye 10 zilhajj ko muslmanoo k liye eid ka din qarar diya hey

bilkul issi trah hmaary muslman bhai ramzan ki amad par kuch ahtmaam kar laity hain jaisy poory mah ka rashan jma kar laina k shaid mily k na mily :)

aab to rashan k zaheery k sath sath loog allah par jaisy ehsan jitlany ki gharz sy apny apny dil main kuch teh b kar laity hain k main iss ramzan main allah ki ibadat kar k uss k badly main apni du'aaien qabool karwaoon ga waghaira wghaira..(jaisa k ooper aik member ny keha b hey)

yeh mah-e-mubarik allah ny insan k liye apni dua aur munajat ki qabooliyat k liye to rakha hi hey magar iss mah ka asal maqsad kuch aur hey aur wo maqsad hey "tazkiya-e-nafas" .. yani allah chahta hey k insan perhaiz gari aur taqwa ki uss manzal ko choo ley jahan poohanch kar insan ko ihsas ho k uss ka maqsad-e-hilqat kia hey..!!!

insan ko lagy k uss sy kam tar loog (mu'asharti taqseem k teht) kaisy aur kis trah zindgi basar karty hain ..ussy lagy k aik bhooka insan kis trah apny ma'bood ka shukar ada karta hey ..ussy lagy k insan aur khuda ka rishta kia hey..

laiken hum kia karty hain roza b rakha howa hey aur darra darr shaitan ki di gayee 11 maheenoo ki tarbiyat par amal b kar rehy hoty hain ...ya phir ramzan k any sy pehly hi iss qadar shaitani chaloon k aseer ho jaty hain k apni apni marzi sy ramzan ko guzarny ki planing karny lag jaty hain ...aur khuda k khukam ko yaksar tark kar daity hain aur yeh bhool jaty hain k allah ny iss mah-e-mubarik ko hum insanoo par farz q kiya...?????

Allah ta'ala hum sab muslmanoo ko ramzan ki asal rooh ko samjny ki toofeeq ata kray.... aur hum sab ko ramzan ki barkton aur rehmtoon sy fayz'yaab kry...ameen
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:9th Aug 2010, 12:01am
 

Ramadan schedule

aam taur say iss maah maiN log namaaz rozay ki pabandi k saath saath Quran say khasoosi lagaa'o rakhtay haiN. aur iski khoob khoob telawat kartay haiN. hum maiN say to baaz log kai kai quran 'khatam' kartay haiN.

ramadan ki khaas baat din ko rozay aur raat ki taraweeh hai...amooman taraweeh main poora quran mokammal kia jata hai. goyaa jo shakhs poori taraweeh paRhay woh poora quran bhi kam az kam aik martabah mokammal sun leta hai

but hum "ajami" (non-arabs) logouN ka almia yeh hai k bil.amoom hum arabic zubaan samajh nahi saktay lehaza jab hum telawatay quran kartay haiN yaa quran suntay haiN to issay samajhnay say qaasir rahtay haiN. jabkay quran asal main paRhnay, samajhnay aur iss par amal karnay k liyeh naazil howaa hai.

lehaza meri aisay tamaam logouN say guzaarish hai k woh iss ramadan maiN kam az kam aik martabah poora quran tarjumah /translation k saath zaroor read karaiN... yaani yaa to rozanah aik parah ki arabic telawat bhi karaiN aur phir issi parah ki urdu /english translation bhi parhaiN..... agar etna waqt nah milay to sirf translation hi paRh laiN daily one paraa...coz one parah ki telawat to waisay bhi taraweeh maiN sun hi lengay. apka jo bhi pasandeedah tarnslator ho, oska tarjumah aik baar poora zaroor paRhiyeh.insha Allah Allah apkay qalab ko open karega... maiN below maiN chand online quran k tarnsaltions par mabni URL likh raha houN... takay jinkay pass translation wala quran nah ho woh online hi paRh laiN... ya jo zeyadah waqt inline rahtay houN woh iss say istefadah kar laiN... jinkay pass zara waqt ho to woh quran k saath saath hadees ki bhi khandagi kar laiN

PS: Please dont divert this important topic by chatting.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:9th Aug 2010, 12:07am
 

Online Quran Translations

www.paighamequran.com

http://www.quranexplorer.com/quran/

http://asanquran.com/

http://www.searchtruth.com/searchHadith.php

http://www.quranweb.org/urdu/index.htm

 

Note For Respected Modz: Please do not delete /edit above URL
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013