Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Islamic Dating: Rules Traditions and Advantages

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:15th Jul 2010, 6:24am
 

Islamic Dating: Rules Traditions and Advantages

Islamic Dating Rules
larka aur larki ke liye zaroori hai keh woh jab bhi date per jaaye iss baat ka khayal rakhe keh koi bhi Islamic rule violate na ho. agar rule violate ho gaya tu iss dating ko Islamic dating nahi keh saktay. tamam musalmano ke liye zaroori hai keh woh Islamic dating rule per sakhti se amal kare.

Islmic Dating Traditions
iss waqt dunia bhar mai 40 se ziadah islamic country hai aur har country ka alag alag tradition hai. lehaza in mumalik mai Islamic datinge tradition bhi alag alag hoga. agar kisi ko kisi Islamic country ka Islamic Dating Traditions maloom hai tu on se darkhast hai keh woh yaha bian kare.

Islamic Dating Advantages
Islamic dating ke baad shaadi kerne ki soorat mai mia bivi mai ham ahangi ziadah hoti hai. lehaza shaadi se qabal larka aur larki ko Islamic Dating zaroor kerni chahiye.



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:15th Jul 2010, 7:01am
 

Dating aur islam

dunya bhar maiN morawwajah dating, bunyadi taur par aik "ghair islamic tradition" hai, jiska islam say dooooor ka bhi wastah nahi. yeh sahih hai k beshtar muslim momaalik k awaam (muslims) apnay deen say doooor honay k sabab aur ghair islamic culture say motassir honay k sabab apni apni jagah kissi nah kissi taur par 'dating' jaisay non-islamic tradition maiN molawwas hochukay haiN... lekin iskay bawajood Islamic scholars maiN say kissi nay bhi morawwajah dating ko "mosharraf bah islam" karnay ki kabhi koshish nahi ki.

NCF k Mr. bewaqoof woh wahid (so called) danish.wer haiN jo deger ghair islamic traditions ki tarah dating ko bhi "islami" banaanay par tolay howay haiN.... islamic dating ki istelaah aisay hi hai jaisay koi kahay k islami-chori, islami-jhooT, islami-fraud, islami qatal o garat gari etc etc

Allah ham sab ko iss qism ki danishwari k shar say mahfooz rakhay aameen

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:15th Jul 2010, 9:14am
 

islamic dating

agur bewakoof brother ko dating ko promote kurny ka bot shok hay tu mera mushwara hay kay wo apni ye theory jo islamic dating  hey essy Islamabad meah islami nuzuryaati council ko paysh kurin jahaa hur Firqa  kay olamaa mojood hen agur wo essy pass kur daty hen tu mujy koi ehtraaz nahi hay.  

Islam mom ki naak nahi hay essy judur chahoo mor lo apni murzi apni khuwaish pay, Islam meah lurka lurki ki ess turhaa ki molakaato ka koi tassuwar nahi hay es leyeh meri bewakoof brother say request hay esy islamic dating kaa nam day kur logo ko misguide nahi kurin agur onki yeh tehreer pur kay koi islamic dating kurna shoro kur data hay tu essy na serf mohaashery meah bighaar payda hoga bulky fussad bhe payda hoga or jo abi log dating kurty hen es turaa ki hum say onky problems or noksanaat chopy nahi hen, 

Islam ek baar ki molakaat ki moshkil saay ejaazat data hay kay ek dosry ko dakh layin esko agur first date kehty hen tu keh layin lakin second third ,,,,,,, eskaa silsilaa mutwaater rehna noksaan or fusaad say khali nahi hay essi leyeh islam nay women ki protection kay leye ksi beh na mehram kay sath jany pay pabundi lugaai hay






s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:15th Jul 2010, 9:42pm
 

rE:

above replies se main agree hon.

islam me sirf itna kaha gaya hai k aap shadi se pehle larki ko dekh lein,os k chalne,bethne,bolne ka style agar aapko larki me koi burai nazar nahi ati to aap rishte k lie haan kar dein warna nahi.ab chahe sab k samne dekhein ya alheda.
mere bhai ki shadi hoi to hume larki achi lagi magar bhai ka kehna tha k aap ki pasand hai per phir bhi main dekhna chahon ga.to jab bhai ko bhabhi se mulaqat krai gai tab bhabhi ki walida meri & main os room me th.tab bhabhii ai atey hi salam kia...aik dosre ka hal pocha.aur phir bhai ne tab psand kar lia.

baqi ye kahin bhi nahi likha k aap bar bar milein.
ye sirf aaj kal hota hai k larka larki apas me bat karein,milein aik dosre se takey inki understanding ho.




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:15th Jul 2010, 10:07pm
 

Dating is a form of courtship

dating aur courtship dounouN english istelaah hai... jiska matlab awwal to sab hi jaantay haiN, aur agar kissi ko mazeed tasdeeq karni ho to kissi bhi dictionary ko dekh lay... in donuN activity ka Islam say doooooor dooooor ka wastah nahi.

aik hadees ka mafhoom hai k jab 2 naa.mahram tanhaa apas maiN miltay hain to wahaaN teesra shaitaan hota hai........ dating aur cortship kahtay hi 2 naa.mahram k tanhaa milnay ko hain takay woh aik doosray ko bah gharz marriage "achi tarah dekh bhaal" sakaiN. ab agar shaitaan ki maujoodgi maiN yeh kaam (dating /cortship) hotaa rahay to anjaam wohi hogaa...jiski khahish Bewaqoof kar rahaa hai.

well said Dr Qasim bro...Jazak Allah

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013