Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Dating: How To Behave First Time On Date With a Girl?

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
waleed kha Group: Members  Joined: 13th Jul, 2010  Topic: 1  Post: 6  Age:  21  
Posted on:13th Jul 2010, 3:27pm
 

Dating: How To Behave First Time On Date With a Girl?

yaar i want to know how to behave first time on date wid a girl??


H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:13th Jul 2010, 3:37pm
 

waleed kha

ap wedding night ki bat  kur ray yaa?
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:13th Jul 2010, 7:46pm
 

rE:waleed kha

aap ki profile me likha hai k aap student hain aur aapki age 18 years hai.to is age me aap shadi to krne se rahe.

agar aap ka sawal hai shadi se pehle illegal sex  ka to aapko is ka mashwara nahi dia ja sakta.
aap ko mera mashwara ye hai k aap apni parhai pe dhean dein.
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:13th Jul 2010, 8:35pm
 

reply.....

dr qasim inki post me jo likha hai us per gour kijiye..........

 how to behave first time on date wid a girl??

e waleed ap legal nhi illegal sex ka puch rhy he aur iska mashwra apko nhi dia jasakta hai...........agree with s4u k ap apni study per twaja dy.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:13th Jul 2010, 11:02pm
 

waleed

kia apki koi bahan hai? agar hai aur suppose karaiN k onsay koi laRka 1st time date pay jaa raha hai... agar woh laRka apsay yehi sawaal karay to ap onhaiN kia jawaab dena pasand karengay????
aliakbar17 Group: Members  Joined: 06th Jul, 2010  Topic: 4  Post: 156  Age:  25  
Posted on:14th Jul 2010, 3:03am
 

my rizvi

ap her maslay main so called right wing ethics kyun lay aatay hain wo wakt bee jald aayay ga jub behan bhaai bay parwa ho jayain gay abi ap zra 1789 main reh rhay hain
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:14th Jul 2010, 5:48am
 

aliakbar17

Re: abi ap zra 1789 main reh rhay hain

i wud love to live even in 1400 yrs back i.e. the eras of hazrat muhammad PBUH, Hazrat abu bakar RA, hazrat Omar RA, Hazrat Usman RA and hazrat Ali RA....

i believe that ur nick is related to hazrat Ali RA ... am i right?.... don't you luv the era of hazrat Ali RA??? kia hazrat Ali apnay har maamlay maiN ethics /islam ko nahi shamil kartay thay????

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:14th Jul 2010, 6:04am
 

shaadi se qabal date zaroori hai

re: "kia apki koi bahan hai? agar hai aur suppose karaiN k onsay koi laRka 1st time date pay jaa raha hai."

jin gharo mai date ka riwaj hai on gharo ki larkia apne maa baap aur bhayee ko bata ker date per jaati hai. aksar maa baap khood hi apni beti ko date per bhejte hai.

Islam mai iss baat ka hukum hai keh shaadi mai larki ki pasand maloom ki jaaye. kisi larka ko pasand kerne se qabal os se milna aur os ke khayalat ka jaanna zaroori hai. lehaza khayalat ko jaanne ka sab se behtareen tareeqa date hai. date per larki aur larka aik doosre ke khayalat se waqif hotay hai.

aik achchi aur samajhdar larki ko maloom hota hai keh date per jab woh kisi larka se milti hai tu os ki limit kia hai. warna jo larki limit nahi jaanti woh date ke beghair bhi bahut kuch kerti hai.

abhi bhi Indo Pak mai rishta tai hone se qabal larka aur larki ki tanhayee mai mulaqat karayee jaati hai. tanhayee ka matlab yeh keh koi on dono ki guftagoo na sunay. jaisa ke kisi park, beach, restaurat mai dono taraf ki poori family gayee hai aur kuch faasla per larka aur larki tanhayee mai iss tarah guftagoo ker rahe hai keh dono family onhai guftagoo kertay dekh rahi hai likin on ki guftagoo nahi soon rahi hai.

mai khood doosro ki misal dene ki bajaye khood apni bahan ke baaray mai kahoo ga keh shaadi se qabal woh larka ko dekhe, os se baat kare aur phir ose pasand kare tab jaa ker shaadi kare. shaadi se qabal kisi larka ko dekhna, os se baatai kerna, os ke khayalat samajhna aur phir ose pasand kerne ko hi date kehtay hai. albatta agar kuch larka aur larki date ke doran kuch ghalat harkat ker baithe tu phir woh on ki inferadi ghalti ho gi date ki kharabi nahi ho gi.

jaha tak inferadi ghalti ki baat hai tu os ke liye date per jaana zaroori nahi. date ke beghair bhi insaan beshumar ghaltia kerta rehta hai
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:14th Jul 2010, 6:19am
 

Islamic point of view say

1. shadi say qabal laRka aur laRki ka dating ki gharz say baham tanhaa milnaa milana HARAM hai... mosalmaan gharanouN maiN say agar kissi ghar maiN aisaa hota ho to iss say yeh HARAAM amal HALAAL nahi hojataa.

2. Islam shadi say qabal laRka aur laRki ki razamandi ko zaroori qarar deta hai... aur shadi say qabal apnay baRouN /family members ki maujoodgi maiN aik doosray ko dekhnay, baat cheet karnay (milnay) ki ijazaat deta hai... magar issi had tak...... iss say aagay tanhaa outing /dating ki ijazat nahi deta.

3. indo pak maiN yaa dunya bhar main kia hota hai aur kia nahi hotaa, iska ISLAM say koi talluq nahi. Islam aik alag cheez hai aur "mosalmaanouN ka amal" aik alag cheez. jo kuch aik mosalmaan karta hai, woh ISLAM nahi hai ... balkay jo ISLAM kahta hai, ospar amal karnay walaa MOSALMAAN hai

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:14th Jul 2010, 6:29am
 

Islamic Dating

re: "Islam shadi say qabal laRka aur laRki ki razamandi ko zaroori qarar deta hai... aur shadi say qabal apnay baRouN /family members ki maujoodgi maiN aik doosray ko dekhnay, baat cheet karnay (milnay) ki ijazaat deta hai."

ji haa aap ise Islamic Dating keh saktay hai. dating ghalat nahi hai albatta musalmano ko chahiye keh woh Islamic dating per amal karey.

lehaza thread start kerne wale member ko tafseel se bataya jaaye keh woh first time dating per kisi larki se kis tarah behave kare.



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:14th Jul 2010, 7:26am
 

hmmmm

ab ayaa hai naa ouN.T pahaaR k neechay ... i mean k Bewaqoof Islam k neechay lol
waleed kha Group: Members  Joined: 13th Jul, 2010  Topic: 1  Post: 6  Age:  21  
Posted on:14th Jul 2010, 7:38am
 

waleed

yaar main pooch raha hoon first time date per kiya baatain karoon gf say app her cheez k beech main sex kyun lay atay ho yaar..main sirf tips mang raha hoon date per kasa behave karna chaiey..manay illegal or legal sex k baray main tou kuch poocha he nahi hai..
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:14th Jul 2010, 7:46am
 

Best Catagory of Dating

Islamic dating :  Agur Parents Lurki ya lurkaa Dhoond Laty Hen tu Dono Families koi ek Din Moqurrur kur kay dono ki Molaakaat kuraa Dayin, jis Meah jesy bewakoof bro nay btaya kay wo dono hoty Samny he Hen lakin onki Batin nahi son sukty yahaa tuk lurka lurki ka apus Meah bat jeet kur lana thek hay  

Lakin agur lurka lurki bolain yaa khiyaal kurin kay hum bar bar milayn-Ghay or pher ek dosry ko understand kurain gay agur dono kay Khiyaalaat mily tu pher shadi kurin gay ni tu Rastaa apna apna, ye ghult bat hay,  Ammomun es turaa ki Dating meah lurki ki apni date Expire ho jati hay or expire chezo ko pher koi use ni kurta.

sub say achaa Tureeka dono Families ek moqaa day Dayin dono ko apus Meah milny ka bat kurny ka esky bhad koi date shat Allow nai , first date kay bhad Families ko chayeh kay shadi ki Date fix kurin na kay roz Dating dating .

Kisi Bhe Lurki ko kisi lurky kay sath apny ghur say baher kisi Ghyr Mehram kay sath jana dating kurna Khutry say khali nahi hay aay roz ap sub forum pay bhe purty rehty hen lurkiyaan apni virginity kho dati hen or turaa turaa kay problems ka shikaar ho jati hen, Lurky bot kum fair hoty hen or lurkiyaan Mobabat or Peyar ky bokhaar meah bagul ho kay apna noqsan kur bathti hen,

es leyeh Dating shating ka concept bBilkol Humary Mohashry or culture say match nahi kurta. Frist date serf ek dosry ko dakhny ki ho tassaali kur layin koi zuroori bat ho wo kur layin or pher final shadi ki date tay kurin na kay roz dating ,wo he kam achy hoty hen jo Tehzeeb or culture or Apny muzhub say match kurty hen , doosro say odaar leyeh gay russam or ruwaaj problem create kurty hen or Mohaashry meah intashaar or Fusaad Phalaty hen,




waleed kha Group: Members  Joined: 13th Jul, 2010  Topic: 1  Post: 6  Age:  21  
Posted on:14th Jul 2010, 10:05am
 

waleed

thank u ....
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:14th Jul 2010, 2:25pm
 

Illegal Dating..

iss forum par bar ha aysy swalat hoty hain jo illegal activities ki janab towajjo / sanad hasil karny ki gharz sy hoty hain ...aysy swalaat k bary yahan k members ya to comments hi nahi karty jo k achi bat hey ya phir swal karny waly ko tanbeeh karty hain k illegal activity related koi b swal yahan na kiya jaye jaisa k iss thread main b nazar araha hey

aysy threads par advice comments karny ki bajaye issy delete kar diya jata hey laiken yeh thread yahan qayem rehna aur iss main advice replies ka ana kis traf ishara kar raha hey  ..?????..kia forum rules badal gaye hain ??????
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:14th Jul 2010, 9:11pm
 

dip uncle

rules nahi badle.aap k read krne ka andaz ho sakta hai badl gya ho.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:14th Jul 2010, 11:16pm
 

Diplomate bro

"kuch log" iss qism ki "ghair ikhlaqi" ko jaan boojh kar tooool denay aur chalanay ki 'ahmaqanah' koshih kartay haiN... chounKay woh log iss forum k sr aur mod shid bhi hotay haiN ... iss liyeh laa.mahalah "hum jaisay" logouN ko beech main koodna paRta hai aur thread ko ghalat track say durust track par laanay ki koshish kartay haiN........ myrizvi /Dr Qasim ki replies issi liyeh theeN.

waisay apka yeh kahna bajaa hai k iss qism k threads ko pahlay hi delete kardena chhayeh... maiN aisaa barhaa karchuka houN... lekin aksar auqaat baaz "sr modz" hamari iss kawish ko "undo" karkay aisee posts ko running track par lay aatay hain.... ab yeh to aik open forum hai... yahaan 'sab ko' hi ikhteyaar haasil hai k woh apni apni marzi karta phiray.

Allah apko jazaa.ay khair day k apnay apnay comments diyeh.

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:16th Jul 2010, 2:43pm
 

kia matlab ?

Re : - "rules nahi badle.aap k read krne ka andaz ho sakta hai badl gya ho."

kia matlab..?? Muhterma s4u sahiba g main pehly b 2 ankhoon aur aik adad dimagh sy read karta tha aur abb b read karny k liye inhi cheezoon sy madad laita hoon....mera andaz aaj b wohi hey jo pehly tha...aap ka ishara kis tarf hy please wazahat farma dain..halan k main ny ankhoon aur dimagh sy madad lli hey laiken meri bad qismati hey k main aap ki ala biyaani ko samjny sy qasir hoon...

Myrizvi bhai.....thanks 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:16th Jul 2010, 10:11pm
 

kuch n kuch n

.......
aliakbar17 Group: Members  Joined: 06th Jul, 2010  Topic: 4  Post: 156  Age:  25  
Posted on:23rd Jul 2010, 8:28am
 

my rizvi

my rizwi sahib mairee baat ka islam ka tya mairay akeeday say koi taluk nahee
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013