Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Reality Or Just Co-incidence!

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  29  
Posted on:4th Jul 2010, 9:49am
 

Reality Or Just Co-incidence!

Salam To All Friends! 

Friends Main aur aap sabb Medical Point of view se to Yaqeenan ye janty hon ke aik baby boy ya baby Girl kaisy paeda hota hai, yani XY Chromosomes se boy aur XX se girl paeda hoti hai. 
 
But main yahan Medical point of view se nahi balkke aik simple aur non-medical point of view ki baat karny laga hon aur ye Point of view sirf oun Married logon per hi laago hota hai jin ke haan pehla baby peda hony wala hai. keon ki is se aagy ye point valid nahi rehta. 
 
Dosto agar aap nay kabi ghor kiya ho to bohat sary mard Hazraat ke Sarr per peechhy Gardann pe aa kar jahan baal khatam hoty hain wahan kuchh mard hazraat ki chhoti si choti bani hoti hai jabbke Kuchh Mard Hazraat ke baal seedy hoty hain. to mery aub takk ke Survey ke Motabiq jin Mard Hazraat ke Sarr ke peechy chhoti si choti bani hoti hai oun ke haan pehla bacha larki hi peda hoti hai. Main nay ye Survey pechly taqreeban 5 , 6 saal se kiya hai aur mera Survey Result 97% correct hai. 

Aub Aap is ko Reality samjhy ya just co-incidence I don't know.
Wasiy Aap se request hai ke aap b apny Ired Gird zara nazar dora kar dekhhain kaya meri baat sahi hai ya nahi.



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:4th Jul 2010, 11:35pm
 

re

 ye apki personal observation hay essy ap jaari rukhin 100 bundo ka nam puta onki pics record kurin or onko observe kurin agur 100 logo meah apko apki soch kay motabik results milty hen tu ap apni ye research paysh kur sukty hen kay meah nay ess traa kay results dakhy hen ,, wesy ye reality nai hay, aj kul zumana esaa aagiya hay wessy he ziyada female baby he payda ho ray hen or agur ap nuzzur dohraayin tu apko puta chuly gah uksur first baby  , baby girl he hota hay,abi esko ap osky hair style say munsoob kur layn osky hatho say oski ankho say yeh theek nahi hay 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:4th Jul 2010, 2:08pm
 

survay on first baby

re: "Main nay ye Survey pechly taqreeban 5 , 6 saal se kiya hai aur mera Survey Result 97% correct hai."

agar aap ne survey kia hai tu phir aap ko chahiye keh apne survey se medical research council ko bhi agah kare. woh khood survey ker ke aap ke survey ki tasdeeq kare ge, aur agar aap ki baat sahi huyee tu iss survay ka credit bhi aap ko de ge.

waise aap chahe tu yaha per bhi apne survay ki tafseel pesh ker saktay hai. ham log bhi aap ke survay ki tafseel read ker ke bata saktay hai keh aap ke survay mai ketni jaan hai?
ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  29  
Posted on:5th Jul 2010, 1:34am
 

My Study!

Friends pata nahi aik to aap kisi baat ko understand karny ya ous baat ke Point of view ko samjhny ki bajaaye sik dum se ous baat ko sirry se hi reject kar dety hain. Main nay agar koi baat kahi hai to Zahir hai ke main nay kuchh Study kiya hai to baat ki hai na.

Aur main nay study kahin aur se nahi Balkke apny ghar aur apny relatives se hi start ki thi aur is study mein main nay sirf apny aik hi Cousin hi ko aisa dekhha hai jis ke Sarr per peechhy choti hai lekin ous ke haan Pehla baby boy peda howa warna baaki tamam mein aisa nahi howa halaan ke mery aik Cousin ke Masha-Allah 4 Bety hain lekin oun ki Pehli Olaad beti thi jabke bety sabb baad mein howy. aisy hi aur b bohat saary cases main dekhhy hain jin mein same story hai. 

Is ke baad mein nay jabb apni research ko apny relatives se baher study kiya to wahan b mujy same cases hi dekhhnay ko mily jis mein jin logon ke sarr ke pechy choti thi oun ka pehla bacha larki hi tha.

Kher is study mein kuchh cases main nay aisy b dekhhy jin mein logon ki pehli Olaad Beti hai aur oun ke sarr ke pechy choti nahi hai aur is study mein Mera bhai sabb se pehly aata hai jis ki pehli Olaad beti hai lekin ous ke sarr ke peechy choti nahi hai.

Aub aap kahain gay lo ji tumhari research to phir flop ho gaai. to friends main is ke jawab mein ye kahon ga ke main nay ye nahi kaha ke jin Mard hazraat ke peechhy choti nahi hoti oun ke haan pehli Olaad beti nahi ho sakti. But mera Point of view sirf oun logon ke bary mein hai jin ke Sarr ke Pechhy Choti hoti hai oun ki First Olaad almost Beti hi hoti hai.

Aap bajaaye Gusaa karny ke agar aik baar  apny Ird Gird nazar daal hi lain to is mein aap ka aakhir jata kaya hai?
jazzii Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2009  Topic: 7  Post: 62  Age:  27  
Posted on:5th Jul 2010, 10:18am
 

u r wrong

      bhai ap ki bat bilkul galt hai  kyoon k mery husbnd ke b choti hai lekan humara pehla bachha ladka howa hai,,,,,,,,,,balky   mery husbnd k 3 bhai hein un sub k b chhoti hai ,,,,or sub k han ledky hi hein  abi tam  koi bachhi ni paida hoi ,,,,,,,ye sirf app ka appna  khyal hai ,,,,iss mein koi  haqeeqat ni ,,,,
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013