Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Attraction : Niqab Posh Ya Baghair Niqab K ?

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:4th Jul 2010, 4:48am
 

Attraction : Niqab Posh Ya Baghair Niqab K ?

mera profession kuch aisa hai keh mera wasta lower class aur lower middle class ki khawateen se perta hai. in khawateen ki aksariat Abaya pehenti hai. kuch ke chehray khulay hotey hai aur aksariat ke chehray per niqab hota hai, aur sirf aankhai nazar aati hai.

mai ne mahsoos kia keh mujhe khulay chehre wali khawateen ke muqablay mai niqab posh khawateen ziadah attractive lagti hai. shaid iss ki wajah aik tajassus ho keh iss niqab ke peeche kia hai? ya phir waqai os niqab ke peeche ziadah khoobsoorat chehra ho?

kia aap log bata saktay hai keh aap logo ko Abaya mai khulay chehre wali khawateen ziadah attractive hai ya niqab posh khawateen jis ki sirf aankhai nazar aati hai.



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:4th Jul 2010, 9:05am
 

niqaab

Re :-"khulay chehre wali khawateen ziadah attractive hai ya niqab posh khawateen jis ki sirf aankhai nazar aati hai."

agar niqab main hamari maa behan baiti ho to phir hamain unn ko kaisi nazar sy daikhna chahiye..????


jazzii Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2009  Topic: 7  Post: 62  Age:  27  
Posted on:4th Jul 2010, 10:30am
 

bht achy

 

diplomate,,,,,,,,,

bohat acha reply kia .......

 

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:4th Jul 2010, 10:52am
 

Bewakoof

apnay apny Suwaal meah he Juwaab day deya hay so meah nai sumajta kay muzeed koch kaho, islam nay jo jo Ehkaam yaa tor tureeqy butay hen on meah koch na koch Hikumat mojood hay, 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:4th Jul 2010, 1:51pm
 

niqab posh haseena

re: "agar niqab main hamari maa behan baiti ho to phir hamain unn ko kaisi nazar sy daikhna chahiye..?"

os ko maa bahan aur beti hi samajhna chahiye. lekin Abaya ke fancy design, aankho ke kajal, haatho ki mehndi aur fingers ke nail polish ko aurat ka singhar samajhna chahiye. aur aisi singhar wali aurat ke baaray mai sawal poocha jaa raha hai.

aurat kainaat ka aik khoobsoorat tohfa hai, chahe woh maa bahan beti ki roop mai ho ya rishtadar, staff, client ke roop mai. maa bahan bethi bhi jab singhar kerti hai aur achchi dressing kerti hai tu achchi lagti hai bilkul osi tarah jis tarah doosri khawateen.

agar zehan ganda ho tu woh gandagi maa bahan aur beti ke liye bhi hota hai. jis ka zehan maa bahan beti ke liye ganda hota hai woh nafsiati mareez kehlata hai. yeh sex perversion bhi kehlata hai. iss ke liye incest aur family sex ka lafz istemal kia jaata hai.

lehaza maa bahan beti ka example dene se qabal achchi tarah soch lena chahiye keh kahi aap ka jawab aap ke zehni gandagi ki taraf ishara nahi ker raha hai.

jab insaan shadi kerta hai tu apni pasand ki larki se shaadi kerta hai, kisi ko niqab wali achchi lagti hai tu kisi ko khule chehre wali, kisi ko fashionable tu kisi ko beghair fashion kerne wali. kia jab log apni pasand ki larki ki talash mai hote hai tu onhai maa bahan aur beti nazar nahi aati.

mera sawal aik baar phir yeh hai keh:

aap ko khulay chehre wali khawateen ziadah attractive lagti hai ya niqab wali khawateen jis ki sirf aankhai nazar aati hai. yeh sawal sab se hai lekin khasoosan on nojawano se hai jo shaadi kerne wale hai. ya jin ke liye larki ki talash jaari hai. woh shaadi ke liye niqab wali ko ziadah pasand kertay hai ya khulay chehre wali ko.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:4th Jul 2010, 2:44pm
 

I think

lurki chay niqaab meah ho yaa wo scarf mah ho oski ankho meah oski adaao meah Huyaa hogi tu wo ziyada attractive hogi, Huyaa ek essi cheez hay jo attraction payda kurti hay,so full niqaab ziyada Ehssun or afzaal cheez hay so meah sumajta hon niqaab wali females ziyada attractive hoti hen, esky elawa scarf meah bhe ek apna hossun hay,
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:5th Jul 2010, 11:12pm
 

Diplomate ka aRor rs ka sawaal

agar niqab main hamari maa behan baiti ho to phir hamain unn ko kaisi nazar sy daikhna chahiye..????

kissi bhi laRki (except ur spouse) k husn par comments kartay waqt bewaqoofoun ko ... balkay aqalmandoun ko bhi... Diplomate bhai k iss sawaal ko aroor madday naar rakhna chahiyeh k kaheen koi meri bhi maaN bahan k baray main to koi aisay hi comments nahi kar rahaa...

jaak Allah bros
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:5th Jul 2010, 11:56pm
 

niqab wali aur khulay chehray wali khawateen

re: "iss sawaal ko aroor madday naar rakhna chahiyeh k kaheen koi meri bhi maaN bahan k baray main to koi aisay hi comments nahi kar rahaa."

ji haa tamam khawateen ki tarah hamari maa bahan ke baaray mai bhi log aisa hi comments kertay ho gei. yeh haqeeqat hai iss se inkar nahi kia jaa sakta.

khasoosat rishta dhoondne mai tu kai baato ka khayal rakha jaata hai. aur phir larki ke husn aur khoobsoorti per na sirf ghar mai discuss kia jaata hai balkeh doosro ke saamne bhi khoobsoorti ki tareef ki jaati hai.

agar zahri husn, dressing, style pasand na aaye tu aksar larkio ko rishta ke liye mustarad ker dia jaata hai. kisi ko niqab wali achchi lagti hai tu woh niqab wali ko pasand kerta hai aur kisi ko be neqat wali tu woh beniqab wali ko pasand kerta hai. pasand apni apni.

myrizvi saheb: kia aap bataye ge ge aap ko niqab wali khawateen achchi lagti hai ya khulay chehray wali. mai ne tu apne baaray mai keh dia hai keh mujhe niqab wali khawateen achchi lagti hai.



s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:5th Jul 2010, 9:14pm
 

re:Niqab Posh Haseena

"kisi ko niqab wali achchi lagti hai tu woh niqab wali ko pasand kerta hai aur kisi ko be neqat wali tu woh beniqab wali ko pasand kerta hai. pasand apni apni. "


to bat hi khtam har aik ki apni psand hai...is k elawa kisi bhi khatoon ko chahe wo niqab me ho ya khule chehre me mardoun ko nahi dekhna chahiye.to phir ese sawal  krne ka  koi faide hi nahi k kis trha aik ghair aurat achi lgti hai aapko.
haan agar aapko apne ghar ki khatoon niqab me achi lgti hai to achi bat hai.

yahan sawal kuch youn hona chahiye tha k aap pardey k kitne paband hain?aap k is sawal k bad jo mard aurtoun ko nahi bhi dekhte hon ge to ab wo dekhna shoro kar dein ge k kon ziyada atrractive h.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:5th Jul 2010, 11:27pm
 

haqeeqat

re: ji haa tamam khawateen ki tarah hamari maa bahan ke baaray mai bhi log aisa hi comments kertay ho gei. yeh haqeeqat hai iss se inkar nahi kia jaa sakta. 

goya jab "hum" kissi ki maaN bahan k baray maiN aisay comments kartay haiN to doosrouN ka yeh "haq" bhi tasleem kartay haiN k woh bhi "hamari" maaN bahnouN k baray maiN aisay hi comments karaiN...wow kia "haqeeqat pasandanah" soch hai lol
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:6th Jul 2010, 5:07am
 

niqabposh haseena

re: "wow kia "haqeeqat pasandanah" soch hai lol"

aankhain band kerne aur kaan mai ungli thoo'ns lene se haqeeqat chnge nahi hoti.
Stalker Group: Members  Joined: 21st Dec, 2009  Topic: 14  Post: 356  Age:  33  
Posted on:6th Jul 2010, 6:12am
 

Nice hit by bewakoof...hahaha



"///aankhain band kerne aur kaan mai ungli thoo'ns lene se haqeeqat chnge nahi hoti.///"


Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:7th Jul 2010, 6:09am
 

khawateen ka ehtaram

aajkal aksar gharo mai larkia sharee perda kerne lagi hai, jis ki wajah se kai qisim ke samaji problem paida ho gaye hai.

aaj se kai saal purani baat hai keh mere aik cousin ke os ki first cousin se mangni huyee thi, woh university mai perhti thi, islami jamiat-e-talbat ki sargarm karkun thi. aik din achanak os ne elan ker dia keh woh sharee perda kare gi, aur os ne sharee perda kerna shuru ker dia.

sharyee perda ki wajah se os ke mangeter ne mangni yeh keh ker tor di keh os ke 2 room ke quarter mai aik aisi khatoon ke saath zindagi nahi guzari jaa sakti jo os ke bhaio aur walid se sharee parda kare.

sharyee perda se qabal bhi woh bahut hi proper dressing mai rehti thi, aur ham sab ko woh pasand thi, ham log bhi bahut hi mohazzab andaz se os se miltay thay aur os ki ghair mojoodgi mai os ki tareef hi kertay thay. lekin sharyee perda ke baad hamari os se koi mulaqat nahi huyee balkeh kisi bhi ghair-mahram ne na os ki shakal dekhi aur na hi os se baat ki.

os ke sharee perda ka aik taraf ham log ehtaram bhi kertay thay lekin doosri tarah ham logo ke liye os ka sharee perda azab bhi bana hua tha, kio keh sirf os ki khatir mahol ko 100% ba-parda nahi banaya jaa sakta tha, lehaza waqt ke saath saath os ke taluqat sab se hi khatam ho gaye.

............

mukhtasar baat yeh hai keh ham sab aik doosre ko dekhtay, mahsoos kertay, pasand aur na-pasand kertay hai. aur isi ki bina per kisi ko rishta ke liye qabool kertay hai aur kisi ko reject ker detay hai. os larkay ne jaha os larki ko sharyee perda ki wajah se reject kia tu os ke waldain ne os ki mangni os ki choti bahan se ker di, os ki choti bahan bhi burqa pehenti hai lekin sharyee perda nahi kerti. woh bhi proper dressing mai aur aankho mai haya liye hoti hai. ham logo se bhi milti hai aur ham log bhi os ka be-had ehteram kertay hai.

shaadi se qabal tamam larkay aur larkia aik doosre se miltay hai aur ose dekhtay hai. yeh aur baat hai keh koi onhai burqa mai nazar aati hai aur koi beghair burqa ke, koi sharee perda mai tu koi ghair sharee perda mai. ab yeh tamam khawateen hamari maa, bahan aur beti tu nahi hoti.

agar koi khatoon hamari maa bahan aur beti na ho tu iss ka yeh matlab nahi keh ham os se baat na kare, ya os se nahi milay, ose pasan aur na-pasand na kare. ham sab kuch ker saktay hai, os se mil bhi saktay hai, baatai bhi ker saktay hai aur ose pasand aur na-pasand bhi ker saktay ahi.

kisi larki ya aurat ke ehtaram ke liye zaroori nahi keh woh sirf aur sirf hamari maa bahan aur beti ho. ham doosro ki maa, bahan aur beti ka bhi ehtaram ose maa bahan beti samjhe beghair ker saktay hai. jo log sirf aur sirf apni maa bahan aur beti ka ehtaram kertay hai woh ghalti per hai. onhai chahiye keh doosro ki maa bahan aur beti ka bhi ehtaram kare. ehtaram ka yeh matlab nahi keh koi khaatoon aap ke saamnay khari ho tu aap apni aankhain band ker le aur kaanoo mai unglia thoos le.

au jab aankhai aur kaan khol ker kisi khatoon se milay ge tu aap mahsoos kare ge keh koi khatoon burqa mai hai, tu koi beghair burqa mai. koi sharyee perda mai tu koi ghair sharyee parda mai. koi sharm o haya ki paikar to koi be-bak.

asal sawal yahi hai keh jab aap apni aankhai aur kaan khol ker kisi khatoon se miltay hai tu aap ko kis qisim ki khatoon achchi lagti hai. mai ne tu apni pasand bata de keh mujhe niqab wali khatoon achchi lagti hai. aap log batai keh aap ko kis qisim ki khatoon achchi lagti hai/

Note: ham intehai afsos ke saath kehte hai keh hamaray forum ke two senior members ne fazool mai iss topic per criticise ker ke iss topic ka saara husn khatam ker dia. aur iss topic ki mukhalfat iss liye nahi ki ke topic qabil-e-etraz tha balkeh etraz kerna on ki aadat hai. ab ham kisi ki aadat tu change nahi ker saktay



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:7th Jul 2010, 6:37am
 

Niqaab posh Hussena

bewakoof apny apni post ka jo title rukhaa hay wo theek nahi thaa jiski waja say meah sumajta hoon reader ko sumajny meah doshwaari hoi apny nam punjabi film ka rukh deya hay ap eska title chance kurin , baki apka suwaal valid hay apny yeh pochny ki koshish ki hay kay aaaya nikaab wali orat ziyada attractive nuzur ati hay yaa binaa niqaab wali es meah behess or mobahisssy ki baat he nahi thi ek common saa question hay jisko kurny ki joraat b hur koi ni kurta, 
Neha_83 Group: Members  Joined: 16th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 169  Age:  30  
Posted on:14th Jul 2010, 1:20pm
 

to Bewaqoof

 ye ek natural si bat hai ke ek mard aurat ke lye aur aurat mard ke lye attraction feel karte hain.

is se koi taluk nahi ke aurat parde me hai ya nahi. Ek full NIkaab wali aurat bhi kuch Mardon ke lye attractiv ho sakti hai...wo is tarah ke uski aankhon se..,uske Hathon se etc...

aur issi tarah ek modren aurat jisne sun.glasses pehne hon.wo bhi naturaly attract kar sakti hai..
ye Tajajus ek fitri bat hai insaan me .Is me koi burayi nahi agar aitraf kiya jaye.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:14th Jul 2010, 2:15pm
 

fitri cheez ka aitraaf karna...

Re : - "Is me koi burayi nahi agar aitraf kiya jaye."

han uss waqt koi buraiee nahi ho gi jab aitraf kisi aysi cheez k barey main kiya ja raha ho jo k aik haqeeqat ho .....laiken uss waqt aitraaf par aitaraaz ajata hey jub baat fitret sy hat kar ki jarehi ho .......mtlab yeh k aik na mehram aurat apni jismani khobsoorti ki bina par kisi daikhny waly mard k liye attrection rakhti hey aur wo mard ussy kin jazbat aur ahsasaat k teht daikh reha hota hey yeh baat aurat b janti hey aur mard to alrady iss kafiyat main mubtela hota hi hey ....iss liye aysi sorat-e-haal main paida hony wali attrection khuwa niqaab poshi ki soorat main ho ya sun glasses ki sorat main sirf aur sirf shehwani khuwahish k zair-e-asar howa karti hey...aur shehwani khuwahish ya kashish ko islam ny mana kiya hey issi liey aurat k liye parda wajub kiya

laiken humari society k roshan khiyal mardoon ny iss pardy main b khud k liye aik kism ki attrection paida kar li aur bewaqoofana sawal karny lag gaye k attrection niqab main ziyada hey ya be niqabi main ..??

jahan apni marzi ki wazahtain aur taweelain hon gi wahan aik librel , azad khiyaal aur roshan khiyaal mu'ashara to wajood main ajaye ga laikenn uss ka islam sy koi taluq nahi hoga...

islam tang dast aur jabr-o-krah ka mazhab b nahi hey agar aik aurat main attrection daikhni hi hey to islam kehta hey k apni B.V main daikho ...paraiee aurat par so called attrective nazar daal kar khud ko shehwani aseer mat banaoo..... 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:15th Jul 2010, 12:01am
 

rE:

buhot khob
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:15th Jul 2010, 12:10am
 

Jazak Allah Diplomate bro

teri awaaz makkay aur madeenay
Malla Group: Members  Joined: 12th Jul, 2010  Topic: 4  Post: 78  Age:  29  
Posted on:15th Jul 2010, 5:39am
 

niqab o hijaab

France meah tu bill pass ho ghiya abi whaa niqaab or hijaab ni kur sukty 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:15th Jul 2010, 6:59am
 

Burqa in shaam

aaj ke akhbar daily express karachi ke mutabiq mulk Shaam mai 1200 burqa posh khawateen teacher ko nikal dia gaya hai.
1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013