s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:25th Jun 2010, 1:02am |
|
|
Aaj Kitni Namazein Ada Ki?
Asslam o Alikum. kese hain aap sab? Omeed hai ALLAH (SWT) k karam se aap sab log thiek honge:) Aaj ek new topic hum start karenge, jis me aap ne likhna hai k aaj aap ne kitni namazein parhi? Agar aap se koi namaz qaza ho gai to aapko saath me wajah bhi likhni hogi:) Aur koshish karein k aapki namaz ki tadaad previous post se ziyada ho.
kisi ne kia khob likha h. Jab tum namaz nahi parhte to ye mat socho k time nahi mila,balke ye socho k esi mojhse kia khata hoi hai k Allah (SWT) ne mojhe apne samne kharra krna bhi pasnd nahi kia....yad rakho k kam khtam nahi ho ga magar namaz ka time khtam ho jae ga. Remember:You can not lie, after all ALLAH (SWT) can see you, no doubt that he knows what u have in your heart So lets start Brothers and Sisters In Faith
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6476 Age:
35
|
|
Posted on:25th Jun 2010, 1:09am |
|
|
Aaj Kitni Namazein Ada Ki? Tuqreebun sari he purta hon lakin du din say Zohar ki namaz reh jati meah oth ni pata aj kul neend bot deep ati ,9 to 5 30, lakin insha Allah abi ni chooty ghi
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:25th Jun 2010, 1:11am |
|
|
rE: mojhe buhot acha lga k aap ne sachi sachi bta dia...insha Allah ab koshish karein k namaz qaza na ho
|
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:25th Jun 2010, 1:38am |
|
|
Ma Shallah meethi meethi madni beti Allah pak aap ko iss umal per qaim rehny ki toufiq utta farmaye (Amin sum Amin) |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:25th Jun 2010, 1:50am |
|
|
ameen suma ameen jazak Allah... ab jaldi se btaein k aap ne kitni ada ki & kitni qaza?
|
KHOKHAR786
|
Group: Members Joined: 25th Jan, 2010 Topic: 30 Post: 122 Age:
28
|
|
Posted on:25th Jun 2010, 3:41pm |
|
|
s4u mashaalaha nice and very useful topic for self acountibility , allaha aap ko iss ka ajr dey aur hum ko iss ki pabandi ki taufeeq,
meri aaj fajar ki namaz reh gai hai bt i will try my best mein khud aaj hi soch raha tha k kitny kaam jo mk hum ny dunia k laiy krny hoty hein us k liay hm raat ko jagty bhi hein aur agr subho 0300 bjy uthna ho tu jag bhi aa jati hai laiken shitan hm pr ikiss qadr galib hota hai k namaz se gafil kr deta hai , bs aap dua krein k allaha hum sb ko namaz ki pabandi krny ki taufeeq aatta farmay
meri aaj ki namaz meri susuti ki wajha se reh gai aur koi wajaha nahi |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:26th Jun 2010, 1:23am |
|
|
re:thanks buhot ache.
namaz qaza na ho is k lie aap koshish karein har waqt ba-wuzoo hon,aur wuzoo & namaz k bad Ayat Al-Kursi zaror parh lia karein.aap ki namaz qaza nahi ho gi insha Allah.
|
naaz1330
|
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 4 Post: 22 Age:
23
|
|
Posted on:26th Jun 2010, 8:58am |
|
|
s4u salam... har roz ki trh aaj bhi sari namaze padhi he or umeed karti hu INSHAALLAH aage bhi meri har namaz ho or ek bhi namaz qaza na ho paye ,,bas tahjjud ke waqt thori pareshani hoti he uthne me par accha lagta he khamoshi me namaz padhna jab so rhe hote he to wo namaz bhi padhi :) AALAH HAFIZ... |
KHOKHAR786
|
Group: Members Joined: 25th Jan, 2010 Topic: 30 Post: 122 Age:
28
|
|
Posted on:27th Jun 2010, 7:56am |
|
|
s4u kl aap ki dua se sari namazein prhi hein bs dua krein allha agy bhi taufeeq de. ameen |
Stalker
|
Group: Members Joined: 21st Dec, 2009 Topic: 14 Post: 356 Age:
33
|
|
Posted on:28th Jun 2010, 11:53pm |
|
|
nimaaz ham ne s4u k liye nahi balke khuda k liye parhni hai , aur wese bhi apni ibaadat aur naik aamal ko logon k samne pesh karna kisi hadd tak "riya kaari" k zumrey mein aata hai ... Aur jo ibadat wa munajat riya kaari k under ki gaein wo moonh pe maari jaein gi.... |
KHOKHAR786
|
Group: Members Joined: 25th Jan, 2010 Topic: 30 Post: 122 Age:
28
|
|
Posted on:28th Jun 2010, 6:33pm |
|
|
nimaz its ok bt ria kari bhi tu allaha taala ko hi maloom hai k kon kr raha hai aur kiss tareeqy se kr raha hai, ye threat ka i think hrgaz maqsad ria qari nahi blke ek aisi kawish hai jo k hum ko self accountability ki trf matwaje krti hai aur jis tarah log yahan ideas share krty hein wo effective hoty hein , aur ria kari se allaha taala hm ko bchaye aur self accontability krny ki tafeeq de. ameen thanks |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:28th Jun 2010, 7:14pm |
|
|
re:Stalker
maine kab kaha k log mere lie ibadat karein.(nazubillah)
baqi KHOKHAR789 uncle ne buhot acha reply kia hai.I agreed. rahi bat ryia kari ki to janab maine nafli ibadat ka to in sab se nahi pocha,k btao aap tahujud parhte h,nawafil kitni parhte h etc...sirf Farz namaz ka pocha hai k aap ne kitni ada ki aur kitni qaza.agar qaza hoi to kiu?
agar kisi se ye pochna ghalat h to theik h.main ye ghalati kron gi.aap bhi agar masjid me namaz parhne jate hain to na jaya karein.log kahein ge k aap Allah k lie ebadat kr rahe h.namaz parh k dikhlawa kr rahe h.
soch sirf insan ki apni hoti.ab wo chahe ulta soche ya seedha.aap se pehle bhi aik bar New Year k topic pe behs hoi thi.jis me main ghalat nahi thi.aap ki soch ghalat thi.aur haan agar mere thread me koi burai hoti to osi din Mods ne delete kr dena tha.
|
Young~Man
|
Group: Members Joined: 08th May, 2009 Topic: 2 Post: 70 Age:
32
|
|
Posted on:28th Jun 2010, 9:44pm |
|
|
rply sari ada ki bas dopeher mein aankh lag gai thi:(
|
hasna
|
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1864 Age:
26
|
|
Posted on:28th Jun 2010, 11:36pm |
|
|
nimaz im agree with s4u
insan ki fitrat me hai k wo jab koi acha kaam krta hai aur usay jb b koi hushi milti hai wo dosro ko btata hai...............namaz b hmare liye achai ka rasta hai aur jo is raste per chl perta hai wo hush hota hai.
aur agr hum is hushi ko kisi k kehne per bta dy k hmm mene Allah pak ko yaad kia to isme dikhawa kaisa hia balkay fakhar hai k mene apni namaz ada ki hai..........na k kisi aur ki cheen li hai jo hum is baat ko ghalt khy k kisi ne pucha k kitni namaze ada ki he...........qabooolkrne wali ZAAT to Allah pak ki haina.
waldain bachpan me jb hme namaz perhne ki taqeed krty he to sath sath hr namaz ka puchty he k beta aj kitni namaze pri he.............school me ek hafte k baad dairy milti hai bcho ko jisme wo note down krty he k kitni namaze pri he.
aur agr s4u ye puch rhi he to isme kia burai nazar ayi stalker ko.......:) |
hasna
|
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1864 Age:
26
|
|
Posted on:28th Jun 2010, 11:38pm |
|
|
aur hmmm mene abhi tk ek namaz ada ki hai fajar ki..............baqi namaze ada krne ki Allah pak hudayat day ameen |
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:30th Jun 2010, 5:50am |
|
|
S4u Agar app loogo ke rugbaat 1 ese farz ebadaat ke taraf karna chahte hai balkee app kar rahe hai tu ALLAH app ko ess kaam mein barkateen dee aur behter andaaaz se karne ke taufiq ata farmayen..
Namaz ke taraf rugbaat zaroor delai leken thread start karne mein yeh maqsad thoda sa bhi naa rakhe k loogo k gunahee kabeera ko samnee laya jaii.
App ne topic ka naam essa rakha aur loogo ne laelmee mein apne farz ebadat qaza ho jane wale namazoo ka tazkeera bhi kar deeya..
yeh baat tu app bakhoobe jante hongee k Gunah ka ezhar bhi gunah hai...
Members ne bhi bata deya..
Jo hogaaya use tu nahi badla ja sakta ab thread aur topic dono change kar dee taake mazeed loog apne counting na bataye..
BESHAK APP KE NIYAT ACHE HAI LEKEN AGAR THODI SE DIRECTION CHANGE HO JAI TU INSHALLAH FAIDA HE FAIDA HOGAA.
Ess k leye agar koi Namaz per mushtameel Fazail, namaz qaza karne per azabaat per mushtamil Qurani Ayat aur Shahi Hadees post ke jai tu bahut zeyada Nekiyan kamane aur Naike ke dawat dene ka behetreen zaraia hai...
Umeed hai baat dil mein utar chuke hogeee. |
Mr.Mk
|
Group: Members Joined: 28th Jun, 2010 Topic: 3 Post: 128 Age:
33
|
|
Posted on:11th Jul 2010, 8:26am |
|
|
Welldone s4U Mastrani jee. Sab sey to pooch rahe ho keh kini namazain perheen laikin khud nahi likh raheen. Ab esa kerain keh daily aik hadith bhee post ker dia kerain balkeh moderator ko chahiay keh daily aik hadith or Qura'an ki aya wid terjuma post kia keray. Humain tofeeq to hoti nahi keh yeh khud sey talaash kerain laikin jab samney aaye ga to perh lia kerain. ya sab log khud ko daily Qura'n & Hadith site per register kerwa lain to woh daily apko nai mails kerayin gay.
Plzzzzzzzzzzzzzz do it |
|