inside beauty vs out side beauty... Out Side Beauty out side beauty main aik mard k berooni khadoo khal ka tazkra kiya jata hey mard ka chehra , ankhain , nak , bal , body waghaira issi trah aik aurat k bary main b zikar hey ...
iss beauty ka talaq daikhny waly insan ki ankh sy hota hey jis andaz sy nazar dali jaye gi samny wali cheez ussi andaz sy nazar aye gi ..lehaza iss beauty ka taluq chunky mehaz ankh sy daikhny ki had tak hota hey iss liye iss main koi aysa jazba ya rishta involve nahi hota jis ki bina par koi insan yeh kehny par bezid ho k sirf out side beauty hi sab kuch hoti hey ...ya iss beroni khobsorat insan main inside beauty b hogi...q k yeh sirf ankh ka nazara hota hey aur kuch nahi..
iss k muqabla main Inside Beauty ka taluq insan k husan-e-ikhlaq , caring measures , adaat , fitrat . mu'ashrti rakh rakhaao waghaira sy hota hey iss mu'amly ki janch parrtal karny k liye insan ko apny mabain pehly aik adad taluq ya rishta ko develop krny ki zaroorat hoti hey jis ki bina par wo dosry ki androoni khoobsoorti yani inside beauty ko judg kar sky
aur iss kam ki pehli seerrihi yeh berooni khoobsoorti yani out side beauty hi hoti hey iss k beghair insan dosry main dilchasbi nahi laita aur dosry ki inside beauty ko judge ya measure nahi kar skta...taham baaz oqat aysa nahi b hota..
out side beauty hi asal main inside beauty ko measure krny ki pehli seerrihi hoti hey ....
taham aik bat aur hey jis insan main outside beauty nahi hoti wo apni inside beauty ko ziyada ujagar krny ki koshish krta hey ta'k kuch na kuch to attraction ka bayess ban sky...aur jis insan main out side beauty hoti hey wo inside beauty ko ujagar krny ki bilkul parwa nahi krta q k uss k pas attraction dainy k liye khooob saman hota hey
agar dono formats ki khoobsoortiyaan aik hi insan main yak ja hoon to ussy super insan keha jaskta hey ...aur aysy loog iss mu'ashrey main buhat ziyada hoty hain .... |