paisay kharch karnay k liyeh hotay haiN
bachaanay k liyeh nahi........... zeyadah say zeyadah kharach karo...... ki policy say hi koi society ecconomically taraqqi karti hai........ dunya k "taraqqi yaaftah momalik" ki misaal dekh laiN... woh zeyadah say zeyadah kharch kartay haiN........ aur hum har waqt 99 k chakkar main bachanay k chakkar main rahtay haiN lol currency (paisay) ki gardish jetni zeyadah fast hogi... mo'aashi taur par log otnay hi jald /zeyadah khush haal hoNgay... muslim aur non-muslim k "kharch" maiN sirf etna faraq hona chhaiyeh k non-muslim k haaN "najaiz" ka koi concept nahi hotaa....... jabkay muslim sirf "jaiz" madaat hi main kharch kar sakta hai...... lekin issay bhi jaiz madaat main "zeyadah say zeyadah kharch" karnay ki policy par amal karna chhaiyeh... farz karaiN A, B, C, D, E afraad kissi jagah rahtay haiN A aur B apni product bechtay haiN... C aur D apni services bechtay haiN jabkay E k pass 100 rupees hai..... ab agar Mr E apna 100 rupees chahay to 2/3 roz tak issay kharch kiyeh beghair rah sakta hai...... lekin iss soorat main A,B,C,D, charoun ko 2/3 roz tak koi "income" nahi hogi... A.B ki product 2/3 roz main zaya bhi hosakti hai aur C aur D service nah denay par inki skill par bhi bad effect paRegaa... aur income nah honay say in charoun ki families bhi bori tarah motassir hongeeN... lekin agar Mr. E 1st day hi 50 rs ki product A, B say aur 50 rs ki services C,D say hasil karkay kharch kardeta hai to..... A,B,C,D, ki yaumia income 25 rs hogi... jin say woh apnay ghar ki deger zarooriyaat bhi poori karengay aur next day k liyeh product /service denay ko bhi tayyar hongay....... Mr. E ko bhi next day 100 rs earn karnmay ki "fikar" hogi....... jo kharch nah karnay ki soorat main nahi hogi....... earning ki fikar hogi to bandah earn kar lega kissi nah kisis tareeqay say........ fikar hi nahi hogi to kiyouN earn karegaa... paisaa para para de-value bhi hojata hai...... lehaza saal bhar tak jama poonji ki "maliyat" nisf say bhi kam rah jati hai....... agar issay kharch karlia jata... product khareed li jati yaa service lay li jati to oski 'raqam" devalue nah hoti... zeyadah say zeyadah kharch karo... bachat k chakkar main nah paRo bhai... kanjoos aur bakheel hi "bachat" k chakkar maiN rahtay hain... shaah.kharchi, "shaah" hi kartay haiN.... "faqeer" bankar paisay jamaa karna koi "aqalmandi" nahi...... aaj ko acha guzaaro... aanay wala "kal" kabhi nahi aataa... jab bhi aataa hai "aaj" hi aataa hai....... lehaza hamesha "aaj" hi ki fikar karo k earn /kharch karkay "aaj ka din" acha guzaar lo
|