Forum.Noorclinic.com |
|||
|
|||
Welcome : Guest Login | Register | Rules | Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map | ||
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | |||
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post |
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
|
|
ظ |
z |
ع اللہ تعلیٰ |
a‘a Allah Ta’ala |
غ |
Gh |
ف |
f |
ق |
q |
ک |
k (not c) |
کھہ |
kh |
گ |
g |
گھہ |
gh |
ل |
l |
م |
m |
Posted on:20th Apr 2010, 7:41am |
ن |
n |
و |
w |
ں |
N |
ھ،ہ |
h |
ے |
.ay |
ی |
ee / i |
Posted on:20th Apr 2010, 7:44am |
Posted on:20th Apr 2010, 8:35am |
Posted on:20th Apr 2010, 10:31am |
Posted on:20th Apr 2010, 11:19pm |
Posted on:20th Apr 2010, 12:59pm |
Posted on:20th Apr 2010, 10:21pm |
yeh lahaul maiN nay Bewaqoof Bhai par nahi balkay onki iss baat par paRhee hai k yeh post maiN nay..... asal main kissi nay mujh say roman urdu k baray maiN poochaa to onhaiN batlaatay howay yaad ayaa k kiyoun nah sab ko hi batlaa dia jaa.ay yahaan..... heehee
waterr: mujhay bhi ab jang site par woh detailed article nazar nahi aarahi... main nay wahaaN par koi das baras qabal read klia thaa aur mukhtalif forums par share bhi kia thaa... maiN nay bhi roman urdu osi article ko dekh kar "seekhi" thee :)
Dr Qasim: yeh thread khaas taur par ap k liyeh hi hai :)... ap aik takhti lay kar oss par roman likhnay ki mashq karaiN. insha Allah afaqah hogaa lol
Maryam: "ghar" nahi TooT saktaa, aur issay toRna bhi nahi chahiyeh :) lufz ko phonetically hi toRa jasaktaa hai. bharat ka toR bha.rat aur ghoRa ka toR gho.Ra hoga. kisi lufz ko sauti taur par jiss tarah alag alag kia jasaktaa ho, issi tarah likhnay main bhi kia jataa hai jaisay TobaTaiksingh ko Tobah.Taik.singh
PS: roman urdu main aik lufz k different "spelling" bhi hosaktay haiN. roman urdu maiN kissi bhi lufz ko kissi bhi spelling say likha jaa.ay, sab ki "khoobi" yeh honi chahiyeh k ossay sab a)easily read kar sakaiN b) aur baa.aasani asal urdu lufz ko pahchaan sakaiN, hatta k miltya jultay urdu lufz ko bhi jaisay taalaa (lock) aur ta'alaa (Allah ta'alaa) .......maani (tv compare) aur ma'ani (=meaning)...etc etc
aik baat aur k hum apni sari tawajjah "correct-roman" likhany hi ki taraf nah laga daiN. hamara asal focus 'topic' par hona chahiyeh.... aisee 'typo error' jiss say baat samajhnay main koi diqqat nah ho, ruf-tuf-communication maiN chalta hai, english maiN bhi aur roman maiN bhi..... bus asal motabaadil ko aik nazar dekh lenaa hi kaafi hai
Posted on:20th Apr 2010, 10:32pm |
mery pas book mojood hy roman urdu writing ki Ateeq practical English teacher 1958 eddition or jo apny share keya wo sub os meah mojood hay,lakin ap nay jo kaam keya hy wo ek sudqaa jariyaa hy, ap ki itlaah kay leye urzz hy kay meri roman urdu etni bhe bori ni jetna ap nay sumaj leya hay,
roman urdu ki font ye ni honi chaiye jo abi hum use kur ray hen, wo font use ki jay jo reader asaani say roman urdu ko read kur suky, meah font ye wali es leye use ni kurta hoon es meah roman urdu read kurna wessy bhe moshkil hota hy lakin khoch logo ko ye bhe bora luga ta,
ye font best hy roman urdu likhny kay leye.
meah ny note keya hy yaa mod mod note tu day daty hen ek choti see mistake spelling ki wo theek ni kurty agur kayin S ya kayin R miss hy misaal kay tor py osy edit meah jaa ky theek kurna pussund ni kurty jo urdu likhty amoomun members say miss ho jaty,lakin mod note ka shoq bot sary logo ko hy,
Posted on:20th Apr 2010, 10:52pm |
apnay etni jaldi etni achi roman likhni seekh li... mobarak ho :)
ateeq practical english meray pass 37 saal say hai... oss main likhee gayee roman rules ab outdated hochukay haiN. woh waisay bhi sirf english language main urdu noun likhna sikhlati hai yaa urdu main telegram denaa....... ajkal to roman main log poora poora article likhtay hain....... india ki sawa arab abaadi walay mulk maiN 80% log urdu rasmul.khat say waqif nahi........ onsay communication roman hi main ki jasakti hai........ aj say das saal pahlay computer /net par urdu lihna bahoot mushkil thaa. ab to mukhtalif soft wares dastyaab hain urdu composing k......
phir bhi roman urdu ki afadiyat khatam nahi howi... jaisay issi forum maiN roman likhnaa darday-sir nahi, jaisaa k urdu rasmul khat main likhnaa hai... go k naa.mumkin naheeN.
ap jab jaldi jaldi main likhtay hain to read.nay maiN diqqat hoti hai. jab sambhal kar likhtay haiN, jaisay abhi likha hai to khoob likhtay hain... ap meri baatoun ko mind nah kia karaiN... maiN apsay bay takalluf hokar mokhatib hota houN. mazaaq bhi kartaa houn, tanqeed bhi aur tareef bhi....... agar apko yeh andaaz pasand nahi to next time apsay baat kartay howay mohtaat rahouNga :)
Posted on:20th Apr 2010, 11:26pm |
Posted on:21st Apr 2010, 12:53am |
Posted on:21st Apr 2010, 1:17am |
main samjha aap apnay liyeh pooch rahi haiN :)
g haan "bh" aik hi harf hai.... bh, ph, th, Th, etc morakkab haroof kahlatay haiN. aur b p t T etc mufraf haroof... do.chashmi.hay k saath total 15 haroof hain.... inhain alag alag nahi toRaa jataa..... book mai sahi likhaa hai k bh aik hi harf hai......... ab agar teacher "bh" ko alag alag toR kar likhwati hain to yeh onki apni 'mantiq' hogi k iss tarah bachaa 'bh' k ajzaa.ay tarkeebi bhi jaan lay
urdu main 35 mufrad haroof haiN aur 15 morakkab haroof....... hamzah aur alif aik hi haroof ki 2 shaklaiN hain.
harf (letter) awaaz ki ilamat (symbol) ko kahtay haiN..... aik yaa aik say zayad haroof ka aisaa majmoo'a jo koi meaning day lufz (word) kahlata hai.... lufz single-letter bhi hosakta hai jaisa a=one urdu maiN wow=aur jaisay "zor o shor" (zor aur shor)... aik yaa aik say zayad alfaaz k aisay collection ko fiqrah /jumlah (sentence) kahtay hain jiss say koi baat mokammal hoti ho.
urdu ki class ka period abhi jari hai. koi aur sawaal :)
Posted on:21st Apr 2010, 1:36am |
Posted on:22nd Apr 2010, 11:10pm |
urdu dunyaa ki behtareen zabanouN maiN say aik hai... islam ka doosra baRa ilmi zakheerah urdu zubaan maiN hi hai. balkay ab to etnaa aa'la aur mustanad ilmi mawaad urdu maiN likhaa janay lagaa hai k urdu say arabic maiN bhi tarjuma horahaa hai.
urdu bunyaadi taur par barre.sagheer k muslims ki zubaan hai jo aj dunyaa bhar maiN phail chuki hai........ lekin shayad bahoot say logouN ko yeh maloom nah ho k urudu-zubaan ki takhleeq o tashkeel aik 'saamraaji saazish' k tehat howi thee.... united india mai angrezouN ki amad say qabal yahaan muslims hukmraan thay aur yahaaN ki sarkaari zubaan persian (farsi) thee. muslim ulemaa o fuzlaa bhi arabic k baad faarsi hi maiN apnaa ilmi kaam kartay thay aur woh baray baRay sarkaari manaasab par bhi faiz thay k sarkari zubaan persian thee. tab yahaaN deeni aur dunyawi taleem separately nahi hoti thee. ha taleem yaaftah fard asri aloom maiN bhi mahaarat rakhta thaa aur deeni aloom say bhi waqif thaa.
angrezouN nay jab muslims say iqtedaar cheenaa to onsay onki zubaan (persian) bhi cheen li.... english ko sarkaari zubaan banaa dia gayaa..... jiss say muslims "bay.zubaan" ho kar rah gayee aur onki arabic n farsi daani ka koi "dunyavi-masraf" nah rahaa aur woh "masjid-madarsah" tak mahdood hokar rah gaye......... angrezoun ko yeh bhi 'gawarah" nah howaa aur onhouN nay aik new "lashkari zubaan" ki tashkeel denay lagay.... urdu ko sarkari taur par parwaan chaRhaya janay lagaa...... chouNkay "new-urdu" local languages say 'qareeb" aur awami boli ki tarah thee issi liyeh tezi say phailnay lagi
muslamaanoun nay iss "new urdu zubaan" ko iss liyeh bhi qabool kia k aik taraf to yeh local boliyouN say qareeb tar thee doosray yeh likhnay main arabic zuban ki tarah thee aur beshtar alphabets arabic k hi thay...... dekhtay hi dekhtay urdu, barre.sagheer k "mosalmaanoun ki zubaan" ban gayee aur taraqqi kartay kartay yeh persian say bhi agay nikal gayee aur iss main islamic ilmi zakheerah tezi say baRhnay lagaa....... chunaan.chah "islam-dushmani, urdu-dushmani k naam say saamnay aagayee....... sab say pahlay yahaan k hindu nay urdu /hindustani boli ka "rasmul.khat" tabdeel karkay issay (hindi, bengali, gujrati wala) deo.naagri rasmul khat apnayaa aur iss main sansakrat /hindu mazaahab ki istelaahaat ko insert karkay issay hindu ki "hindi-language" k taur par saamnay lay aa.ay......... iss tarah barre.sagheer k kaseer bashinday "urdu-rasmul.khat" say dooooooor hokar urdu k islamic zakheeray say dooooooor hogaye....... hatta k aaj inddia k bahoot say muslims urdu-zubaan likh parh nahi saktay. aur woh paRhay likhay hokar bhi islamic teaching say nawaaqifiat ki raah par gaamzan hain k onhaiN nah urdu achi tarah aati hai nah arabic
pakistan bannay k baad pakistan ki qaumi zubaan urdu kahlaayee to angrezoun k agents nay jo pahlay muslim league main enter howay phir hakoomatoun maiN.... onhouN nay bhi islam-dushmani ka amali mozaahirah "urdu-dushmani" k raastay say kia aur aj tak pakistan ki "sarkaari zubaan" urdu nahi bannay dia.......... iskay bawajood urdu etna tanaawer darakht thaa k yeh az khud phalta phooltaa rahaa...
tab iskay khilaaf aik new "saazish" ki jaanay lagi....... aik tahreek chali (1950-1960) k urdu ko roman zubaan main likha jaa.ay (jaisay pahlay issay deo.naagri rasmul khat main badal kar issay khatam karnay ki saazish howi thee)..... uzray lung yeh taraashaa janay lagaa k yeh jadeed daur hai. ab haathoun say nahi balkay machinouN (type writer / teleprinters etc) say likha jataa hai jabkay urdu haath say kitabat ki jati hai..... urdu ko type karnay aur telegram waghairah bhejnay k liyeh majbooran "roman urdu ka sahaaraa lia gayaa...... magar urdu k aashiqoun nay urdu type writer ko farogh dia...... phir computer aagayaa to aik baar phir roman ko agaay baRhawa denay ki koshish ki gayee magar jawaban urdu softwares aa gayee... ab urdu k kai rungouN (fonts) k softwares maujood hain hatta k urdu nastalliq bhi compose honay lagi...aaj urdu k tamaam akhbaraat compose hi hokar chaptay hain kitabat hokar nahi
phir net, mobile sms, aur channels ki bharmaar howi jiss nay aik baar phir 'roman-urdu" ko aagay baRhayaa.... iss maratabh yahaan aik 'tijaarti-factor' bhi saamnay thaa k india ki aik arab aabaadi ka kaseer hissah urdu say naa.balad thaa lehazaa onhain apnaa 'saarif" banaanay k liyeh zaroori thaa k onki boli ko roman main produce kia jaa.ay.......... lehaza aj tijaarti pasay manzar main bhi roman-urdu "farogh" paa rahi hai.......... aur amalan hum muslims "urdu.e.mo'alla" say dooooooor hokar asal islamic zakheeray say dooooooooor hotay jarahay haiN k arabic hamaiN aati nahi aur "rozgaar" k hasool k liyeh english zaroori hai urdu nahi..... iss tarah ab urdu ko mazeed nichli satah par laa kar amalan iss hissay k moslamaanoun ko onkay deen say doooooooor kia jarahaa hai.
lekin chouNkay yeh Allah ka apna deen hai aur wohi iskay qaaim o daaim rakhnay ka "zimmah.daar" hai. ossi nay issay qayamat tak baaqi rakhnay ka zimmah lia howaa hai..... lehazaa muslims nay ab english, hindi samait roman maiN bhi apna zakheerah muntaqil karnaa shooroo kardia hai...... persian => english => urdu => hindi => roman => k saamraaji raastay par indo pak k muslims ko "zabar.dast" safar karnay par majboor iss liyeh kia jaraha hai k yeh amalan "bay-deen" ban jayaiN....... magar insha Allah aisaa nahi hogaa.......
issi liyeh agar hamain roman-urdu hi likhnaa paray to kiyouN nah hum aik easily read.able aur muttafiqah roman-urdu likhaiN.... taakay iss maiN likha janay wala mawaad bhi waqt k tah khaanoun main mahfooz rah sakay.... iss thread ka aik maqsad bhi yehi hai
Posted on:23rd Apr 2010, 4:42am |
Posted on:23rd Apr 2010, 5:25am |
1 2 3 >> |
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013 |