Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Unity Faith Discipline

Politics
 
 
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:18th Apr 2010, 6:01pm
 

Unity Faith Discipline

  1. keya Apko Pakistan  ya Pakistani nation meah unity faith or discipline nuzur ataa hy? 
  2. agur ye teeno chezin Pakistani nation ya Pakistani politician meah hoti tu aj Pakistan kesaaa hota?
  3. Unity ni tu ku ni ?
  4. faith ni tu ku ni ? 
  5. discipline ni tu ku ni ?
  6. apkay khiyal meah es wakat humko en teeno meah say kis Quality ki ziyada zurorat hy?
     


sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:18th Apr 2010, 10:28pm
 

re

  1. keya Apko Pakistan  ya Pakistani nation meah unity faith or discipline nuzur ataa hy?  ans: nahi
  2. agur ye teeno chezin Pakistani nation ya Pakistani politician meah hoti tu aj Pakistan kesaaa hota? ans: china, america, japan aur doosre ountries se taraqqi main kaie saal aagey hota..
  3. Unity ni tu ku ni ?
  4. faith ni tu ku ni ? 
  5. discipline ni tu ku ni ? ans: en 3no questions ka ek hi answer, (laalach, khud gharzi, jalan, jhooti shaan aur shuhrat, firqa bandi, apne aap ko doosre par bartar samjhna etc) in short woh saarey buraian hamare andar dakhil ho chuki hain jo ek insaan ko insaniat k daaire (circle) se nikaalta hai.
  6. apkay khiyal meah es wakat humko en teeno meah say kis Quality ki ziyada zurorat hy? ans: wesy to zaroorat teenon ki hai, lekin agar ek hi ko chun'na hai to phir Discipline.
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:20th Apr 2010, 6:44am
 

Quaid-e-Azam vs Babar-e-Azam

as usual a very important topic by Dr Qasim.. :)

a complete reply by sunny007


1526 ma mughal badshah zaheeruddin Babar, samarqand se apni foj le kar hindustan par hamla awar hua tha tau uski mughlia saltanat qaim ho gayi, babar nay hindustani qom ko teen ilfaz ma define kia tha.....  " ajeeb AHMAQ, BUZDIL aur BEWAFA qom hai " ......


babar k ilfaz par ghore karain tau mojuba indopak nation k liay bhi theek hain...

quaid e azam nay jo nation building k 3 words pesh kiay unhay Babar k words se compare kia ja sakta hai....


AHMAQ woh qom hoti hai jis ma DISCIPLINE na ho..

BUZDIL woh qom hoti hai jis ma UNITY na ho...

aur BEWAFA qom wohi jis ma FAITH na ho...


mojuda pakistani qom ki khamian samajhnay k liay nation k background ko study karain..

mughlon nay 300 saal hakumat ki, lekin sirf aurangzeb alamgir nay is qom ki taleem par tawajju di, baki k sab mughal badshahon ko sirf apni saltanat bachanay ya ayashi ki fiker thi, logon ki islah ki unhon nay koi fiker na ki...

us k bad 90 saal angrazon nay hakumat ki, angraiz eesai 1000 saal se musalmano k ghulam rahay thay, pehli bar unhay musalmano ko ghulam bananay ka moqa mila tha, lehaza unhon nay poori koshish islam ko barbad karnay par ki..  musalmano ma maslaki ikhtilaf shuru se hi mojud tha, angrazon nay in maslaki ikhtilaf karnay walay musalmano ma nafrat aur larai jhagray dalwaey, aur yahan islami firqa wariat par khana jangi shuru ho gai aur angraiz satisfied ho kar apni hakumat kartay rahay.......

is k ilava angrazon nay hi "divided education system" k zariay "divided nation" peda ki, yani ameer logon k liay education alag, middle tabqay ki alag, ghareeb tabqay ki alag, aur islami madrason ki taleem alag..... is k results aj bhi sab k samnay hain....

partition k bad pakistan ma wohi musalman mojud hain, unki haqeeqat sab k samnay hai... 


aaj bhi ahmaq, buzdil aur bewafa.......

 

 

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:20th Apr 2010, 10:33am
 

Quaid-e-Azam vs Babar-e-Azam

very good reply keya undazz a biyaan hy apka , zuburdust
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:20th Apr 2010, 3:57pm
 

History pay ek nuzzur

Info apny jo tujzeeyaa paysh keya hy bahot acha paysh keya hay lakin agur ap unity faith discipline ko History kay background meah dakhyin tu Unity or decepline 1400 saal phayly he muslims ka bori turaa motaasir howa , or jub jub muslimaano meah Unity , faith , discipline mojood rahaa tub tub muslimano ny Doniyaa pay hukoomut ki hy or jub jub muslimano meah Unity , faith or discipline ka foqdaan rahaa tub tub musliman na serf Mehkoom howy bulky onki mahaashi or mohaashurti halaat bhe bori turaa motasir howy, or aaj jo kuch pakistan meah ap dayk ray hen wo Unity , faith , discipline ki Qualities kay naa hony ki wajah say dayk ray hen,

aghur system hota tu aj pakistan IMF kay shukunjy meah ni hota or pakistan ky ye haalaat ni hoty jo aj humary hen or aaj hum apny hokumraano kaa kaataa aaj na kaat ray hoty, or aj pakistan ko agur kisi chez ki zurorat hy tu wo hey Unity, jis ko taar taar kurny ki bhur poor koshish ki jaa rahi hy, 



info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:21st Apr 2010, 6:08am
 

agreed

 

ji dr qasim apki baat bilkul darust hai

bilkul yehi, baat yeh nahi k unity faith discipline quaid e azam ne words diay, asal ma yeh islamic concept hai

bajamaat namaz asal ma unity faith discipline hi sikhati hai,

islam k har rukan ma kae unkahi naseehatain mojud hain, sirf samajhnay ki zaroorat hai

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:21st Apr 2010, 6:21am
 

human body

 

asal ma unity faith discipline ko ap is hadis e mubarka se nikal saktay hain jis ka mafhom hai musalman qom ki misal aik jisam ki si hai, kisi aik hisay ki takleef saray jism ko bechain kar deti hai......... 

 yani jisam k tamam hisson ma kesa itehad ,  wafa  aur discipline hai k  central nervous system k signals par kis discipline k sath pori body function karti hai, .. pori human body working k sab process jab tak organized rehtay hain koi bimari nuksan nahi pohanchati

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:21st Apr 2010, 6:35am
 

qomiat aur islam

arab qom par jab Nabi kareen SAW ko rasool bana kar bheja gaya tau woh kesi jahil bikhri hui qom thi,

lekin usi qom ma jab Quran ki gehrai jazab hui tau kesi integrated qom bani..

Allah nay quran ma kuch logon ko define kia hai k kuch log aesay hain jin k dilon ma iman dakhil nahi hua, yeh woh log hain jo apni zati khahishon ko deeni ahkamat par tarjeeh detay hain..

hindustani qom ka yehi haal hai k yeh log musalman tau ho gaey thay lekin hinduon ki majority ki wja se iman in k dilon ma dakhil nahi hua aur yeh log apni saddion purani bewafai ki khaslat par aj bhi qaim hain..

jab babar samarqand se hindustan par hamla awar hua tau jis ilaqay ma jata log beghair jang kiay usay hakim tasleem kar letay, hindustanion nay apnay badshan ibrahim se bewafai ki aur samarqand se anay walay babar ko badshah bana lia, phir babar se hi bewafai ki aur uskay betay hamayun ko nikal dia, hamayun k betay akbar ne takat k zor pe mughlia saltanat qaim ki..

angraiz aey, ghaddar musalmano nay hi bahadur shah zafar se bewafai ki, angrazon ka sath de kar unhay badshah bana dia,..............

ziada tafseel ma nahi jana chahta

mojuda halat dekh lain, ma naam nahi lena chhata

pakistani qom  chor ko badshah banati hai, jab us k zulm se tang aey tau ussay jootay mar kar nikal deti hai, phir ankhon par bitha kar kisi faqeer ko badshah banati hai, faqeer apna pait bharta hai tau chor ansuon se ro ro kar qom se maafi mangta hai, yeh qom us chor k sab zulm bhool jati hai aur fakeer ko jootay mar kar nikal deti hai aur chor ko ankhon par bitha kar badshah bana leti hai, tab faqeer rona shuru kar deta hai aur yehi silsilah 60 saal se jari hai............ faida utha kar "guards" hi hifazat k naam par hakumat karnay lagtay hian

 

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:21st Apr 2010, 7:21am
 

info1234

waah bhai saahb, aap ne to pak ka aisa waazih naqsha kheech daala hai k sab kuch samajh main aa raha hai.... itni kam likhaie main indo pak ki history aur mojooda halaat ki mukammal tafsil likhna aur woh bhi aise k asaani se samajh aaie, waaqie daad dene par bandey ko majboor kar deta hai....

very nice sharing..... and agreed 101 %... :)

bus Allah ham ko en teen qualities ko apnaney ki toufeeq ataa farmaie.....

es hawaley se mai iqbaal ka aadha sheir likhta hoon, aap log usy complete kar liejiea...

zara si nam ho to yeh matti bahot zarkhez hai saaqi......

Alhamdu Lillah Allah ta'ala ne pakistan ko har nemat se nawaza hai, es matti ko bahot zarkhez bana di hai, bus thori si num (faith, deccipline, unity) aa gaie, to phir dekhna kese kese fasal es matti main ugtey hain....

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:21st Apr 2010, 10:32am
 

info1234 and sunny

ma sha Allah keya undaaz -a-biyaan hy,  meah ratko es py muzeed baat kuro gah muzaa agiyaa thread ka zuburdust
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:21st Apr 2010, 3:55pm
 

qasim

jis zaroor share kejiega, umeed hai k pehle ki tarha wazahat k saath likhenge aap.... aur hamare knowledge main izafa karenge...

aap ne bahot acha topic start kia hai, agar yeh topic parhne ka moqa maximum pakistanis ko mile to haied woh apne grebaan main jhaank kar dekhne par majboor ho jaie, aur next time sahi faisla kar le.... :)

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:21st Apr 2010, 3:59pm
 

Unity

info1234 nay jis bareek beeni kay saath indo pak ki History ko paysh keya hy or kozy meah duryaa ko bund keya hy meah enky writing style ka dil-dada ho giyaa hoon, na serf enky writing style bulky enki History py jo Ghyri nuzur hy wo mujy bahot pussund eyei hy,

bat ho rhi hay Unity ki meah etna kaho gaah kay apny buchpun meah itfaaq meah burkaat kay naam say ek story zuroor puri hogi so meah etna kaho gah kay unity sub say phali chez hy jiska Durss islam nay deya or islam kay jitnay aqaayd , ebaadaat, or tehwaar hen wo sub Unity, faith  or Discipline ka durss dati hen, ap Huj ko dakh layin, namaz- jomah ko dakh layin, bajamaat numaz ko dakh layin, rumzaan kureem ko dakh layin, eid ko daykh layin , i am agree with info1234.

es wakat Pakistan ko unity ki bahot zurorat hy lakin afsoos ka muqaam hy Unity ka nam o nishaan nahi hy kisi bahe edary meah , kisi bhe city meah , kisi bhe musjid meah , kisi bhe political party meah, kisi bhe ghur meah, kisi bhe buraadri meah ,apko yaad hogah kay jub Brithish India meah aay thy tu os time onho nay ek mamooli company say india pay Qubzaa kesy kur leya, enty bury country ki natioins ko kesy mehkoom bunaa leya,? serf Unity ko khutam kur lay,

British or tummam islam doshum powers or nations jo he wo esi farmolly pay ammul kur rahi hen Davide and rule, so wo devide kisy kurty hen , United parties ko, united nations ko , united politations ko, united pakistanyo ko, united olamaa ko, so unity ko khutam kuro enko tukseem kuro or pher ek ek say nipput lo aram sy, abi koi jraak or sindi topi ka nahraa lugaa raha hy ,tu koi Pukhtoon khuwah ka or koi Huzara ka tu koi Surayeki sobah ka, ek sobaa dosry sooby ko ilzaam day raha hy or dosraa dosry ko or aaj wo muqaam agiyaa hy Pakistan energy ki kumi  ka shikaar ho choka hy, apky pass Bejli he ni , pora pakistan Bil-bilaa raha hy or mujy lugtaa hy es dufaa pakistani nation en sheeshy kay maheloo meah rehny walo ko pukur pukur kay ghur say tu littur mary ghi,

abi pakistan meah na system hy, na justice hy, na bejli hy, na pani hy, na rozgaar hy, na koi kisi kissam ki unity hy, keya buny gah humara,?




info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:22nd Apr 2010, 5:00am
 

sunny007

sunny bhai aur Dr Qasim apka shukria

lekin asal ma baat andaaz e bian ya indopak history ki nahi hai

maksad yeh hai k log darust direction ma sochain

sunny bhai ma nay allama iqbal ka yeh shair suna hi nahi hai.. :) ab dekhtay hian kon iska agla misra batata hai...

wesay apki aur allama iqbal ki baat 100% darust hai k zara si nam ho tau bht zarkhez hai yeh matti, ma is baat ko bht achi tarhan samajhta hun qk university teacher hon, aur pakistani larkon ma bht potential hai, magar afsos yeh hai k is potential ko zang laga hua hai, jesay kisi zarkhez matti ma zehreeli jari bootian ugi hon.......


 

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:22nd Apr 2010, 6:16am
 

Dr Qasim

Dr Qasim yeh bht bari baat hai k kam az kam ap aesa sochtay tau hain na, warna pakistani tau apnay profession se hat kar social thinking ko time wasting samajhtay hian

ji jo kuch ap bian kar rahay hain yeh karvi haqeeqat hai, is ma koi shak nahi hai k bilkul aesa hi ho rha hai

yeh wohi baat hai k tasbeeh ka dhaga tor do tau uskay danay kahan kahan bikhar jatay hain andaza nahi ho sakta, isi tarhan jab tak  primary problem  khatam nah ho, secondary problems aik k bad aik peda hoti jain gi, bijli bhi nahi ho gi aur kuch bhi nahi ho ga..

hmaray aik bazurg thay unhon nay aik bari gehri naseehat ki thi, mera khiyal hai k us naseehat ko har pakistani tak pohanchaya jana chaiey, ma unhi ki zban ma yahan likhta hun.....

......" aik admi bewakoofon ki basti ma gaya, wahan us nay dekha k poori basti k log aik chotay se darakht ko kaatna chahtay thay, koi admi us darakht ko dhakka de raha tha, koi usay rassi dal kar khench raha tha, yahan tak k bht saray admi mil kar darakht ko dhakka denay lagay, kisi nay pathar maray jis se logon k sar phat gaey, yahan tak k sham tak sab log thak har kar beth gaey aur darakht waheen ka waheen..... tab woh admi apni aaari le kar aaya, darakht k tanay ma cut lagaya aur uski ooper wali shakh ko rassi dal kar khencha aur  darakht gir gaya......  baat  ziada zor lganay ki nahi hoti, warna sab se ziada izzat hathi ki hoti, na hi zrurat ziada kaam karnay ki hoti hai warna sab se izzat wala gadha hota, aqalmandi hoti hai darust direction ma zor lganay aur kaam karnay ki".......

pakistani log jab motor mechanici kar saktay hain, mobile phone ma dmagh chala saktay hain, fraud ma dmagh chala saktay hain tau right direction ma bhi kaam kar saktay hain

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:22nd Apr 2010, 6:34am
 

Faith

 

kia ajeeb ittefaq hai k is thread ma 3 points discuss ho rahay hain

aur thread ma participate karnay walay bhi sirf 3 log

aur yeh bhi ittefaq hai k sunny bhai k nazdeeq sab se ziada zaroorat "discipline" ki hai , Dr Qasim k nazdik "unity" ki aur meray nazdeek "faith" ki.....

yani teeno cheezon ki zaroorat barabar hai, farq sirf har ik ka apna apna point of view hai.

 

meray point of view se faith ki ziada zaroorat isliay hai qk

Allah talah nay quran ki sab se pehli wahi jo nazil ki sura alaq ki pehli 5 ayat, un par ghore karain tau pata lagta hai k Allah nay sab se pehla sabaq insan ko yeh dia k woh apnay Rab k ehsanat ko yaad kar k uska ehsan mand ho jaey, ehsan mand honay k bad khud bakhud wafadari ka jazba peda hota hai

phir Allah nay surat muzammil aur mudassir nazil keen, jin par ghore karain tau Allah Talah se wafadari ka sabaq hai

us k bad jab log musalman honay lagay tau Allah nay logon ko apnay peghambar SAW se wafadari ki ayat nazil farmain

jab logon ma Allah aur Rasool SAW ki ehsan mandi, wafadari arooj par pohanch gaeen tau un ma khud bakhud "farmanbardari" peda ho gayi aur us k bad Allah nay beshumar ahkamat nazil farmaey jinhay woh farmanbardar log khushi se anjam detay rahay aur unhay parvah na rahi k unki gardan katay ya jo kuch marzi ho, tab Allah nay kasrat se "unity" aur "discipline" ki ayat bhi nazil farmain...

"ae iman walo apni awazon ko Rasool SAW ki awaz se buland mat karo"
"Allah ki rassi ko mazbooti se tham lo aur tafarqa mat karo"
"tamam momin apas ma bhai bhai hain"

"jis nay Rasool SAW ki itat ki us nay Allah ki itat ki"


yahan tak k thoray hi arsay ma wohi jahil arab qom aik seesa pillai hui dewar ban gayi jis ki "unity faith discipline" ya yeh alam tha ... "samei'na wa ataa'na".... "ham nay suna aur qabool kia" ....(lafz "ham" unity ko show karta hai,.....  "suna aur qabool kia" discipline ko aur yeh qualities isliay qk Allah aur Rasool se faith hai)


aj bhi musalmano ko agar Allah aur Rasool SAW se wafadari ka matlab samajh a jaey tau inki dunia badal jaey...  aur deen o dunia 2 alag cheezain nahi hain.. dunia ma Allah k hukam k mutabik zindgi guzarna deen hai..

Allah nay hi dunia peda ki, insan ko peda kia, quran ko nazil farmaya, lehaza in teeno ma harmony hai, conflict nahi hai k deen par chalay tau dunia kharab ho gi, ...balkeh dunia ziada achi ho jaey gi.........

 

 

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:22nd Apr 2010, 7:02am
 

very nice info bhai

nahiN na.umeed Iqbal apni kisht-e-veeran se

zara nam ho tou yeh matti baRi zarkhez hae saqi.

nice disussion with excellent analysis. lekin jab hum matti ki baat par a hi gaye hain tou main bhi kuch kehna chahoN gi. 

matti ki yeh khasoosiyat hoti hae k jab usay pani milta hae tou yeh fasal k sath sath zehreeli aur bemaqsad  jaRi bootiyaN bhi ugati hae . fasal laganay main mehnat karna paRti hae jab k jaRi bootiyan aur ghaas khud hi grow kar jati haiN.
abb yeh fasal laganay walay pe munhasir hae k woh is pe kitni mehnat karta hae k fasal bhi achi ho aur in zehreeli jaRi bootiyon se bhi nijat hasil ki jaye.

1957 ki jange azadi tak muslims, britishers k khilaf mahaaz aara hi rahay . Britishers  missionaries ne muslims psychology ko madd-e-nazar rakhtay huwe yeh tajziya paish kiya k jab tak in ka mind nahi badla jayega inhain islami taleemat  se door nahi kiya jayega tab tak inhain zair karna mushkil hae.
lord mekalay ne jo taleemi nizam paish kiya us ka lubbe lubab yeh tha k "aisa nizame taleem raij kiya jaye jis se anay wali nasal rang O nasal k aitbar se tou Asian ho jab k zehni tor par British"
unhon ne yeh fasal us waqt kasht ki thi jis ki khaiti abb horahi hae . is nizam e taleem k 2 saddi baad aaj muslims ka yeh haal hae k Allah ko tou mantay hain par Allah ki nahi mantay. akhirat par emaan tou rakhtay hain lekin us ki fikar nahi rakhtay.

tou unity, faith, dicipline k liye zehan banana paRta hae . Pakista ko liya tou Allah k naam pe gaya ta lekin jab se yeh qaim hae tab se har koi isay zati tor par afyeda uthanay kliye istemal  kar raha hae . yahan great leaders ka haal wohi hota hae jo Quaid-e-azam ka huwa .

info123 aur sunny bhai jaisi youth ki kami nahi lekin proper leader.ship bhi chahiye. 
i hope k anay walay waqt main hum aisi hi fasal kaat sakain.gay jis ki khaiti main unity,faith aur dicipline hoga (inshAllah)



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7731  Age:  55  
Posted on:22nd Apr 2010, 10:06am
 

nice discussions

read n almost agreed wid all participants. jazak Allah
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:22nd Apr 2010, 10:41am
 

Info1234

Hur Pakistani jo apny Wutan say dour hy wo jesy apni family kay leye sochta hy hur pul osi tura wo apny Dhurti , pakistan kay bary meah na serf sochta hy bulky hur essy halaat py runjeeda bhe hota hy jisy pakistani nation or pakistan ko noksaan ponchta hy, meah apki tummam bato sy agree kurta hon, Hum apny wutan say Mokhluss he ni hen, abi ap pakistan ki current soraat haal dayk layin dad dad eent ki musjid bunaa ry log, kis liyee? serf apni korsii ky leye serf apny Iqtadaar ko duwaam bukhshuny kay leye,



info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:23rd Apr 2010, 6:45am
 

Dr Qasim....

Dr Qasim aap nay bhi kia baat yaad kara di.... :)

wakai jab ma bhi kuch arsay k liay mulk se bahir gaya tha tau thoray hi din bad apna pakistan hi yad ata hai, apnay log akhir apnay hi hotay hain jo hmari zban boltay hain.....

lekin aik baat bhi apni jgah bht zaroori hai k "ham islam ma pooray pooray dakhil ho jain"

jab islam ma mukammal dakhil honay ki baat hai tau watan ki mohabbat apni jgah, lekin hmaray peron ki zanjir nahi banni chhaiey.

agar sihaba karam RA mekka medina ki mohabbat le kar beth jatay aur apni rehaish dunia k dusray mulkon ma na kartay tau aj ham pakistanion ma kon musalman hota?

jab ham pakistan ma unity faith discipline ki baat kar rahay hain tau asal ma hamain "pooray islamic world" ki unity ki baat karni chahiey, yehi islam ma poora dakhil honay ka taqaza hai

spain ma musalmano nay abbasi daur ma apni independent alag hakumat bana li thi, aur us k bad 600 saal tak independent rahay aur central islamic government se taluk nahi rakha, tau akhir kaar spain ka kia hashar hua? k aik bhi musalman ko zinda nahi chora gaya.

isi tarhan jab makkah fatah ho gya tha, tau sihaba RA nai khiyal kia k ab Hazoor SAW apnay watan mekka ma hi rahian gy, medina ki rehaish ka temporary daur khatam ho gaya, magar Hazoor SAW nay apnay watan mekka ki intehai mohabbat k bawajood bhi sirf chand din mekkah ma guzarnay k bad wapas medina ka rukh kia, takeh musalmano ko qayamat tak sabak rahay k watan ki mohabbat Allah k deen ki raah ma rukawat na banay, halankeh yehi mekka Hazoor SAW ka saddion purana watan tha, jahan Hazrat Ismael AS ko Hazrat Ibrahim AS chore kar gaey thay, aur Hazrat Ismael AS ki hi aulad se Hazoor SAW hain.

 

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:23rd Apr 2010, 6:49am
 

Maryam Sis.....

jazakAllah Maryam sis ......100% agreed..... mashAllah ....  kash pak ma ap jesi bht sari hon


bilkul sahi, wakai zehreeli jaribootian bhi zarkhez matti ki nishani hai, mehnat karni paray gi achi fasal k liay

hmaray pas leaders ki bhi koi kami nahi hai, sirf unhay "misguide" kia gaya hai

apko shaid pata ho k chiriya ghar k hathi ko bilkul kamzor se zanjir paon ma bandhi hoti hai, agar hathi apni takat samajh le tau aik paon mar kar zanjir tor sakta hai, lekin woh kabhi usay tornay ki koshish nahi karta

isliay k hathi k bachpan ma uskay paon ma aesi zanjir bandhi jati hai jissay woh tor na sakay, woh bht arsa tornay ki koshish karta hai lekin kamiab nahi hota, akhir kuch arsay bad ussay yakeen ho jata hai k woh is zanjir ko nahi tor sakta, lehaza koshish chor deta hai.....bad ma  poora jawan ho kar, pori takat hasil kar k bhi ussay isi baat ka yakeen hota hai k woh apni zanjir nahi tor sakta, isliay sari zindgi us kamzor se zanjir se darta rehta hai.

yehi haal pakistani students k sath hai

education system se unki akalon par yeh zanjir dali jati hai

pakistan k liay bht zabardast education system bhi tayyar hua para hai, magar ap khud samajh sakti hain k hmari authorities ka kia hisab hai, yahan ghaddaron ki kami nahi hai... isliay woh education system apply ho ga hi nahi.... aur agar apply ho bhi jaey, tau logon ki majority ussay adopt hi nahi karay gi.. logon ko wohi adat hai k unka 10 saal ka bacha rattay mar kar allama bana ho...

 

For More Detail Click On Page No: 1 2  >>
 
 
 
Pakistani in Italy  How to find job with no work experience  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us