Best Urdu Poetry - Great Urdu Poets
Dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dety
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dety tu mil bhi jata to tujhe ganwa dety
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna dua wo karte k ham asman hila dety
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge unhen ye zid thi k har bar ham sada dety
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dety
tumhari yad ne koi jawab hi na diya mere khayal k ansu rahe sada dety
samton ko main ta-umr kosta Syed wo kuch na kahte magar honth to hila dety
Yuqeen :apni omur ghuwaa de phir be busti kay sub logo ny muj ko yaa tu puthur sumjhaa yaa mom ki goriyaa {noshi galani} ----------------- Hum jo tareek raho meh mary gye Tery honton kay pholoon ki chahut meah hum dar ki khoshk tehni pay waary gy tery hathoon ki shumhoohn ki husrut meah hum neem tareek raho meah mary gye ub kholi teri rahoo meah sham-a-sittum hum chuly ay laay jahaa tuk qudum lub py hurf-a-ghuzul dil meah qundeed a ghum apna ghum tah guwahi tery hosun ki dayk qayem rahy es guwahi py hum hum jo tareek raho meh mary gye faiz ahmad faiz
-------------
Puthur
Rayt say bot na banaa aay mery achy fankaar
ek lamhy ko Thahar, main tujhy patthar laa doun
main tere saamane ambaar lagaa dounlekin
kon say rang kaa patthar tere kaam aayega
sorkh patthar jissy dil kahati hay bay-dil duniyaa
yaa wo pathur jessy aaNkh kaa niilaa patthar
jis mean sadiiyon ky takhueyur ke parry hon Dorry
kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
jis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii hay
ek wo patthar hai jise kahte hain tahziib-e-safed
us ke mar-mar meN siyah Khuun jhalak jaataa hai
ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
haath meN teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai
jitne mayyaar haiN is daur ke sab patthar haiN
sher bhii raqs bhii tasviir-o-Ghinaa bhii patthar
mere ilhaam teraa zahn-e-rasaa bhii patthar
is zamaane meN har fan kaa nishaaN patthar hai
haath patthar haiN tere merii zubaaN patthar hai
ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar
Ahmad nadeem Qasmi
--------------
Dukh
Dukh afsana nahi ke tuj se kahein Dil bi mana nahi ke tuj se kahein Aaj tak apni bekali ka sabab Kudh bi jana nahi tuj se kahein Aik to harf-e-ashna the magar Ab zamana nahi ke tuj se kahein Aye khuda dard-e-dil hay bagsish-e-dost Ab-o-dana nahi ke tuj se kahein.
--------------
Tum roooth jao muj se esa kabhi na ho Main ek ek nazar ko tarson esa kabhi na ho Main pouch pouch haron soo soo sawal kar ke Tum koi jawab na do esa kabhi na ho Kuch main bi janooni hun kuch eri mohabat bi Ye janun tuj ko na bhaye esa kabhi na ho Mere hi sath hasna mere hi sath rona Mujh se bechar kar jee lo esa kabhi na ho. --------------
Dost kya khoob wafaon ka silha dete hain Har naye mor par zakham naye dete hain Tum se to kher ghari bhar ki molakkat rehi Log sadion ki rafakat ko bhola dete hain Kese mumkin hay ke dua bi na ho or dil bi na jale Chot parti hay to pather bi sada dete hain Kon hota hay mosibat main aye dost! Aag lagti hay to pate bi hawa dete hain Jin pe hota hay bohot bharosa Tabish Waqt parne par wohi log daga dete hain.
-------------
Sitary timtamaty hain tu koi yaad ata hay Nazary geet gaty hain tu koi yaad ata hay Issy ana nhi wapis magar phir bhi hath apny
Duuwa ko jub bhi uthaty hain tu koi yaad ata hay Kabhi jugnuu kabhi taree kabhi ghunchy kabhi badal Hamara dil jalaty hain tu koi yaad ata hay Bhut koshish say bhi hum iss sitam gar ko nhi bholy Kahein bhi dil lagaty hain tu koi yaad ata hay Abhi rasty mein bhikri hay mehak pichli rafaqtoon ki
Kisi say milny jaty hain tu koi yaad ata hay Hamari shairi per bhi abhi tuk us ski hukmarani hay
Ghazal jub bhi sunaty hain tu koi yaad ata hay
--------------
maaan
Maan
Mari Maan! Meri janat hay tery pawon taly Meri sari khushian hein tery liye Tu chahy tu jaan bhi war doon Tuon dekhy tu nazar mein sama jawon Teri ankh k ishara samjh sakoon Tery dil mein mein utar sakoon Mery dil ki hy arzoo bhut Teri khushiuon sy parwan charhoon Tu jo mujh say kabhi talb kary Mery lub p kabhi inkar na ho Hy hasrat mery dil mein kub sy Tery dil mein ghar mein kar sakoon Ik khwahish hy bus itni si Tery naksy kadam per chal sakoon
-------------
Abhi Sy Baat Maat Kar Bhool Jany Ki
Abhi tu ankh ne paie hay sapnoo sy shanasaie Abhi tu arzoo ne urna sekha hy Abhi tu pyar ki pheeli phawarein hein Abhi tu phool mehky hein Hasein kosu kazah ky rang bikhry hein Chamakty jugnoo ky kafly bhi sath chalty hein Hamary char janib Khwahishoon ki titlian si jhilmilati hein Abhi tu panchi chaky hein Hamari zulfein bikhri hein Muhabat k nashy mein doby rahty hein Hamari sans seny mein kai tufan uthati hy Muhabat ka nasha dy dy kar neendein ruth jati hein Abhi aghaz hy apni muhabat ka Abhi tu or rangoo ka bikharna hay Abhi sochoon ko ik parwaz deni hy Abhi tu khusbown sy lutf ko awaz deni hy Bhut lamby safar per hum ko jana hy Bhut sa muskurana hy Tumhari chahtoon mein khud ko phir behal karna hay Bhut hi toot kar ulfat lootani hy Muhabbat k bhut say jam bhar kr peeny hein Meri jaan!sary sapny mill kar jeeny hein Abhi say baat maat kar bhool jany ki
-----------
yaad tu ati hogi
Yaad tu attii ho ghee
Dil ko turpaati ho gee
Jin Rah hoo py chully ty sath sath kubi
On rahoo meah mera ukss meri tusweer tu nuzur ati ho ge
Yaad tu ati ho ge
Jo Neyaa Saal , Result , Yaa Eid aati ho ge
Koi tu Yaad Terry Dill Meah chob-bun C bun jati ho ge
Haa Yaad tu ati ho ge
Dil ko Turpaati tu ho ge
Kubi khamossh Mery khiyaalo meh gom
Choriyoo ko khin khinaati ho ge
Kubi hunsti kubi moskurati ho ge
Jub jub meri yaad ati ho ge
Saif ye hukeekut k bus tery khiyaal fukaat
Ossy yaad ati bee hoge
Turpaati be hogee?
Haa yaad tu ati ho gee
By H/dr Qasim saif
|