Tip #1: Establish your right and authority as a parent to know
Apko apni authority ko establish karma hoga as a parent samajhdari se. Apko apnay child ko is baat ka yaqeen dilana hoga apnay alfaaz se aur apnay action se k ap usse bht pyar kartay hyn. Apko baraay honaay k nataay is baat ka patta hona chahiay k apka bacha kin friends main uthta baithta hy aur kis time kahan par mojood hota hy.
Tip #2: Know the Islamic Perspective yourself
Apko apni research bhi complete karni hogi is topic par. Ap internet par mojood achay Islamic scholars k articles bhi read kar saktay hyn aur apni masjid k imam se bhi help ly saktay hyn ya kisi aur achay aalim se bhi madad mang saktay hyn k aap apnay bachay se kis tarah baat karain is hasaas mozoo par.
Tip #3: Remember your example
Aik larka jo apnay father ko dekh raha hyk uskay father fashion magazines ko read karahay hyn aur us main mojood models ko bhi dekh rahay hyn to wo kia sekhay ga apnay father se. Jab wo father apnay bachay se kabhi is topic par baat karega to wo bacha apnay father ki baat ko seriously nahi lega.
To iskay liay father ko khud bhi pakeeza zindagi guzarni chahiay aur apnay bachon kliay aik example hona chahiay jisay wo follow karain.
Tip #4: Warn them about God's punishment and the Hellfire
Teenagers ko is baat ka ehsas dilana chahiay baar pyaar mohabat se ALLAH unhain har waqt dekh raha hy. Beshak ALLAH bht meharbaan hy aur nihayat reham karnay wala hy magar aik bachay ko is baat ka pata hona chahiay k agar ham nay ALLAH ko naraz kia aur maafi nahi mangi aur porn material dekhtay rahay to is dunya main bhi uski barbaadi hy aur akhirat main bhi tabhae aur barbaadi hy.
Tip #5: Watch TV with them
Jab ghar main sab aik saath beth kar TV dekh rahay hn adults,teenagers,children to aisi soorat main koshish karain k remote hamesha kisi baraay k paas rahay takay jab bhi ko aisa add ya kisi tv program main koi aisa scene ae (sexual situations, etc.) to foran channel change kardia jae aur apki zubaan se is baat ka izhaar hona chahiay k ye aik ghalat cheez thi takay apkay bachay ko is baat ka pata chalay k ye aik ghalaat cheez hy.
Tip #6: Make family time
Week main aik baar family k saath bahar zaur jana chahiay. Chahay aap kaheen park main chalay jaen, bachon kolykar playland type jaga ly jaen ya phir icecream khilanay hi ly jaen Sunday night ko………
Tip #7: Get them involved in good activities
Aapko apnay child ko encourage karma chahiay k wo kisi na kisi sport activity main zarur hissa ly. Gym jae ya swimming karay ya cricket khelay ya kuch aur…….
Tip #8: When they're old enough, talk about pornography
Bohaat samjhdarri se apnay bachay se sex par baat ki jani chahiay. Aur baat uski age k hisaab se kari janni chahiay. Magar baat khul kar karni chahiay aur us se bhi uska opinion puchna chahiay k wo in issues par kya sochta hy.
Tip #9: Install filters or get an Internet service which is porn-free
Aisay bht saray safety tools market main mojood hyn jinse aapapnay child ko internet par se porn sites visit karnay se bacha saktay hyn. Internet explorer main bhi content advisor mojood jiski help se aap nudity ko prevent kar saktay hyn. Aaj kal to market main aisay cable connections mojood hyn jin main option hy k aap jis channel ko chahyn block kardyn.
Tip #10: Establish the ground rules for the computer
Aap ko internet hours aur timings fix karni chahiay aur room open hona chahiay har haal main jab aapka child net visit kar raha ho.
Tip #11: Keep the computer and TV of the house in a high traffic area
PC ko aur TV ko living room ya dining room main rakhain takay har koi atay jatay PC par nazar rakh sakay.
Tip #12: If you catch them looking, get proof before you confront them
Agar aap kabhi aapnay child ko porn material visit kartay hoay dekhlain to apna temperament loose na karain. Jab wo PC par se uthay to app jakar history ko visit karain aur apnay child ko dikhaen aur ye paigham dyn k aapko unki manfee sargarmion ka pataa chal gya hy.
Tip #13: Consider removing the Internet, cable, or TV, in the case of repeat offenses
Agar aapkay child ki pornsites ko visit karnay ki aadat jaree rehti hy aapkay samjhanay k bawajood to usay warn kardyn k aab ki baar aisa hoa to internet connection disconnect kardiya jaega aur uski pocket money bhi use nahe mila karegi.