ALLAH KI BARAEE
Hum sab ka khaliq ALLAH hy,har cheez ka malik ALLAH hy aur wo sab se bara baadshah hy,koi iska shareek nahi,itna uncha hy k koi iskay barabar nahi. Koi Rab nahi isky siwa jis se umeed bandhi jae. Koi darmian main wasta nahi jisay rishwat dykar is tk pohanch jae aur koi iska wazeer nahi jis se mashwara kia jae akela sab par havi hy.
ALLAH farmatay hyn:
"Meri kursi zameen aur asmaan par chae hoi hy."
Asman par ALLAH ki hakoomat,zameen par ALLAH ki hakoomat,iskay darmian tak hakoomat ka takhta, sehra tak hakoomat,zameen par kia horaha hy,isay pura pata hy,kia nikla zameen se sab pata hy,kia utra asmaan se sab pata hy.Kia charha asmaan par sab pata hy,zameen asman ko ALLAH ny thama hoa hy. ALLAH is nizaam ko chalatay hoay thakta nahi. Is nizaam ko chalatay hoay sota nahi, unghta nahi, khazanay khatam nahi hoay. Jitna chaho ALLAH se manglo.SAMI hy(Sunnay wala hy), kaisa zabardast sunnay wala hy k jis zubaan main bhi bolo
English,Urdu,Farsi,pushto,balochi,sindhi,saraeki,hindko,kashmiri,sanskarit,hindi sari dunya ki zubano main bolo ALLAH sabki pukar suntan hy. Har zuban samjhta hy. Kaun kia keh raha hy sab ki suni aur phir sab ko chaha to sab ko dy dia,sabki chahat puri kardi kaha meray khazano main itni kami bhi nahi ae jitna sui ko samandar main dabo dia jata hy aur iskay nakay main pani atta hy .ALLAH bht bara hy "AKBAR" hum kahen to bhi AKBAR hum na kahen to bhi AKBAR,wo itna AKBAR hy k iski kibriyae ki koi haad nahi hy,wo itna AZEEM hy k iski Azmat ki koi haad nahi hy aur hum itnay haqeer hyn k hamari hiqarat ki koi haad nahi hy.Iska itna ilm,wo itna qadir k iski qudrat ki koi intiha nahi hy.Hum itnay Ajiz k hamari ujz ki haad nahi hy.Sirf wohi tha jab kuch na tha wohi hoga jab kuch na hoga.
Jab ALLAH sath hojaen tu phir kisi ki madad ki koi zarurat nahi. Is kainaat main sirf aur sirf ALLAH ki baadshahat hy.Sooraj bhi iskay hokum se,chand bhi iskay hokum se,sitari bhi iskay hokum se,hukumat iski ALLAH hi ka hokum chalta hy.Koi iskay samnay daam nahi mar sakta.Sari dunya ka maal mil janay se kaam nahi banta,ALLAH k sath honay se kaam banta hy.
Arsh k upar aik bht bari takhti hy jiski lambae chourae ALLAH k siwa koi nahi janta. ALLAH ny khud likhwaya hy meri rehmat meray ghusay sy agay chali gae.
ALLAH farmatay hyn:
"Aey meray banday! Main to tujhay yaad rakhta hun,tu mujhay bhool jata hy. Main to teray gunahon par parda dalta hun,tu phir bhi mujse nahi darta. Main phir bhi tujhya yaad rakhta hun. Tu mujhay bhool jata hy. Main phir bhi tujhay yaad rakhta hun. Tu naraz hokar mun pher jata hy. Main mun nahi pherta. Main teray intizar main rehta hun."
Samandar kehta hy ALLAH ijazat dy main gharaq karun!
Zameen kehti hy ALLAH ijazat dy main nigal jaun!
Asman k farishtay kehtay hyn ae ALLAH! Ijazat dy teray nafarmano ko halak kardyn.
Aur ALLAH ki rehmat dekho.
ALLAH yun kehta hy k tumhara banda hy to pakarlo mera banda hy to darmian main khalal na do! Main apnay badnay ki tauba ka intizar kar raha hun.Kabhi to raat main tauba karega, kabhi to din main tauba karega aur jab bhi tauba karega qubool karunga.
Jis ALLAH k samnay Jibrail jaisa farishta bhi dam bakhud hojata hy aisa farishta k agar saat samandar ka pani inkay anghutay par dala jaey to aik qatra zameen par nahi giray ga.Wo ALLAH apni zaat main kitna azeem hoga jis kin a koi ibtida ho na koi intiha ho. ALLAH qadir-e-matlaq hy.
ALLAH fermata hy:
"Maut dy to ham bach nahi saktay. Jab tumhari rooh ko halaq se uthata hun to lao kisi ko tumhari zindagi bacha kar tumhain dikhae."