|
Maryam |
Posted on : Saturday, 28th March 2009, 2:45pm |
Group:
Members
Joined: 17th May, 2008
Topic:22
Post:3659
Age:
|
Aalme arwah se bahir is jahan mein maine suna tha k jab sab arwah ko Allah pak ne aik sath hi paida kiya . abb sab arwah is duniya mein anay se qabl Aalme arwah mein hi rehti hain aur jo log wahan aik doosre se mohabbat rakhte hain is duniya mein bhi rakhte hain kyun k aksar aisa hota hae k is duniya mein bohat se log jo aik doosre ko nahi jante kabhi nahi mile hote lekin un ki zehni hum ahangi bhi hoti hae aur mizaaj bhi milte hain to abb sawal yeh paida hota hae k kiya jab is duniya ki bisaat samait li jayegi to sab arwah wapis milain gi akhirat mein? jo is duniya mein aik doosre ko jante thay ya mohabbat rakhte thay wahan mil sakain gay? aur wahan to sab age fellows hongay to kiya wahan bhi parents aur kids ka relation hoga? |
|
goodman |
Posted on : Sunday, 29th March 2009, 4:08am |
Group:
Members
Joined: 11th Oct, 2007
Topic:55
Post:5209
Age:28
|
ok jab dunya kee basat kee basat lapait lee jain gee aur Qayamat ka manzar ho ga too waha per kooi kissi koo nahi pehchanay ga..........waha sab koo apni apni fikar hoo gee...........aur woo aik aik Nakii kay pechay bagh raha hoo ga....... |
|
Bhimji |
Posted on : Monday, 30th March 2009, 6:49am |
Group:
Members
Joined: 07th May, 2008
Topic:15
Post:3292
Age:26
|
Aalam-e-Arwah Jahan tk main jaanta hoon woh yeh hai ke Naik logoon ko Jannat main hoorain millen gi jo bht hi khoobsurat hon gi aur burray logoon ko hooray. Lekin 2-3 points zaroor hain. Kuch log kehte hain ke Nafas-e-amaara bilkul khatam ho jayen ge jannat main aur hoorain sirf khidmat k liay hon gi. Iss ke ilawa jo larki ya aorat duniya main Allah k diay gye ahkaamat ke mutaabiq zindagi guzarti hai woh b Jannat main hoor ban jayegi aur jannat ki baaqi hoorun se bht zeyada khoobsurat b ho gi lekin jahan tak parents-kids relation hai, aesi baat kabhi nahin suni aur shayed ho b na kyun ke Jannat main sab hi young n age fellow hon ge aur parent - kid relation ka sawal hi peda nahin hota aur haan kuchh Ulamaah ka yeh b kehna hai ke Hoorain jab chaahain aapis main kisi b waqt mulaqat kr leti hain. Aagay Allah hi behtar jaanta hai.
Haan mere paas aik tip hai Dunia main Hoor ban-ne ki. Yahan Pakistan main HooR Beauty Soap ke naam ka aik saabun aaya hai jo lagane se larki Dunia main hoor ban jati hai aur aakhirat main larkoon ko Chhitrol krwaane ka bayes banti hai..lols |
|
Maryam |
Posted on : Monday, 30th March 2009, 8:42am |
Group:
Members
Joined: 17th May, 2008
Topic:22
Post:3659
Age:
|
bhimji sahib lekin agar parents aur kids ka relation nahi hoga to phir jo bachay ( new baby borns ) ki death hojati hae aur apnay parents ko jannat mein lekar jaiengay un se kaise milain gay ya un k sath jannat mein jaiengay?
aur hoor beauty soap use kar k jo hoorein loagon ki chitrol ki waja banain gi woh hoorain bhi balaon ki surat main wahan milain gi:) |
|
Khakaan |
Posted on : Monday, 30th March 2009, 9:03am |
Group:
Members
Joined: 23rd Mar, 2009
Topic:5
Post:33
Age:26
|
Alam-e-Arwah or Dunya Alam-e-Arwah k bat to ho chuki or sab janty hain k Rohoon ki Saken ko Alam-e-Arwah kaha jata ha.
Abhi aik thora sa main izafa kerna chahta hoon.
jab insan paida hota ha to Roh Alam-Arwah say ati ha or jism main Sama jati ha or Mout k wakat Alam-e-Arwah ko jana hota ha,
ager aisa na ho, yani k Alam-e-Arwah janay ki bajay isi Dunya mai Reh to hamray lay Khoof ka sabeb bhi ban sakti ha,
Roh ka waps Alam-e-Arwah ko na jana kisi khas Amel ya Waqay k bina per bhi ho sakta ha.
Is baray main kafi kuch per chuka hoon, lakin kisi Khas Bina per ap say Share nieh ker sakta.
|
|
Zaara |
Posted on : Tuesday, 31st March 2009, 12:26am |
Group:
Members
Joined: 01st Dec, 2008
Topic:4
Post:84
Age:
|
khakaan yani aap un roohon ki baat kar rahe hain jo is forum pe bhatakti phirti hain? lekin yahan roohon k bhatakne ka kiya maqsad hae unhain bhi yahan proper jawab nahi milta hoga jaise yahan koi proper jawab nahi mil raha:) |
|
nikama |
Posted on : Tuesday, 31st March 2009, 3:11am |
Group:
Members
Joined: 15th Oct, 2007
Topic:54
Post:1907
Age:32
|
Maryam... nahee aiseee tu koi baat naheee kay , sari souls aik saath paida hoon aur iss kay related sub ghalt hai..kuch naheee.... aur naa hee ya piyaar muhabaat ka chuker arwaa etc main hota hai, aur na hee ya pehlay oper asmanoon main piyaar etc bull shit kurtaeey hoon tu zameen pur bhee miltee hain,,... all these are fake ilssuions and stories... baqi haan jaza saza kay baad , when one go to heaven , then the real program would start... |
|
Maryam |
Posted on : Tuesday, 31st March 2009, 3:16am |
Group:
Members
Joined: 17th May, 2008
Topic:22
Post:3659
Age:
|
nikama bhai sab ko aik sath hi paida kiya gaya tha its true. liya tha k woh wapis aiengi. jab Allah pak ne hazrat Adam(A..) ko takhleeq kiya to rooh ne kaha k yahan to bohat andhera hae main is main nahi jaongi to Allah pak ne kaha k tum jao mein tumhare liye isay roshan kardonga(jism ko) to rooh ne khud hi Allah pak se waada liya tha k aap mujhay wapis zaroor bulaiengay:). khair sab roohain ikattha hi paida ki gai hain ati apnay time k sath hain. tabhi to hum aksar bachon ka kehtay nahi k in mein to koi boRhi rooh hae:) |
|
nikama |
Posted on : Tuesday, 31st March 2009, 11:33pm |
Group:
Members
Joined: 15th Oct, 2007
Topic:54
Post:1907
Age:32
|
Maryam baji.. acha..pur main nay aisa nahee purha tha..may be I am rong....bura na manaa but still , I am unable to belive that all souls had been created at once..... |
|
|