Agar Yeh Islamic Shariat Hai Tu Mujhe Qabool Nahi
hamare forum ke aik member Hitman ne ch Babar ko aik jagah reply kia, mere khial mai Hitman ne apne reply mai jin baato ki nishaandahi ki hai os per discussion zaroori hai, isi liye mai ne isse aik new topic ke tor per shuru kia hai. http://www.forum.noorclinic.com/10/malakand_and_sawat_12502.htm rE: CH BABAR kya Hakoomat bata sakti hae k Malakand aor Sawat k naseeb main he Shariyat kyun hae, baqi Pakistan ka kya qasoor hae??? pehle to app ye batayen k app konsi shariyat ki baat kar rahay hain, wo shariyat jismain taleem se roka jaye, .....ya wo shariyat jismain janazay ko lejanay walon ka janaza bana diya ja, .......ya wo shariyat jismain logoun k haath kaan katain jayen ,......ya wo shariyat jismain zabardasti islam nafiz kiya jaye,......... ya wo shariyat jismain begunah afraad ko mara jaye ya wo shariyat jismain afghanistaan ko chor kar Pakistan per kabza kiya jaye ..........ya wo shariyat jismain loagoun ki jaan o maal ko jalaya jaye ya ..........wo shariyat jismain katal o gharat ka bazaar garam kardiya jaye, ............ya wo shariyat jismain apne jismoun ko bombs se ura kar jannat main ghar banaya jaye ,........... ya wo shariyat jismain apne saath saath masoom logoun ko bhi jannat main ghar dilaya jaye ,................ya wo shariyat jismain logoun ko zabardasti islaam sikhaya jaye................ ya wo shariyat jismain hokomat ko challenge kiya jaye ya wo shariyat jismain ek jannat nazeer khittay ko jahannum bana diya jaye, kya yehi hamaray NABI (P.B.U.H) ki taleemaat hain, ........kya is hi tarha Hamaray Nabi (P.B.U.H) islaam ki roshni pehlatay thay,......... kya is hi tarha Hamaray NBI (P.B.U.H) nay logoun ko islaam sikhaya hai, ..........kya hamaray Nabi (P.B.U.H) khudkash hamlon ka hukum dete thay, kya Hamaray Nabi (P.B.U.H) logoun ko taleem hasil karne se roktey thay, kya hamray Nabi (P.B.U.H) aurat aur mard main tafreek farmatay thay, kya Hamaray Nabi (P.B.U.H) begunah logoun k katal ka hukum detey thay, kyaa Hamaray Nabi (P.B.U.H) apni baat manwanay k liyain katal o gharat, fanah o nuksan, zabardasti, maar kutaye, bachon ko yateem, aurton ko bewaah, maan se unka laal chek kar, baap se uski beti chen kar, bachon k school jala kar unko yateem kartay thay?..............(NAOZOBILLAH) KYA ajj jo kuch Shariyat k naam per horaha hai wohi Hamaray Nabi (P.B.U.H) ka tareeka kaar tha, merey khayal main app pehle iska jawaab talaash karain uske baad hum agay baat kartay hain......... Bewaqoof: mai tu sirf yahi kahoo ga keh agar oopar bian ki gayee baato ka naam shariat hai tu mujhe yeh shariat qabool nahi
|