Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 6:53am |
|
|
Re:guilty of being here
har insaan k liye education ki different stages hoti haiN . MA level ki education matric level pe nahi di jasakti . isi tarah sex education bhi hae . your sister is going to be married . aap apni mrs k through unhaiN is site ki books reading karnay ka kahaiN aur unhaiN yahaN ki books bhi gift ki jasakti haiN .
yahaN aik baat aur kehna chahongi jo relevant to nahi lekin aap ne 2 times mujh se poochi bhi thi . yahaN koi humaiN janta ho ya na ho hum khud apnay aap ko jantay haiN aur apni zaat ki shanakht yahaN karwatay haiN na k wajood ki . i,m much satisfied of my stay on the forum bcoz meri family(mother & sisters), meray husbnad meri friends they all know about my presence on this forum & my id. aur mujhay kabhi kahiN reply kartay yeh feel nahi huwa k maiN koi aisi baat discuss karnay jarahi hoN agar woh read karaiN to munasib nahi .
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:00am |
|
|
Maryam sis ji haan bilkul theik kaha aap ne.lekin yahan pr books me kuchesi batein hain jo ghair akhlaqi hain to books gift nahi ki ja sakti.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:00am |
|
|
for married women, it's ok already married woman ko yahaaN apni maujoodgi ko kissi say chopanay ki "zaroorat" nahi hoti. iss sites say woh nah sirf khud istefadah karti haiN balkay iss say onki azdawaji zindagi bhi behtar guzaarnay ka Dhang aataa hai...isi taarh woh yahaaN say hasil kardah ilm ko apni deger female frnds /relatives ko faidah pahoncha sakti haiN... |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:03am |
|
|
books gift nahi ki ja sakti ?
yahan pr books me kuchesi batein hain jo ghair akhlaqi hain to books gift nahi ki ja sakti.
mera khayal hae k yahaN pe kuch members aise haiN jo in sab batoN k haq meiN haiN agar woh kisi ki behaN, beTi ko yeh sab suggest kar saktay haiN to un ki apni behan, beTi k liye bhi munasib hae . liberalism doosroN k liye nahi apnay liye bhi hota hae. baqi jo loag munasib nahi samajhtay woh yahaN ki books ki bajaye khawateen k liye sharai ehkaam gift kar daiN .
|
dom_man
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1315 Age:
34
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:04am |
|
|
maryam thanx for replying.actually mera matlab aap ke baray mein nahi apnay baaray mein tha.ke mein ne aik hasaas aur personal baat poochi hai, aur zahir hai ye baat mein openly kisee se discuss nahi ker sakta, yahan humain personaly koi nahi jaanta isliyee discuss kerna asaan hai.aik baat aap bhee maanay gin ke jo baatain hum yahan discuss ker laitay hain ye read ker laitay hain, hum wo baatain aam taur unhi female members ke saath zara mushkil se karain ge agar real life mein amna samna ho.kiya kali zuban apnay saray articles kee baaatain aam taur pe real life mardon ke saath openley ker sakti hain?
mera ye matlab tha.khair, jahan tak mera apni sis ko ye books apni mrs ke zariye dainay kee baat hai mein ne yehi socha hai.mein thora confused tha ke kahin ye na munasib tau nahi,khair mein is se agreed hun ke education ke liye koi harz nahi. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:07am |
|
|
ikhlaqi aur ghair ikhlaqi bataiN sex /medical related bataiN ... bayak waqt "ikhlaqi" bhi hoti haiN aur "ghair ikhlaqi" bhi.... agar monasib moqay pay, monaasib logouN k saamnay, monaasib andaaz maiN ki jayain to yeh kabhi bhi "ghair ikhlaaqi" nahi kahlayee jasakteeN.......... medical books, sex related books ka bhi yehi haal hai...... agar yeh 'concerned adults' ko gift ki jayain, jissay woh apnay tak mahdood rakhay to iss main koi borayee nahi..... aik gynaecoligst professor jo bataiN apni class main male /female students ko batlataa hai...woh kabhi bhi "ghair ikhlaqi" nahi kahlayee jasakti....... lekin agar wohi same batain woh kissi mixed social gathering main karnay lag jaa.ay to woh yaqeenan "ghair ikhlaqi" kahlaayegi....... books for adults ko ghar main har aik ki access main nahi hona chhaiyeh...... as per islamic /eastern culture.
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:11am |
|
|
Rizvi uncle aap ki post ab dekhi.aap bhi beshak theik kehte hain.aurjahan tak bhai & walid ki bat hai to mere bhai ko is trha se pta chala hai k asar main forum visit krti hon to wo kisi kam se ate hain tab onki nazr ar jati h.baqaida tor pr nahi btaya. bai in-laws ka to shadi k bad hi pta chale ga k kon kis mizaj ka hai.abhi ache lage to maine bhi yehi socha k agar onhe kisi kism ki prob hoi to is forum ka bta don gi.
wese thanx aapki advice k lie.
aur jahan tak bhai k btane ki bat hai to mera nahi khayal k bhai apni unmarried behn ko is kism k forum ka btaey.agar bhai chahta bhi hai to wo apni wife se keh kr bta sakta h.yani bhabhi btaey
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:11am |
|
|
dom bhai i agreed k koi bhi female ya male jitna bhi bold ho kisi k samnay is tarah mashwaray nahi de saktay jaise yahaN detay haiN . i mean 1 to 1 lekin shara meiN koi sharam nahi . islye pardah meiN rehtay huwe doosroN ki probs solve karna bohat achi baat hae.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:13am |
|
|
sex education n islam aik muslimah k liyeh jo new new balooghat k marhalay maiN daakhil howi ho....ossay directly sex related medical books gift karnay say behtar hai k aurtouN k fiqahi masaail say motalliq books like bahashti zewar etc dee jaa.ay.... inn books ki khoobi yeh hai k yeh directly to islamic /fiqahi masaail ko address karti hain aur indirectly sex education bhi deti haiN.......aisee books apni bahnouN /beTiyoun ko bilaa takalluf dia jasakta hai aur denaa bhi chhaiyeh... in books ko parhnay wali unmarried larkiyouN k bhaTaknay ka imkaan nah honay k barabar hota hai jabkay directly sex related books say aisaa imkaan zeyadah hota hai agar family main iskay sidday baab k liyeh geger factors maujood nah houn to. |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:17am |
|
|
is k elawa mojhe meri grandmother ne aik book gift ki hai Tuhfa-e-khawateen ye bhi buhot achi h.aap ye bhi gift kr sakte h
|
dom_man
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1315 Age:
34
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:22am |
|
|
actually hum sab loag asooli taur pe aik hee baat ker rahay hain.ke sex education honi chayee chahe wo koi bhee ho.coz that's what we are here for.baaqi loagon ke mizaaj mein thora bohat farq tau hota hai.we should celebrate diversity and differences.maslan yahan kuch females bohat openly discuss kerti rahi hain aur kuch dhakay chupay andaaz se, jaisay koyal, sooth, seemi aur watter etc.isee tarah her kisee ka apna mizaaj hai.we shouldn't be judgmental.
jahan tak ghalat sahih kee baat, kuch loagon ke liye tau aisee baat mouth mein nikalna hee ghair ikhlaaqi hai.her kisee ne apni baat ko ikhlaaqi samjha hota hai.i think siraf practically illegal sex se avoid kiya jaye, baaqi her kisee ke apni opinion hai aur oos ko respect dainee chayee. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:26am |
|
|
sex education in islam 1. quran maiN bhi sex education maujodd hai...lehaza aik muslim aur muslimah ko sab say pahlay quran with translation (agar arabic nahi aati to) parhni chhaiyeh.
2. bahoot see ahaadees main bhi sex education for males n females maujood hai...hamaiN ahaadees maiN specially taharat, nikaah, saum n salaat etc wali books zaroor read karni chhaiyeh
3. iskay baad fiqahi books hain... male /females both k liyeh fiqahi books maiN bhi indirectly sex education maujood hai aur saleeqay say maujood hai
4. bahashti zewar, tuhfa.e.khawateen aur issi tarz ki darjanouN books specially females k liyeh morattab ki gayee hain jo dilchasp bhi hain, informative bhi, islamic maslay bhi batlaati hain aur sex education bhi.
5. iskay baad sex education /medical par directly books hain...jinhaiN bil.amoom mahereenay tibb (medical experts) likhtay hain... yeh books ikhlaaqiyaat /islamiyaat k hawalay k beghair likhi jati haiN...jo aik high mentle level /medical students k liyeh to bahoot faidah mand hain lekin average zehni satah aur bilkhasoos kachi zehni satah k laRkay laRkiyouN k liyeh laazman nuqsaan dah sabit hoti haiN...lehaza aisee books ko bahoot ehteyaat say distribute karna chhaiyeh |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:31am |
|
|
forum's environment is forum ki aik achi baat k yahaN k members bohat achay aur suljhay huwe haiN . yahaN ka mahol hi hae jis ki wajah se khawateen yahaN apni apni isteta,at k mutabiq participate karti haiN . wese bhi discussion logoN ki prob solve karnay k liye honi chahiye na k enjoyment k liye. is liye sab members ki participation yahaN qabil e tehseen hae .
|
dom_man
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1315 Age:
34
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:41am |
|
|
maryam and s4u(books) actually, sex education siraf mazhabi aur ikhlaaqi hawalay se nahi hotay, wo tau siraf hadood ka taayun kernay ke liye islam ya ikhlaqiyat ka sahara liya jaata hai.education per se mazhab se nahi milti. sex education se muraad sex ke psychological aur physical aspects hain jis se izdawaji taluq ko mazboot banay jaye.meri thori bohat hesitation thi ab khatam ho gaye hai aur i m going to tell my wife ke wo meri sis ko ye books aur dooosray aspects ke baray mein bataye.kiyon ke meri wife ne bataya tha ke meri sis bohat see ghalat baaton ka shikaar hai, tau hum ne socha ke jab hum dossron ke problems ke baray mein fikar mand rehtay hain tau apnay family members ke kiyon nahi.after aal ye baatain bohat see nafsiaati masail kee waja banti hain.mera zaati khayal hai agar kabhi in future wo forum join ker ke yahan participate bhee karay tau i would have no problem now. |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:49am |
|
|
I agreed with My Rizvi uncle beshak sab se pehle hume Quran with traslation parhna chahiye.os k bad ahista ahista dosri books bhi. maine bhi pehle quran prha,sath sath behshti zevar aur phir mariful quran,mariful hadees,tuhfa-e-khawateen,islah-e-khawateen esi hi kai books read ki h.Alhamdulillah. yakdam aap forum pr aein aur yahan pr ese topics dekhein to ye aap k zehn pr bura asar dalta h.maine khod aaj tak yahan pr mujod books read nahi ki.
kuch dinu pehle love bird (uncle) k topic me dekha jis pr ye discussion ho r th k yahan pr mujood books ghair ikhlaqi h.
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 7:53am |
|
|
domi uncle aap ki mrs aapki sister ko apni zubani hi btaein k onhe kis kis bat ka pta hona zarori hai.jab wo ye sab batein samjh jaein phir is forum ka btaya jae. is trha jese aap ne kaha k aapki sister kuch ghalat baton ka shikar hai to ho sakta hai k wo is forum ko hi ghlat samjhein means yahan books,topics waghera ko wo ghair ikhlaqi samjh lein.
jo log ghalat baton ka shikar hote hain onhe sab se pehle khod guide krna chahiye jab aap kr lein phir onhe ese forum ka btana chahiye
|
dom_man
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1315 Age:
34
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 8:01am |
|
|
s4u mera matlab ghalat khayalt se ye nahi ke wo kisee ghalat rastay pe hai. i mean bohat se misconception ka shikaar hai.jab meri wife mujhe bohat hesitation ke baad ye baatain batyee, aur kaha ke agar mein kahun tau wo oosay ye sab batay.waisay, jab insaan misconceptions aur aisee ghair aqali baaton ka shikaar hota hai tau oos ko tortay huay thora sa tau wo hadood se baahir nikalta hai jo ke natural hai, laikin sahi guidance ho tau sahih concepts ko ultimately ikhtiaar kerta hai. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Nov 2010, 11:11pm |
|
|
kuch jo samjha merray shikway ko... kuch jo samjha meray shikway ko to rizwaaN samjha :) g haaN yahaaN par 'rizwan' s4u ID say login howa nazar aataa hai lol
aik aur example pesh kartaa houn...shayad k 'sabkay' dil maiN otar jaa.ay meri baat:...... farz karain k aik teen ager 'urdu adab' paRhna chaahta hai yaa ham ossay urdu adab say aashnaa karwana chaahtay hain.... iska behtareen tareeqah yeh hoga k pahlay ham ossay 'saaf suthraa adab' parhnay ko daiN. aghaaz ham monthly naunehaal, taleem o tarbiat say kartay howay munshi prem chand, allama iqbal, pitras bukhari, ahmed nadeem qasmi etc ki nasar o nazam paRhnay ko dengay aur jab woh literary etbaar say kuch mature hojaa.ay to woh bay shak asmat chuGhtayee, manToo, josh maleeh aabaadi, faraz etc ko bhi parh lay to oska kuch nahi bigRega.....
lekin agar koi aghaaz hi asmat chughtayee, manToo k 'farsoodah o behudah afsaanoun say karay, josh ki yadouN ki baraat aur faraaz o parween shakir ki kachi romaanvi poetry say karay to 99% chances yehi hain k woh bigaR jayega /jayegi....agar ossay thaamnay walay oskay parents har dam alert nah howay to...
yeh baat maiN sex-education k liyeh bhi kahtaa houn... iski kuch education to by-default har adult ko mil jati haiN... aj bhi lakhouN nahi kaRorouN insaan aisay hain jinhoun nay koi formal sex education nahi hasil ki, nah paRhi nah soni magar woh behtareen azdawaji zindagi guzaar rahay hain..........iskay bar.aks western culture main primary say hi bachay bachiyouN ko sex education dii jati hai aur woh school pass out honay say pahlay hi sexually corrupt hochukay hotay hain...onki marriage life shaaz o naadir hi achi guzarti hai, onkay haan awwal tyo shadi ka rujhaan hi kam say kam hai..doam agar shadi kar bhi lain to talaaq ka ration bahoot high hai... aur husband-wife ki life bhi etni khush.gawaar nahi.........jiski aik BARI wajah kachay zehan hi say sex education aur sex ki easily availability hai
lagta hai k hum muslims /eastern culture k log bhi gradually ossi western culture ki taraf jaa rahay haiN... jahaaN aksar bachoun (aur onki mothers ko bhi) ko apnay real father ka pata nahi hotaa aur school say nikli howi koi bachi kanwari nahi rahti (illah masha Allah)
i hope k meri baat ab nisbatan 'zeyadah' logouN ko samajh aa jayegi... lekin WOH phir bhi nah maanaiN, yeh alag baat hai :)
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:4th Nov 2010, 8:00am |
|
|
Rizvi uncle ji haan yehi to main bhi aap k kehne k bad hi kehne lagi hon k hume yakdam is forum pr nahi aa jana chahiye.zara sabar se kam lein. aur uncle ap ne ghor nahi kia rizwan uncle k bad kali zuban bhi to main hi hon:D
|
saqi g
|
Group: Members Joined: 29th Oct, 2010 Topic: 2 Post: 65 Age:
27
|
|
Posted on:4th Nov 2010, 6:31pm |
|
|
is itz ddisgracefull??yes by some aspects.. slam 2 all members.. Myrizvi,maryum,s4u n dom_man MASHALLAH ap logon ny bht detail mn yahan rahna ya na rahna discus kia hy or meaningful b hy bt..... Kia Hum muslim ni hen?? Kia ksi muslim ki ankh mn itni haya ni oni chaey k wo aci batun ko smjny kliy ALLAH py tuwakul kry?? Kia muslim mrd or aurat ki aci tasweer paesh ki islam ny??? Halan k hum log her bat mn Quraa'n ki study(tilawat) ki bat krty hen.. Kia aj sy phly jo muslimz guzry or unhun ny aci koi discussion mn hissa ni lia tu kia wo achi trhan ni jeay??? Or yahan py sb sy disgracful bat ye hy k bat ko story ki shakal mn byan kia jata hy jcy sex novel chl rha hy koi... Agr mrd aurat k relation ki psychi ya physic ki bat ki jay tu wo bht e detail mn islam ny or NABI(SAWW) ny unki Azwaj(r.a) ny byan ki hen i think is sy ziada ki muslim ko zrorat ni prti.. Kia haya ko khtam kr k hum log ye sb ni krty?? Srf sochaey apny girabaan mn mun dal k her ksi ko apny andr ik choor nzar aye ga.. Or sb sy ziada disgraceful act ksi ko i mean family mn sy iss k bary mn btana coz ye bat apko mashkook kr deti hy.. Hum muslim hen or broad mindness humary dushmanu ki invented term hy.. Agr yahan sex story ki trhan ques na pochay jain tu kch disgraceful ni.. Wa slaam. |
|