Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Karachi ke Biryani, & Nihari

Food & Recipes
 
 
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2285  Age:  34  
Posted on:15th Dec 2008, 8:04pm
 

Karachi ke Biryani, & Nihari

i think ke Biryani aur Nihari karachi se he shoro howi thi..  wese to mujhe maloom hai ke Zeb ke receipe main yeah dono mojod hain...  Laikin yeah to punjab ke receipe howi na... Main chahta hon ke Karachi ka koi Expert Biryani aur Nihari ke Receipe btai...  

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7855  Age:  56  
Posted on:16th Dec 2008, 3:16am
 

recipe haazir hai

nehayat sasti recipe haazir hai.

1. 10 rs. ka ticket lay kar sadar jati howi kissi bus maiN baiTh kar sadar pahonchaiN

2. empress market k saamnay aur ghausia resturant k peechay waqa hotel pahonch jayaiN.

3. aray yahaaN to lambi qatar lagi hai foot path par.... aap qatar say nah ghabrayaiN aur aap bhi line maiN khaoshi say baiTh jayaiN

4. baari aanay par aap ko muft maiN nehari aur biryaani khanay ko mil jayegi

haaaaaaaa haaaaa

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2285  Age:  34  
Posted on:16th Dec 2008, 4:23am
 

rizvi

hahah heheh

janab rizvi bhai..  nihari khane ke tarkeeb naheen pochi thi..  ager hosake to ap sadar  ja ker receipe pochen please mere lea...

thank you

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7855  Age:  56  
Posted on:16th Dec 2008, 5:42am
 

System

lagta hai aap usa maiN tanhaa rahtay haiN aur wahaaN k khanay khaa khaa kar tang aagaye haiN... lijyeh barah masalay ki biryani ka nuskha pesh hai

1. gosht raan- 2 kg -- 2.chawal basmati-1.5 kg -- 3. piyaaz 375 gm --- 4. adrak n lahsan paste aik khanay ka chamach --- 5. dhanyaa pisa howaa 2 khanay k chamchay --- 6.surkh mirch, namak hasbay zaroorat 7. hari mirch, hara dhanya hasbay pasand --- 8. lemon 2 adad --- 9. dahi 250 gm --- 10.jawatri, jifle aik tea spon -- 11.garam masalah hal tea spon -- 12. sabit dhanya aur sonf  about 30 gm -- 13. aaloo bokharay 60 gm

tarkeeb: gosht dho kar iss maiN yakhni k liyeh pani daalaiN... adrak, lahsan, kati howi piyaaz, garam masalah, surkh mirch, namak sab gosht maiN daal daiN.

sonf aur saabit dhanyaa ko kapRay maiN baandh kar DaalaiN aur gosht ko galnay daiN.... yakhni tayyar hojaye to tail maiN piyaaz lach.chay daar kaaT kar brown kar laiN.... issi maiN garam masalah, lahsan, adrak ka paste, dhanya, surkh mirch, namak aur lemon ka juice Daal kar khoob bhoonaiN .... phir dahi aur gosht daal kar bhoonaiN (gosht aur yakhni alag alag kar laiN)

achi tarah bhoon  kar yakhni aur chawal Daal daiN... phir kaTi howi adrak, hara dhanya, hari mirch, aaloo bokharay, jifle, jawatri Daal kar dam par pakayaiN... pak jaye to doodh maiN thoRa saa zarday ka rung ghol kar daal daiN...

dish maiN nikalaiN to piyaz brown kar kay chawalouN pa saja daiN...

biryani tayyar... khanay maiN mazay daar... pakaa kar mutlaa farmayaiN k mazaa ayaa yaa nahi

saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  30  
Posted on:16th Dec 2008, 5:53am
 

shohar ho to aisa

yaar rizvi sahab app ki biwi bauhat khush naseeb hai jise appp jaisa shohar mila jisse khana pakana bhi ata hai.

hamein bhi biwi ko khush rakhne ke kuch tips sikha dien app ki bari meharbani hogi. abhi meri sirf mangni hui hai magar shadi k practice abhi se kar li jaye to behtar hai na.

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:16th Dec 2008, 6:00am
 

myrizvi uncle & Saahil bhai

Myrizvi uncle:buhot achi hai.

Saahil bhai: zaror khawand ko bhi cooking ani chahiye.jese mere faince ko ati hai aur mere lie fakher ki baat hai k  wo mojhse kahi ziyada expret hain..he he he he
saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  30  
Posted on:16th Dec 2008, 6:04am
 

S4u sis

Mashallah Allah app dono ki jori salamat rakhe aur woh sari zindagi app ko ache ache khane paka kar khilaye, waise ghar mein to khana larkiyan hi pakati hain magar har weekend ko yeh hona chahiye k shohar apni sweet wife k liye acha sa khana banaya kare. kiya khayal hai???
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:16th Dec 2008, 6:11am
 

Khayal Naik hai.

Mashallah Allah app dono ki jori salamat rakhe aur woh sari zindagi app ko ache ache khane paka kar khilaye,

Ameeeen suma ameen..aur meri doa hai k aapko bhi meri trha hi future wife mile.lols

waise ghar mein to khana larkiyan hi pakati hain magar har weekend ko yeh hona chahiye k shohar apni sweet wife k liye acha sa khana banaya kare. kiya khayal hai???

Khayal to ji bara hi naik saaf hai.sirf weekend me hi kiu wo daily bhi krein to bhi mojhe koi etraaz nahi ho ga.
saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  30  
Posted on:16th Dec 2008, 6:20am
 

S4u

Sister app ki dua se mujhe bhi app ki tarha naik aur achi fiancee mili hai aur dua karna k hamare jald shadi bhi ho jaye.

aur naik logo k dimaag mein naik khayal hi aate hain na. aur agar roz roz husband khana banane lag gaye to kaam per kaun jayega phir biwi kha kha kar moti ho gaei to aur bechara husband ???

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  34  
Posted on:16th Dec 2008, 10:00am
 

saahil

hum sub ki duayen ap sath hain
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2285  Age:  34  
Posted on:16th Dec 2008, 1:26pm
 

rizvi bhai

hmmmmm yumm yumm yummm..  Bara Maza arha hai perh ker .... Ab to weekend ka intezar hai aur .. apni wife ko khob challenge karon ga...

you are my rizvi... Yeah waqi nai tarkeeb hai mere lea..   Biryani pka ker app ko zaroor btaon ga...

Thank you so much...

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2285  Age:  34  
Posted on:16th Dec 2008, 1:50pm
 

zeb bhai

yar app bhe to kuch roshni dalien na iss per...
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:16th Dec 2008, 8:51pm
 

system

wah bhai wah

kia

pyar

hai

aap

k

aur

.

.

.

.

.

biryani k darmian lolz :)

Saahilbhai

wesy to naik logon k lie to meri dua hamesha se rehti hai, lekin aap ne wife ko khush rakhne k lie kaha hai to main ek asan si tip batata hoon aap ko,

aap marte dam tak apni salery ki value apni wife par zahir mat karna, aap ki salery jitni hoti hai us ka one third apni wife ko show karna, e.g, agar aap ki salery 30000 hai to apni wife ko kehna k 10,000 ya 15,000 b keh sakte hain.

es ka faida ye hoga k joun hi aap salery loge to us main se 2000 pocket money k lie rakh lena aur baqi 8,000 ya 13,000 jo bachte hain saare k saare bv k haath main de dena, q k bv tab bohot ziada khush hoti hai jab us ka husband apni salery us k haath main tama deta hai

lekin es se husband ko ye tension hota hai k salery to wife k haathon main gaie ab wo kia karega,

so es lie half ya one third salery ko chupke se jama b kar sakte hain aur apni pasand aur apni marzi k mutabiq us ko kharch b kar sakta hai.

kesa raha tip/....................................????????

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7855  Age:  56  
Posted on:17th Dec 2008, 5:45am
 

System bhai

siyanay kahtay haiN k begum ko kabhi challenge nahi karnaa chahiyeh warnah ...

meray aik dost nay batlayaa (qasam say yeh meray dost hi nay batlaya hai... meri aap beeti nahi haa haa) ... k aik martabah ossay apni biwi say aik darama kia ... woh jab bahar say ghar aayaa to door knock kia... ghar maiN begum akeli thee... woh darwazay k pass aayee aur as usual poochaa k kaun? hamaray dost nay aawaaz badal kar apnaa hi naam lay kar kahaa k xy ghar pay haiN..... begum nay awaaz pahchaan li aur oss nay bhi dramaa kartay howay kahaa.... woh to ghar pay nahi haiN... aap ander aajayaiN........heee heee

meray dost nay ayandah say taubah karli k kabhi biwi say iss tarah nahi karegaa... aap bhi agar biryani begum say achi banaa laiN to kabhi onhaiN challenge nah kijyeh gaa warnaa.... aap bhi pachtaa saktay haiN...

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  34  
Posted on:17th Dec 2008, 9:53am
 

system

nihari to mujhey pasand hi nahi

aur na banani ati hai

albata bariyani main bht shauq se kahat bhi hun aur banata bhi

myrizwi ne bht achi recipe batai hai

zaroor try kijiye ga

wese bhi asal bariyani to Karachi walon ki hi hoti hai ;-p

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2285  Age:  34  
Posted on:17th Dec 2008, 1:28pm
 

zeb

yar waqi achi biryani ka tareeqa hai laikin is main unhon ne yakhni dalne ko kaha hai..   Laikin Biryani main yakhni kabhi suna nahe tha... Hosakta hai ke Pulao bhut mazedar bane is tareeqe se...   Kia khial hai app ka....
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2285  Age:  34  
Posted on:18th Dec 2008, 4:15am
 

Rizvi

ok rizvi bhai... Aj himmat kar ke biryani ko banaya gia...  Taste Biryani ke bjai tasti Pulao ban gai.... Buhat mza aya But still Biryani nahe ban saki..  Rivzi bhai Biryani main yakhni dalna zara new tha...  Mera khial hai ke yeh Pulao + Biryani thi...   Members i still need recipe of karachi Biryani.....
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7855  Age:  56  
Posted on:18th Dec 2008, 6:14am
 

System

chalo kuch new new taste ti milaa.... actually yeh reciope jang say copy ki thee maiN nay.... warnah maiN kahaaN aur yeh zananah qism k kaam kahaaN lol
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  34  
Posted on:18th Dec 2008, 8:29am
 

system

yes u r tight

bariyani k apne maslaya hotey hain

us mein yakhni nahi hoti

yakhni wali bat recipe mein ghalat hai

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2215  Age:  37  
Posted on:18th Dec 2008, 9:53am
 

System

Maien ney app ki post read ki hey app ney kaha hey key app ko biryani ki recipe chyea tu app ko may dey rahi hoon bilky Karachi style

(acording to my husband i make good biryani)heeeee heeeee

maein app ko measurment nahi bata sakti key kiya cheez kitni leni hey wo app khud hi figure out kar lena ku key may ney always andazey say hi banayah hey

or app ney sahi kaha key biryani may yakhni nahi dalti yakhni wala tu pulao ho jata hey

ok sab say pahey app piyaz ko oil may brown kar laein phir uss may meat dal dain or sath hi kala zeera or ginger,garlic paste dal daien or bhoon laien phir uss may sabit green ilaichi,long,kali mirch sabut,bari kali ilaichi, dalien phir tomato,cilantro(hara dhanya)green chilli cut kar key dalein phir tomato ko achi tarha gala laien phir uss may fresh mint leaves ya phir dry mint leaves bhi dal sktey haien wo dalien phir yogurt,dhanya powder,red chilli powder,haldi,garam masala powder and salt dal daien phir meat ko achi tarha galal lain jab meat galney lagey tu uss may allo bukharey(dry plum)dal daien

phi saln ko bhone laien make sure key salan ziyada dry na ho jai thora sa gela rahey or oil bhi opper a jai

For More Detail Click On Page No: 1 2 3  >>
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How to get college scholarship in usa  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us