bhai
Asalam-o-alaikum,Bhai humarey khandaan me tu buchiyon ko bahut zayada walidan dowry datey han.buchi jab dunia me ati hy tab hi walidan uss k liay choti moti cheezan jama krna shuro ker datay han.uss k ghar ki her her cheez choti ho ya berhi ye sub kuch walidan datay han.ferniture nanhayal walay datay han ya phir bhai apni sister ko datay han.baki cheezan like washing machine,refrigerator,oven,cooking range etc ye sub tu sari khala aur mamu datay han khair humaray khandan me tu mashAllah her buchi ko walidan acha dowry hi datay han.aur shaadi ka function bhi bahut izat k sath achi tara kertay han.kuch walidan dowry k sath apni buchi k account me paisay jama kra datay han ya car k ya phir wasey takay uss ko future me kaam ayan.lakin ye sub walidan apni khushi k liay aur beti ki khushi k liay krtay han un per beti burdon nahi hoti.
Lakin Goodman bhai aik cheez k tu mein bahot against hon ye jo dowry ko bahot zayada show off krtay han.in my opinion walidan apni buchion ko apni khushi se jo kuch day saktay han day dan but logon ko dekha ker nahi that hum ny itna dowry diya hy aur sub se berhi baat ager koi lerkay walay dowry ki bahut zayada demand krtay han tu un ko rishta hi mat dan in choti choti baton se hi lerka samnay ata hy that wo future me un ki beti k sath kasa rahay ga.aur aik baat ye bhi hy that ager koi lerki bahot thora dowry lay ker ati hy tu uss ko tanay miltay han tum to kuch bhi lay ker nahi ayi tumhare walidan net um ko kuch nahi diya.i think ye sub baatan tab hi hoti Han jab hum sub apnay Rab se dour hotay han aur jahilon wali baatan kertay han.saas bahu ki prblms bhi tab hi hoti han jab beta apni bivi aur walida ko un k hoqooq pori tara nahi data wo bivi ko ya mother per prefer krta hy ya phir mother ko wife per wo moderate nahi hota us ski thinking dunia k sath chulti hy aur dunia sahi nahi ja rahi ager uss ko pata ho that in dono rishtoon ka kita haq hy tu ye prblms kabhi nah on aur ager us ski bivi ko pata ho that mother in law meri ami ki tara hy aur un ki utni hi respect krni hy jitni apni mother kit u prblm nahi hoti aur ager mother in law,daughter in law ko wo hi jaga aur makaam day jo aik beti ko datay ha n tub hi ye prblms nahi hoteen.
Bhai main thing ye nahi hoti that kitna dowry diya ya phir car hy,kitni zameen hy,ghar hy main thing hoti hy lerka lerki kis tara k han wo kitnay deen per carbund han aur buchi ki taqdeer hoti hy jo Allah bunata hy aur ye dua se achi bhi ho sakti hy.well ye dowry,saas bahu,shaadi ye sarey issue say han in per baat krna shuro krn tu khatum hi na ho.ye sub baatan humari society ki khud sakhta han.log islam se dour han apnay religion ko inhon nay personal sumajh ker side per rukh diya hy koi es per baat krna pasand hi nahi krta.
Ager aap zameen dar log han,chohdri han tu plz don’t mind Doctor Tariq Jameel sahib he is chohdri he says khala meray pass ayi aur kahnay lugi beti ka rishta tah ho gaya hy lerkay k kaheen muraba zameen hy unhon ny pocha khala lerka kasa hy.she replied kitnay muraba zameen hy,phir unhon ny pocha khala lerka kasa hy,khala ny kaha beta bata tu rahi hon kitnay muraba zameen hy.he said khala beti di shaadi lerkay nal krni ny ya phir zameen naal mein poch rayan lerka krda ki hy,kasa insaan a etc.
Mein sumajhti hon paisa insaan ko pechannay k liay zurori nahi hy,kisi hud tak paisa insaan ki zindagi me importance rukhta hy,lakin paisa sub kuch nahi hota.ya phir mein sumajhti hon ager koi doctor hy,engineer hy tu ye sub bhi kafi nahi hy main thing ye hy that insaan kis qisum ka hy,in our society logon ki pechaan ka scale bilkul ghalut hy.Allah Hafiz |