Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Women Undergarments: Good Or Bad Medically??

Medical Discussion   >>  Sexuality
Testis Removal Surgery
Cheap Cost Testis Removal Surgery in India
Testicular Cancer
Testicular Cancer - Causes, Symptoms, Treatment and Prognosis
Penis Cosmetic Surgery
Penis Enlargement Cosmetic Surgery
Penis Width And Length
How To Accurately Measure The Width And Length Of Your Penis
majnu Group: Members  Joined: 15th Jun, 2007  Topic: 1  Post: 53  Age:  32  
Posted on:23rd Jun 2007, 1:28am
 

Re: My Reply

yaar baat ka rukh na moro.
main ne kya kisi raah chalti hui larki ko rok kar mashwara dene ka bola hai?

jis ko aap jaantay hon, aur jo aap ke mashware ko ahmiyat de usay zaroor mashwara dena chahiye.
majnu Group: Members  Joined: 15th Jun, 2007  Topic: 1  Post: 53  Age:  32  
Posted on:23rd Jun 2007, 1:42am
 

Re: faisee

faisee

1> aap kehtay hain europe aur usa mein larki 200 people se sex karti hai. main kehta hun beshak 2 million people se sex kare us se hum ko kya?

kisi larki ke 200 mardon se sex karne ka meri post se kya talluq?

2> main ne kisi ko ek advice de diya to aap log us baat ko ab tak sex ke hi angle se dekh rahe hain? yeh bohat chhoti baat hai ke aap logo ke sar per hamesha sex hi sawaar rehta hai.
kehtay hain ke jo bhooka hota hai us ko chaand ki jagah bhi roti dikhaayi deti hai. is tarah tum logo ko har baat mein sex dikhaayi deta hai.
sex se baahar nikal kar bhi dunia dekho. har cheez sex nahi hoti. har cheez ko sex nahi samajhna chahiye.
jab main ne apni gf ko advice diya tha to mere dimaagh ke kisi konay mein sex ka khayaal tak nahi tha.

majnu Group: Members  Joined: 15th Jun, 2007  Topic: 1  Post: 53  Age:  32  
Posted on:23rd Jun 2007, 1:58am
 

Re: beshram

1> haan theek. panty koi bara issue nahi hai.

2> main ne koi erotic situation paida nahi ki. na hi is pooray issue mein koi erotic baat hai.
aap ko ye erotic kyun lagta hai?

3> haan jo bhi mera advice maangay aur mere advice per tawajjah de main us ko yeh advice de sakta hun. chahay voh sister ho ya mother.
is mein koi bhi ghalat baat nahi hai.

ya aap ko indirectly kahin se pata chal jaaye ke aap ki mother ya sister ke saath koi is type ki problem hai to zaroor help karna chahiye.
jis ko is mein koi burayi dikhaayi de voh khud bura hai.

4> ek question tum ne kiya nahi lekin main bina question ke hi answer de deta hun.
agar koi larka isi type ka mashwara meri sister ko deta to mujhe bura nahi lagta.
balkay ahsaan hota us ka mujh per.

majnu Group: Members  Joined: 15th Jun, 2007  Topic: 1  Post: 53  Age:  32  
Posted on:23rd Jun 2007, 2:25am
 

Re: faisee

faisee

1> married aur un-married couple mein yaqeenan difference hota hai. lekin kuch exceptions bhi hoti hain.
for example koi unmarried couple unmarried ho kar bhi married se zyada mukhlis ho sakta hai apnay partner ke liye.
aur koi married couple married ho kar bhi married kehlanay ke layaq nahi hota.

but is saari baat ka mere issue se kya talluq?
difference hota hai to hua kare. is ka mere topic se kya relation hai?

main ne apnay question mein married aur un-married couple ka difference nahi poochha tha.
difference aap apnay paas rakhen.

2> married couple mohazzib tareeqay se sex karte hain? kis ne bola tum ko?
majority jis tarah ye sab karti hai voh tumhari nazar mein ghair-mohazzib hi hoga.
exceptions ki baat alag hai.

3> fahash baaten voh hoti hain jo sexual arousal ke liye ki jaayen. jab ke main ne jab apni gf ko mashwara diya tha to mere dimagh mein kisi konay mein bhi sex ka khayaal tak nahi tha.
main ooper ki ek post mein chaand aur roti ki misaal de chuka hun voh parh lo.

4> haan ye theek hai ke yahaan per boys ki majority sirf jinsi taskeen ke liye gf banati hai.
aur girls ki majority bhi jisni taskeen ke liye bf banati hai.

tum ne percentage 99% likhi hai. kya tum samajhte ho main un 99% mein se hun?

5> chalen thori der ko farz kar len ke main ne bhi apni gf sirf jinsi taskeen ke liye banayi hai.
thori der ko yeh bhi farz kar len ke mera apni gf se shadi ka iraada nahi.

to bhi is se aap ko kya farq par raha hai? is saari baat se aap ko kya lena dena?
aap se sirf medical advice maanga hai. aap medical advice den.
baaqi jisni taskeen ya sachi mohabbat ka masla mera aur meri gf ka hai. is maslay ko hum hi solve kar len ge aap beech mein na aayen.
shadi hum karen ya na karen is se bhi aap ka koi talluq nahi. ye bhi hamara masla hai.
aap se sirf medical advice maanga hai to aap sirf medical advice tak rahen. kisi ke personal issues mein kyun beech mein aatay hain?


6> ye baat aap ko vulgar dikhaayi deti kyun ke aap ke dimagh per vulgarity sawaar hai.
ooper ki kisi post mein main ne chaand aur roti ki misaal di hai voh parh len.

7> main ne aap se medical answer maanga hai. islamic answer nahi maanga. balkay shuru mein hi sakhti se kaha tha ke SIRF AUR SIRF medical answer chahiye.
islamic answer ke liye main madarsay ja sakta hun. aap se sirf medical maanga hai.

8> main ne aap se ye questoin nahi kiya ke islam mujhe is baat ki ijazat deta hai ya nahi.

9> main ne aap se ye nahi poochha ke mera amal gunah hai ya nahi.
main ne aap se gunah ya sawaab ke baaray mein koi sawaal nahi kiya.

mujhe only medical point of view chahiye.

only medical only medical only medical.

jo ke abhi tak theek se mila nahi. sirf khan_80 ne bohat mukhtasir sa medical answer diya hai.

10> jitna zor aap logo ne irrelevant baaten karne mein lagaya hai itna zor medical references dene per laga dete to mera problem bohat achi tarah se solve ho jata.

11> lagta hai mujhe kisi non-muslim doctor ke paas jana pare ga advice ke liye.
ya muslim bhi ho to zara vakhri type ka.

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 79  Post: 777  Age:  29  
Posted on:23rd Jun 2007, 2:57am
 

Re: majnu

Whatever I have written  is  enough I think. NO  more to say on this topic, if you read it again, you can read between the lines.

One last thing, here whenever you will ask any question, doctors will always reply after keeping many things in their mind and it strictly includes Religion. So if one thing is clashing with religion, regardless it is good or bad medically, they will not suggest you or even refuse to suggest because if something is suggested that is sin religiously then it will become "Gunah-e-jaaria" (not a fatwa, just an opinion).

I know your question was diverted to other things, but discussion kuch aisay morr per a gaya tha kai I felt like to say something. 

Lastly I would say again, if you are not a doctor, why u suggested it so, even now if doctor tell you here that it is wrong or right then you will go and tell her again, and would commit another sin. So why doctors here would take part in this activity. and if women face these type of confusions, lady doctors are here, family frds and women are here which are "exceptions" to discuss these types of problems.

See vakhra musalman ya vakhra musalman kuch nahin hota, just you have to know the basic islamic teachings, then you can understand everthing by your own sense. May Allah forgive me if i have something wrong (ameen)

Note: this is my last post on this topic, please dont expect more replies from me on the same issue.
majnu Group: Members  Joined: 15th Jun, 2007  Topic: 1  Post: 53  Age:  32  
Posted on:5th Jul 2007, 9:14am
 

1> mera bhi yehi khayaal hai ke main jo kuch likha chuka hun voh kaafi se zyada hai.

2> aap ne second paragraph mein khud hi jurm ka aitraaf kar liya hai ke agar koi cheez medically faidamand hui lekin non-islamic hui to doctors us ko yahaan per point out nahi karen ge.

is ka matlab ke aap phir doctor kehlaanay ke layaq hi nahi hain.

thori der ko farz karte hain ke ek element hai xyz. us element ke medically bohat faiday hain. lekin islam mein voh element xyz haraam hai.

ab main ek musalmaan doctor se question karta hun ke element xyz sehat ke liye medicall achcha hai ya bura.

to doctor ko aaraam se keh dena chahiye ke element xyz sehat ke liye medically achcha hai.
phir agar doctor ko chahay to ye bhi bata de ke xyz islam mein haram hai.

medcally aspect batanay se doctor ke islam ko to koi nuqsaan nahi pohanchta.

lekin agar doctor sirf islamic aspect batata rahe aur medical aspect gol kar jaaye to phir voh doctor kehlaanay ka haqdaar hi nahi hai. phir doctor ko masjid ja kar imaamat karaana chahiye.

aap logoN ki qismat hai ke pakistan mein hain. kisi baahar ke mulk mein hotay to kuch bhi doctor nahi ho saktay thay.

3> agar main doctor nahi hun to main ne gf ko aisa suggestion kyun diya?
aap ke is sawaal ka jawaab pehlay ki posts mein de chuka. shayad us ko parh kar bhi aap ko andaza nahi hua.
jis sawaal ka main jawab de chuka tha vohi aap ne dobara poochha.

4> agar doctr medcally element xyz ka faida bata de. aur main element xyz use karna shuru kar dun to is mein doctor ka koi haath nahi hai. kyun ke doctor ne islamic aspect bhi bata diya tha.
aap log chun ke mere question ka islamic answer de chukay hain to phir agar medically answer bhi de dete to mere amal mein aap ka koi haath nahi hota. phir main khud zimmedaar hota apne amal ka.
aap kyun darte hain bilawaja?

5> main islamic teachings jannay ki koshish karun ya na karun is se aap ko kya? mera personal maamla hai.
jis tarah ki baaten aap log kar rahen hain is se lagta hai ke ye Lal-masjid ka forum hai.

khan_80 Group: Members  Joined: 09th Mar, 2007  Topic: 8  Post: 2606  Age:  32  
Posted on:5th Jul 2007, 9:37am
 

endless and purposeless discussion

This discussion is getting lengthy without any purpose and everybody is doing  just personal attacks on one another. Every person has his/her own point of view, here some people have wrong thikings and some are trying to correct them but nobody is trying to understand the point of view of one another. so, its better, not to indulge in this kind of endless and purposeless discussion.
deamon_454 Group: Members  Joined: 24th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 9  Age:  22  
Posted on:20th May 2012, 5:58pm
 

About Undergarments Discussion

hmmmmmm sahi bat hai ye batain galt hain ye nai krni chaheye thi Gf ho ya lover ho ap ka ..... any way ab ye btai sab logo ko k ab agr kisi ne aisi batain ki hain to is ka kia kia jaye i mean k shadi se pehly jaisy ye bhai apnni GF k leye bakool in k theek soch rahy thy to is ka koi hal hai i mean ino ne to galt kia hai to kia is ka hal hai k is ko kaisy roka jaye ???? yar ye jo gunnah kia hai is ki mafi kaisy ho ???? is ka koi hall b bta dain ta k koi aur aisi batain na kry aur ye btaye kia shadi k bad biwi se aisi batain kr skty hain as a help point of view se koi sexual talk nai bus help ?????
1>>
Deal With Miscarriage
Miscarriage Effects - How To Deal With It
Prevent Miscarriages
Herbal Remedies To Prevent Miscarriages
Miscarriage
Coping with a Miscarriage
Pregnancy After Miscarriage
Getting pregnant after a Miscarriage
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012