love bird
|
Group: Members Joined: 06th Nov, 2008 Topic: 73 Post: 1177 Age:
39
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 6:53am |
|
|
Molana Hussain Ahmed Madni nay Muslim leaque ka sath q chora??
Dahain bazoo say say tahloq rukhnay walay mashhore calmnigar Janab Hamir Mir Jang Mrach 26,2009 kay apnay calm mein likhtay hain "Tehreek e Pakistan ka namwar moharikh Dr.Jahangir Tamimi nay apni kitab "Zawal Say Iqbal Tak"mein aik hajeeb waqia likha hai ,farmatay hain keh 1937 k election mein Mufti Kafayatulah sb oar molana Hussain ahmed madni Muslim Leaque ki hamayat k lihay razi hogahay thay laikin onhoon nay akhrajat k lihay Rs.50000 talb kihay.Yea raqam oas waqat bohat zeahada thi.Quad e Azam ye motalba pora na ker sakay.Oar molana sahiban CONGRESS challay gahay Q keh wahan oan kay malli taqqazay poray hogahay thay"
Hamir Meer per iss calm kay baad hamlay oar damkian milleen magar wo apnay iss mohaqaf per qahim rahay oar April 09,2009 ko talkh sachahean kay nam say aik oar calm likha.
Jang ki website per abhi bhi yea calm apnay hawaljaat k sath mojood hain.
Mein nay apni tarf say kuch nahee likha sirf tareegh ka mein in ka chehra dakea hai oar in ka kardar baqi
khoud hee apni addahoon peh ghoar karain
Hum kuch arz karain gay tou shikayat hogi.
|
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1874 Age:
41
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 12:31pm |
|
|
Love Bird "Facts Are Facts" naami kitab likhnay walay Khan Abdul Wali Khan ka beta Asfand Yaar Wali aaj bhi apnay baap k inalffaz aor is Mo'qaf pe qaim hae k "Jinnah Angraiz ka agent tha " to kya aisi kitab likhnay se, ya Quaid e Azam ki zaat pe aisa ilzam laganay se Quaid e Azam ki shan pe kuch farq parr gaya ???? ya aisi aor bhi jo books Ind o Pak main mojod hain jin main Quadi e Azam ya aor Muslim leegi leadres pe ilzamat lagaye gay hain un ki hasiyyat aap ki nazar main kya ho gi ??? isi tarah agar koi kitab likhnay wala in Ulema k baray main aisay ilzamat lagata hae to woh jhoot kyun nahi ho saktay hain ?
Topic kuch aor tha aor abb aap khud he is ko kisi aor tarf le k ja rahay hain . main ne misal k tor pe 2 Ulema k names likhay thay jinho ne Pakistan k qayam k liye Quadi e Azam ka sath diya laikin shayed ap k dil main "Molviyat" se aisi bezargi hae k aap in ki tareef bhi nahi kar saktay.
In Muslim Leegyon ki kya adaayen thi, ye kis ki ghulami kartay rahe, kis se jageerain letay rahe, kis se paisa letay rahe???? aor jub Pakistan ban'nay ka time aaya to Quaid e Azam k sath aan milay , Tehreek e Pakistan k aisay heroes se ye Ulema lakh darja behter thay. |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1874 Age:
41
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 12:43pm |
|
|
Aledgi ki waja In Ulerma ki Muslim League se bezargi ki sub se barri waja un logon ko Muslim League main shamil karna tha jo Angraiz ki wafadar thay aor Angraiz k kehnay pe Muslim League main shamil howey aor aisay logon ki Muslim Leagye main shamooliyat ki saza Pakistani qom aaj tak bhugat rahi hae , Pakistan ban'nay k baad eik aisa tabqa Pakistan pe Hukmran ban baitha jin ka Azadi ki tehreek se koi taulaq nahi tha, "manzil un ko mili jo shareek e safar na thay" yahi woh log thay jin ko Quaid e Azam ne khotta sikka qarar diya. aor aisay logon ko Muslim League main shamil karna Quaid e Azam ki sub se barri siasi ghalti thi. |
love bird
|
Group: Members Joined: 06th Nov, 2008 Topic: 73 Post: 1177 Age:
39
|
|
Posted on:23rd Aug 2009, 7:52am |
|
|
Mohterm Ch.Babar Sb Tareegh k aik mohirgh oar syasi toar per mokhalif ki kitab mein likhay remarks mein farq hota hai.
Syasi mokhalif ki baat ko kohee serious naheen laita magar aik tareegh ka mohirgh jab likhta hai tou oas ki aik ahmihat hoti hai.
Mein nay jiss kitab ka hawala dia hai woo kissi syasi leader ki naheen balkeh tareegh k aik mohrigh ki hai.
Baqi mein topic ko divert naheen ker raha mein nay sirf oan molvihoon ka kardar dikea hai jo chand paisoon ki khatir party badal gahay. |
Cool bnda
|
Group: Members Joined: 07th Sep, 2009 Topic: 3 Post: 26 Age:
30
|
|
Posted on:27th Sep 2009, 2:09pm |
|
|
Mullah role Mri schi btain may be kch ko psnd na aen, islie advance mn sorry.
Mn yhan Hindustan rhta hun aur isbaat ko reject krta hun k Separation main ksi kism ka molvi factor involve tha. Sub continent mn DeoBnd Molvi ka hold tha ar Darul Aloom Deobnd k Molvi Pakistan k agnst the ar aaj tk agnst hi hn. Sub continent k muslims ki bd qismti hai k yhan k log ar kch krn na kren. Hlwa khane wale ar limitd soch rkhne wale ulmaah ki bat zrur mante hn. Tbhi jzbati b hn ar aik doosre ko kafir khne mn bilkul b shrm nahi mhsoos krte. Mre points ye hn,
Mullah logoon ne sb continent muslims ko education se door rakha. Agr Sar syed ne kch kiya tou uske b khilaf ho gae. Yhn tk k Sar Syed ko Ali garrh ke lie naach kr chanda akatha krna pra.
Pakistan k ban-ne mn kisi molvi ka koi role nhi tha. Bjae Koi role play krn k molvi Muhammad Ali Jinnah ke khilaf thay. Iski wja simple c thi. Muhammad Ali Jinnah Ismaieeli (Agha Khani) firqay se belong krte thay mgr broad minded personality thay. Ismaieeli Shia logun k zeyada nzdeek hote hn kiun ke wo shiyun ke phle 6 imamoon ko mnte hn. Isi wja se Jinnah pr Deobnd Molviyon ne kufr ke ftway b lagae aur Jinnah k sath sath Pakistan bnne ki mukhalift b ki.
Pakistan ki azadi main Bengali Muslims ki qurbani zeyada thi. West pakistan ke rhne waloon ne b qurbani di mgr unki mjority mn wadere aur feudals shamil thay ar whi tb se aaj tk hkumt kr rhe hn whan. Jinnah ne isi lie kaha tha ke meri pocket k saare sikkay khotay nkle hn. Pakistani mahajireen ki aik jamat abhi b inhi jagirdaroon se apne rights mangti phirti hae.
In sari batun ki wjah se meri opinion yehi he ke pakistan bnne mn kisi molvi ka koi role nhi. Agr koi roile hae b tau wo doosrun ke muqaable mn bht minor ho ga. |
love bird
|
Group: Members Joined: 06th Nov, 2008 Topic: 73 Post: 1177 Age:
39
|
|
Posted on:28th Sep 2009, 7:33am |
|
|
Cool Banda App ki tamam batain sahee hain oar app ka tajzia bilkul sahee hai |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1874 Age:
41
|
|
Posted on:29th Sep 2009, 8:48am |
|
|
cool banda aap ki baaton ka insha Allah jawab do ga,abhi travel main hon.jald is topic main reply karon ga. |
Cool bnda
|
Group: Members Joined: 07th Sep, 2009 Topic: 3 Post: 26 Age:
30
|
|
Posted on:29th Sep 2009, 1:09pm |
|
|
CH Babr Ap larai k style mn kiun kh rhe hn k jwab dn ge?
Mn ne srf apna point of view btaea hae---Apse koi jawab nhin manga?
Ismain itna emotional hne wali koi bat nhi. |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1874 Age:
41
|
|
Posted on:29th Sep 2009, 5:33pm |
|
|
cool banda Nahi janab main har giz aap k sath larraie nahi kar raha jis tarah aap ne apna point of view diya ahe main apbi soch aor apni raye ka izhar karon ga, aap ne har giz muj s ekoi jawab nahi maanga magar jin "molviion" k baray main aap is tarah ki baatain kar rahe hain woh muj samet kai logon k hero hain to un ko defend karna zaroori hae
Aap ne kaha:
Pakistan k ban-ne mn kisi molvi ka koi role nhi tha. Bjae Koi role play krn k molvi Muhammad Ali Jinnah ke khilaf thay. Iski wja simple c thi. Muhammad Ali Jinnah Ismaieeli (Agha Khani) firqay se belong krte thay mgr broad minded personality thay. Ismaieeli Shia logun k zeyada nzdeek hote hn kiun ke wo shiyun ke phle 6 imamoon ko mnte hn. Isi wja se Jinnah pr Deobnd Molviyon ne kufr ke ftway b lagae aur Jinnah k sath sath Pakistan bnne ki mukhalift b ki.
Muhammad Ali Jinnah bhi eik political leader he thay jis tarah Hindustan main aor leadres thay to un ki mukhalifat karna koi kufer nahi tha.
Darul Uloom Deoband se koi eik fatwa aisa dikha dain jis main Muhammad Ali Jinnah ki mukhalifat Mazhab ya Firqay ki bunyad pe ki gai ho. Ulema e Deoband k eik group ne Pakistan ki mukhalifat ki to Deoband he k eik halqay ne Muhammad Ali JInnah ka sath diya aor Pakistan ban'nay k amal ki himayet ki. Jinho ne Pakistan ban'nay ki himayet ki un Ulema e Deo band ka kabhi ziker he nahi kiya gaya ye munafiqat ki inteha hae , Pakistan se muhabbat k izhar k liye eik cheez ye bhi zaroori qarar payee k Ulema e deo band ko bura kaha jaye halank inhi Ulam e Deoband Hindustan ki azadi main apna role play kiya aor Angraiz ki qaid kati, Jinnah samet Kisi Muslim leegi ko to eik kaanta tak nahi chuba tha, Hindustan ki azadi ki baat karne wale pe angraiz apnay zulm ki intha kar deta tha magar Taqseem Hind ki baat karnay wale ko pasand kiya jata tha , |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1874 Age:
41
|
|
Posted on:29th Sep 2009, 5:47pm |
|
|
Cool Banda kya aap un Ulema e Deo band k name likhna pasand farmayen gay jinho ne Muhammad Ali Jinnah pe kufer ka fatwa lagaya , kub lagaya , kahan pe lagaya , mukammal referance k sath bataye ga.
Pakistan ki azadi main Bengali Muslims ki qurbani zeyada thi. West pakistan ke rhne waloon ne b qurbani di mgr unki mjority mn wadere aur feudals shamil thay ar whi tb se aaj tk hkumt kr rhe hn whan. Jinnah ne isi lie kaha tha ke meri pocket k saare sikkay khotay nkle hn. Pakistani mahajireen ki aik jamat abhi b inhi jagirdaroon se apne rights mangti phirti hae.
Qurabi se aap ki kya murad hae ??? kya East Punjab k logon ko Taqseem e Hind main jo qurbani dena parri woh aap ko nazar nahi aati hae ??? itnay punjabi Muslims qatl howe aor un ko kis kis tarah se qatl kiya gaya, Punjabi Muslim aurton ki asmat dari ki gayee, un ko aghwa kar k Pakistan aanay se rok liya gaya , un ki shadyan sikh larrkon se kar di gayee, is saray amal ka zimmadar kon hae ??? jub ye sub kuch ho raha tha Muslim leegi leadership kahan thi ??? Jageerdar agar muslim League main thay aor yaqeenan thay to in ko Muslim League main laya kon tha ???? Jis jamat ki aap baat kar rahe hain k woh jageerdaron se rights mangti ahe yahi jamat har jageerdar k sath hakoomat main shamil hoti hae.
Ulema e Deoband ne agar Pakistan ki mukhalifat ki to Ulema e Deoband ne Pakistan pe kabhi hakoomat bhi nahi ki phir Pakistan ka ye haal kyun hae??? Mukhalifat karnay wale to bohat buray hain ???? bananay wale kahan gay ???? kabhi Islamic history main aap ne dekha k 90,000 foji(islami army k ) qaidi ban jayen ???? Muslam eik alag qom hain is bunyad pe India taqseem kiya gaya phir east pakistan bangladesh kyun ban gaya ??? yahan kon s eUlema e Deoband thay ???? Balochistan kyun azadi ki baat karta hae ???? mukhalifat karnay walon to bura kiya , banay walon ne kya kamal kiya ???? Mukhalifat karne wale un "khotay sikkon" se lakh darja behter thay k jo un ki zuban pe tha wahi un k dil main tha woh Muslim leegi leadership ki tarah angraiz k wafadar nahi thay.
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:30th Sep 2009, 4:01am |
|
|
Babar Bhai Muslam eik alag qom hain is bunyad pe India taqseem kiya gaya phir east pakistan bangladesh kyun ban gaya ???
Babar Bhai, Allah ki Qasam tab main peda b nahin hua tha. Mujhe nahin pta ke East Pakistan Bangladesh kyun bana. Apni Daadi Amman se pooch ke btaunga??? |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 30 Post: 1790 Age:
30
|
|
Posted on:30th Sep 2009, 4:56am |
|
|
Bangla Desh Kaise Bana? General yahya khan ne December 1970 mai fair election karaye, lekin os waqt tak Pakistan ke maghrabi aur mashraqi hisso mai tanazea etna ziadah barh chuka tha keh dono side ke logo ne sobayee bunyaad per vote diye. mashraqi pakistanio ne bhari taadad mai apni party Awami League ko vote diye aur ose mukammal fatah haasil huyee.
Pakistan Peoples Party ne iss election mai doosri position hasil ki. election ke baad Qomi Assembly ko 90 days ke andar andar new Aaeen banane ki zimmadari sonpi gayee. Qomi assembli mai Awami league aksariat mai hone ka matlab tha keh woh aisa Aaeen bana sakti thi jo onhai sobayee khoodmukhtari ka haq deta, lekin yeh baat maghrabhi Pakistan ke moraat yafta tabqe ke liye naqabil-e-qablool thi.
Zulfiqar Ali Bhutto ne qomi assembli ke maghrabi pakistn ke members ko dhamki di keh agar woh mashraqi pakistan ke sobayee darul hakoomat dhaka jana chahte hai tu sirf aik taraf ka ticket khareede, kio keh agar woh wapis aaye tu on ki tangai.n tor di jaaye gi.
os poore waqt mai Awami League ke leader Shaikh Mujeebur Rahman ne bhi maghrabi Pakistan ke logo ko apni taraf maayel kerne ki koshish na ki aur na hi Zulfiqar Ali Bhutto ki chalo.n ka asar Zayel kerne ki.
Jhunjhla ker aur pareshan ho ker Yahya khan ne Qomi Assembli ki iftatahi taqreeb jo March 1970 mai hone wali thi multawi ker de aur Shaikh Mujheeb ur Rahman aur on ki party (Awami League) ke doosre logo ko ghaddarri ke ilzam mai giraftar ker lia.
Mashraqi Pakistan ki aabadi ne jo Ehsas-e-mahroomi aur ajnabiat ka pehle se shikar thi, hathyar utha liye jis mai bharat ki mukammal himayat aur madad hasil thi, iss tarah woh masla jo aik siasi tanazea ke tor per obhra tha, jald hi aik mosalah jad-o-jahad mai tabdeel ho gaya. bharat ne iss sulagte huye nazuk masla se poora faida uthaya, os ne bangalio ke aik goreela fouj Mukti Bahni tashkeel di aur Awami League ke leaders aur bari taadad mai khana jangi se bhagte huye bangalio ko panah dii
isi zamaney mai India ne soviot union se Aman aur Dosti moaheda kia, aur panah gazeeno ko rakhne ke bhari iqtasadi ekhrajaat ke bojh ke bahane mashraqi aur maghrabi pakistan per hamla ker dia. mashraqi aur maghrabi pakistan ke darmian rabta khatam hone ke baad, aur aik dushman aabadi ke saath pakistani fouj ke liye koi raasta hi nahi bacha tha.
bharat ke dost soviet union ke bar.aks hamara dost usa aik taraf khara raha aur hamari koi khaas madad na ki. Yahya khan ne Zulfiqar Ali bhutto ko naib wazeer aazam aur wazeer kharja bana ker Aqwam-e- Mutahda ki security counsil bheja taike fire bandi per soda ker sake, lekin bhutto ne poland ki aik qarar dad ko mustard ker dia , jo keh mashraqi pakistan ko bacha sakti thi.
aisa maloom hota hai keh Zulfiqar Ali bhutto iss nateeja per pohonch chuke the keh mashraqi Pakistan ki mojoodgi mai woh Iqtadar mai nahi aa sakte. mashraqi Pakistan mai hamari fouj ne hathyar dal diye. aur 90,000 fouji aur ghair fouji afrad jangi qaidi bana liye gaye, aur 16 December 1971 ko mashraqi Pakistan alaihda ho ker Bangla desh ban gaya.
ref: In The Line Of Fire - A Memoir by Pervez Musharraf |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1874 Age:
41
|
|
Posted on:30th Sep 2009, 8:25am |
|
|
kali Zuban Aap ne aisi book se referance diya k is pe kya tabsara karain, eik aisa shakhas jis se pakistani awam ki bohat barri aksariyat intehaaye nafrat karti hae aor jis ki kisi baat pe koi eitbar nahi kiya ja sakta, hamaray Mulk main Army hamesha adventure karti rahi aor end pe ye Generals sub kuch siasi leaders pe daal detay hain, kon se Yahya Khan ki baat karti hain aap ??? jub East pakistan main Pak Army apnay Muslim Bangali bhayon ko qatl kar rahi thi, khawateen ki asmat dari ho rahi thi aor jub Mukti Bahni k log Bahaari aor Punjabi logon ko qatl kar rahay thay Yahya Khan apnay bed room main ayyashi kar raha tha, History utha k dekhain us waqt "Malka e Tarannum Noor jahan" kahan paayee jati thi. General rani kon thi ???
Sikh General k samnay hathyar Army ne daalay thay, Bhutto ne nahi kaha tha hathyar dalnay ko, 90,000 foji qaidi howe , aor aisi zillat wali qaid k kya junior aor kya sinior sub hindo ki qaid main rotay thay, aor jub Bhutto in sub ko India ki qaid se churra k laya to yahi goj thi jis ne 4 saal baad phir eik baar pakistan ko fatah kar liya aor bhutto ka adalti qatl karwa diya.
Is Pakistan ka jitna Nuqsan Army k hathon howa kisi tabqay ne aor itna nuqsan nahi ponchaya. |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1874 Age:
41
|
|
Posted on:30th Sep 2009, 8:30am |
|
|
Bhimji Allah Ta'ala aap ki dadi amman ko sehet aor un ko salamat rakhay, Bangla desh alag mulk ban'na itna takleef deh nahi hae magar kaash is tareeqay se na bana hota, 1947 main sikh aor hindu logon ne bhi woh sub kuch na kiya jo Muslims ne yahan eik doosray k sath kiya , alag hona he tha to kash beghair jang k alag ho jatay. Bangla Desh ban janay main sub kuch Bhutto pe daal diya jata ahe jub k is k asal zimmadar Ayub Khan aor yahya Khan hain. ye pakistan Army generals k adventures ka shikar hota rahe ga aor badnama siasatdan hotay rahain gay. |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 30 Post: 1790 Age:
30
|
|
Posted on:30th Sep 2009, 12:51pm |
|
|
Bangladesh Kaise Bana? ch babar agar aap meri post se agree nahi kerte tu phir aap hi bata de ke Bangladesh kaise bana. |
love bird
|
Group: Members Joined: 06th Nov, 2008 Topic: 73 Post: 1177 Age:
39
|
|
Posted on:30th Sep 2009, 4:31pm |
|
|
Dostoo Agercheh app ki behes intahee achi hai magar mazrat k sath yea meray thread ko divert ker rahee .....so please keep in mind about thread title.You are all welcome !!!!!!!
Apnay topic par wapas anay k lihay apni aik last posts ko dobara post ker raha hoon.
Hazrat Allama Iqbal
nay kuch Mullan kay azadi kay vision ki explaination kuch yoon ki hai
MULLAN KO JO HAI HIND MEIN SAJDAY KI IJAZAT
NADAAN YEA SAMJHTA HAI KEH ISLAM HAI AZAD.
Meri yea hasrat hai keh mein apni zindagi mein yea daikhoon keh Pakistan Jamahatoon kay sarbarahoon ko daikhoon jab wo mazar e Quaid ya Hazrat Allama Iqbal per fateh khawani ker rahai hoon .
Mein nay kabhi naheen sunna keh Janab Qazi Hussain Ahmed Yah Molana Fazul Rehman Ya Molana Israr Ahmed kabhi in qahideen keh mazar per gay hoon...basically baat nazriati wabastagi ki hai jab woo hee naheen tou oan say mohabbat kahan say hogi. |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1874 Age:
41
|
|
Posted on:1st Oct 2009, 2:02am |
|
|
Love Bird Aap k leaders ne Angraiz se Pakistan hasil kar k Islam azad karwa liya , laikin woh to kehtay thay k India k sabhi Muslims k liye alag watan hasil kiya jaye ga phir un Muslims ka kya qasoor hae jo Aaj bhi India main hain aor jin ka Islam Pakistani Muslims ki tarah azad nahi hae ? Waisay Pakistan hasil karnay k liye Muslman qom ko leader bhi kaisay milay jin ko khud Quadi e Azam ne khotay sikkay qarar diya, ye log Muslims ki taqdeer ka faisla kar rahe thay????
Pakistani jamaton k leaders kon sa sahib e kirdar log hain jo aap un k baray main aisi hasrat rakhtay hain agar Fazul ur Rehman Quaid e azam k mazar pe chala bhi jata ha eto us k under kon sa inqilab aa jaye ga ???? woh phir bhi wahi rahe ga har hakoomat se apni qeemat wasool karne wala. is liye is hsarat ko nikal k koi aor achi si hasrat apnay dil main daal lain :)
|
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1874 Age:
41
|
|
Posted on:1st Oct 2009, 2:07am |
|
|
cool banda main abhi tak aap k reply ka wait kar raha hon k kon se Deobandi Aalim ne Quad e Azam ko un k maslik ki bunyad pe kafir qarar diya. aap ne Quadi e Azam k maslik ka ziker kiya aor kaha k woh ismaieli thay is liye Ulema e Deoband ne unhain kafir kaha aor ye k Ismaeili Shia k qareeb hotay hain to janab pehlay ye wazeh kar lain k Ismaeili Shia k qareeb nahi Balke Shia ka eik Firqa hae jaisay Asna e Aashri eik firqa hae. abb Asna Ashri Ismaeili k baray main kya Fatwa rakhtay hain ye Bhimji behter bata saktay hain phir Deobandi ka name kyun liya ja raha hae??? kya aor sari daleel khatm ho gai hain jo abb mazhab ko beech main le aaye hain woh bhi jhootay ilzam laga k ???? |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:1st Oct 2009, 4:52am |
|
|
Quid-e-Azam Quaide Azam Muhammed Ali Jinnah was Shia Ismaili Agha Khani Khoja not Shia asna Ashri. Yehi wajah hai k unki wife b Ismaieeli Graveyard Bombay main hi dafan hain. Rattan baai aik converted Muslim theen jo Jinnah se shadi se pehle Muslim hui theen. Unka Islamic name Maryam tha (I don’t exactly remember this lkn Maryam hi tha shayed). Ratti Baai ki taraf se nikah ke waqt witness b aik Shia Aalim Muhammad Hassan Najfi hi thay. Ratti baai ke Jinazay ke baud Quid-e-Azam ne talqeen b parrhai jo ke khalistan Shia tareeqa hai.
Jinnah ke family friend M.A Isfehaani ka kehna hai ke Quid-e-Azam ki wafat ke baud Mohtarma Fatima Jinnah aur Liaqat Ali kan ne high Court main aik petition dakhal ki thi ke Jinnah ki property ke disputes Shia Islamic laws ke teht hall kie jayen kyun ke woh Khoja Shia thay (not asna ashri).
Quid ki death pr bhi Fatima Jinnah ki request pr aik shia Alim Syed Anees-ul- Hasnain ne Quid ka janaza parrhaya. Uss ke baud Mayyieet Governor House se bahir laai gai aur Allama Shabbir Ahmed Usmani ne namaz-e-janaza parrhai.
Sifahani sahib mazeed kehte hain ke Madam Fatima Jinnah ki Shia funeral rules ke mutabiq ghusl aur rasoomat bhi unhun ne ada krwaieen aur phr Unki dead body Government ko hand over kr di. Fatima Jinnah ki wafat ke baud unn ke ghar se Alam aur Panja (Shia Symbols) b braamd huay. |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:1st Oct 2009, 4:55am |
|
|
Quid aur Kufr ka fatwa Meri zaati Opinion yehi hai ke Quid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah Prince Karim Aga Khan ke follower thay lkn yeh baat record pr hai ke unhun ne gher jaanibdar rehte huay hamesha Muslim unity ke lie hi kaam kiya. Isi liae har fiqha ke loag unki respect krte hain aur unhain Baba-e-Qom kehte hain aur Qom main Shia, Deobandi and wahabi etc. sab include hain.
Jahan tk baat hai unn par kufar ke fatwoon ki tou Ismaieeli logoon ko unn ke aitqadat ke bawjood hamesha respect ki nigah se dekha jata raha hai. Log unn se ikhtelaaf b rakhte hain lkn khul kr kabhi ksi ne aesi wesi baat nahin ki jiski reason yehi hai ke Ismaaieeli logoon ne hamesha Pakistan main ahm role play kiya hai. Prince Agha Khan ne khul kr Pakistan ki himayet ki aur iss ke lie apna asr-o-rasookh b istemaal kiya. Iss ke ilawa Ismaaieeli bht educated b hote hain aur unhun ne kabhi disputed issues pr baat nahin ki.
Isi wajah se Quaid pr shayed koi fatwa tou na lagaya gya ho lkn Overall impression create krne ki koshish zaroor ki gai ke Quid Kafr hain so unhain support na kia jaae. Hatta ke aik dafa jalsay main aik muslim nojwaan ne kharay ho kr Quid se keh dia tha ke aap ke aitqadaat kafroon walay hain iss liay main aap ko vote nahin doonga. Baba-e-Qom ne bht acha jawab dia tha ussay ke tum aisa kro Gaandhi ko vote de do, woh bht barra Islami Muballagh hai.
Syed Shareef Ul Deen Peerzada jo ke Quid ke secretary b rahe hain. Unka kehna hai ke Quid although Agha Khani Shia thay mgr unhun ne kabhi Shia politics main hissa nahin lia aur hamesha Muslim Unity ki baat hi ki. Mera zaati kheyal hai Religious belief jo b hon, Har Pakistani apni Qom ke Baba ko chahta rahega aur unki qurbaniyun pr unhain salute krte rahega. Humain Quid ko smjhne ke lie kisi Indian member ki opinions ki zaroorat nahin. |
|
For Detail Click On Page No: 1 2 3 >> |
|
|
| |
|